gulzargul
Guest
|
|
|
buhat maal kamaya pet bhar khaya jab merny ka waqt aya
main ny maal ko bulaya main ny maan ko bulaya bulaya baap ko bhai ko
sara pessa luta do mujh ko bacha lo mujh ko bacha lo
namaaz chori thi tumhary liye rab ko bhula tha tumhary liye
zindigi chali jaa rahi hy qaza mujh ko bula rahi hy
bady goroor sy chalta tha ab uth bhi nahi sakta hoon
badi piyari hy biwi meri meri jaan hain bachy mery
aaleeshaan hy mera makaan narm gadon pe sota hoon abhi tao banaany hain aor bhi makaan
maal jitna bhi mil jaay kam hy mager kiya karoon zindigi khatam hy
itni mehnat sy kamaya hy ye sab abhi aor jeeny do mujhy dunyaan main abhi dekha hi kiya hy
uss ko dekho kitna diya hy hy mujh ko bas itna diya hy
garmi sy jhulas rahy hain log mujhy kiya hy ay see mery ghar main hy mujhy kiya hy
ye kahaan liyee ja rahy ho mujhko ye saans kiun ruki jaa rahi hy paani paani piyaas kiun lagi jaa rahi hy
ye saans kiun ruki jaa rahi hy Allah hy shehrag ke qareeb socha hota
dil kiun ghabra raha hy dil kisi ka na dukhaya hota
paani paani piyas kiun nahi bujhti kaheen nalka laga diya hota
uff garmi ye paseeena kiun hy ghar greeb ke pankha laga diya hota
sardi buht lag rahi hy kapkapi bhi tari hy thitharty bachon ko kambal ordha deta
zubaan khushk ho gayi hy piyas sy kisi piyasy ko pani pila deta
rang peela parda jaa raha hy jawani pe na itna groor hota
haath kiun nhi uthta hy mera mazloomon ko na itna mara hota
suun ho raha hy jism sara bekhabar duniyaan main na soya hota
luknat si lag gai hy meri zubaan main Allah ke naghmon ko gaya hota
daant bhinchy jaa rahy hain maal e haraam na khaya hota
sunaai nahi dy raha hy maan masjid sy aazaanon ko suna hota
dikhaai nahi dy raha hy ab tao bhatakton ka rasta dikhaya hota
itna dard kiun hy takleef kiun hy kisi ke dard ko samjha hota
mat jaao ke tanhaa hoon main laachaaron ko na tanha chora hota
ye kiya ke abhi tao zinda hoon main hissy lagy ho baantny maal ke le lo le lo ye sara maal tum mera guzra howa waqt mujhko dy do
maan main jeena hy merna nahi abu main ny jeena hy merna nhi
mery saath hi rehna dil ghabra raha hy mujhy merny nhi dena main ny merna nhi hy
ye ghat chhoot rahaa hy hamsafer chhoot rahaa hy mera dil toot rahaa hy
koi maseeha le aao jo zindigi dy dy sari dolat dy aao koi zindigi dy dy
ye kesa ghar hy jo meri qabar hy chaar soo undhera kiun hy
maan maan maan abu abu abu bhai bahi bahi
kahaan ho tum kahaan hoon main kahaan ho tum
kiun chaly gay tum mujhy chor ke tanha tumhary liye hi bhula tha rab ko apny
Allah mery muaaf ker dy gunaah too raheem hy na dy mujhy saza
na pehchaan saka tujh ko diuyaan main teri hi zaat hy sachi
tujh main hy wafa too hi hy sada
gulzar ahmad figaar
|
|
|
Logged
|
|
|
|
|
sarthika
Guest
|
|
«Reply #1 on: July 06, 2008, 02:43:47 PM » |
|
wow!! good sharing gulzargul
|
|
|
Logged
|
|
|
|
|
gulzargul
Guest
|
|
«Reply #3 on: July 07, 2008, 01:36:50 PM » |
|
|
|
|
Logged
|
|
|
|
|
bekarar
Poetic Patrol
Yoindian Shayar
Rau: 4
Offline
Gender:
Waqt Bitaya:53 days, 9 hours and 51 minutes.
Posts: 3738 Member Since: Oct 2005
|
|
«Reply #5 on: July 07, 2008, 03:23:17 PM » |
|
jitani taaareef kee jaye kam hai ...ek kadvi sachchai ko bahoot achche se pesh kiya hai aapne.......yo par aapka swagat hai...gulzar ji likhte rahiye.........aur yo ki mahfilon ko gulzar banate rahiye..............
|
|
|
Logged
|
|
|
|
Muhammed
Guest
|
|
«Reply #6 on: September 06, 2008, 04:58:02 AM » |
|
Subhan allaah......Sahib-e-Kalum Ko Kya Kahein ??
Badhiya Tarteeb se...Jaise " Masnav-e-Manvi-e-Maula-e-Room " Kii Yaad Taaza Ho Gayee...Har Lafz Kahin Bhi Judaah nahi huaa Awwal se aakhir taqq Ek Hi Maa'ne Ko Lekar Chale Hai..Matlub ki har Misra dusre Misre ko Jode Rakhe Hai
Aur Fir Bich K Ik Hisse Se Andaaz Thoda sa Tabdeel Hua Hai
Al Hasil Kehne ka Maqsad Gulzaar Ahmed Figaar Sahib-e-Nagma Nigaar Hai JInka Likha Hua Ye Kalaam-e-Be-Misaal Hai wohi Haqeeqat Hai Jo Har Sher Ki Haqeeqat Hai...Maine Ise Teen char Martba Padha...badhiya laga muje..duar-e-HaziraaN Mein kuch aise hi kalaam ki badi Kamii Hai..bahot hi khoob bahot hi khoob
|
|
|
Logged
|
|
|
|
gulzargul
Guest
|
|
«Reply #7 on: September 07, 2008, 01:20:34 PM » |
|
shukriya bhai ashraf, ye yoindia per mera sab sy pehla kalaam hy aor mera maqsad bhi eshi shaeri kerna hy mager main ny dekha ke log ziyada ter romani shaeeri ko pasand kerty hain so main ny waqti tor per logon ki tawjaa ke liye romani shaeri bhi shoroo ker di aor saath saath iss tarh ki rohaani shaeeri bhi kerta hoon take log mujh sy bore na hon aor meri baat jo dil main aati hy uss ko kam az kam parhein zaroor ye kalaam ke bary main main aap ko e-mail kiya tha ke zaroor parhein aor apna khayal bataein shyed wo e-mail aap tak na puhnch saka ho mager aaj buht khushi howi ke aakhir aap ki nazron maen ye kalaam aa gaya jis ka main aap ko pesh kerny ka kuwahish mand tha buht shukrya
gul
|
|
|
Logged
|
|
|
|
madhuwesh
Guest
|
|
«Reply #8 on: October 19, 2009, 09:48:19 AM » |
|
|
|
|
Logged
|
|
|
|
gulzargul
Guest
|
|
«Reply #9 on: October 20, 2009, 03:11:18 PM » |
|
thanks madhu ji
|
|
|
Logged
|
|
|
|
gulzargul
Guest
|
|
«Reply #10 on: January 14, 2020, 10:03:17 PM » |