"Khwaish" Chalta Raha..........

by khwaish on April 06, 2012, 09:08:46 AM
Pages: [1] 2 3  All
ReplyPrint
Author  (Read 2408 times)
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006

View Profile
Reply with quote
Toot Jaata Hai Gareebi Mein Aksar
 Woh Rishta Jo Khaas Hota Hai....
Paraye Bhi Apne Ho Jaate Hai!!!!!
Jab Paisa Paas Hota Hai..

              ~~Khwaish~~

Yeh Tajurba Kar Ke Bhi Dekh Liya...!!!!!!!!!
Apni Mushkilon Mein Koi Saath Tehra Naa Tha

Main Jisse Meri Duniya Ka Maalik Samaj Baitha.!!!!!!!
Usse Nazdeek Se Dekha To Uska Ka Koi Chehra Naa Tha

Waqt Ke Mutaabik Logon Ki ZaroorateiN Badalti Hai..!!!!!
Jahan MushkileN Thi Wahan, Apno ka Koi Pehra naa Tha

Zakhm Mile Hai To Iski Dawaa Bhi Zaroor Milegi..!!!!!!
Apno Ke Zakhmon Se Badhkar,Koi Zakhm Itna Gehra Naa Tha

Meri Kamzoriyon Ko Kisi Ki Bulandiyon Se Naa Tattolo..!!
Yaad Rakho,Uske Sar Par Majbooriyon ka Sehra Naa Tha

Mujhe Khud par Fakr hai Ke Main Zindagi Se Haara Nahi..!!
"Khwaish"Chalta Raha...Halaat Se Darr Kar Kabhi Tehra Naa Tha

                ~~~~~Khwaish~~~~~
Logged
soudagar
Guest
«Reply #1 on: April 06, 2012, 09:17:49 AM »
Reply with quote
lajawab .....aapke liye sirf main yahi kar sakta hoon...........

 icon_salut icon_salut icon_salut icon_salut icon_salut
  notworthy notworthy notworthy notworthy notworthy
Logged
Parvana shan
Guest
«Reply #2 on: April 06, 2012, 09:44:17 AM »
Reply with quote
Bahut sundar.
Or ati sundar kalam h.
Logged
mkv
Guest
«Reply #3 on: April 06, 2012, 09:45:20 AM »
Reply with quote
bahut khoob khwaish jee  bakhoobi bayaan kiya hai aapne.  nothing goes ur way when bad time starts and then one can feel what u have expressed. Keep it up.  
Logged
khujli
Guest
«Reply #4 on: April 06, 2012, 09:52:42 AM »
Reply with quote
Toot Jaata Hai Gareebi Mein Aksar
 Woh Rishta Jo Khaas Hota Hai....
Paraye Bhi Apne Ho Jaate Hai!!!!!
Jab Paisa Paas Hota Hai..

              ~~Khwaish~~

Yeh Tajurba Kar Ke Bhi Dekh Liya...!!!!!!!!!
Apni Mushkilon Mein Koi Saath Tehra Naa Tha

Main Jisse Meri Duniya Ka Maalik Samaj Baitha.!!!!!!!
Usse Nazdeek Se Dekha To Uska Ka Koi Chehra Naa Tha

Waqt Ke Mutaabik Logon Ki ZaroorateiN Badalti Hai..!!!!!
Jahan MushkileN Thi Wahan, Apno ka Koi Pehra naa Tha

Zakhm Mile Hai To Iski Dawaa Bhi Zaroor Milegi..!!!!!!
Apno Ke Zakhmon Se Badhkar,Koi Zakhm Itna Gehra Naa Tha

Meri Kamzoriyon Ko Kisi Ki Bulandiyon Se Naa Tattolo..!!
Yaad Rakho,Uske Sar Par Majbooriyon ka Sehra Naa Tha

Mujhe Khud par Fakr hai Ke Main Zindagi Se Haara Nahi..!!
"Khwaish"Chalta Raha...Halaat Se Darr Kar Kabhi Tehra Naa Tha

                ~~~~~Khwaish~~~~~

khayal thik hain. per janaah tak meree samajh jaatee hai sehra hamesha khushee ka symbol hai majbooree se wabasta nahin hai.sirf qafiye ko milaane se hee ghazal nahin hotee janaab

 secondly, aap shayad thahera yanee (rukaa)likhna chahate hoon ye 'tehra' sahee nahin hai likhna. please correct kar lein.
Usual Smile Usual Smile Usual Smile
Logged
bekarar
Poetic Patrol
Yoindian Shayar
******

Rau: 4
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
53 days, 9 hours and 51 minutes.

Posts: 3738
Member Since: Oct 2005

View Profile
«Reply #5 on: April 06, 2012, 10:13:16 AM »
Reply with quote
बहूत खूब लिखा भाई ख्वाइश,..बधाइयाँ, Thumbs UP

@ qalb ji मेरे ख़याल से ख्वाइश जी ने यहाँ "सेहरा" जिसका मतलब रेगिस्तान होता है वो लिखा है ना की "दूल्हे वाला सेहरा" अब शायद आपको पढ़ने मे ठीक लगेगी,  Usual Smile Usual Smile
Logged
khujli
Guest
«Reply #6 on: April 06, 2012, 10:16:51 AM »
Reply with quote
बहूत खूब लिखा भाई ख्वाइश,..बधाइयाँ, Thumbs UP

@ qalb ji मेरे ख़याल से ख्वाइश जी ने यहाँ "सेहरा" जिसका मतलब रेगिस्तान होता है वो लिखा है ना की "दूल्हे वाला सेहरा" अब शायद आपको पढ़ने मे ठीक लगेगी,  Usual Smile Usual Smile

janaab sarr per rigistaan( sehra) nahin hota. bilkul hee clear nahin hai. shayad aap behtar unke sher ko explain kar lein. per mere liye mush kil hai. agar registaan wale seherey se muraad hai to phir sher ko iss tarah se likhna chahiye kee logical lage.
shukriya
Usual Smile Usual Smile Usual Smile Usual Smile Usual Smile Usual Smile Usual Smile
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006

View Profile
«Reply #7 on: April 06, 2012, 10:24:09 AM »
Reply with quote
lajawab .....aapke liye sirf main yahi kar sakta hoon...........

 icon_salut icon_salut icon_salut icon_salut icon_salut
  notworthy notworthy notworthy notworthy notworthy

Thankyou Sooooooooooo Much!!!!!

Aapne Apna Waqt Diya Yeh jaankar behad Khushi Hui Hai..

 icon_flower icon_flower icon_flower
Logged
bekarar
Poetic Patrol
Yoindian Shayar
******

Rau: 4
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
53 days, 9 hours and 51 minutes.

Posts: 3738
Member Since: Oct 2005

View Profile
«Reply #8 on: April 06, 2012, 10:30:20 AM »
Reply with quote
@ qalb, ha ha ha baat to sahi hai aapki, kambakht mere sar pe registaan hai  Laughing hard, ab bhai khwaish hi iska koi jawab denge......
Logged
sarfira
Guest
«Reply #9 on: April 06, 2012, 10:39:00 AM »
Reply with quote
Toot Jaata Hai Gareebi Mein Aksar
 Woh Rishta Jo Khaas Hota Hai....
Paraye Bhi Apne Ho Jaate Hai!!!!!
Jab Paisa Paas Hota Hai..

              ~~Khwaish~~

Yeh Tajurba Kar Ke Bhi Dekh Liya...!!!!!!!!!
Apni Mushkilon Mein Koi Saath Tehra Naa Tha

Main Jisse Meri Duniya Ka Maalik Samaj Baitha.!!!!!!!
Usse Nazdeek Se Dekha To Uska Ka Koi Chehra Naa Tha

Waqt Ke Mutaabik Logon Ki ZaroorateiN Badalti Hai..!!!!!
Jahan MushkileN Thi Wahan, Apno ka Koi Pehra naa Tha

Zakhm Mile Hai To Iski Dawaa Bhi Zaroor Milegi..!!!!!!
Apno Ke Zakhmon Se Badhkar,Koi Zakhm Itna Gehra Naa Tha

Meri Kamzoriyon Ko Kisi Ki Bulandiyon Se Naa Tattolo..!!
Yaad Rakho,Uske Sar Par Majbooriyon ka Sehra Naa Tha

Mujhe Khud par Fakr hai Ke Main Zindagi Se Haara Nahi..!!
"Khwaish"Chalta Raha...Halaat Se Darr Kar Kabhi Tehra Naa Tha

                ~~~~~Khwaish~~~~~

waah Khwaish ji
kamaal ki post hai
bht bht bht khoob
daad daad daad

khus rahie
muskurate rahie
Logged
Kohinoor
Guest
«Reply #10 on: April 06, 2012, 10:47:15 AM »
Reply with quote
Accha likha hai bhai ji aapne
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006

View Profile
«Reply #11 on: April 06, 2012, 10:48:22 AM »
Reply with quote
Bahut sundar.
Or ati sundar kalam h.

Aapka Bahut bahut shukriya parvana ji icon_flower icon_flower
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006

View Profile
«Reply #12 on: April 06, 2012, 10:49:34 AM »
Reply with quote
bahut khoob khwaish jee  bakhoobi bayaan kiya hai aapne.  nothing goes ur way when bad time starts and then one can feel what u have expressed. Keep it up. 

Thankyou Soooooo Much For The Appreciation Mukesh ji

Very True.. Clapping Smiley Clapping Smiley icon_flower icon_flower
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006

View Profile
«Reply #13 on: April 06, 2012, 11:00:14 AM »
Reply with quote
khayal thik hain. per janaah tak meree samajh jaatee hai sehra hamesha khushee ka symbol hai majbooree se wabasta nahin hai.sirf qafiye ko milaane se hee ghazal nahin hotee janaab

 secondly, aap shayad thahera yanee (rukaa)likhna chahate hoon ye 'tehra' sahee nahin hai likhna. please correct kar lein.
Usual Smile Usual Smile Usual Smile

Ji Qalb Ji Main jaanta Hoon "Sehra" Khushiyon Ka Prateek Hota Hai Aur Shayad Iss Liye Maine Uss Ashaar mein Yeh Baat Kahee Thi..

"Meri Kamzoriyon Ko Uski Bulandiyon Se Naa Tattolo..!!!
 Yaad Rakho, usske Sar Par majbooriyon Ka Sehra Naa Tha"

Yeh Sher Hi Apne Aap Mein Ek "Comparison" Wale Feelings Rakhta Hai, Ke Jo Khush Hai Uske Sar Par Koi Majbooriyan Nahi Thi..Woh Khushiyon Ka Sehra Pehna Tha..Yaad Rakho uske Sar Par Koi Majbooriyon Se Bhara Sehra Naa Tha.."

Shayad Aap Iss Explaination Se Naa-Khush Ho, Par Qalb jee Main Kehna To yehi Chaahta Tha..Aage Agar Aap Ko Bhi Aur Bhi explanation Ki zaroorat Ho to Mujhe P.m Kijiye.... icon_flower icon_flower icon_flower icon_flower
Logged
khujli
Guest
«Reply #14 on: April 06, 2012, 11:11:33 AM »

KHAWAISH JEE, PM KARNE KEE KOEE ZARURAT NAHIN HAI.

 AAP AB BHEE IS SHER KO APNE NAZARIYE SE HEE DEKH RAHE HAIN. AB BHEE BAAT CLEAR NAHIN HAI. AAP GHAUR SE ISS SHER PE NAZARDHYAANEE DEIN. AUR AISA LIKHEIN KEE BAAT WAAZEY HO.!!! AAGE AAP KEE MARZEE. AAP BADE SHAYAR HAIN AUR MAIN TOH ABHEE IS MAIDAAN MEIN NAYAA HOO.N
icon_flower icon_flower icon_flower icon_flower

           YAAD RAKH MERE SARR PE KHUSHIYON KA SEHRA NAA THA
Logged
Pages: [1] 2 3  All
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.

Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
January 24, 2025, 11:16:03 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[January 19, 2025, 05:59:15 PM]

[January 19, 2025, 05:47:49 PM]

[January 10, 2025, 09:46:05 AM]

[January 10, 2025, 09:45:14 AM]

[January 08, 2025, 08:30:59 AM]

[January 08, 2025, 08:29:31 AM]

[January 05, 2025, 08:51:01 AM]

[January 05, 2025, 08:45:11 AM]

[January 05, 2025, 08:44:20 AM]

[January 05, 2025, 08:43:28 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.153 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer