Kabhi khud ko Meri nazron se bacha ke Dekho (Adab)

by drpandey on September 20, 2011, 06:17:15 PM
Pages: [1] 2  All
ReplyPrint
Author  (Read 3729 times)
drpandey
Guest
Reply with quote
Kabhi khud ko Meri nazron se bacha ke Dekho!
Raaj khul jayega Bevajah Chhupa ke Dekho!!

Main Na Qayal raha bandish ka azal se apne,
Tum bhi Deewar sare-aam dhaha ke Dekho!

Sab barahne hain yahan aik Khuda ke Aage,
Posh-chilman hain sabhi loog Utha ke Dekho!

Na barahman Na pujari Na koi hai Mulla,
Teeka Chola kabhi Topi to hata ke Dekho!

Ye shiyasat ki siyahi hai kya likkhegi,
Tum ibadat mein parastish bhi mila ke Dekho!

Loog Hoshiyar hain tanqeed to kar hi denge,
Es Zamane ko koi Baat bata ke Dekho!

Meri Tahreer rahe paas tere shamma si,
Jab andhere hoon 'Adab' esko jala ke Dekho!!


Dr HP Pandey 'Adab'
Logged
MANOJ6568
Khaas Shayar
**

Rau: 31
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
42 days, 19 hours and 59 minutes.

Astrologer & Shayer

Posts: 12017
Member Since: Feb 2010


View Profile
«Reply #1 on: September 21, 2011, 01:26:10 AM »
Reply with quote
bahut khub
kisi se dil ko jara tum bus laga kar dekho
jindgi samjhne ka ye nuska azma kar dekho
Kabhi khud ko Meri nazron se bacha ke Dekho!
Raaj khul jayega Bevajah Chhupa ke Dekho!!

Main Na Qayal raha bandish ka azal se apne,
Tum bhi Deewar sare-aam dhaha ke Dekho!

Sab barahne hain yahan aik Khuda ke Aage,
Posh-chilman hain sabhi loog Utha ke Dekho!

Na barahman Na pujari Na koi hai Mulla,
Teeka Chola kabhi Topi to hata ke Dekho!

Ye shiyasat ki siyahi hai kya likkhegi,
Tum ibadat mein parastish bhi mila ke Dekho!

Loog Hoshiyar hain tanqeed to kar hi denge,
Es Zamane ko koi Baat bata ke Dekho!

Meri Tahreer rahe paas tere shamma si,
Jab andhere hoon 'Adab' esko jala ke Dekho!!


Dr HP Pandey 'Adab'
Logged
mkv
Guest
«Reply #2 on: September 21, 2011, 02:48:54 AM »
Reply with quote
Bahut khoob Pandey sahab

Vah manoj bhai Maja aa gaya

Galtiya ye bhi hamne kar ke dekh li yaaro
mile hai jo sile vo tum bhi to aa ke DEKHO

bahut khub
kisi se dil ko jara tum bus laga kar dekho
jindgi samjhne ka ye nuska azma kar dekho
Logged
F.H.SIDDIQUI
Guest
«Reply #3 on: September 21, 2011, 06:07:50 AM »
Reply with quote
Zindabaad, Pandeyji! kya khoobsurat ghazal pesh ki hai.DostoN ke peshkarda ashaar ki kadi meiN eik  she'r mera bhi haazir hai :

Is qadar pyaaar na tum aur kahiin paaoge,
Aao jaanam  meri baanhoN mein samaa kar dekho
          Khuh rahiye.Likhte rahiye.
                                 Hasan
Logged
marhoom bahayaat
Guest
«Reply #4 on: September 21, 2011, 09:16:50 AM »
Reply with quote
Kabhi khud ko Meri nazron se bacha ke Dekho!
Raaj khul jayega Bevajah Chhupa ke Dekho!!

Main Na Qayal raha bandish ka azal se apne,
Tum bhi Deewar sare-aam dhaha ke Dekho!

Sab barahne hain yahan aik Khuda ke Aage,
Posh-chilman hain sabhi loog Utha ke Dekho!

Na barahman Na pujari Na koi hai Mulla,
Teeka Chola kabhi Topi to hata ke Dekho!

Ye shiyasat ki siyahi hai kya likkhegi,
Tum ibadat mein parastish bhi mila ke Dekho!

Loog Hoshiyar hain tanqeed to kar hi denge,
Es Zamane ko koi Baat bata ke Dekho!

Meri Tahreer rahe paas tere shamma si,
Jab andhere hoon 'Adab' esko jala ke Dekho!!


Dr HP Pandey 'Adab'


loag hoshiyaar hain tanqid to kar hi denge.....

 bahut khoob
Logged
mkv
Guest
«Reply #5 on: September 21, 2011, 10:35:37 AM »
Reply with quote
Vaah pandey sahab
Laajawab.
Hasan sahab aur marhum sahab ne to is mahfil ka rang poori taraf se jama diya hai..
khabar charo taraf faili shama hai mahfil me
sab taraf iski hi charcha jara aa kar DEKHO
Logged
ParwaaZ
Guest
«Reply #6 on: September 21, 2011, 12:50:17 PM »
Reply with quote
Pandey Jee Aadaab!

Bahut khoob janab kia khubsurat ashaar kahe haiN
aapne ... Sabhi ashaar behad khub aur gehre kahe
hai janab... Usual Smile

Humari dili daad O mubarakbad kabul kijiye...

Likhate rahiye... Aate rahiye..
Khush O aabaad rahiye..Usual Smile
Khuda hafez....           




Kabhi khud ko Meri nazron se bacha ke Dekho!
Raaj khul jayega Bevajah Chhupa ke Dekho!!

Kia kahne bahut khoob... achcha matla hai daad..         

Main Na Qayal raha bandish ka azal se apne,
Tum bhi Deewar sare-aam dhaha ke Dekho!

Waah waah kia kahne bahut umdaa janab..
bada pyaara sher kaha hai daad..         


Sab barahne hain yahan aik Khuda ke Aage,
Posh-chilman hain sabhi loog Utha ke Dekho!

Kia kahne bahut khoob...         

Na barahman Na pujari Na koi hai Mulla,
Teeka Chola kabhi Topi to hata ke Dekho!

Waah waah kia baat hai gazab janab
bada khub sher kaha hai daad daad daad ... Usual Smile         


Ye shiyasat ki siyahi hai kya likkhegi,
Tum ibadat mein parastish bhi mila ke Dekho!

Bahut khoob janab... bahut khoob daad Usual Smile         

Loog Hoshiyar hain tanqeed to kar hi denge,
Es Zamane ko koi Baat bata ke Dekho!

Waah waah waah kia kahne janab bahut
umdaa sher kaha hai.. Hasil e gazal raha yeH sher bahut umdaa..

hazaaroN daad hazir hai is sher par..  Usual Smile         


Meri Tahreer rahe paas tere shamma si,
Jab andhere hoon 'Adab' esko jala ke Dekho!!

Kia kahne janab.. bahut khoob daad daad Usual Smile
         


Dr HP Pandey 'Adab'
Logged
drpandey
Guest
«Reply #7 on: September 25, 2011, 07:32:44 PM »
Reply with quote
Manoj Ji Bahot khoob likh aapne bhi..!!
Hausla afzai ka behad sukriya...!!

bahut khub
kisi se dil ko jara tum bus laga kar dekho
jindgi samjhne ka ye nuska azma kar dekho
Logged
drpandey
Guest
«Reply #8 on: September 25, 2011, 07:34:50 PM »
Reply with quote
Kay kahne mkv ji..!
Hausla afzai ka sukriya...!!

Bahut khoob Pandey sahab

Vah manoj bhai Maja aa gaya

Galtiya ye bhi hamne kar ke dekh li yaaro
mile hai jo sile vo tum bhi to aa ke DEKHO

Logged
drpandey
Guest
«Reply #9 on: September 25, 2011, 07:40:29 PM »
Reply with quote
Mohabbat ye 'Adab' ki hai jo pahloo badalti hai..!
Kabhi baahon me rahti hai kabhi Aahon mein rahti hai..!!

Bahot khoob likh bhai SIDDIQUI sahab...Bahoot khoob..!!

Hausla afzai ka behad sukriya Janaab...!!


Zindabaad, Pandeyji! kya khoobsurat ghazal pesh ki hai.DostoN ke peshkarda ashaar ki kadi meiN eik  she'r mera bhi haazir hai :

Is qadar pyaaar na tum aur kahiin paaoge,
Aao jaanam  meri baanhoN mein samaa kar dekho
          Khuh rahiye.Likhte rahiye.
                                 Hasan
Logged
drpandey
Guest
«Reply #10 on: September 25, 2011, 07:43:32 PM »
Reply with quote
khabar charo taraf faili shama hai mahfil me
sab taraf iski hi charcha jara aa kar DEKHO


Waah sahab..waah..bahat khoob..!!

Vaah pandey sahab
Laajawab.
Hasan sahab aur marhum sahab ne to is mahfil ka rang poori taraf se jama diya hai..
khabar charo taraf faili shama hai mahfil me
sab taraf iski hi charcha jara aa kar DEKHO
Logged
drpandey
Guest
«Reply #11 on: September 25, 2011, 07:53:29 PM »
Reply with quote
ParwaaZ Bhai aadab..!!
AApki hausala afzai ka qayal ho gaya janaab..!!

Aapko Sukriya ke liye mere paas shabd kam hain..Khair...

Khush-o-aabad rahiye..

Pandey Jee Aadaab!

Bahut khoob janab kia khubsurat ashaar kahe haiN
aapne ... Sabhi ashaar behad khub aur gehre kahe
hai janab... Usual Smile

Humari dili daad O mubarakbad kabul kijiye...

Likhate rahiye... Aate rahiye..
Khush O aabaad rahiye..Usual Smile
Khuda hafez....           




Logged
sbechain
Guest
«Reply #12 on: September 28, 2011, 08:56:28 AM »
Reply with quote
Kabhi khud ko Meri nazron se bacha ke Dekho!
Raaj khul jayega Bevajah Chhupa ke Dekho!!

Main Na Qayal raha bandish ka azal se apne,
Tum bhi Deewar sare-aam dhaha ke Dekho!

Sab barahne hain yahan aik Khuda ke Aage,
Posh-chilman hain sabhi loog Utha ke Dekho!

Na barahman Na pujari Na koi hai Mulla,
Teeka Chola kabhi Topi to hata ke Dekho!

Ye shiyasat ki siyahi hai kya likkhegi,
Tum ibadat mein parastish bhi mila ke Dekho!

Loog Hoshiyar hain tanqeed to kar hi denge,
Es Zamane ko koi Baat bata ke Dekho!

Meri Tahreer rahe paas tere shamma si,
Jab andhere hoon 'Adab' esko jala ke Dekho!!


Dr HP Pandey 'Adab'

bahut khoob........!


 Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause
Logged
drpandey
Guest
«Reply #13 on: September 28, 2011, 05:06:45 PM »
Reply with quote
Bahot Bahot Sukriya ShebaJi...!!
Logged
qayda
Guest
«Reply #14 on: September 28, 2011, 05:22:27 PM »
Reply with quote
behtareen aur dil ko chhoone wali...
Logged
Pages: [1] 2  All
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
December 23, 2024, 03:13:59 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by mkv
[December 22, 2024, 05:36:15 PM]

[December 19, 2024, 08:27:42 AM]

[December 17, 2024, 08:39:55 AM]

[December 15, 2024, 06:04:49 AM]

[December 13, 2024, 06:54:09 AM]

[December 10, 2024, 08:23:12 AM]

[December 10, 2024, 08:22:15 AM]

by Arif Uddin
[December 03, 2024, 07:06:48 PM]

[November 26, 2024, 08:47:05 AM]

[November 21, 2024, 09:01:29 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.121 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8508 Real Poets and poetry admirer