kis maatam se ubar aaya hai ye insaan... Intezar !

by Intezar on November 13, 2010, 08:04:22 PM
Pages: [1]
ReplyPrint
Author  (Read 1250 times)
Intezar
Guest
Reply with quote
         ek koshish us wakt ke haalaat par... jab azaadi ke baad humare desh mein
sarhad banaa di gayi thi us wakt ke majboor insaan ka dard likhne ki ek adhoori koshish ki hai humne... !


   Banaa kar sarhade baant diya logo ko bhi kuch Siyayast daaro ne
   Machaa kar qatle aam thamaa diya hume bhi khanjar gunehgaaro ne

   Wo ho gaye khuda jinko thi karni apne watan par kabhi khudaayi
   Par na jaana kabhi ki zindagi ko kaise behlaaya kismat ke maaro ne

   Na jaane kaun si kaum hai ye jo lahoo bahaana chahati hai sabka
   Ab tak to kisi majhab me suna nahi kissa jaan ki azmaayish ka

   Le kar saamaan kuch jeene ka,tay kiya safar hazaaro meel ka sabne
   Bad iske bhi kya hua haasil, unhe mila bhi to  naam muzaahid ka

   Aankho me aansuo ka sailaab liye, dil me apne ghar ki yaad liye,
   Mitti se apni door chala har insaan hokar  shikaar kisi saazish ka

   Kis maatam se ubar aaya hai ye insaan ki ab aansu bhi na behte hain
   Kaheen door waadiyon mein wo jala aaya hai mahal apni khwaahish ka

   Ab toot bhi jaayen to kya rishta hai, kya gham kisi se door jaane ka
   patthar hogayi hain aankhen dekh kar silsila laasho ki numaayish ka,

   ek dusre ke seene se lag kar ro le ek baar jinhe chhod aaye kahin door
   hai isi Intezar mein har insaan, khatam karo silsila lahoo ki baarish ka…!


                                                    Shukriya
                                                    Intezar !
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Pyar aaya ishq aaya,Aur aaya intzaar by pankaj_pups in Shayri for Khumar -e- Ishq
Khud Ke Liye Maatam Mana Rahi Hu...!!! by Delicate_Doll in Shayri-E-Dard « 1 2 ... 6 7 »
maatam-e-mohabbat by tishnagi in Shayri-E-Dard
Zindagi ko halaaton ka insaan nahi, insaan sa banana by @kaash in Tanziya aur Tehreekbaksh Shayariyan
Khaali mutthi aaya insaan ! by shara63 in Shairi - E - Zindagi « 1 2  All »
madhuwesh
Guest
«Reply #1 on: November 14, 2010, 01:38:47 AM »
Reply with quote
Bahut hi khoob Intezar ji,heart touching  great creation,hats off icon_thumleft Applause Applause Applause Applause Applause
Logged
ParwaaZ
Guest
«Reply #2 on: November 14, 2010, 03:39:35 PM »
Reply with quote
Janab Intezaar sahab Aadaab!

Kia baat hai janab bahot hi umdaa ashaar kahe hai.....
Kafi tadakte fadakte aur dil se nikle huye ashaar lagte hai ... Waah janab bahut khoob.... Daad Hazir hai.....

Haan kuch tip dena chaheNge ... waise hum koi shayar wayar nahi hai. par jitna shayari ko samjhe hai aur jaise shayari ki jati hai us hisab se kaheNge ke radiff aur kafiye ko samjhiye.. aur us hisab se likhiye aapki kalaam Masha Allah behad khub rang dikhayeNgi..

Chunki aapke khayaaloN meiN behad gehrai hai ...
Dil se daad kabool farmaiye....

Khush O aabad rahiye...
Khuda Hafez....... Usual Smile        

Logged
yasmeen khan
Guest
«Reply #3 on: November 14, 2010, 05:25:51 PM »
Reply with quote
bahoot hi dil ko chho lenewale ashaar h aapke Aisa laga jaise aapne khud is derd ko mahsoose kiya h Keep writting
Logged
Intezar
Guest
«Reply #4 on: November 14, 2010, 07:59:33 PM »
Reply with quote
shukriya madhuwesh ji... tahe dil se shukriya !

Intezar !
Bahut hi khoob Intezar ji,heart touching  great creation,hats off icon_thumleft Applause Applause Applause Applause Applause
Logged
Intezar
Guest
«Reply #5 on: November 14, 2010, 08:01:51 PM »
Reply with quote
Parwaaj sahab aap ko har baar aap ki har baat hume har baar kubul ki aur is baar bhi... har cheez kya khayal rakha jaayega.. bas ye samajhiye ki is creation mein aisa hi kuch ho gaya jo bhi ho gaya...
aap huyi saath banaaye rehiye... aur aap ka shukriya har baar ki tarah dil se shukriya !

Intezar

Janab Intezaar sahab Aadaab!

Kia baat hai janab bahot hi umdaa ashaar kahe hai.....
Kafi tadakte fadakte aur dil se nikle huye ashaar lagte hai ... Waah janab bahut khoob.... Daad Hazir hai.....

Haan kuch tip dena chaheNge ... waise hum koi shayar wayar nahi hai. par jitna shayari ko samjhe hai aur jaise shayari ki jati hai us hisab se kaheNge ke radiff aur kafiye ko samjhiye.. aur us hisab se likhiye aapki kalaam Masha Allah behad khub rang dikhayeNgi..

Chunki aapke khayaaloN meiN behad gehrai hai ...
Dil se daad kabool farmaiye....

Khush O aabad rahiye...
Khuda Hafez....... Usual Smile         


Logged
Intezar
Guest
«Reply #6 on: November 14, 2010, 08:02:55 PM »
Reply with quote
yasmeen ji aapka bahut bahut shukriya... khush rahiye...  bahut saara shukriya !

Intezar !

bahoot hi dil ko chho lenewale ashaar h aapke Aisa laga jaise aapne khud is derd ko mahsoose kiya h Keep writting
Logged
AbhiTamrakar
Guest
«Reply #7 on: November 15, 2010, 11:11:01 AM »
Reply with quote
bahut badhiya...ji..dher  saaari daad~

ek baat share karna chahuga yahan..

us waqt ke kashmir ke raja ya kahen jo bhi leader the unhone bahut koshish ki apni akhiri saans tak ki bantwara na ho..
or Desh ki kismat bhi dekho hamare paas aise aise SO CALLED " MAHAAN MAHATMA LOG" the jinke ek bar kehene se poori awaam chupchap man jati or shayad bantwara na hota par unhone kisi ko nahi roka....uske bad ki sari khoon ki nadiya or aaj tak chhoti chhoti baton par hone wale dange marte masoom log..kya kya nahi dekha hamne in khokhle siyasatdaron ke karan...or aaj bhi wahi manzar jaari hai...
Logged
Intezar
Guest
«Reply #8 on: November 15, 2010, 11:13:38 AM »
Reply with quote
Shukriya Abhi ji...

aur aapne sahi baat kahi hai.. ki aaj bhi wahi manjar hai thamaa kuch bhi nahin hai... har maasoom jaan aaj bhi khauf mein jee rahi hai... aapne ise dil se padha iske liye dhere saara shukriya abhi ji...!

Intezar !
Logged
*KasaK*....Dil Ki
Poetic Patrol
Umda Shayar
*

Rau: 19
Offline Offline

Gender: Female
Waqt Bitaya:
67 days, 9 hours and 25 minutes.
"I hv a prsnality wch evrybdy cn't handle

Posts: 5603
Member Since: Jun 2010


View Profile
«Reply #9 on: November 22, 2010, 06:42:06 PM »
Reply with quote
intezar ji.......kya khub likha hai aapne..partition k dard aur yahan wahan k bichde hue logon ka dard kya khub bayaan kiya hai tumne
bht hi achche sher likhe hain aur puri rachna ki to baat hi alag hai..heart touching poem intezar ji
Logged
Intezar
Guest
«Reply #10 on: November 22, 2010, 06:47:22 PM »
Reply with quote
Shukriya Kasak ji... bahut bahut shukriya... !
dard aap ko samajh aaya bas yahi mera maksad tha is poem ke zariye ki logo tak us haalaat ka manzar saamne aaye...

Intezar !

intezar ji.......kya khub likha hai aapne..partition k dard aur yahan wahan k bichde hue logon ka dard kya khub bayaan kiya hai tumne
bht hi achche sher likhe hain aur puri rachna ki to baat hi alag hai..heart touching poem intezar ji
Logged
Pages: [1]
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 14, 2024, 04:12:12 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:55:06 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 06:58:58 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.12 seconds with 26 queries.
[x] Join now community of 8508 Real Poets and poetry admirer