sksaini4
Ustaad ae Shayari
Rau: 853
Offline
Gender:
Waqt Bitaya:112 days, 8 hours and 51 minutes.
Posts: 36414 Member Since: Apr 2011
|
|
|
Mujhe vo bhool jaayegaa kabhee sochaa naheeN thaa ye. khyaaloN meN sataayegaa kabhee sochaa naheeN thaa ye.
Meree raatoN kee neende aur ye sukh-chain saaraa hee. Vo lekar saath jaayegaa kabhee sochaa naheeN thaa ye.
Hamaare mulk meN is baar ye barsaat kaa mausam. Tabaahee leke aayegaa kabhee sochaa naheeN thaa ye.
Jise hamne kabhee chhodaa thaa bilkul adhmaraa karke. Vo dushman sar uthaayegaa kabhee sochaa naheeN thaa ye.
Samajh kar apnaa maine jo kahee do-chaar baatoN kaa. Batangad vo banaayegaa kabhee sochaa naheeN thaa ye.
Pilaayaa doodh jisko apne bachhoN kee tarah hamne. HameN vo kaat khaayegaa kabhee sochaa naheeN thaa ye.
Hameshaa yaad aate haiN vo bachpan ke sunahre din. Sabhee kuchh chhoot jaayegaa kabhee sochaa naheeN thaa ye.
Lagee hai naukree bete ne tabse aankh feree hai. HameN ye din dikhaayegaa kabhee sochaa naheeN thaa ye.
Kabhee ik raaz kholaa thaa jo maine saamne uske. Vo ‘saini' ko bataayegaa kabhee sochaa naheeN thaa ye.
Dr.Surendra Saini
मुझे वो भूल जाएगा कभी सोचा नहीं था ये |
ख़यालों में सताएगा कभी सोचा नहीं था ये ||
मेरी रातों की नींदे और ये सुख -चैन सारा ही |
वो लेकर साथ जाएगा कभी सोचा नहीं था ये ||
हमारे मुल्क में इस बार ये बरसात का मौसम |
तबाही लेके आयेगा कभी सोचा नहीं था ये ||
जिसे हमने कभी छोड़ा था बिल्कुल अधमरा करके |
वो दुश्मन सर उठाएगा कभी सोचा नहीं था ये ||
समझ कर अपना मैंने जो कही दो-चार बातों का |
बतंगड़ वो बनाएगा कभी सोचा नहीं था ये ||
पिलाया दूध जिसको अपने बच्चों की तरह हमने |
हमें वो काट खायेगा कभी सोचा नहीं था ये ||
हमेशा याद आते हैं वो बचपन के सुनहरे दिन |
सभी कुछ छूट जाएगा कभी सोचा नहीं था ये ||
लगी है नौकरी बेटे ने तबसे आँख फेरी है |
हमें ये दिन दिखाएगा कभी सोचा नहीं था ये ||
कभी इक राज़ खोला था जो मैंने सामने उसके |
वो ‘सैनी'को बताएगा कभी सोचा नहीं था ये ||
डा० सुरेन्द्र सैनी
|
|
|
Logged
|
|
|
|
|
Mohammad Touhid
Umda Shayar
Rau: 35
Offline
Gender:
Waqt Bitaya:38 days, 12 hours and 35 minutes.
'I' 'Luv' d Way 'U' 'Forget' Me..!.!
Posts: 7160 Member Since: Aug 2009
|
|
«Reply #1 on: September 04, 2012, 05:20:32 AM » |
|
wah wah Saini sahab .. bahut bahut khoob likha hai aapne..
|
|
|
Logged
|
|
|
|
mkv
Guest
|
|
«Reply #2 on: September 04, 2012, 05:30:14 AM » |
|
Vaah vaah Surendra Sir Bahut khoobsurat ghajal pesh kee hai.. Jindgee ki sacchai se labrej..har ashaar jaise ..taanqeed karta hua Kya baat hai.. waah waah waah waaaaaah Jitni bar bhi kahuN kam hai..
|
|
|
Logged
|
|
|
|
masoom shahjada
Guest
|
|
«Reply #3 on: September 04, 2012, 07:37:51 AM » |
|
|
|
|
Logged
|
|
|
|
pankajwfs
Guest
|
|
«Reply #4 on: September 04, 2012, 09:33:13 AM » |
|
|
|
|
Logged
|
|
|
|
nandbahu
Mashhur Shayar
Rau: 122
Offline
Gender:
Waqt Bitaya:20 days, 4 hours and 11 minutes.
Posts: 14553 Member Since: Sep 2011
|
|
«Reply #5 on: September 04, 2012, 09:45:44 AM » |
|
bahut khoob saini ji, dhero dad
|
|
|
Logged
|
|
|
|
Sanjeev kash
Guest
|
|
«Reply #6 on: September 04, 2012, 09:50:23 AM » |
|
Bahut Khub Saini Sahab
|
|
|
Logged
|
|
|
|
nishi gahlaut
Guest
|
|
«Reply #7 on: September 04, 2012, 10:34:47 AM » |
|
|
|
|
Logged
|
|
|
|
Sps
Guest
|
|
«Reply #8 on: September 04, 2012, 12:45:49 PM » |
|
bahot bahot unchi baat aur kalam...U r great Sir
|
|
|
Logged
|
|
|
|
himanshuIITR
Guest
|
|
«Reply #9 on: September 04, 2012, 02:49:11 PM » |
|
bahut khoob sir
|
|
|
Logged
|
|
|
|
zarraa
|
|
«Reply #10 on: September 04, 2012, 03:20:52 PM » |
|
Waah ..................... Bahaut khoob
|
|
|
Logged
|
|
|
|
Iftakhar Ahmad
Guest
|
|
«Reply #11 on: September 04, 2012, 04:34:50 PM » |
|
Waah waah bahut khoob.
|
|
|
Logged
|
|
|
|
saahill
Mashhur Shayar
Rau: 86
Offline
Waqt Bitaya:147 days, 16 hours and 48 minutes.
Posts: 18608 Member Since: Jun 2009
|
|
«Reply #12 on: September 04, 2012, 05:09:43 PM » |
|
waah Sar wah khub aur Sach kaha apne
|
|
|
Logged
|
|
|
|
|
khujli
Guest
|
|
«Reply #14 on: September 04, 2012, 07:25:39 PM » |
|
|
|
|
Logged
|
|
|
|
|