Fikr-e-bandegi subah o shaam karo............(nazar ghouri)

by nazar ghouri on June 21, 2010, 01:28:15 AM
Pages: [1] 2  All
ReplyPrint
Author  (Read 3053 times)
nazar ghouri
Guest
Reply with quote
Fikr-e-bandegi subah o shaaam karo...
chandh saansein hain inka ehteraam karo...!

Bhatakk na jaae phir se kaarwaan..........!
Rehbaro! roshni ka intezaam karo..........!

ubhar kar raheen ge zamaane main...........!
laakh hamein tum badd naam karo............!

Jazb-e-ana se kuchh nahien haasil..........!
khloos o mohabbat ka ehtemaam karo.........!

Muflisi se hojaoge tum waaqif..............!
kisi roz hamare ghar qayaam karo...........!

saazisho'n ke jaal bunte raho tum..........!
aur har qatl hamare naam karo..............!

sachh na samajh baithe duniya kaheen.......!
jhoot ko iss qadar  na aam  karo...........!


                                                  nazar ghouri
                                                  Hyderabad(India)
                                                 cell:09885375957
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
subah-o-shaam by sunny.22 in Shayri-E-Dard
Subah Shaam...................LLK by leena loves kamlesh in Shayri for Khumar -e- Ishq
HAPPY BIRTHDAY NAZAR GHOURI JI by madhuwesh in The Wishes and Celebrations
kya khoob haqq-e-bandegi.....(nazar ghouri) by nazar ghouri in Shairi - E - Zindagi « 1 2  All »
Halaat pe zara tu,apni nazar karde..(nazar ghouri) by nazar ghouri in Shairi - E - Zindagi « 1 2  All »
madhuwesh
Guest
«Reply #1 on: June 21, 2010, 07:20:55 AM »
Reply with quote
Wah wah har baar ki tarah bahut khoob Nazar ji.great creation. Hats off to you! Both Thumbs Up Applause Applause Applause Applause Applause Applause
Logged
riyaz106
Guest
«Reply #2 on: June 21, 2010, 09:30:36 AM »
Reply with quote
0Janab Nazar sahab kamaal ki takhleeq hai ye aapki. Ek haqeeqat bayan ki hai aapne. Bahot achha laga aapka kalaam. Allah sabko hidaayat ke noor se nawaze. Ye lines to sabse achhi lagi:

ubhar kar raheen ge zamaane main
laakh hamein tum badd naam karo

Logged
khamosh_aawaaz
Guest
«Reply #3 on: June 21, 2010, 12:40:22 PM »
Reply with quote
her sher outstanding hai nazar sb................bahut khoob  Applause Applause Applause
Logged
MANOJ6568
Khaas Shayar
**

Rau: 31
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
42 days, 19 hours and 59 minutes.

Astrologer & Shayer

Posts: 12017
Member Since: Feb 2010


View Profile
«Reply #4 on: June 21, 2010, 08:07:02 PM »
Reply with quote
GD
Fikr-e-bandegi subah o shaaam karo...
chandh saansein hain inka ehteraam karo...!

Bhatakk na jaae phir se kaarwaan..........!
Rehbaro! roshni ka intezaam karo..........!

ubhar kar raheen ge zamaane main...........!
laakh hamein tum badd naam karo............!

Jazb-e-ana se kuchh nahien haasil..........!
khloos o mohabbat ka ehtemaam karo.........!

Muflisi se hojaoge tum waaqif..............!
kisi roz hamare ghar qayaam karo...........!

saazisho'n ke jaal bunte raho tum..........!
aur har qatl hamare naam karo..............!

sachh na samajh baithe duniya kaheen.......!
jhoot ko iss qadar  na aam  karo...........!


                                                  nazar ghouri
                                                  Hyderabad(India)
                                                 cell:09885375957

Logged
Shihab
Yoindian Shayar
******

Rau: 27
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
29 days, 4 hours and 51 minutes.

Maut To Ek Shuruaat Hai...

Posts: 2082
Member Since: Dec 2006


View Profile
«Reply #5 on: June 21, 2010, 10:24:33 PM »
Reply with quote
Wah Wah Nazar Saheb Kya Khub Kalaam Bazm Ko Ata Kiya Hai Aapne
Samajh Nahi Aa Raha Tareef Karun Bhi To Kaise Aapki...
Waqai Mein Tareef Karna Suraj Ko Diya Dikhane Ke Barabar Hoga
Bas Yun Hi Mehfil Ko Roshna Karte Rahiye...ALLAH Pak Aapko Khush Rakhe...
Logged
Sajid_Ghayel
Guest
«Reply #6 on: June 22, 2010, 11:58:19 AM »
Reply with quote
Subhan_allah Nazar saheb aap jab karte ho yaqeen mano kamaal karte ho..............har sher bohat khoob raha aur adaygi ke to kya kehna. Yeh sher dil ke bohat kareeb raha......

Muflisi se hojaoge tum waaqif..............!
kisi roz hamare ghar qayaam karo...........!

Allah aapki kalam ko aur khoobsurti bakshe...AAMEEN
Logged
nazar ghouri
Guest
«Reply #7 on: June 23, 2010, 01:17:52 AM »
Reply with quote
bahot bahot shukriya madhuwish ji aapne pasand kiya aur daad se nawaza
Wah wah har baar ki tarah bahut khoob Nazar ji.great creation. Hats off to you! Both Thumbs Up Applause Applause Applause Applause Applause Applause
Logged
nazar ghouri
Guest
«Reply #8 on: June 23, 2010, 01:25:40 AM »
Reply with quote
riyaz bhai saheb aap ka behad shukr guzar hon ke aap ne hamesha har shayer ke kalaam ko badi baarik beene se padhte hain .aur dil khol kar hausla afzai, daad se nawazte hain.hum jaise shayerao ko hausla milta rehta hai.
0Janab Nazar sahab kamaal ki takhleeq hai ye aapki. Ek haqeeqat bayan ki hai aapne. Bahot achha laga aapka kalaam. Allah sabko hidaayat ke noor se nawaze. Ye lines to sabse achhi lagi:

ubhar kar raheen ge zamaane main
laakh hamein tum badd naam karo


Logged
nazar ghouri
Guest
«Reply #9 on: June 23, 2010, 01:27:58 AM »
Reply with quote
bhai khamosh awaz saheb ,,aapne is na cheez ki koshish ko saraha ,teh dil se aap ka shukr guzar hoon.hausla bardhate rahiye ga ..
her sher outstanding hai nazar sb................bahut khoob  Applause Applause Applause
Logged
nazar ghouri
Guest
«Reply #10 on: June 23, 2010, 01:28:47 AM »
Reply with quote
thanks
GD
Logged
nazar ghouri
Guest
«Reply #11 on: June 23, 2010, 01:30:15 AM »
Reply with quote
humdum saheb aapki inayetao ka shukriya janab ,,jis andaaz main aap ne meri is koshish ko sarah aur umda lafzaon se nawaza is ke liye aap ka teh dil se shukriya.
Wah Wah Nazar Saheb Kya Khub Kalaam Bazm Ko Ata Kiya Hai Aapne
Samajh Nahi Aa Raha Tareef Karun Bhi To Kaise Aapki...
Waqai Mein Tareef Karna Suraj Ko Diya Dikhane Ke Barabar Hoga
Bas Yun Hi Mehfil Ko Roshna Karte Rahiye...ALLAH Pak Aapko Khush Rakhe...

Logged
nazar ghouri
Guest
«Reply #12 on: June 23, 2010, 01:33:11 AM »
Reply with quote
sajid bhai aap ne hamesha meri hausla afzai ki hai..aur itna etemaad bharte hain aap ke likhne ki jurrat bandh jaati hai,,aap ki hausla afzai aur aap ki yeh chahat hamesha banae rakhiyega..bahot shukriya
Subhan_allah Nazar saheb aap jab karte ho yaqeen mano kamaal karte ho..............har sher bohat khoob raha aur adaygi ke to kya kehna. Yeh sher dil ke bohat kareeb raha......

Muflisi se hojaoge tum waaqif..............!
kisi roz hamare ghar qayaam karo...........!

Allah aapki kalam ko aur khoobsurti bakshe...AAMEEN
Logged
Qadeer.Toopchi
Guest
«Reply #13 on: June 23, 2010, 08:07:59 AM »
Reply with quote
Nazar Saheb Aadaab o Tasleemat ,

Takhir ke liye mazrath ,wah bhai kya qoob ghazal Kahi hai , Hazaro dad apki is rawan dawan ghazal pe qubool karen , har sher lajawab hai ..

Allah apko hamesha khush rakhe ..


Duwa go

Qadeertoopchi
Logged
SHABBIR AHMED HASHMI
Guest
«Reply #14 on: June 24, 2010, 01:05:27 PM »
Reply with quote
ASSALAAM-O-ALAIKUM NAZAR SAB,
               BOHOT HI UMDA SHAYERI AUR HER EK SHER WAZANDAAR.
                                                     BADYA HAI!

                wav wav wav wav wav wav wav wav wav

                                                            Hats off to you!

               
Logged
Pages: [1] 2  All
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
December 23, 2024, 02:08:30 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by mkv
[December 22, 2024, 05:36:15 PM]

[December 19, 2024, 08:27:42 AM]

[December 17, 2024, 08:39:55 AM]

[December 15, 2024, 06:04:49 AM]

[December 13, 2024, 06:54:09 AM]

[December 10, 2024, 08:23:12 AM]

[December 10, 2024, 08:22:15 AM]

by Arif Uddin
[December 03, 2024, 07:06:48 PM]

[November 26, 2024, 08:47:05 AM]

[November 21, 2024, 09:01:29 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.131 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8508 Real Poets and poetry admirer