<>*Ghar ka Chiraag*<>

by *KasaK*....Dil Ki on August 15, 2010, 06:39:12 PM
Pages: [1]
ReplyPrint
Author  (Read 2289 times)
*KasaK*....Dil Ki
Poetic Patrol
Umda Shayar
*

Rau: 19
Offline Offline

Gender: Female
Waqt Bitaya:
67 days, 9 hours and 25 minutes.
"I hv a prsnality wch evrybdy cn't handle

Posts: 5603
Member Since: Jun 2010

View Profile
Reply with quote
<>*Ghar ka Chiraag*<>

jis ghar me jab koi chirag jalta hai
har andhera roshan hoga ye aitbaar hota hai

kyun fir ek din wahi chiraag
bati aur tel ko alag kar deta hai

apne mata pita k ghar ko roshan karne k bajye
kyun wo chiraag alag ghar saja leta hai

nahin samjh pai main aaj tak ye baat
kyun jise janm deti hai aurat wahi use saza deta hai

har bar ek naye tarah ka zakhm taiyaar rakhta hai
kabhi baaton se kabhi haalaton se wo waar pe waar karta hai

fir bhi ant samay me awahi hume mukti dega iss aas me
budhaa baap apne nishthur bete ko dua hi bas deta hai....!!!
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Agar mera ghar teray ghar k pass hotha.... by Delicate_Doll in Shayri for Khumar -e- Ishq
chiraag ka dil by chiraaaaaaaaag in Shayri for Khumar -e- Ishq
CHIRAAG..(K_A) by khamosh_aawaaz in Shayri-E-Dard
Umeedo Ke Chiraag....VS by Versatile Shayar in Shayri for Khumar -e- Ishq
sabko maloom kaha chiraag ka ghar#amritanshu by Amritanshu Singh in Shairi - E - Zindagi
ParwaaZ
Guest
«Reply #1 on: August 15, 2010, 07:19:08 PM »
Reply with quote
Kasak Jee aapki is kalaam ke ahsaas behad khoob rahe aise chubhe jaise nashtar se kisi ne waar kiya ho dil per.... sad5 Khair yeh to Niyati meiN tay hota hai jiske jo hona hai ..... Khuda Kare ke koi bachcha apne maa baap ko chhodker ghar basane ki na soche.... Usual Smile
Logged
*KasaK*....Dil Ki
Poetic Patrol
Umda Shayar
*

Rau: 19
Offline Offline

Gender: Female
Waqt Bitaya:
67 days, 9 hours and 25 minutes.
"I hv a prsnality wch evrybdy cn't handle

Posts: 5603
Member Since: Jun 2010

View Profile
«Reply #2 on: August 15, 2010, 07:34:02 PM »
Reply with quote
Kasak Jee aapki is kalaam ke ahsaas behad khoob rahe aise chubhe jaise nashtar se kisi ne waar kiya ho dil per.... sad5 Khair yeh to Niyati meiN tay hota hai jiske jo hona hai ..... Khuda Kare ke koi bachcha apne maa baap ko chhodker ghar basane ki na soche.... Usual Smile

parwaz ji aapne iss dard ko mehsus kiya ye bht badi bat hai...
shukriya ji ise padhne mehsus karne aur sarahne k liye....
Logged
~Hriday~
Poetic Patrol
Mashhur Shayar
***

Rau: 115
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
101 days, 3 hours and 51 minutes.

kalam k chalne ko zamaana paagalpan samajhta hai.

Posts: 16243
Member Since: Feb 2010

View Profile WWW
«Reply #3 on: August 15, 2010, 07:57:48 PM »
Reply with quote
hmmm.... taarif to main pehle ki kar chuka hoon aapke is kavita ki... ab bas yahi kahunga.. this is TRUE & TOUCHING....

aaj khoon ke rishton ki koi ehmiyat nahi hoti,
budhe maa baap ki santaan kabhi unki apni nahi hoti,

bachpan se jise paal poske bada karte hain,
wahi jarurat ke samay kabhi apni nahi hoti,

khud bhooke rehkar bachcho ko khana khilaate the,
aaj unhi maa baap ke muh me roti tak nahi hoti,

apni khushiyon ko alag rakhkar sab khushiyaan bachchon ko di,
aaj unhi maa baap ke hothon pe muskaan tak nahi hoti,

jis chiraag se apne ghar ko roshan karne ka socha tha,
aaj usi chiraag me unke liye raakh tak nahi hoti,

raaton ko jo jaag jaag kar bachchon ko sulaaya karte the,
aaj unki ki aankhon me chain ki neend tak nahi hoti,

arthi ko kaandha dene ke liye gairon ki madat leni padti hai,
kuch arthiyon ko apne bachchon ke haathon ki aag tak naseeb nahi hoti...
Logged
*KasaK*....Dil Ki
Poetic Patrol
Umda Shayar
*

