Gareebi Maar Deti Hai "Khwahish"

by khwaish on May 25, 2013, 10:18:36 PM
Pages: [1] 2  All
ReplyPrint
Author  (Read 47390 times)
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006

View Profile
Reply with quote
Bhook Bahut Badi Cheez Hai.....

Upar Wala kabhi kisi ko Do Roti Ke Liye  Mohtaaj Naa kare
Meri Dua Hai Uss Rab se ke Woh Sab ko Izzat Ki Roti De ...!!

Gareebo'n ki ye Basti hai Kahan se shokhiyan lau'n...??
Yaha'n Bachche To Rehte Hain Mager Bachpana Nahi Rahta...!!

          ~~~~Khwahish~~~~~

Haal-e-Zindagi Na Pucho Kabhi Kisi Bhi Gareeb Se
Insaano Se Gila Nahi,Usse Gila Hai Apne Naseeb Se

Raat Ke Pichle Pehar Ek Awaaz Si Aati Rahi Mujhe..
Koi Ro-Rokar Puch Raha Tha Kuch  Apne Mujeeb Se

Mitti Ke MakaaN Ko Pani Se Bachata Raha Umar Bhar
Udas Dar-O-Deewar Par ShakaleN Bhi Utri Thi Ajeeb Se

Matlab-Parasti Ki Duniya MeN Kaun Dost,Kaun Dushman
Hum Sab se Zyada Darte Hai Aaj  Apne Hi Habeeb se

Ghar Par chaahe Do Niwaale Bhi Naa Ho Khaane Ke Liye
Mehman-Nawazi MeN Chaai Laai Jaati Hai Bade Tehzeeb Se

Zindagi Apni Kitni Pareshaan Hai Yeh Khabar Tab Hui
Koi Marr Raha Tha Aur Hum Dawa Na Laa Sake Tabeeb Se

"Khwahish" Zindagi MeN Gareebi Se Badi Koi Saza Nahi..
Gareebi Maar Deti Hai Chahe Hum Bach Jaye Apne Raqeeb Se

            tearyeyed~~~~~Khwahish~~~~~ tearyeyed
Logged
aqsh
Guest
«Reply #1 on: May 25, 2013, 10:54:33 PM »
Reply with quote
 Hats off to you! Hats off to you! Hats off to you! Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP
uffffffffffff khwaishji. aapki is ghazal par kya comment karoon. kitna dard hai is mein. har ek alfaaz dard se bhara hua hai. sachmuch garibi aisa kismat ka khel hai. kisi ki jholi mein doodh toh kisi ke jholi mein sirf paani hi naseeb hota hai.agar hum ek choti si koshish bhar kar le toh kisi ke honton par muskaan laa sakte hai. hats off to you bahut khoob tarike se aap ne garibi ko darshaya hai. dil se mubarakbad qubool kare.
Logged
mkv
Guest
«Reply #2 on: May 25, 2013, 11:37:29 PM »
Reply with quote
Sab ko ijjat se roti.. Bahut khoob khwaish jee

Matla hi poori ki poori ghazal hai
Haal-e-Zindagi Na Pucho Kabhi Kisi Bhi Gareeb Se
Insaano Se Gila Nahi,Usse Gila Hai Apne Naseeb Se

Logged
laaiba
Guest
«Reply #3 on: May 26, 2013, 12:57:06 AM »
Reply with quote
Bhook Bahut Badi Cheez Hai.....

Upar Wala kabhi kisi ko Do Roti Ke Liye  Mohtaaj Naa kare
Meri Dua Hai Uss Rab se ke Woh Sab ko Izzat Ki Roti De ...!!

Gareebo'n ki ye Basti hai Kahan se shokhiyan lau'n...??
Yaha'n Bachche To Rehte Hain Mager Bachpana Nahi Rahta...!!

          ~~~~Khwahish~~~~~

Haal-e-Zindagi Na Pucho Kabhi Kisi Bhi Gareeb Se
Insaano Se Gila Nahi,Usse Gila Hai Apne Naseeb Se

Raat Ke Pichle Pehar Ek Awaaz Si Aati Rahi Mujhe..
Koi Ro-Rokar Puch Raha Tha Kuch  Apne Mujeeb Se

Mitti Ke MakaaN Ko Pani Se Bachata Raha Umar Bhar
Udas Dar-O-Deewar Par ShakaleN Bhi Utri Thi Ajeeb Se

Matlab-Parasti Ki Duniya MeN Kaun Dost,Kaun Dushman
Hum Sab se Zyada Darte Hai Aaj  Apne Hi Habeeb se

Ghar Par chaahe Do Niwaale Bhi Naa Ho Khaane Ke Liye
Mehman-Nawazi MeN Chaai Laai Jaati Hai Bade Tehzeeb Se

