Khayal Buna Karte hai...

by Pooja on June 24, 2010, 09:40:27 PM
Pages: [1] 2  All
ReplyPrint
Author  (Read 1743 times)
Pooja
Guest
Reply with quote
Din mai sawal buna karte hai,
Rato mai khayal buna karte hai,
Galati se bhi jo kabhi Muskura de Lub,
Ankhon se Ashako ke jaam piya karte hai..

kahne ko karta hai dil her pal hum se baatein
per her baat bas dil se, dil mai liya karte hai
uthati hai nigah, aor khud he jhuk jaati hai
kuch issi tarah se apne sawalo ko jawab diya karte hai...

kab hua din, kab dhali raat, ab hisaab kon kare
hum to bas lamha lamha, lamho ka hisaab kiya karte hai
chamki thi kabhi jo dunia ki bagiaa main
us Pooja ko, uske hone ka ajj bhi ahsaas diya karte hai.....

Din mai sawal buna karte hai,
Rato mai khayal buna karte hai.....
Logged
khamosh_aawaaz
Guest
«Reply #1 on: June 24, 2010, 09:42:51 PM »
Reply with quote
naaaaaaaaaaice POOJA JI Applause Applause Applause Applause
Logged
khair khwah
Guest
«Reply #2 on: June 25, 2010, 04:04:42 AM »
Reply with quote
Urdu shayeri ho ya hindi shayeri ho,har ek kuch qaide(rules )hain,jab tak uss ke daayere main lafz na ho to woh shayeri ka maza(taste),lizzat khatam hojati hai.apne khayalaat ko tehreer karna bahot hi achhi cheez hai,wohi khayal shayerana andaz main kehna chahte ho to phir shayeri ke jo qawaed hain unka lehaz karna zarori hojata hai.yahaan har koi kuch likhne ki koshish karta hai,agar mein yah kahoon ke bahot kuch likhne ki koshish karta hai to bhi galat na hoga,lekin iss baat ko nazar andaz kardeta hai ke woh likha shayeri ke dayere main hai bhi ya nahi..kuch likho lekin koshish yehi ki jaae ke dayere main ho..uske baad khud ba khud bahot kuch likhne ki salahiyat paida hojaegi..nazm likho,ya phir chahe ghazal likho lehaaz zarori hai,haan azaad nazam main kholi chhooht hoti hai,uss section main koi remark nahi aaega.yeh mera message sub shayeraon ke liye hai,,jo abhi abhi likhna shuru kiye hain ya phir likh rahe hain lekin iss baat ko nazar andaz kiye hoe,mera maqsad dil shikni nahi karna hai balke yehi kehna hai aap log apna khimti waqt likhne ke liye nikaalte hain to thoda sa khayal rakhen aur likhte rahein.guzarish yehi hai ke jo bhi likhen lage ke shayeri ho.
Logged
Rajesh Harish
Guest
«Reply #3 on: June 25, 2010, 06:36:56 AM »
Reply with quote
Bahut khoob Pooja Ji
Logged
baadal102
Guest
«Reply #4 on: June 25, 2010, 07:07:34 AM »
Reply with quote
 Applause Applause Applause
bahut khoob pooja ji,bahut khubsurat
bahut dino baad dil ki tamanna poori hue hai

awsome as usual pooja ji notworthy
Logged
~Hriday~
Poetic Patrol
Mashhur Shayar
***

Rau: 115
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
101 days, 3 hours and 51 minutes.

kalam k chalne ko zamaana paagalpan samajhta hai.

Posts: 16243
Member Since: Feb 2010


View Profile WWW
«Reply #5 on: June 26, 2010, 12:47:42 AM »
Reply with quote
 Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley

Lajaawaab.... bahut khoob likha hai aapne Pooja ji... aapka likha hua padhne ka maza hi kuch alag hai... bahut khoob likhti hain aap aur aapke har ek rachna ki tarha ye bhi laakhon me ek hai.... bahut khoob likha hai aapne... yunhi likhte rahiye...!!!
Logged
Pooja
Guest
«Reply #6 on: June 28, 2010, 03:54:04 PM »
Reply with quote
Shukaria dosto!!!
Logged
BeNam
Guest
«Reply #7 on: August 09, 2010, 01:02:20 AM »
Reply with quote
Kya baat hai Pooja ji!

Hum toh chale the tanaha magar,
mehfil saji tum jo sath ho liye,
dard-e-dil tumane sunaya,
hum bhi sath ro liye,
Tanaha dil ki mahfil main magar,
Hum bhi hum dard tere ho liye!
Logged
KOYAL46
Guest
«Reply #8 on: August 10, 2010, 12:05:18 PM »
Reply with quote
Superb kavita hai Pooja-di.....kya khoob kaha hai....Sawaal Buna karte hain...!!! Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley

Hum bas yuhe sakhi sawaalo me jiya karte hai
Milta nahi jawaab hum shikava kiya karte hai

Din mai hum angin sawaal buna karte hai
Rato mai bas unhe Udhhed diya karte hai

Din mai sawal buna karte hai,
Rato mai khayal buna karte hai,
Galati se bhi jo kabhi Muskura de Lub,
Ankhon se Ashako ke jaam piya karte hai..

kahne ko karta hai dil her pal hum se baatein
per her baat bas dil se, dil mai liya karte hai
uthati hai nigah, aor khud he jhuk jaati hai
kuch issi tarah se apne sawalo ko jawab diya karte hai...

kab hua din, kab dhali raat, ab hisaab kon kare
hum to bas lamha lamha, lamho ka hisaab kiya karte hai
chamki thi kabhi jo dunia ki bagiaa main
us Pooja ko, uske hone ka ajj bhi ahsaas diya karte hai.....

Din mai sawal buna karte hai,
Rato mai khayal buna karte hai.....

Logged
AbhiTamrakar
Guest
«Reply #9 on: August 10, 2010, 12:17:39 PM »
Reply with quote
bahut hi achha he pooja ji...

kuchh apne shabdo me~

sawalo ne mere khyalo ko ye disha di he,
ki ab ham sawalon se khyal buna karte he,
khyalon ki kadi me jawab dhoondte nahi kabhi,
ham is kadar sawalon se mohabbat kiya karte he~

Logged
*KasaK*....Dil Ki
Poetic Patrol
Umda Shayar
*

Rau: 19
Offline Offline

Gender: Female
Waqt Bitaya:
67 days, 9 hours and 25 minutes.
"I hv a prsnality wch evrybdy cn't handle

Posts: 5603
Member Since: Jun 2010


View Profile
«Reply #10 on: August 10, 2010, 12:27:22 PM »
Reply with quote
khayalon k aangan me jab  bhi hum tahelte hain
na jane kitne anokhe sapne jii liya karte hain

ho sakte nahin jo pure kabhi kisi haalme
hum wo ankahe afsaane sun liya karte hain

jab tatolta hai man kabhi unn sapno ko akele me
hum sharm se sir jhuka liya karte hain

kyun kar baithe hum wo khwaishen jo jaayaz nahin
hum har baar khud se ye sawalaat kiya karte hain

kuch to hongi majburiyan kuch dil ki chahatein
jo hum unke kadmon me ab bhi sir jhukaya karte hain

ye meri chahat hai ya tere pyaar ka pagalpan sanam
hum inkaar me bhi na jane kyun ikraar kiya karte hain...!!!
Logged
KOYAL46
Guest
«Reply #11 on: August 10, 2010, 12:49:10 PM »
Reply with quote
Sunder khayaal aur unka izhaar....kasak-di.. Applause Applause Applause Applause Applause

Sapno par koi rok-tok nahi hum har raat dekh liya karte hain
Jaante hain poore nahi honge ess liye jeekra nahi karte hain

Jo kismat ne diyaa uss-se jayaada hamesha maanga karte hain
Hogi kuchh teri bhi majburi par saath tera maanga karte hain

khayalon k aangan me jab  bhi hum tahelte hain
na jane kitne anokhe sapne jii liya karte hain

ho sakte nahin jo pure kabhi kisi haalme
hum wo ankahe afsaane sun liya karte hain

jab tatolta hai man kabhi unn sapno ko akele me
hum sharm se sir jhuka liya karte hain

kyun kar baithe hum wo khwaishen jo jaayaz nahin
hum har baar khud se ye sawalaat kiya karte hain

kuch to hongi majburiyan kuch dil ki chahatein
jo hum unke kadmon me ab bhi sir jhukaya karte hain

ye meri chahat hai ya tere pyaar ka pagalpan sanam
hum inkaar me bhi na jane kyun ikraar kiya karte hain...!!!

Logged
R.C.
Guest
«Reply #12 on: August 17, 2010, 10:32:26 AM »
Reply with quote
khayalon k aangan me jab  bhi hum tahelte hain
na jane kitne anokhe sapne jii liya karte hain

ho sakte nahin jo pure kabhi kisi haalme
hum wo ankahe afsaane sun liya karte hain

jab tatolta hai man kabhi unn sapno ko akele me
hum sharm se sir jhuka liya karte hain

kyun kar baithe hum wo khwaishen jo jaayaz nahin
hum har baar khud se ye sawalaat kiya karte hain

kuch to hongi majburiyan kuch dil ki chahatein
jo hum unke kadmon me ab bhi sir jhukaya karte hain

ye meri chahat hai ya tere pyaar ka pagalpan sanam
hum inkaar me bhi na jane kyun ikraar kiya karte hain...!!! Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley icon_geek
Logged
waquif ansari
Guest
«Reply #13 on: August 18, 2010, 10:43:59 AM »
Reply with quote
Aik behad thinkable poetry se nawaaza Pooji Ji aapne. HazaaroN daad qubul kijiye.

(Waquif Ansari)

Din mai sawal buna karte hai,
Rato mai khayal buna karte hai,
Galati se bhi jo kabhi Muskura de Lub,
Ankhon se Ashako ke jaam piya karte hai..

kahne ko karta hai dil her pal hum se baatein
per her baat bas dil se, dil mai liya karte hai
uthati hai nigah, aor khud he jhuk jaati hai
kuch issi tarah se apne sawalo ko jawab diya karte hai...

kab hua din, kab dhali raat, ab hisaab kon kare
hum to bas lamha lamha, lamho ka hisaab kiya karte hai
chamki thi kabhi jo dunia ki bagiaa main
us Pooja ko, uske hone ka ajj bhi ahsaas diya karte hai.....

Din mai sawal buna karte hai,
Rato mai khayal buna karte hai.....

Logged
Pooja
Guest
«Reply #14 on: September 02, 2010, 11:42:21 PM »
Reply with quote
Kya baat hai Pooja ji!

Hum toh chale the tanaha magar,
mehfil saji tum jo sath ho liye,
dard-e-dil tumane sunaya,
hum bhi sath ro liye,
Tanaha dil ki mahfil main magar,
Hum bhi hum dard tere ho liye!

wah kay abaat hai.. bahoot khoob...
Tanhai koi tanhai chu jaati hai
chale kisi bhi raste per, tanhaai mil jaati hai
dard-e-dil ka nagma rula gaya tujhe
dekho jo dard dunia ka,
apne dard ki yaad aa he jaati hai
Logged
Pages: [1] 2  All
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
January 28, 2025, 01:56:44 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[January 19, 2025, 05:59:15 PM]

[January 19, 2025, 05:47:49 PM]

[January 10, 2025, 09:46:05 AM]

[January 10, 2025, 09:45:14 AM]

[January 08, 2025, 08:30:59 AM]

[January 08, 2025, 08:29:31 AM]

[January 05, 2025, 08:51:01 AM]

[January 05, 2025, 08:45:11 AM]

[January 05, 2025, 08:44:20 AM]

[January 05, 2025, 08:43:28 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.126 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer