"Khwaish" Woh jeena Bhi Aakhir Kya Jeena Hai!!!!!

by khwaish on January 05, 2011, 09:12:31 AM
Pages: [1] 2  All
ReplyPrint
Author  (Read 8934 times)
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
Reply with quote
Jab Gareebi Thi,Tab Masti Thi
Beshak Naa Meri Koi Hasti Thi..

Shohrat Aur Paisa Paas Aaya To,
Main Inn Dono Ka Ho Baitha
 
Hasti Banane Ke Chakkar Mein
main Masti Apni Kho Baitha...

            ~~~~~Khwaish~~~~~

Kehte Hai Insaan ki Khwaishe kabhi Khatam Hi Nahi Hoti,
Zaroorate Waqt Ke Mutaabik Poori Ho sakti Hai
Par Insaan Ki Har Khwaish Nahi..
Mirza Ghalib Saheb ne Bhi Yeh Sher Arz Kiya Tha..

"Hazaaro Khwaishe Aisi ke Har Khwaish Pe Dum Nikle
  Bahut Nikle mere Armaan Phir Bhi kam Nikle"


main Yeh Nazm Har Uss Shaks Tak Pahunchaana Chaahta Hoon,
Jo Apni Zindagi Ko "Perfect" banane Ki Aarzoo mein Zindagi Ko
Jeena Hi bhool Jaate Hai..Kuch Khud-Beeti To Kuch Jag-Dekhi Baatein Likh
Raha Hoon,Aap sab Se Guzaarish Hai Iss Nazm Ko Padhkar Sirf Comment Na Dijiye,
Par Dil Se Nikle Kuch lafzon Se Apna Haal-e-dil Bayaan Kijiye..Shukriya




Phool Se Khusboo, Labon Se Muskurahat Cheen Li
Meri khwaisho Ne Meri Khilkilahat Cheen Li..

Ab Mujh Mein Nahi Woh pehle Wali Koi Baat!!!
Geet Hai labon Pe,Par Zindagi Ki Tez Raftaar mein,
Labon Se Gunguunahat Cheen Li

Mujhko Jin Kadmo Ka Raha Zindagi Bhar Ek Intezaar!!!
Woh Mere Darwaaze par Aaye bhi,Par Kisi ne Unki Aahat Cheen li

Ek Daur tha Jab Apno se Bichadkar Hum Mar Jaate The,
Ab Apno Se Bichadkar Bhi Dil Be-Dhaadak Dhadakta Hai!!!
Guzarte Waqt Ne Dil Se Dil Ki Thartarahat Cheen Li...

Ab Naa Koi Chiti Inn Aankhon Ko Rulati Hai
Aur Naa Hi Kisi Ki Be-sabab Yaad Aati Hai!!
Rishto Se Jo Milti Thi,Woh Khushi,Woh Raahat Cheen Li

Parindo Ki Tarah Aasman ko Chune Ki Khwaish Naa kar!!!
Waqt Ki Tez Aandhiyon Ne Paro Ki Bhi Phadpadahat Cheen Li..

"Khwaish" Woh jeena Bhi Aakhir Kya Jeena Hai!!!
Jisne Jeene ki Aarzoo Mein Jeene Tak Ki Ki Chaahat Cheen li...

                 ~~~~~Khwaish~~~~~
Logged
AbhiTamrakar
Guest
«Reply #1 on: January 05, 2011, 09:17:45 AM »
Reply with quote
waaah khwaish bhai..

bahut khoob...gehri anubhooti darshati hui poem hai..

dhers aari daad~
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #2 on: January 05, 2011, 10:22:10 AM »
Reply with quote
waaah khwaish bhai..

bahut khoob...gehri anubhooti darshati hui poem hai..

dhers aari daad~

Aapne Apna keemti Waqt Diya Abhi Ji, Aapka Teh Dillll Se Shukriya
Logged
Rahi2001
Maqbool Shayar
****

Rau: 1
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
5 days, 19 hours and 8 minutes.

ミ★яαнι★彡¤ℓσνє¤ ●๋•кιηg σƒ ωαソ●๋•

Posts: 745
Member Since: Nov 2008


View Profile WWW
«Reply #3 on: January 05, 2011, 10:40:42 AM »
Reply with quote
sahi kaha hai aapne khwaish ji

shaayd ye jindagi ki wo hakiqat hai jisse ham sab ko rubaru rahna chahiye aur paison ke chhakkar me apni jindagi ko khone se bachna chahiye

 Applause Applause Applause Applause

aap ki is rachna par jo bolon so kam hai sir taliyon se bhi kaam nahi hoga ye sirf formality hai

baki sab band juban se samjh jao aap
Logged
Matrix Guy
Guest
«Reply #4 on: January 05, 2011, 11:00:15 AM »
Reply with quote
khwaish ji.........bahot hi umda feelings he ya kah lo ki bahot alag theme he apki is potery me......last and second last para is mindblowing.....ekdum satik sidha nishane per.....4 - 5 baar read kar li he post mene.....shayad sabse pahle mene hi ki thi...

ek baat kahna chahunga khwaish ji......apki bahot si poetry read ki he...maaf kijiyega aaj jo apne likha he wo unke level ka nahi laga.....words aur bhi aache ho sakte he......theme bht bht hi aachi he..........jane kyu samaj nahi aa raha...... kuch missing he ....apki post padte hi jo clik hota he wo nahi hua.....
Logged
dead heart
Guest
«Reply #5 on: January 05, 2011, 11:33:45 AM »
Reply with quote
Dost, apki har nazm kuch naya dikha jati hai aur seekha jati hai..
Bahaut bahaut khubsoorat likha hai apne..
Dil choo liya apne..
yeh main dil ki gehrayion se kehta hoon har baar: "You are my favourite writer here.."
 Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley
Khush rahiye..!
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #6 on: January 05, 2011, 01:10:16 PM »
Reply with quote
sahi kaha hai aapne khwaish ji

shaayd ye jindagi ki wo hakiqat hai jisse ham sab ko rubaru rahna chahiye aur paison ke chhakkar me apni jindagi ko khone se bachna chahiye

 Applause Applause Applause Applause

aap ki is rachna par jo bolon so kam hai sir taliyon se bhi kaam nahi hoga ye sirf formality hai

baki sab band juban se samjh jao aap

Raahi Ji, Kuch Bhi Naa Kehkar Bahut Kuch Keh Gaye Aap!!!

Aapne iss rachna ko dil se padha,yeh jaankar behad Khushi Hui Hai..

Sirf Paise Kamane Ki baat nahi Yahan insaan Dil mein Itni Khwaishe Paal leta Hai, ke bas Unn Khwaisho Ko Mukammal karne Ki daud mein Apni Zindagi ke Khoobsurat pal Gawa Deta Hai..

Issi Soch Par Kuch Likhne Ki Koshish Ki hai..Aapka Teh Dil se Shukriya Jo Aapne Isse Saraha.. icon_flower
Logged
brokenbyluv
Guest
«Reply #7 on: January 05, 2011, 02:33:40 PM »
Reply with quote
Jab Gareebi Thi,Tab Masti Thi
Beshak Naa Meri Koi Hasti Thi..

Shohrat Aur Paisa Paas Aaya!!!!
Main Inn Dono Ka Ho Baitha
 
Hasti Banane Ke Chakkar Mein
main Masti Apni Kho Baitha...

            ~~~~~Khwaish~~~~~

Kehte Hai Insaan ki Khwaishe kabhi Khatam Hi Nahi Hoti,
Zaroorate Waqt Ke Mutaabik Poori Ho sakti Hai
Par Insaan Ki Har Khwaish Nahi..
Mirza Ghalib Saheb ne Bhi Yeh Sher Arz Kiya Tha..

"Hazaaro Khwaishe Aisi ke Har Khwaish Pe Dum Nikle
  Bahut Nikle mere Armaan Phir Bhi kam Nikle"


main Yeh Nazm Har Uss Shaks Tak Pahunchaana Chaahta Hoon,
Jo Apni Zindagi Ko "Perfect" banane Ki Aarzoo mein Zindagi Ko
Jeena Hi bhool Jaate Hai..Kuch Khud-Beeti To Kuch Jag-Dekhi Baatein Likh
Raha Hoon,Aap sab Se Guzaarish Hai Iss Nazm Ko Padhkar Sirf Comment Na Dijiye,
Par Dil Se Nikle Kuch lafzon Se Apna Haal-e-dil Bayaan Kijiye..Shukriya




Phool Se Khusboo, Labon Se Muskurahat Cheen Li
Meri khwaisho Ne Meri Khilkilahat Cheen Li..

Ab Mujh Mein Nahi Woh pehle Wali Koi Baat!!!
Geet Hai labon Pe,Par Tez Zindagi Ne
Labon Se Gunguunahat Cheen Li

Mujhko Jin Kadmo Ka Raha Zindagi Bhar Ek Intezaar!!!
Woh Mere Darwaaze par Aaye bhi,Par Kisi ne Unki Aahat Cheen li

Ek Daur tha Jab Apno se Bichadkar Hum Mar Jaate The,
Ab Apno Se Bichadkar Bhi Dil Be-Dhaadak Dhadakta Hai!!!
Guzarte Waqt Ne Dil Se Dil Ki Thartarahat Cheen Li...

