haal-e-tabahi

by Prateek Mardia on March 27, 2008, 05:31:56 AM
Pages: [1] 2  All
ReplyPrint
Author  (Read 2039 times)
Prateek Mardia
Guest
Reply with quote
haal-e-tabahi par mera youn
muskurana laazmi tha,
jaante ub log jug main
varna bheed mein ek 'aadmi tha

Prateek
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Tabahi ke PHOOL... by sacccha_pyar in Shayri-E-Dard
Tabahi...... by Ghayal in Shayeri for Dard -e- Bewafai
UTTRAKHAND KI TABAHI- AAKHON DEKHI...Raaj by Sunil Malhotra in Inspirational Stories and real life Incidences.
TABAHI(CSET) by MANOJ6568 in Shairi for Manzar -e- Kudrat
!!!..Tabahi ka manzar..!!! by nashwani in Shayri-E-Dard « 1 2  All »
Shikha12
Guest
«Reply #1 on: June 11, 2008, 02:01:54 PM »
Reply with quote
haal-e-tabahi par mera youn
muskurana laazmi tha,
jaante ub log jug main
varna bheed mein ek 'aadmi tha

Prateek

Bahut sahi kaha aapne.. Applause

Woh jo apne haal-e-tabaahi par bhi muskuraa raha tha,
Asliyat ko dikhaawe ke mukhoton mein chuppa raha tha,
Tufaan baandh rakha tha usne apni nigaahon mein kahin,
Jazbaat ke sailaab mein se anmol motiyan churaa raha tha...

ps: Kuch sahi nahin likha gaya shayad, Phir bhi jo dil mein aaya, likh diya! 
Bhool chook maaf kar dijiyega...
Logged
bekarar
Poetic Patrol
Yoindian Shayar
******

Rau: 4
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
53 days, 9 hours and 51 minutes.

Posts: 3738
Member Since: Oct 2005

View Profile
«Reply #2 on: June 12, 2008, 10:18:14 AM »
Reply with quote
Bahut sahi kaha aapne.. Applause

Woh jo apne haal-e-tabaahi par bhi muskuraa raha tha,
Asliyat ko dikhaawe ke mukhoton mein chuppa raha tha,
Tufaan baandh rakha tha usne apni nigaahon mein kahin,
Jazbaat ke sailaab mein se anmol motiyan churaa raha tha...

ps: Kuch sahi nahin likha gaya shayad, Phir bhi jo dil mein aaya, likh diya! 
Bhool chook maaf kar dijiyega...
haal-e-tabahi par mera youn
muskurana laazmi tha,
jaante ub log jug main
varna bheed mein ek 'aadmi tha

Prateek

bahoot khoob prateek ji aur mahiya ji.....

giri maszid, dhaha mandir,
charch aur gurudwara bhi na bacha,
is jaljale ne dekho,
insan ko insan bana diya

Logged
Shikha12
Guest
«Reply #3 on: June 12, 2008, 10:34:45 AM »
Reply with quote
Bahut Khoob Sanjeev ji... Applause
Logged
Prateek Mardia
Guest
«Reply #4 on: July 19, 2008, 02:36:12 PM »
Reply with quote
Bahut sahi kaha aapne.. Applause

Woh jo apne haal-e-tabaahi par bhi muskuraa raha tha,
Asliyat ko dikhaawe ke mukhoton mein chuppa raha tha,
Tufaan baandh rakha tha usne apni nigaahon mein kahin,
Jazbaat ke sailaab mein se anmol motiyan churaa raha tha...

ps: Kuch sahi nahin likha gaya shayad, Phir bhi jo dil mein aaya, likh diya! 
Bhool chook maaf kar dijiyega...

shukriya mahiya ji.

aapki chauthi pankti shaayad pehli teen panktiyon ke paksh mein nahi judi,(shaayad aap yeh jaanti he),pur kayi baar shabd dhoka de jaate he...(lagta he shbdon ko insaano ka asar hone laga he...).aapne jo prayas kiya -uskey liye shukriya.

jawaab mein kuch pankti likh raha hu-shaayad kisi aur thread pur bhee likhi he maine--pur yahaan unka shareek hona anivarya sa lagta he....

hur roz mukhota padta chota
main to thuk gaya dhota-dhota
pehan inhe ye haal mera to
bud se budtar ho gaya....
mera apna chehra,na jaane
kahaan kho gaya!

in mukhoton ki koi dor nahi he
aur dor bhee ho to chhor nahi he!
ek baar pehan lo dhuns jaata he
aur poora chera fus jaata he...
kya dikhalu-haal-e-tabaahi
gehra kitna zakhm ho gaya....
mera apna chehra na jaane
kahaan kho gaya!

toofaan nigaho ka baha banke neer
muh pe mukhhota,adhron pe janzeer
dil pe chaltey ,na jaane kitne teer
suni daastan jisney meri
meri aankh ke aanso
 woh bhee ro gaya....
mera apna chehra,na jaane
kahaan kho gaya!

Prateek
Logged
Prateek Mardia
Guest
«Reply #5 on: July 20, 2008, 11:58:07 AM »
Reply with quote
bahoot khoob prateek ji aur mahiya ji.....

giri maszid, dhaha mandir,
charch aur gurudwara bhi na bacha,
is jaljale ne dekho,
insan ko insan bana diya

mandir dhaha,mazjid giri
gir gaya insaan he....
 bana he kathputli
un haathon ki
jinhe kehte sub 'shaitaan 'he..
jaane kitney gunaah maaf karta
allah ya bhagwaan he.....

Prateek
Logged
Shikha12
Guest
«Reply #6 on: July 20, 2008, 01:02:43 PM »
Reply with quote
shukriya mahiya ji.

aapki chauthi pankti shaayad pehli teen panktiyon ke paksh mein nahi judi,(shaayad aap yeh jaanti he),pur kayi baar shabd dhoka de jaate he...(lagta he shbdon ko insaano ka asar hone laga he...).aapne jo prayas kiya -uskey liye shukriya.

jawaab mein kuch pankti likh raha hu-shaayad kisi aur thread pur bhee likhi he maine--pur yahaan unka shareek hona anivarya sa lagta he....

hur roz mukhota padta chota
main to thuk gaya dhota-dhota
pehan inhe ye haal mera to
bud se budtar ho gaya....
mera apna chehra,na jaane
kahaan kho gaya!

in mukhoton ki koi dor nahi he
aur dor bhee ho to chhor nahi he!
ek baar pehan lo dhuns jaata he
aur poora chera fus jaata he...
kya dikhalu-haal-e-tabaahi
gehra kitna zakhm ho gaya....
mera apna chehra na jaane
kahaan kho gaya!

toofaan nigaho ka baha banke neer
muh pe mukhhota,adhron pe janzeer
dil pe chaltey ,na jaane kitne teer
suni daastan jisney meri
meri aankh ke aanso
 woh bhee ro gaya....
mera apna chehra,na jaane
kahaan kho gaya!

Prateek

Sabse pehle toh Aapka Bahut bahut shukriya Prateek ji... Aapne Bilcul sahi kaha, Sach mein, Apne likhe mein Gadbad lag rahi thi, lekin kahan, yeh aap ne hi bataaya.. Usual Smile Mujhe bahut achha laga ki kisi ne itne dhyaan se mera likha hua padha.. Main jaanti hoon, ki Mere likhe hue mein kamiyaa bahut saari hoti hai.. Please isi tarah se bataate rahiyega, main sudhaarne ki koshish karungi.. Usual Smile

Aapne bahut khoob likha hai, aur bahut sahi bhi.. Is ek jeevan mein insaan naa jaane kitne hi mukhote badalta hai, kitni alag alag jimedaariya nibhaata hai, aur yeh jimedaariya nibhaate nibhaate khud ka wajood bhi bhool jaata hai.. Bahut bada sach hai, achha laga padh kar... Applause

Yun hi Likhte rahiyega..  Thumbs UP
Logged
Prateek Mardia
Guest
«Reply #7 on: July 20, 2008, 06:06:39 PM »

mahiya ji,

main fir se aap se asahmat hu.jo aapne likha usey kami ka naam nahi de sakte.aap ek umda shaayra hein aur mein aap se seekhta hu.yeh to hur kisi ke saath hota he..ki sahi shabd kabhi kabhi nahi mil paate...kami tub hoti jub aap jo ujaagar karna chah rahi hoti woh nahi pata chalta parantu yahan sthithi yeh hein ki jo aap kehna chahti hein samajh aa raha he...isliye yeh nazar aaya.doosri asahmati ki wajah yeh hein--jo aapne kaha ki aap ke likhi mein bahut kamiya hoti hein--yeh bhee galat hein bilkul..kyonki maine padhi hein aapki kuch rachnaaye jo abhootpurv hein.....
aapki kavitayen aur nikhre...ishwar se yahi prarthna he.shukriya.

Prateek
Logged
Sayyid Randeri
Guest
«Reply #8 on: July 20, 2008, 06:20:59 PM »
Reply with quote
Prateek ji aap ke shear kisi ki taarif ke muhtaaj nahi, bohut hi umda likha he aapne.
Logged
Sayyid Randeri
Guest
«Reply #9 on: July 20, 2008, 06:22:29 PM »
Reply with quote
Mahiya ji bohot khoob achhe alfaaz ka istemaal kiya aapne.
Logged
Sayyid Randeri
Guest
«Reply #10 on: July 20, 2008, 06:30:09 PM »
Reply with quote
giri maszid, dhaha mandir,
charch aur gurudwara bhi na bacha,
is jaljale ne dekho,
insan ko insan bana diya

bekarar ji Bohot sahi farmaya aapne, chand lakeeroN mein umda khyaalaat ka izhaar kiya he.
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006

View Profile
«Reply #11 on: July 20, 2008, 07:12:02 PM »
Reply with quote
Bahut Bahut Khoob Prateekji,mahiya aur Bekarar ji..Bahut ache  Applause Applause Applause..Ek Choti Si Koshish Meri Taraf se Bhi....

Eh Zindagi Mujhe Tujhe Gila Kuch Bhi Naa Tha,
Par Woh Baat Aur hai Ke Mujhe Tujhse Mila Kuch Bhi Naa Tha....

Main Sochta Tha, Ke Qaid Hai Yeh Duniya Meri Mutthi Mein,
Par Jab Haath Khole, Mere Paas Dhoondli Lakkeron Ke Siva Kuch Bhi Naa Tha...

Mushkile Bahut si thi Har Raah Mein Meri,
Par Khud Ke Aur Manzil Ke Beech Mein Faasla Kuch Bhi Naa Tha....

Har Kadam Par Ladkaadata Raha Main Zindagi Bhar,
Ke Ab Sochta Hoon Kya Khoya Kya Paaya??
Zindagi Ka Falsafa Kuch Bhi Naa Tha....

"KHWAISH" Tu Khud Khush Hai To Har Koi Khush Hai,
Tujhe Kuch Gham Hai to Kisi Aur Ko Koi Gham Nahi,
Yehi Zindagi Ki Sachai Hai!!!
"KHWAISH" Yeh Pyaar, Mohabbat Ka Silsila Kuch Bhi Naa Tha....

WAQT AUR HALAAT NE KYA-KYA NA DIKHLAYA HUMEIN!!!
DEKHNA TO DARASAL KUCH BHI NA THA....

Eh Zindagi Mujhe Tujhse Gila Kuch Bhi Naa Tha,
Par Woh Baat Hai Ke Mujhe Tujhe Mila Kuch Bhi Naa Tha....

Logged
Prateek Mardia
Guest
«Reply #12 on: July 21, 2008, 02:49:18 AM »
Reply with quote
Prateek ji aap ke shear kisi ki taarif ke muhtaaj nahi, bohut hi umda likha he aapne.

Randeri sahaab,

accha bahaana he....jo unka jataana he....yeh taareef he ya bolo....koi ulaahana he.......

shukriya,hazoor.

Pratek
Logged
Prateek Mardia
Guest
«Reply #13 on: July 21, 2008, 02:53:46 AM »
Reply with quote
Bahut Bahut Khoob Prateekji,mahiya aur Bekarar ji..Bahut ache  Applause Applause Applause..Ek Choti Si Koshish Meri Taraf se Bhi....

Eh Zindagi Mujhe Tujhe Gila Kuch Bhi Naa Tha,
Par Woh Baat Aur hai Ke Mujhe Tujhse Mila Kuch Bhi Naa Tha....

Main Sochta Tha, Ke Qaid Hai Yeh Duniya Meri Mutthi Mein,
Par Jab Haath Khole, Mere Paas Dhoondli Lakkeron Ke Siva Kuch Bhi Naa Tha...

Mushkile Bahut si thi Har Raah Mein Meri,
Par Khud Ke Aur Manzil Ke Beech Mein Faasla Kuch Bhi Naa Tha....

Har Kadam Par Ladkaadata Raha Main Zindagi Bhar,
Ke Ab Sochta Hoon Kya Khoya Kya Paaya??
Zindagi Ka Falsafa Kuch Bhi Naa Tha....

"KHWAISH" Tu Khud Khush Hai To Har Koi Khush Hai,
Tujhe Kuch Gham Hai to Kisi Aur Ko Koi Gham Nahi,
Yehi Zindagi Ki Sachai Hai!!!
"KHWAISH" Yeh Pyaar, Mohabbat Ka Silsila Kuch Bhi Naa Tha....

WAQT AUR HALAAT NE KYA-KYA NA DIKHLAYA HUMEIN!!!
DEKHNA TO DARASAL KUCH BHI NA THA....

Eh Zindagi Mujhe Tujhse Gila Kuch Bhi Naa Tha,
Par Woh Baat Hai Ke Mujhe Tujhe Mila Kuch Bhi Naa Tha....

Khwaish ji,

Aap jo yeh hum logon ki tukbandi pur taaref likh dete ho....mujhe hairaan kur deti he...aap ki thupthupahat milne se urja ka naya sanchaar hota he.

Jo aapki choti choti kaushish hoti he...humare liye badi badi shayri hoti he...aap aisi kaushishen lootaate rahe...shukriya.

Prateek
Logged
Sayyid Randeri
Guest
«Reply #14 on: July 21, 2008, 05:24:56 PM »
Reply with quote
Randeri sahaab,

accha bahaana he....jo unka jataana he....yeh taareef he ya bolo....koi ulaahana he.......

shukriya,hazoor.

Pratek

Ptatek ji aadaab!!!
Achhi cheez achhi hi hoti he, chaahe koi taarif kare yaa n kare, "bohot achhaa likha he" aysaa aap ko likhnaa kaafi nahi samajhtaa balke ye bhi likhnaa zaruri samjhaa ke ye ash'ar meri taarif ke to mohtaaj nahi magar jee chahta he waah waah karne ko.
Logged
Pages: [1] 2  All
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.

Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
December 25, 2024, 07:30:52 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by mkv
[December 22, 2024, 05:36:15 PM]

[December 19, 2024, 08:27:42 AM]

[December 17, 2024, 08:39:55 AM]

[December 15, 2024, 06:04:49 AM]

[December 13, 2024, 06:54:09 AM]

[December 10, 2024, 08:23:12 AM]

[December 10, 2024, 08:22:15 AM]

by Arif Uddin
[December 03, 2024, 07:06:48 PM]

[November 26, 2024, 08:47:05 AM]

[November 21, 2024, 09:01:29 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.123 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer