GULSHAN BANA DIYA : ZARRAA

by zarraa on May 24, 2014, 03:55:03 AM
Pages: [1] 2  All
ReplyPrint
Author  (Read 1224 times)
zarraa
Yoindian Shayar
******

Rau: 100
Offline Offline

Waqt Bitaya:
8 days, 7 hours and 33 minutes.
Posts: 2251
Member Since: May 2012


View Profile
Reply with quote
jaur-o-jafa ne dil ko jab aahan* bana diya
phir aatishoN ko hum ne bhi dhadkan bana diya

taareeki*-e-safar ne banaaya tha rehnuma
noor-e-maqaam ne unheiN rehzan bana diya

neeyat badal n jaaye jo munsif* ki ab kaheeN
daar-o-rasan pe hum ne nasheman bana diya

apni nazar se apni jo dekhi barahnagi*
apne hi pairahan ko ik utaran bana diya

maqtal si koyee jaa* meri hasti meiN thi nihaaN
aaNchal se kis ne poNchh ke aaNgan bana diya

chhorha n haajatoN ne bhi naata koyee nafees
dushman ko dost dost ko dushman bana diya

mushtaaq*-e-deed-e-jalwa thiiN aaNkheiN bahaut magar
mizhghaaN* ko us ke husn ne chilman bana diya

khilte haiN yooN to gul kayee fasl-e-bahaar meiN
ik baaghbaan ne unheiN gulshan bana diya

jaisa bhi tha wo wahm-o-gumaaN se to door tha
naaseh ne qaif-e-rind ko uljhan bana diya

"zarraa" hai chaak chaak garebaan apna par
ashqoN ke taar taar se daaman bana diya


- zarraa


*
aahan = iron
taareki = darkness
munsif = judge
barahnagi = nakedness
jaa = place
mushtaaq = eager
mizhghaaN = eyelashes
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
kya kya bana diya by Bhavesh in Shayri for Khumar -e- Ishq
Pathar bana diya mujhe rone nahin diya ... by diya786 in Shayri-E-Dard « 1 2  All »
bana diya(gul) by gulzargul in Shayri for Khumar -e- Ishq
Pappi Bana Diya by Manreet B in Shayri for Khumar -e- Ishq
Shayar Bana Diya by ~Hriday~ in Share:Love Poetry
Advo.RavinderaRavi
Guest
«Reply #1 on: May 24, 2014, 04:12:40 AM »
Reply with quote
Bahut Umda.
Logged
jeet jainam
Khaas Shayar
**

Rau: 237
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
60 days, 12 hours and 13 minutes.

my rule no type no life and ,i m happy single

Posts: 10150
Member Since: Dec 2012


View Profile WWW
«Reply #2 on: May 24, 2014, 11:01:38 AM »
Reply with quote
 Applause Applause Applause
 Applause Applause Applause Applause
waah waah bohut umda daaad
Logged
RAJAN KONDAL
Guest
«Reply #3 on: May 24, 2014, 11:52:59 AM »
Reply with quote
waah waah bhot he umda
Logged
F.H.SIDDIQUI
Guest
«Reply #4 on: May 24, 2014, 01:44:57 PM »
Reply with quote
Waah janab. Khubsurat shairy ki misaal is ghazal ke liye dheron daad aur mubarakbaad . In ashaar ke liye khusoosi  mubarabaad :

neeyat badal n jaaye jo munsif* ki ab kaheeN
daar-o-rasan pe hum ne nasheman bana diya

chhorha n haajatoN ne bhi naata koyee nafees
dushman ko dost dost ko dushman bana diya

jaisa bhi tha wo wahm-o-gumaaN se to door tha
naaseh ne qaif-e-rind ko uljhan bana diya

 

Logged
sksaini4
Ustaad ae Shayari
*****

Rau: 853
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
112 days, 8 hours and 51 minutes.
Posts: 36414
Member Since: Apr 2011


View Profile
«Reply #5 on: May 24, 2014, 04:46:41 PM »
Reply with quote
JUST EXCELLENT waah waah
Logged
SURESH SANGWAN
Guest
«Reply #6 on: May 24, 2014, 04:49:38 PM »
Reply with quote
Reply with quote
jaur-o-jafa ne dil ko jab aahan* bana diya
phir aatishoN ko hum ne bhi dhadkan bana diya

manzil ne raah-e-teera* ko roshan bana diya
aur rehbar-e-safar ko bhi rehzan bana diya

neeyat badal n jaaye jo munsif* ki ab kaheeN
daar-o-rasan pe hum ne nasheman bana diya

apni nazar se apni jo dekhi barahnagi*
apne hi pairahan ko ik utaran bana diya

maqtal si koyee jaa* meri hasti meiN thi nihaaN
aaNchal se kis ne poNchh ke aaNgan bana diya

chhorha n haajatoN ne bhi naata koyee nafees
dushman ko dost dost ko dushman bana diya

mushtaaq*-e-deed-e-jalwa thiiN aaNkheiN bahaut magar
mizhghaaN* ko us ke husn ne chilman bana diya

khilte haiN yooN to gul kayee fasl-e-bahaar meiN
ik baaghbaan ne unheiN gulshan bana diya

jaisa bhi tha wo wahm-o-gumaaN se to door tha
naaseh ne qaif-e-rind ko uljhan bana diya

"zarraa" hai chaak chaak garebaan apna par
ashqoN ke taar taar se daaman bana diya
 icon_flower icon_flower icon_flower icon_flower icon_flower
 Applause Applause Applause Applause Applause Applause
 icon_flower icon_flower icon_flower icon_flower icon_flower
 Applause Applause Applause Applause Applause Applause
behatreen peshkash zarra ji
daaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaad kubool karein
Logged
mkv
Guest
«Reply #7 on: May 24, 2014, 07:54:38 PM »
Reply with quote
mushtaaq*-e-deed-e-jalwa thiiN aaNkheiN bahaut magar
mizhghaaN* ko us ke husn ne chilman bana diya

Bahut badhiya Zarra saheb
lajavaab ghazal
Logged
~Hriday~
Poetic Patrol
Mashhur Shayar
***

Rau: 115
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
101 days, 3 hours and 51 minutes.

kalam k chalne ko zamaana paagalpan samajhta hai.

Posts: 16243
Member Since: Feb 2010


View Profile WWW
«Reply #8 on: May 25, 2014, 12:20:13 AM »
Reply with quote
 Applause Applause Applause Applause Applause Applause
Logged
zarraa
Yoindian Shayar
******

Rau: 100
Offline Offline

Waqt Bitaya:
8 days, 7 hours and 33 minutes.
Posts: 2251
Member Since: May 2012


View Profile
«Reply #9 on: May 26, 2014, 01:15:05 AM »
Reply with quote
Bahut Umda.


Shukriya Ravindera ji
Logged
zarraa
Yoindian Shayar
******

Rau: 100
Offline Offline

Waqt Bitaya:
8 days, 7 hours and 33 minutes.
Posts: 2251
Member Since: May 2012


View Profile
«Reply #10 on: May 26, 2014, 02:10:49 PM »
Reply with quote
Applause Applause Applause
 Applause Applause Applause Applause
waah waah bohut umda daaad

Shukriya Jeet Jainam ji
Logged
zarraa
Yoindian Shayar
******

Rau: 100
Offline Offline

Waqt Bitaya:
8 days, 7 hours and 33 minutes.
Posts: 2251
Member Since: May 2012


View Profile
«Reply #11 on: May 27, 2014, 05:25:47 AM »
Reply with quote
waah waah bhot he umda

Shukriya aap ka Rajan ji
Logged
zarraa
Yoindian Shayar
******

Rau: 100
Offline Offline

Waqt Bitaya:
8 days, 7 hours and 33 minutes.
Posts: 2251
Member Since: May 2012


View Profile
«Reply #12 on: May 27, 2014, 04:27:23 PM »
Reply with quote

Hasan sahab, aap ki mohabbat aur khuloos se bhari pazirai ka behad mashqoor o mamnoon hoon. aap ki hausla afzai se iraadon ko taaqat miltee hai. Aap ka tah e dil se shukrguzaar hoon.


Waah janab. Khubsurat shairy ki misaal is ghazal ke liye dheron daad aur mubarakbaad . In ashaar ke liye khusoosi  mubarabaad :

neeyat badal n jaaye jo munsif* ki ab kaheeN
daar-o-rasan pe hum ne nasheman bana diya

chhorha n haajatoN ne bhi naata koyee nafees
dushman ko dost dost ko dushman bana diya

jaisa bhi tha wo wahm-o-gumaaN se to door tha
naaseh ne qaif-e-rind ko uljhan bana diya

 


Logged
zarraa
Yoindian Shayar
******

Rau: 100
Offline Offline

Waqt Bitaya:
8 days, 7 hours and 33 minutes.
Posts: 2251
Member Since: May 2012


View Profile
«Reply #13 on: May 27, 2014, 05:01:54 PM »
Reply with quote
JUST EXCELLENT waah waah




Thx for the kind words Saini sahab
Logged
zarraa
Yoindian Shayar
******

Rau: 100
Offline Offline

Waqt Bitaya:
8 days, 7 hours and 33 minutes.
Posts: 2251
Member Since: May 2012


View Profile
«Reply #14 on: May 28, 2014, 02:11:45 AM »
Reply with quote
Nawazish Suresh ji
Logged
Pages: [1] 2  All
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
December 25, 2024, 07:18:21 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by mkv
[December 22, 2024, 05:36:15 PM]

[December 19, 2024, 08:27:42 AM]

[December 17, 2024, 08:39:55 AM]

[December 15, 2024, 06:04:49 AM]

[December 13, 2024, 06:54:09 AM]

[December 10, 2024, 08:23:12 AM]

[December 10, 2024, 08:22:15 AM]

by Arif Uddin
[December 03, 2024, 07:06:48 PM]

[November 26, 2024, 08:47:05 AM]

[November 21, 2024, 09:01:29 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.135 seconds with 22 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer