Insaan To Yahan Apni Zarooraton Ka Ghulam Hai "Khwaish"

by khwaish on August 22, 2011, 07:07:19 PM
Pages: [1]
ReplyPrint
Author  (Read 3216 times)
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
Reply with quote
"Aankhein Band kar, Chalte Hue Bhi Nahi Lagti Thokar Mujhko!!!!
   Iss Zindagi Ne Kiye Hai Mujhpar Kuch Ehsaan Itne"


Aaj Office mein Baithe-Baithe Ek Aisa Vaakya
Mere Saath Guzra Jisse Dekhkar, Ek khayal Sa Mann Mein Aaya..
Ke Har insaan Chaahta Hai Ke Woh Ache se Achi cheez Khareede..
kisi ke liye Kuch Khareedna Kitna Asaan hai
 Aur koi Aise Bhi hai Jo Ek-Ek Paisa Jodkar Kuch Khareed Paate Hai..
Kuch Dil Ke Jazbaaton Ko Lafzon ka Sahaara De Raha Hoon...



Kahin Din Bhar Ki Mushakat To kahin Aaram hai
Insaan To Yahan Apni Hi Zarooraton ka Gulam Hai

 Kahin Do Roti ki Bhook Se Tadapta Hua Insaan!!!
To Kahin kisi Ke Haathon Mein Chalakta Hua Jaam hai

Kahin Ashq ka Katra Aankhon mein kab Se  Sukha Hua!!!!
To kahin Gham Ka Naa Kisi Ke zindagi Mein Mukaam Hai

Kahin Eid Ki Khareedi Ke Liye paise Jodta Hua bacha
To kahin Khareedne Ke Liye Har Aish-o-Araam Hai

Kahin Apni majbooriyon Se Ladta Hua Koi Shaks!!!
To Koi Bulandiyan Ko Chuune Wala  Nizaam Hai

Kahin Andhero Ke Khuaff se Char-diwari mein Qaid Koi!!
 To kahin Jashn-e-Mehfilen Raat bhar Tamaam Hai

"Khwaish" Har Ek ka Apna-APna naseeb Hai par yaad Rakh!!!!
Kisi Ke Dard-o-Gham Ki Wajeh Na Bana Woh To Bas  Haraam Hai

                     ~~~~~Khwaish~~~~~
Logged
sbechain
Guest
«Reply #1 on: August 22, 2011, 08:15:44 PM »
Reply with quote
"Aankhein Band kar, Chalte Hue Bhi Nahi Lagti Thokar Mujhko!!!!
   Iss Zindagi Ne Kiye Hai Mujhpar Kuch Ehsaan Itne"


Aaj Office mein Baithe-Baithe Ek Aisa Vaakya
Mere Saath Guzra Jisse Dekhkar, Ek khayal Sa Mann Mein Aaya..
Ke Har insaan Chaahta Hai Ke Woh Ache se Achi cheez Khareede..
kisi ke liye Kuch Khareedna Kitna Asaan hai
 Aur koi Aise Bhi hai Jo Ek-Ek paisa jamaakar Kuch Khareed Paate Hai..
Kuch Dil Ke Jazbaaton Ko Lafzon ka Sahaara De Raha Hoon...



Kahin Din Bhar Ki Mushakat To kahin Aaram hai
Insaan To Yahan Apni Hi Zarooraton ka Gulam Hai

 Kahin Do Roti ki Bhook Se Tadapta Hua Insaan!!!
To Kahin kisi Ke Haathon Mein Chalakta Hua Jaam hai

Kahin Ashq ka Katra Aankhon mein kab Se  Sukha Hua!!!!
To kahin Gham Ka Naa Kisi Ke zindagi Mein Mukaam Hai

Kahin Eid Ki Khareedi Ke Liye paise Jodta Hua bacha
To kahin Khareedne Ke Liye Har Aish-o-Araam Hai

Kahin Apni majbooriyon Se Ladta Hua Koi Shaks!!!
To Koi Bulandiyan Ko Chuune Wala  Nizaam Hai

Kahin Andhero Ke Khuaff se Char-diwari mein Qaid Koi!!
 To kahin Jashn-e-Mehfilen Raat bhar Tamaam Hai

"Khwaish" Har Ek ka Apna-APna naseeb Hai par yaad Rakh!!!!
Kisi Ke Dard-o-Gham Ki Wajeh Na Bana Woh To Bas  Haraam Hai

                     ~~~~~Khwaish~~~~~


BAHUT KHOOB.

 5TH SHER KO DURUST KAR LEIN
....KAHIN BULANDIYO.N KO CHUNE WALA NEZAAM HAI
Logged
*KasaK*....Dil Ki
Poetic Patrol
Umda Shayar
*

Rau: 19
Offline Offline

Gender: Female
Waqt Bitaya:
67 days, 9 hours and 25 minutes.
"I hv a prsnality wch evrybdy cn't handle

Posts: 5603
Member Since: Jun 2010


View Profile
«Reply #2 on: August 23, 2011, 05:29:16 AM »
Reply with quote
khwaishji.... itni khubsurat hai aapki ye post k main bayaan nahin kar sakti.....har ek sher ek tasveer banata sa ..jo hum roz dekhte hain aur andekha kar dete hain aur aaj wahi sab hamare jahn me ghum gaya padhte padhte....
................. nahin samjh raha .....<3
Logged
marhoom bahayaat
Guest
«Reply #3 on: August 23, 2011, 06:35:01 AM »
Reply with quote
nice post
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #4 on: August 23, 2011, 07:42:30 AM »
Reply with quote
BAHUT KHOOB.

 5TH SHER KO DURUST KAR LEIN
....KAHIN BULANDIYO.N KO CHUNE WALA NEZAAM HAI

Waqt Dene Ke Liye Aapka Shukriya Sheba Ji
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #5 on: August 23, 2011, 07:49:15 AM »
Reply with quote
khwaishji.... itni khubsurat hai aapki ye post k main bayaan nahin kar sakti.....har ek sher ek tasveer banata sa ..jo hum roz dekhte hain aur andekha kar dete hain aur aaj wahi sab hamare jahn me ghum gaya padhte padhte....
................. nahin samjh raha .....<3

Anuji..Sach Kahoon To Jab Main Yeh Rachna Likh Raha Tha Mujhe Kisi Ke Daad Ki Koi Bhook Naa THi, Yeh Sirf Woh Jazbaat The Jisme Behkar Main Kuch Likh Gaya..Aisa Kayi Baar Hota Hai Ke Hum chaahte To Bahut Kuch Hai par usse Haasil Nahi Kar Paate..Aapne iss Rachna Ke Bhau Ko, Iske dard Ko mehsoos Kiya..

Aapka Bahut bahut Shukriya icon_flower icon_flower icon_flower
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #6 on: August 29, 2011, 10:15:25 AM »
Reply with quote
nice post

Ji Aapka Shukriya icon_flower
Logged
mkv
Guest
«Reply #7 on: August 29, 2011, 10:21:22 AM »
Reply with quote
Khwahish ji, jindgi ki numaindgi ko aapne behad khoobsoorti se pesh kiya hai. Mujhe bahut accha laga. dil ko choone wali peshkash hai ye.
Logged
ParwaaZ
Guest
«Reply #8 on: August 29, 2011, 10:31:41 AM »
Reply with quote
Applause Applause Applause Applause Applause


Khawahish jee Aadaab !


Waah janab waah kia kahne aapke.. aapne apne
tamaam khayaloN ko behad khubsurti se lafzi jama diya
hai... Usual Smile

Masha Allah aap kafi gehri soNch ke malik hai... aur
behad khub shayar bhi hai.. Usual Smile

Humari daad O mubarakbad kabul kijiye.. Usual Smile
Likhate rahiye.. Usual Smile

Khush O aabaad rahiye.. Usual Smile
Khuda Hafez Usual Smile
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #9 on: August 29, 2011, 12:53:16 PM »
Reply with quote
Khwahish ji, jindgi ki numaindgi ko aapne behad khoobsoorti se pesh kiya hai. Mujhe bahut accha laga. dil ko choone wali peshkash hai ye.

Aapka Bahut bahut Shukriya Mkvji..

Mujhe Yeh Jaankar Behad khushi Hui hai Ke Aapko Yeh kalaam bahut pasand aayi..

yuhi humesha saath Dete Rahiyega icon_flower icon_flower
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #10 on: September 05, 2011, 07:54:03 AM »
Reply with quote
Applause Applause Applause Applause Applause


Khawahish jee Aadaab !


Waah janab waah kia kahne aapke.. aapne apne
tamaam khayaloN ko behad khubsurti se lafzi jama diya
hai... Usual Smile

Masha Allah aap kafi gehri soNch ke malik hai... aur
behad khub shayar bhi hai.. Usual Smile

Humari daad O mubarakbad kabul kijiye.. Usual Smile
Likhate rahiye.. Usual Smile

Khush O aabaad rahiye.. Usual Smile
Khuda Hafez Usual Smile


Parwaaz Ji, Aapka bahut bahut AUr bahut Shukriya..

Aap Jaisi Shakshiyat Jo Khud Kamal Ka Likhte hai, Aapse Yeh Suuna Badi Baat Hai..Yuhi Saath Dete Rahiyega.. icon_flower
Logged
Pages: [1]
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 08, 2024, 02:47:58 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 08, 2024, 09:59:08 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:55:06 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 06:58:58 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.108 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8505 Real Poets and poetry admirer