Rau: 19
Offline Offline

Gender: Female
Waqt Bitaya:
67 days, 9 hours and 25 minutes.
"I hv a prsnality wch evrybdy cn't handle

Posts: 5603
Member Since: Jun 2010

View Profile
«Reply #4 on: August 15, 2010, 08:02:25 PM »

ye padhke dil bhar aaya klaskar ji....aur aankhen na chahte hue bhi num ho gai...

sidhe sadhe shabdon me aaj ki hakikat keh gaye aap.....
dil ko chhu k bht gehre ehsas kara gai ye kavita aapki.....
Logged
~Hriday~
Poetic Patrol
Mashhur Shayar
***

Rau: 115
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
101 days, 3 hours and 51 minutes.

kalam k chalne ko zamaana paagalpan samajhta hai.

Posts: 16243
Member Since: Feb 2010

View Profile WWW
«Reply #5 on: August 15, 2010, 08:07:06 PM »
Reply with quote
Ji aaj ki sachchai hai ye to... par mujhe bilkul achcha nahi laga ki aapki aankh bhar aayi... maafi chahunga main... please forgive me.... mera aisa koi intension nahi tha.. main to bas aapke post ka reply dene ki koshish kar raha tha aur kuch jyaada hi depth me chala gaya... I am sorry Kasak ji...!!!

ye padhke dil bhar aaya klaskar ji....aur aankhen na chahte hue bhi num ho gai...

sidhe sadhe shabdon me aaj ki hakikat keh gaye aap.....
dil ko chhu k bht gehre ehsas kara gai ye kavita aapki.....

Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006

View Profile
«Reply #6 on: August 16, 2010, 07:22:10 AM »
Reply with quote
<>*Ghar ka Chiraag*<>

jis ghar me jab koi chirag jalta hai
har andhera roshan hoga ye aitbaar hota hai

kyun fir ek din wahi chiraag
bati aur tel ko alag kar deta hai

apne mata pita k ghar ko roshan karne k bajye
kyun wo chiraag alag ghar saja leta hai

nahin samjh pai main aaj tak ye baat
kyun jise janm deti hai aurat wahi use saza deta hai

har bar ek naye tarah ka zakhm taiyaar rakhta hai
kabhi baaton se kabhi haalaton se wo waar pe waar karta hai

fir bhi ant samay me awahi hume mukti dega iss aas me
budhaa baap apne nishthur bete ko dua hi bas deta hai....!!!

Bahut Hi chubta Hua Topic Par Aapne Likha Hia Anamika Ji..

Har Lafz Sach ka Aaena Hai,Aur Aakhri sher mein aapne To Yehi bataya ke chaahe beta kaisa bhi ho, aakhri samay mein baap duawein hi deta hai..Hmmmmm..

Logged
*KasaK*....Dil Ki
Poetic Patrol
Umda Shayar
*

Rau: 19
Offline Offline

Gender: Female
Waqt Bitaya:
67 days, 9 hours and 25 minutes.
"I hv a prsnality wch evrybdy cn't handle

Posts: 5603
Member Since: Jun 2010

View Profile
«Reply #7 on: October 31, 2012, 09:11:27 AM »
Reply with quote
Bahut Hi chubta Hua Topic Par Aapne Likha Hia Anamika Ji..

Har Lafz Sach ka Aaena Hai,Aur Aakhri sher mein aapne To Yehi bataya ke chaahe beta kaisa bhi ho, aakhri samay mein baap duawein hi deta hai..Hmmmmm..

khwaish ji.... sach to ye hi hai... beta chaahe jaisa bhi ho... maa baap use kabhi baddua nahin de sakte... aashirwad hi denge..
Logged
Pages: [1]
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.

Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
December 23, 2024, 03:54:47 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by mkv
[December 22, 2024, 05:36:15 PM]

[December 19, 2024, 08:27:42 AM]

[December 17, 2024, 08:39:55 AM]

[December 15, 2024, 06:04:49 AM]

[December 13, 2024, 06:54:09 AM]

[December 10, 2024, 08:23:12 AM]

[December 10, 2024, 08:22:15 AM]

by Arif Uddin
[December 03, 2024, 07:06:48 PM]

[November 26, 2024, 08:47:05 AM]

[November 21, 2024, 09:01:29 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.147 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer