Lagta hai badi chot khai hai aapne meghaji....
Aap ki rachna me dard bkhubi jhalak raha hai..
ya kahu chhalak raha hai....
Swartho se bhari is duniya me koi apna nahi
Jo bhi hans kar milta hai,matlab se milta hai
Vishwas k badle vishwas kismatwalon ko milta hai
Jindagi ki bhulbhulaiya ko samajhna mushkil hai
Bahut bar insan apani jindgi oro.n ke nam kar deta hai bas wo sirf dusaro.n ke liye jeene lagta hai do raho.n par khada ho jata hai wnha use samjh nahi aata ki wo kya kare.n or bahut bar esa bhi hota hai ki jo insan kisi par vishvas karta hai wo hi insan us insan ko dhoka deta hai……………………………………………..
Pata nahi par shayd mene meri jindagi me yahi dekha hai or ab to vishvas par bhi badi mushkil se vishvas kiya jata hai ek dar har insan k dil me rahta hai ki wo jiske liye itana kuch kar raha hai kya wo hamesha uska sath dega?
Kabhi ye sab soch kar ajeeb sa lagta hai ki kyo.n hum ye sab sochane par majbur ho jate hai, shayad ye jindagi hi hume ye sab sochane par majbur kar deti hai,
Or is jindagi ko to “hats off’’ hai sach me ye ek bahut khub “adakara” hai.
“kis apane par vishvas kare.n hum,
Hum to parayo.n bhi vishvas kar lete hai
Ki shayad koi apna mil jaaye”
Humane jindagi ki har ek ada ko samjhane ki koshish ki
Humane jindagi ki har ek wafa ko samjhane ki koshish ki
Dushmano.n ko gale laga dost banane ki koshish ki
To agale pal dosto.n ko dushmani nibhate dekh
Bas dil se humane samjhaish ki
Jindagi ki…………………………………………………………
Kuch apno.n ko sath le chale the
Ki karwa.n ban chlega
Magar karwa.n me apno.n ko talash karne ki humane nadani ki
Jindagi ki……………………………………………………..
Jab hum khade the kantoo.n par
To jindagi muskura rahi thi
Jindagi ne humase in rasto.n ko samjhane ki gujarish ki
Jindagi ki………………………………………………………..
Medha jain