Zindagi Apni Kitni Pareshaan Hai Yeh Khabar Tab Hui
Koi Marr Raha Tha Aur Hum Dawa Na Laa Sake Tabeeb Se

"Khwahish" Zindagi MeN Gareebi Se Badi Koi Saza Nahi..
Gareebi Maar Deti Hai Chahe Hum Bach Jaye Apne Raqeeb Se

            tearyeyed~~~~~Khwahish~~~~~ tearyeyed

waa bohat khoob hamesha naye dil choo lene wale khyalaat aapke kalaam kaa khaasa hain,..........bohat cdaad khwaish ji,.......
Logged
adil bechain
Umda Shayar
*

Rau: 161
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
31 days, 18 hours and 24 minutes.

Posts: 6552
Member Since: Mar 2009

View Profile
«Reply #4 on: May 26, 2013, 01:51:41 AM »
Reply with quote
Bhook Bahut Badi Cheez Hai.....

Upar Wala kabhi kisi ko Do Roti Ke Liye  Mohtaaj Naa kare
Meri Dua Hai Uss Rab se ke Woh Sab ko Izzat Ki Roti De ...!!

Gareebo'n ki ye Basti hai Kahan se shokhiyan lau'n...??
Yaha'n Bachche To Rehte Hain Mager Bachpana Nahi Rahta...!!

          ~~~~Khwahish~~~~~

Haal-e-Zindagi Na Pucho Kabhi Kisi Bhi Gareeb Se
Insaano Se Gila Nahi,Usse Gila Hai Apne Naseeb Se

Raat Ke Pichle Pehar Ek Awaaz Si Aati Rahi Mujhe..
Koi Ro-Rokar Puch Raha Tha Kuch  Apne Mujeeb Se

Mitti Ke MakaaN Ko Pani Se Bachata Raha Umar Bhar
Udas Dar-O-Deewar Par ShakaleN Bhi Utri Thi Ajeeb Se

Matlab-Parasti Ki Duniya MeN Kaun Dost,Kaun Dushman
Hum Sab se Zyada Darte Hai Aaj  Apne Hi Habeeb se

Ghar Par chaahe Do Niwaale Bhi Naa Ho Khaane Ke Liye
Mehman-Nawazi MeN Chaai Laai Jaati Hai Bade Tehzeeb Se

Zindagi Apni Kitni Pareshaan Hai Yeh Khabar Tab Hui
Koi Marr Raha Tha Aur Hum Dawa Na Laa Sake Tabeeb Se

"Khwahish" Zindagi MeN Gareebi Se Badi Koi Saza Nahi..
Gareebi Maar Deti Hai Chahe Hum Bach Jaye Apne Raqeeb Se

            tearyeyed~~~~~Khwahish~~~~~ tearyeyed

bahot khoob Applause Applause Applause
Logged
nashwani
Guest
«Reply #5 on: May 26, 2013, 02:05:10 AM »

Garibi pe likhi hui ye gazal garibo.N ki peeda se rubaroo karati hai..bahut umda tareeke se express kiya hai khwahish jee..daad qubool kare..happy9
Logged
Shireen Hakani
Guest
«Reply #6 on: May 26, 2013, 02:55:23 AM »
Reply with quote
Bohat Bohat Khub Khwaish Jee!!! Bohat hi emotional ghazal hai..Dil ko chu gayi!! Very Nice!!

 Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley

F.H.SIDDIQUI
Guest
«Reply #7 on: May 26, 2013, 12:12:54 PM »
Reply with quote
Bahut achhi peshkash hai, Khwahish ji . Bahut  emotional  aur  ghareebi
ka dard samete hue. Waqai ghareebi se badi koi saza nahi.Aap ne ghareebi
ke mukhtalif pahluon , mukhtalif manifestations ko jis tarah bayaan kiya
hai wo qabil e tareef hai.Aap ka qalam aksar samaaj ki buraiyon aur doosre
ke dard ke liye uthhta hai , aur yahi eik sachhe shayer ki pahchaan hai .
Aap ko is takhleeq par meri taraf se dheron daad aur mubarakbad.
                                                   Duago ,HASAN
Logged
zarraa
Yoindian Shayar
******

Rau: 100
Offline Offline

Waqt Bitaya:
8 days, 7 hours and 33 minutes.
Posts: 2251
Member Since: May 2012

View Profile
«Reply #8 on: May 26, 2013, 05:19:31 PM »
Reply with quote
Bahaut sensitive aur insightful ghazal lagi apki Khwahish ji .... Dheron daad !!!!
Logged
marhoom bahayaat
Guest
«Reply #9 on: May 26, 2013, 05:42:00 PM »
Reply with quote
Bhook Bahut Badi Cheez Hai.....

Upar Wala kabhi kisi ko Do Roti Ke Liye  Mohtaaj Naa kare
Meri Dua Hai Uss Rab se ke Woh Sab ko Izzat Ki Roti De ...!!

Gareebo'n ki ye Basti hai Kahan se shokhiyan lau'n...??
Yaha'n Bachche To Rehte Hain Mager Bachpana Nahi Rahta...!!

          ~~~~Khwahish~~~~~

Haal-e-Zindagi Na Pucho Kabhi Kisi Bhi Gareeb Se
Insaano Se Gila Nahi,Usse Gila Hai Apne Naseeb Se

Raat Ke Pichle Pehar Ek Awaaz Si Aati Rahi Mujhe..
Koi Ro-Rokar Puch Raha Tha Kuch  Apne Mujeeb Se

Mitti Ke MakaaN Ko Pani Se Bachata Raha Umar Bhar
Udas Dar-O-Deewar Par ShakaleN Bhi Utri Thi Ajeeb Se

Matlab-Parasti Ki Duniya MeN Kaun Dost,Kaun Dushman
Hum Sab se Zyada Darte Hai Aaj  Apne Hi Habeeb se

Ghar Par chaahe Do Niwaale Bhi Naa Ho Khaane Ke Liye
Mehman-Nawazi MeN Chaai Laai Jaati Hai Bade Tehzeeb Se

Zindagi Apni Kitni Pareshaan Hai Yeh Khabar Tab Hui
Koi Marr Raha Tha Aur Hum Dawa Na Laa Sake Tabeeb Se

"Khwahish" Zindagi MeN Gareebi Se Badi Koi Saza Nahi..
Gareebi Maar Deti Hai Chahe Hum Bach Jaye Apne Raqeeb Se

            tearyeyed~~~~~Khwahish~~~~~ tearyeyed

nice,sir
Logged
ghayal_shayar
Guest
«Reply #10 on: May 26, 2013, 08:40:01 PM »
Reply with quote
hats off, saaheb saamaajik vishayoN pe likhna bahut hi mushkil hota hai, aap har baar mujhe chauNka dete haiN, itni behtareen tasveer bana ke.... meri taraf se dili daad aur ek rau qubool farmaayeN...
Logged
Bhupinder Kaur
Guest
«Reply #11 on: May 27, 2013, 01:34:23 PM »
Reply with quote
Simply Superb... Hats off
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006

View Profile
«Reply #12 on: May 27, 2013, 09:42:50 PM »
Reply with quote
Hats off to you! Hats off to you! Hats off to you! Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP
uffffffffffff khwaishji. aapki is ghazal par kya comment karoon. kitna dard hai is mein. har ek alfaaz dard se bhara hua hai. sachmuch garibi aisa kismat ka khel hai. kisi ki jholi mein doodh toh kisi ke jholi mein sirf paani hi naseeb hota hai.agar hum ek choti si koshish bhar kar le toh kisi ke honton par muskaan laa sakte hai. hats off to you bahut khoob tarike se aap ne garibi ko darshaya hai. dil se mubarakbad qubool kare.

Thanks a Million Aqsh Ji Meri Iss Koshish Ko Iss Kadar Sarhaane Ke Liye...Ji Bilkul Sach..Yehi Jeene Ka Sahee Dang Hai..

Aapne Apna Waqt Diya Aapka Tahe Dil Se Bahut Bahut Shukriya icon_flower icon_flower icon_flower icon_flower
Logged
soudagar
Guest
«Reply #13 on: May 28, 2013, 09:21:07 PM »
Reply with quote
Khwaish bhaijan isliye to main aapka fan hoon..... Log gazal na pasand karein geet aur nazm na samjh payein par apne halat aur apni badnaseebi ko sun samjh sakte hai aur aapki aisi rachna sidhi isi trh ka asar rakhti hai...aapke shbd sidhe dil par chot krte hai....aapko salam hai aur sat sat naman.... Aapki isi trh ki samaj zindgi rishton se judi rachna ke kayal hai......hats of u
Logged
@Kaash
Guest
«Reply #14 on: May 29, 2013, 03:23:59 AM »
Reply with quote
waah!bahut sahi aur umda likha hai janaab,dheron daad!
Logged
Pages: [1] 2  All
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.

Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
January 24, 2025, 08:24:54 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[January 19, 2025, 05:59:15 PM]

[January 19, 2025, 05:47:49 PM]

[January 10, 2025, 09:46:05 AM]

[January 10, 2025, 09:45:14 AM]

[January 08, 2025, 08:30:59 AM]

[January 08, 2025, 08:29:31 AM]

[January 05, 2025, 08:51:01 AM]

[January 05, 2025, 08:45:11 AM]

[January 05, 2025, 08:44:20 AM]

[January 05, 2025, 08:43:28 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.185 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8510 Real Poets and poetry admirer