Hum apne saath lutf-e-zindagani le ke chalte hain.

by Dr. Naim Sahil on February 20, 2010, 10:55:48 AM
Pages: [1]
ReplyPrint
Author  (Read 1402 times)
Dr. Naim Sahil
Guest
Reply with quote
Rivayat saath apne khandaani le ke chalte haiN,
Safar meiN hum junoon-e-kamraani le ke chalte haiN.

Zammane meiN unhiN ko hi miyaN ezaaz milta hai,
Mukammal jo shaur-e-paasbaani le ke chalte haiN.

Hamaaari samt dunya dekhti hai roz hairat se,
Musalsal hum payaam-e-shadmaani le ke chalte haiN.

Had-e-inkaan-e-hasrat se guzar jaate haiN vo aksar,
Junoon-e-ishq ki jo be-takaani le ke chalte haiN.

Bahut chalaak ho kar bhi pashemaN haiN zamaane meiN,
Jo mutthi meiN ziya-e-mehrbaani le ke chalte haiN.

Kisi par munhasir hona azeeyat ka sabab bhi hai,
Hum apne saath lutf-e-zindagaani le ke chalte haiN.

Shikaar aksar ghalat fahmi ke ho jate haiN vo 'Sahil'
Tasavvur meiN jo apne bad-gumaani le ke chalte haiN.
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
zindagi ke saath chalte by pankaj_pups in Shayri-E-Dard
khayaal-o-khaab ki duniya mai.n saath chalte hoo by khalidrawat in Shairy-e-Dost (Friendship Poetry)
Saath soye hain; saath jaagtey rahey hain ham! by abdbundeli in Shairy-e-Dost (Friendship Poetry)
CHALTE HAIN by sajid_ghayel in Shayri for Khumar -e- Ishq
tere khwaab mere saath chalte hain by Taasir siddiqui in Ghazals
Dr. Naim Sahil
Guest
«Reply #1 on: February 20, 2010, 10:56:14 AM »
Reply with quote
Rivayat saath apne khandaani le ke chalte haiN,
Safar meiN hum junoon-e-kamraani le ke chalte haiN.

Zammane meiN unhiN ko hi miyaN ezaaz milta hai,
Mukammal jo shaur-e-paasbaani le ke chalte haiN.

Hamaaari samt dunya dekhti hai roz hairat se,
Musalsal hum payaam-e-shadmaani le ke chalte haiN.

Had-e-inkaan-e-hasrat se guzar jaate haiN vo aksar,
Junoon-e-ishq ki jo be-takaani le ke chalte haiN.

Bahut chalaak ho kar bhi pashemaN haiN zamaane meiN,
Jo mutthi meiN ziya-e-mehrbaani le ke chalte haiN.

Kisi par munhasir hona azeeyat ka sabab bhi hai,
Hum apne saath lutf-e-zindagaani le ke chalte haiN.

Shikaar aksar ghalat fahmi ke ho jate haiN vo 'Sahil'
Tasavvur meiN jo apne bad-gumaani le ke chalte haiN.
Logged
Dr. Naim Sahil
Guest
«Reply #2 on: February 20, 2010, 11:21:16 AM »
Reply with quote
hi Akash.. I want to know that How can I upload my foto on Yo india..??
Logged
Dr. Naim Sahil
Guest
«Reply #3 on: February 20, 2010, 11:51:30 AM »
Reply with quote
sorry... I'm still not able to upload it..if u can tell me an easier way
Logged
abdbundeli
Guest
«Reply #4 on: February 20, 2010, 01:27:59 PM »
Reply with quote
Rivayat saath apne khandaani le ke chalte haiN,
Safar meiN hum junoon-e-kamraani le ke chalte haiN.

Zammane meiN unhiN ko hi miyaN ezaaz milta hai,
Mukammal jo shaur-e-paasbaani le ke chalte haiN.

Hamaaari samt dunya dekhti hai roz hairat se,
Musalsal hum payaam-e-shadmaani le ke chalte haiN.


Had-e-inkaan-e-hasrat se guzar jaate haiN vo aksar,
Junoon-e-ishq ki jo be-takaani le ke chalte haiN.

Bahut chalaak ho kar bhi pashemaN haiN zamaane meiN,
Jo mutthi meiN ziya-e-mehrbaani le ke chalte haiN.

Kisi par munhasir hona azeeyat ka sabab bhi hai,
Hum apne saath lutf-e-zindagaani le ke chalte haiN.

Shikaar aksar ghalat fahmi ke ho jate haiN vo 'Sahil'
Tasavvur meiN jo apne bad-gumaani le ke chalte haiN.


Bahut achchhey, Dr. Sahil! I'm happy to  welcome you at Yoindia!
 
                         - abd bundeli

        
Logged
deepika_divya
Guest
«Reply #5 on: February 20, 2010, 01:38:38 PM »
Reply with quote
Waah Bahoot Bahoot Umda Peshkash Sahil ji.. Bahoot Khoob!
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #6 on: February 25, 2010, 01:27:29 PM »
Reply with quote
Bahut Bahut Khoob Dr.Naim Sahil Ji Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley
Logged
Pages: [1]
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 08, 2024, 12:29:06 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 08, 2024, 09:59:08 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:55:06 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 06:58:58 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.09 seconds with 26 queries.
[x] Join now community of 8505 Real Poets and poetry admirer