haathon me duaaon ke siwa kya hai... Intezar !

by Intezar on December 03, 2010, 12:19:51 PM
Pages: [1]
ReplyPrint
Author  (Read 1233 times)
Intezar
Guest
Reply with quote
   
   Manzil jise kehte hain log hai ek dhokha har baar kaa
   Ke hakeekat mein in raahon par chalne ke siwa kya hai

   Kyon iski giraft mein tum jeete ho khud ko qaid kiye
   In baahon mein mehsoos karo to dard ke siwa kya hai

   Koi to rakhe mujh par ikhtiyaar aye dost ki teri khair maangi
   Ki uske ke aage uthte mere haatho me duaaon ke siwa kya hai

   Chahte hain jhukaana mujhe khanzar dikha kar kuch log yaha
   Is duniya mein jahaan sajde me jhuka us khuda ke siwa kya hai

   Main tanha sahi kitnaa bhi hun aaj phir bhi shaad hun logon
   Ki tanhai chalti hai bankar humsafar, saath is ke siwa kya hai

   Maine chhupaya kuch bhi nahin hai is band mutthi mein yaaron
   dekhlo chahe khol kar in hatheliyon me lakeeron ke siwa kya hai

   ki main khauf kya karta is andhere se jo zehen me samaaya hai
   baad marne ke hai andhera is lahad mein aur is ke  siwa kya hai

   koi mujhse kiya karta hai swaal tamaam khwaahisheN lekar aaj
   koi puchhe usse ki naseeb mein kisike is ‘Intezar’ ke siwa kya hai…!



                                           Shukriya
                                           Intezar !
Logged
killbill
Yoindian Shayar
******

Rau: 0
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
24 days, 7 hours and 41 minutes.
Posts: 2130
Member Since: Oct 2010


View Profile
«Reply #1 on: December 03, 2010, 02:17:26 PM »
Reply with quote
wah mast likha yar...
kuch lines meri zindagi ke hain isme...
mujhe bhi likhna sikhaooooooo..
Logged
killbill
Yoindian Shayar
******

Rau: 0
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
24 days, 7 hours and 41 minutes.
Posts: 2130
Member Since: Oct 2010


View Profile
«Reply #2 on: December 03, 2010, 02:18:07 PM »
Reply with quote
wah mast likha yar...
kuch lines meri zindagi ke hain isme...
mujhe bhi likhna sikhaooooooo..
Logged
Intezar
Guest
«Reply #3 on: December 03, 2010, 05:44:10 PM »
Reply with quote
shukriya KB ji.. bahut bahut shukriya... aur aap ke regular comments ke liye bhi bahut bahut shukriya...

aur jahaan tak sikhne sikhaane ki baat hai KB ji us kaabil hum to nahin ki kuch sikha saken kisi ko... bas khud ko ek baar mehsoos kijiye dil se... aap hi se aap ko likhna aajaayega... zindagi bahut badi... aur lafz kaafi kam hai bayaan karne ke liye... phir bhi koshish jaari rehni chahiye... ALL THE BEST and THANKS ONCE AGAIN...

Intezar !

wah mast likha yar...
kuch lines meri zindagi ke hain isme...
mujhe bhi likhna sikhaooooooo..

Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #4 on: December 03, 2010, 07:26:34 PM »
Reply with quote
Na Jaane Kyun Tumhaari Shayari Mujhe, Apni Zindagi Ka Daur laage,,.

please dost duaa karo,.
Logged
Intezar
Guest
«Reply #5 on: December 03, 2010, 07:30:36 PM »
Reply with quote
sabse pehle Shukriya aap ne kareeb se padha.. jo maine likha...

kya hua Azeem sahab aap itne maayus kyon lag rahe hain... main kuch kar sakta hun aapke liye... aur duaa kis cheez ke liye karni hai aapne to bataaya nahin...

Intezar !

Na Jaane Kyun Tumhaari Shayari Mujhe, Apni Zindagi Ka Daur laage,,.

please dost duaa karo,.
Logged
AbhiTamrakar
Guest
«Reply #6 on: December 04, 2010, 06:00:05 AM »
Reply with quote
bahut khoob intezar ji..

kuchh ashar bade gehre maloom huye..

pathathar par ukeri lakeer jaise..

dheroo saari daad~..

yunhi likhte rahiye~
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #7 on: December 04, 2010, 09:14:43 AM »
Reply with quote
   
   Manzil jise kehte hain log hai ek dhokha har baar kaa
   Ke hakeekat mein in raahon par chalne ke siwa kya hai

   Kyon iski giraft mein tum jeete ho khud ko qaid kiye
   In baahon mein mehsoos karo to dard ke siwa kya hai

   Koi to rakhe mujh par ikhtiyaar aye dost ki teri khair maangi
   Ki uske ke aage uthte mere haatho me duaaon ke siwa kya hai

   Chahte hain jhukaana mujhe khanzar dikha kar kuch log yaha
   Is duniya mein jahaan sajde me jhuka us khuda ke siwa kya hai

   Main tanha sahi kitnaa bhi hun aaj phir bhi shaad hun logon
   Ki tanhai chalti hai bankar humsafar, saath is ke siwa kya hai

   Maine chhupaya kuch bhi nahin hai is band mutthi mein yaaron
   dekhlo chahe khol kar in hatheliyon me lakeeron ke siwa kya hai

   ki main khauf kya karta is andhere se jo zehen me samaaya hai
   baad marne ke hai andhera is lahad mein aur is ke  siwa kya hai

   koi mujhse kiya karta hai swaal tamaam khwaahisheN lekar aaj
   koi puchhe usse ki naseeb mein kisike is ‘Intezar’ ke siwa kya hai…!



                                           Shukriya
                                           Intezar !


 Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley

Lajawaab Intezaar Ji..Bahut Hi Gehre Aur Zindagi Se Juude Jazbaat!!!

Bahut Ache Thumbs UP
Logged
yasmeen khan
Guest
«Reply #8 on: December 04, 2010, 05:18:39 PM »
Reply with quote
hamesha ki tarah behtareen  lajawab peshkash intezarji  Clapping Smiley Clapping Smiley :clapping:allah hafiz
Logged
Intezar
Guest
«Reply #9 on: December 05, 2010, 04:36:31 PM »
Reply with quote
Shukriya Abhi ji... shukriya aapka gehraayi mein utarne ke liye..

Intezar !

bahut khoob intezar ji..

kuchh ashar bade gehre maloom huye..

pathathar par ukeri lakeer jaise..

dheroo saari daad~..

yunhi likhte rahiye~
Logged
Intezar
Guest
«Reply #10 on: December 05, 2010, 04:37:52 PM »
Reply with quote
khwaish ji shukriya.. aapka gehraayi se ise mehsoos karne ke liye...

Intezar !
Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley

Lajawaab Intezaar Ji..Bahut Hi Gehre Aur Zindagi Se Juude Jazbaat!!!

Bahut Ache Thumbs UP
Logged
Intezar
Guest
«Reply #11 on: December 05, 2010, 04:48:34 PM »
Reply with quote
Yasmeen ji bahut bahut bahut shukriya aapka... aapko ye pasand aaya aur.. regular comments ke liye bhi aapka shukriya...

Intezar !
hamesha ki tarah behtareen  lajawab peshkash intezarji  Clapping Smiley Clapping Smiley :clapping:allah hafiz
Logged
Rajesh Harish
Guest
«Reply #12 on: December 06, 2010, 04:18:34 AM »
Reply with quote
   
   Manzil jise kehte hain log hai ek dhokha har baar kaa
   Ke hakeekat mein in raahon par chalne ke siwa kya hai

   Kyon iski giraft mein tum jeete ho khud ko qaid kiye
   In baahon mein mehsoos karo to dard ke siwa kya hai

   Koi to rakhe mujh par ikhtiyaar aye dost ki teri khair maangi
   Ki uske ke aage uthte mere haatho me duaaon ke siwa kya hai

   Chahte hain jhukaana mujhe khanzar dikha kar kuch log yaha
   Is duniya mein jahaan sajde me jhuka us khuda ke siwa kya hai

   Main tanha sahi kitnaa bhi hun aaj phir bhi shaad hun logon
   Ki tanhai chalti hai bankar humsafar, saath is ke siwa kya hai

   Maine chhupaya kuch bhi nahin hai is band mutthi mein yaaron
   dekhlo chahe khol kar in hatheliyon me lakeeron ke siwa kya hai

   ki main khauf kya karta is andhere se jo zehen me samaaya hai
   baad marne ke hai andhera is lahad mein aur is ke  siwa kya hai

   koi mujhse kiya karta hai swaal tamaam khwaahisheN lekar aaj
   koi puchhe usse ki naseeb mein kisike is ‘Intezar’ ke siwa kya hai…!



                                           Shukriya
                                           Intezar !


Bahut khoob Ji
Logged
Intezar
Guest
«Reply #13 on: December 06, 2010, 06:41:53 PM »
Reply with quote
Rajesh ji aapka tahe dil se shukriya... bahut bahut shukriya...
aur aapke regular comments ke liye bhi bahut bahut shukriya...

Intezar !
Bahut khoob Ji
Logged
Pages: [1]
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
January 24, 2025, 11:50:41 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[January 19, 2025, 05:59:15 PM]

[January 19, 2025, 05:47:49 PM]

[January 10, 2025, 09:46:05 AM]

[January 10, 2025, 09:45:14 AM]

[January 08, 2025, 08:30:59 AM]

[January 08, 2025, 08:29:31 AM]

[January 05, 2025, 08:51:01 AM]

[January 05, 2025, 08:45:11 AM]

[January 05, 2025, 08:44:20 AM]

[January 05, 2025, 08:43:28 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.121 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer