Bambi
Guest
|
|
|
Ek choti se siddi se guzarthen hain
Thehri hui cyclon se guzarthen hain
Chini mahtham se guzarthen hain
“Good morning aunty’ kehke guzarthen hain
Jay walk karke guzarthe hain
Rukthe hue bus no.147 se guzarthen hain
Ek din guzra
Aur chauda din bache
Guzarthe -Guzarthe yeh bhi
Guzarjayenge
Do mare Ac bus main thake-thake logon sey guzarthe hain
Appne app ke saath anthakshri khelte guzarthe hain
Chalte hue t.v se guzarthe hain
Dhitt se anushasan se guzarthe hain
Azadi se sawaal -jawaab karthe guzarthen hain
Achanak kho-kar, vapsi se guzarthen hain
Lal line ke train ko pakadke guzarthen hain
Dusra din bhi
Guzargaya
Ab tera din bache, yeh bhi
Guzarjayengey
Pal-pal -pal guzarthen hain
Pal-pal -pal- jaldi guzarthen hain
Guzre sirf do din
Par pandri dino ki pareshane uthathen hain.
Theen baje doodh peeke se guzarthen hain
Khali pet ke khalipan se guzarthen hain
Challis ghaton ke khayal challis minute main guzarthen hain
Be-dor doston sey guzarthen hain
Phir sapno main khokar guzarthen hain
Kitabon ko awaz deke guzarthen hain
Yeh ja raha thisra din, yeh bhi
guzar jaye ga
Aur bache bara din , yeh bhi
Guzarjayengey.
Char dabbon main theen saal ki zindagi bharke guzarthen hain
Nach bhare raath ko paun kossthe guzarthen hain
Khule kale kaksha se hote guzarthe hain
Bugis street ke bhagam bhag se guzarthe hain
Gayatri main purane dost sey milte guzarthen hain
Jalebi, paan aur dheer saara bakwas chabathe guzarthen hain
Chauthe ka chautha bhi
guzarjayega
Ab gyara din bache, Yeh bhi
Guzarjayenge.
Kamre main band thi ek chidya,
Usse khula aasma mil gaya
Kamra sunehra tha
Par khulle aasma ka kya mol bhalla?
Paanch ghaton main dusri duniya sey guzarthen hain
Band darvazon sey guzarthen hain
Aasman main haathi-ghodon sey guzarthe hain
Bhatije ki muskaan sey guzarthe hain
Ek purane khel ko khel kar guzarthe hain
Ghar ke samne ghar ka sapna dekhte guzarthe hain
Arre, panchava bhi
Guzargaya?
Bache dus din, yeh bhi
Guzarjayengey.
Chidya phir bachchi ban gayi
Jaise ghar laut aayi
Didi, Jijaji, dono bhatije
Aur sabki pyari Opi ke pass chali aayi.
Chheh bhojan ke din sey guzarthe hain
Ganeshji ke nagri sey guzarthe hain
Uncle ke simple sapno sey guzarthe hain
Ghar main nilgiri sey guzarthen hain
Bachon ke saath bachcha, badon sey chota rehke guzarthen hain
Has-haske, tas-maske guzarthe hain.
Chatta din bhi
Guzargaya
Bachche nau din, yeh bhi
Guzarjayenge
Chidhya ne yunhi aapne
dil ki baat kahi
Didi ka dil itna bada
Ke dil ki baat ko sach kardi.
Sathve aaman main, Deewaron ke jungle ko chodke guzarthe hain
Chote-Chote pyaare kasbon se guzarthe hain
Bina Moh ke gharon sey guzarthen hain
Kampung ka popiah khake guzarthe hain
Ek khali station sey guzarthe hain
Chini mandir sey hoke guzarthe hain
Yeh lo! Satva din bhi
Guzargaya
Ab bachche aath din, yeh bhi
Guzarjayenge
Aatth kaidi phir se deewaron ke jungle ko chodke guzarthe hain
Ek badi choti se hoke guzarthe hain
Tute phute church sey guzarthe hain
Nnnya khanna khake guzarthe hain
Aasi feet ke unchayi sey duniya ko dekhke guzarthe hain
Aachanak se bahut saare naye doston sey milte guzarthe hain
Kaise bhag rahe hain din Attva bhi
Guzargaya
Ab bachche saath din, yeh bhi
Guzarjayenge
Nua mare ki moh ki duniya sey guzarthe hain
Ek-ek kapda dhundhte guzarthe hain
Paise kharch karte guzarthe hain
Uncle aur chiken little se milte guzarthe hain
Bholi ma ki bholi baatein baathetein guzarthe hain
Doston sey phir milne ki arzoo karte guzarthe hain
Nauva din bhi yunhi
Guzargaya
Baaki cheh din yunhi
Guzarjayengey.
Dus doston sey “See you soon” kehte guzarthe hain
Ek hazaar ek kahaniyon sey guzarthe hain
Bade bhai aur chiti behen ki khati-mithi ladayi sey guzarthen hain
Berang sapno main dubne ki koshish karthe guzarthe hain
Coca-cola ke alishan factory se guzarthe hain
Saheliyon ko kampung ki duniya batate guzarthe hain
Dusva din aaram sey
Guzargaya
Ab bachce panch din, yeh bhi
Guzarjayenge
Chidhiya phir badi ho gayi
Chidhiya phir sunehre kamre main kaid ho gayi
Ab sunehre pan ko ek-ek karke jothi hai
Ab sunehrepan se ek-ek karke be-moh hoti hai
Gyara dabon se bhara ghar sey guzarthen hai
Gulabi deewaron sey tasveeren sameeth the guzarthe hai
Mamuli sa benaam din sey guzarthe hain
Saal bhar ke saathi ko bechthe guzarthe hai
Didi ki haasthi awaaz sunke guzarthe hain
Kamre main gunjthi khayalon sey guzarthe hai
Gyarva din bhi
Guzargaya
Bus Char din bachche
Bus char din !
Yeh bhi
Guzarjayenge.
Bara dabbom ki bidayi karte guzarte hain
taufe kharidthe guzarthe hain
Ek aakhri baar kali kaksha sey guzarthe hain
Char saheliyon ki kahaniyon sey guzarthe hain
Chat pate Sri Lankanon ke chat pate kahaniyon se guzarthe hain
Akhri baar peeli ko ‘Good Night’ kahte guzarthe hain.
Pata hai barwa din bhi
Guzargaya ?
Theen hi din bachche hain
Yeh bhi … yeh bhi
Guzarjayenge.
Teera kapde washing machine main dalthe guzarthe hain.
Peeli ko changi airport par bida karte guzarthe hain
Taufe phir se kharidthe guzarthe hain
Aachanak kovan station pe ek banglori dost sey milte guzarthe hain
theen dakaithi aur ek saheli ke saath baatein-raatein guzarthe hain
Bahut sara pyar saameth the guzarthe hain.
Chidhya ko abb subah
dikhayi de raha hain
Par Aakhen aadhi khuli
Aadhi band…
Ia pal main,
Dhudli hai kavita
Kavita ek dhundh.
Chaudhve ghante par Uncle, Aunty aur Chicken Little sey milte guzarthe hain.
Neeli, narangi, aur berang ke saath ghar saaf karthe guzarthe hain
Neeli, narangi, aur berang ke saath ghar saaf karthe karthe guzarthe hain
Neeli, narangi, aur berang ke saath ghar saaf karthe karthe karthe guzarthe hain
Neeli, narangi, aur berang ke saath ghar saaf karthe karthe karthe karthe guzarthe hain
Bara baje hong kong cafe main khanna khate haaste haaste maarthe haasthe haasthe guzarthe hain.
Ajeeb sa sahi Chaudhva din bhi
Guzargaya
Baaki bachcha ek din,
Baaki bacche satra ghate, yeh bhi
Guzarjayenge.
Chidhiya ki ek aank khuli
Dus ghanton main chidhya udd jayegi
Chidya ki dusri aankh khuli
Dus ghatin main chidhya ki zindagi badal jayegi
Pandra kapde haathi sey suicase main bharthe guzarthe hain
Bus no. 74 main Ang Mo Kio ki sair karthe guzarthe hain
Taxiwali sey ladthe, bigadthe, darthe, haste, hasathe guzarthe hain
Pachon dakaithi, neeli, berang aur lakad ke kaganwale sey Mc d’s main bida lethe guzarthe hain.
Neeli aur Jamuni dakaith ke shararthe sey guzarthe hain
Narangi ke saath check -in karke udthe guzargaye!
Aakhir sa aakhri din bhi
Guzargaya
Ab toh bus,
Jab yaad aayengey
Toh inn Pandra dino ki yaadon sey
Guzarjayenge.
|