Ab Naa Koi Chiti Inn Aankhon Ko Rulati Hai
Aur Naa Hi Kisi Ki Be-sabab Yaad Aati Hai!!
Rishto Se Jo Milti Thi,Woh Khushi,Woh Raahat Cheen Li

"Khwaish" Parindo Ki Tarah Aasman ko Chune Ki Khwaish Naa kar!!!
Waqt Ki Tez Aandhiyon Ne Paro Ki Bhi Phadpadahat Cheen Li..

"Khwaish" Woh jeena Bhi Aakhir Kya Jeena Hai!!!
Jisne Jeene ki Aarzoo Mein Jeene Tak Ki Ki Chaahat Cheen li...

                 ~~~~~Khwaish~~~~~


Ki kawan khwaish ji lafz hi nhi raye tuadi nazm nu padhkar...ik hi gal kawangi dil tou nikli gal dil tak pahuch gyi..

Mujhko Jin Kadmo Ka Raha Zindagi Bhar Ek Intezaar!!!
Woh Mere Darwaaze par Aaye bhi,Par Kisi ne Unki Aahat Cheen li

Ye do line khaas dil chhu gyi...bahut wadiya ji...

Logged
abdbundeli
Guest
«Reply #8 on: January 05, 2011, 02:50:00 PM »
Reply with quote

Jab Gareebi Thi,Tab Masti Thi
Beshak Naa Meri Koi Hasti Thi..

Shohrat Aur Paisa Paas Aaya!!!!
Main Inn Dono Ka Ho Baitha
 
Hasti Banane Ke Chakkar Mein
main Masti Apni Kho Baitha...

            ~~~~~Khwaish~~~~~

Kehte Hai Insaan ki Khwaishe kabhi Khatam Hi Nahi Hoti,
Zaroorate Waqt Ke Mutaabik Poori Ho sakti Hai
Par Insaan Ki Har Khwaish Nahi..
Mirza Ghalib Saheb ne Bhi Yeh Sher Arz Kiya Tha..

"Hazaaro Khwaishe Aisi ke Har Khwaish Pe Dum Nikle
  Bahut Nikle mere Armaan leykin Phir Bhi kam Nikle"



main Yeh Nazm Har Uss Shaks Tak Pahunchaana Chaahta Hoon,
Jo Apni Zindagi Ko "Perfect" banane Ki Aarzoo mein Zindagi Ko
Jeena Hi bhool Jaate Hai..Kuch Khud-Beeti To Kuch Jag-Dekhi Baatein Likh
Raha Hoon,Aap sab Se Guzaarish Hai Iss Nazm Ko Padhkar Sirf Comment Na Dijiye,
Par Dil Se Nikle Kuch lafzon Se Apna Haal-e-dil Bayaan Kijiye..Shukriya




Phool Se Khusboo, Labon Se Muskurahat Cheen Li
Meri khwaisho Ne Meri Khilkilahat Cheen Li..

Ab Mujh Mein Nahi Woh pehle Wali Koi Baat!!!
Geet Hai labon Pe,Par Tez Zindagi Ne
Labon Se Gunguunahat Cheen Li

Mujhko Jin Kadmo Ka Raha Zindagi Bhar Ek Intezaar!!!
Woh Mere Darwaaze par Aaye bhi,Par Kisi ne Unki Aahat Cheen li

Ek Daur tha Jab Apno se Bichadkar Hum Mar Jaate The,
Ab Apno Se Bichadkar Bhi Dil Be-Dhaadak Dhadakta Hai!!!
Guzarte Waqt Ne Dil Se Dil Ki Thartarahat Cheen Li...

Ab Naa Koi Chiti Inn Aankhon Ko Rulati Hai
Aur Naa Hi Kisi Ki Be-sabab Yaad Aati Hai!!
Rishto Se Jo Milti Thi,Woh Khushi,Woh Raahat Cheen Li

"Khwaish" Parindo Ki Tarah Aasman ko Chune Ki Khwaish Naa kar!!!
Waqt Ki Tez Aandhiyon Ne Paro Ki Bhi Phadpadahat Cheen Li..

"Khwaish" Woh jeena Bhi Aakhir Kya Jeena Hai!!!
Jisne Jeene ki Aarzoo Mein Jeene Tak Ki Ki Chaahat Cheen li...

                 ~~~~~Khwaish~~~~~


Phool Se Khusboo, Labon Se Muskurahat Cheen Li
Meri khwaisho Ne Meri Khilkilahat Cheen Li..


Bahut sahee kahaa hai aapney! Khwaahishoun ki koyee 'seemaa' nahin hotee! Par, yah bhi sach hai, ki, 'khwaahisheyn' na hoteen, to, aaj insaan jis maqaam par jaa pahunchaa hai, kabhee bhi na pahunch paataa! Khwaahisheyn zindagee mein rawaanagee laateen hain, taazagee laateen hain! Unhain 'disciplined' karney ki zaroorat hameyshaa rahtee hai: nahin to mushkilen hi mushkileyn hain! Aapney 'mukt chhand' mein khoob likhaa hai; aur beshqeematee likhaa hai!

             - abd bundeli  

 



Logged
SURESH SANGWAN
Guest
«Reply #9 on: January 05, 2011, 06:03:58 PM »
Reply with quote
waah khwaishji icon_flower Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley mazaa aa gaya par ek baat mere mann mein bhi aa rahi hai.



gareebi mein kaisi masti.
ghat jati hai neend,badh jati hai bhookh.
nadiya ,saagar,jheel jharne to kya.
aankhon ka pani bhi jata hai sookh.

 
[/size]
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #10 on: January 07, 2011, 01:15:14 PM »
Reply with quote
khwaish ji.........bahot hi umda feelings he ya kah lo ki bahot alag theme he apki is potery me......last and second last para is mindblowing.....ekdum satik sidha nishane per.....4 - 5 baar read kar li he post mene.....shayad sabse pahle mene hi ki thi...

ek baat kahna chahunga khwaish ji......apki bahot si poetry read ki he...maaf kijiyega aaj jo apne likha he wo unke level ka nahi laga.....words aur bhi aache ho sakte he......theme bht bht hi aachi he..........jane kyu samaj nahi aa raha...... kuch missing he ....apki post padte hi jo clik hota he wo nahi hua.....

Matrix ji, Koi kavita Agar 4 se 5 Baar Padhi Jaaye To Wohi Uss Kavita Ka Sabse Bada Inaam Hoga..Aapne Apna Waqt Diya,Teh Dil Se Shukriya Aapka

Aur matrix Ji Main Khaas Kar Iss Leh mein Likhna Chaahta tha..As a Poet Mujhe Yeh Izhaar Karna Tha Ke Mujhse Zindagi Ne Yaa meri badhti Tamanayon Ne Mujhse  bahut Si cheeze "Cheeni Li"

Jaise Ke Maine Likha Hai..Muskurahat Cheen Li, khilkilahat Cheen Li, Guungunahat Cheen Li......

Main Maanta Hoon Agar main kisi Aur Leh Mein Likhta Tha To uss Theme par Aur Bhi Baatein Likh Sakta Tha,Par Jo Dil Ne kaha Wahi Likhta Gaya..Koshish Zaroor Rahegi Ki Aapki Umeedo Pe Main Humesha Khara Utru..

Aapne Apna Waqt Diya Teh Dil Se Aapka Shukriya icon_flower
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #11 on: January 07, 2011, 01:19:43 PM »
Reply with quote
Dost, apki har nazm kuch naya dikha jati hai aur seekha jati hai..
Bahaut bahaut khubsoorat likha hai apne..
Dil choo liya apne..
yeh main dil ki gehrayion se kehta hoon har baar: "You are my favourite writer here.."
 Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley
Khush rahiye..!

Mere Dost, Mere Bhai Rahim, Aapka tehhhhhhhhhhhhhh Dilllllllllllllllll Se Shukriya..Bhai Rahim, Main kaun Hota Hoon Kuch Seeekhane Wala, Zindagi Khud Bahut Si cheeze Seekha Jaati Hai..

Agar Meri koi nazm Aapke Dil Ko chuuti Hai,To Mujhe Aur Kya Chaahiye..

Izzat-Afzaai Ke liye Dil-0-jaan se Shukriya Mere Bhai.. notworthy notworthy notworthy notworthy notworthy
Logged
ek_tamanna
Guest
«Reply #12 on: January 07, 2011, 02:25:31 PM »
Reply with quote
nice creation ji
dil se daad
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #13 on: January 07, 2011, 03:07:51 PM »
Reply with quote
Ki kawan khwaish ji lafz hi nhi raye tuadi nazm nu padhkar...ik hi gal kawangi dil tou nikli gal dil tak pahuch gyi..

Mujhko Jin Kadmo Ka Raha Zindagi Bhar Ek Intezaar!!!
Woh Mere Darwaaze par Aaye bhi,Par Kisi ne Unki Aahat Cheen li

Ye do line khaas dil chhu gyi...bahut wadiya ji...



geetji, Humesha Di Tarah, Tuada teh Dil To Shukarguzaar Haan..

Humesha Inj hi Saath dende Reha Karo...Rab Raakha!!!!! icon_flower
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #14 on: January 08, 2011, 08:07:33 AM »
Reply with quote
nice creation ji
dil se daad

Aap Ka Tehhh Dilll Se Shukriya Tamanna Ji.. icon_flower
Logged
Pages: [1] 2  All
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 24, 2024, 02:09:07 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 21, 2024, 09:01:29 AM]

[November 16, 2024, 11:44:41 AM]

by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.145 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer