Kuch Daur Mushkil Se Hi Sahi Par Guzar Gaye "Khwaish"

by khwaish on September 15, 2010, 08:05:22 AM
Pages: [1] 2 3  All
ReplyPrint
Author  (Read 6184 times)
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
Reply with quote
Ashq Palkon Se Jo utar Gaye
Kuch Daur Mushkil Se Hi sahi Par Guzar gaye

Giraft-e-Gham Mein Qaid Rahe Kuch Pal
Guzarte Waqt ke Saath Woh pal Bhi sawar gaye..

Chot Khaane Par Aakhir Shikayat Kyon..
Chot khaakar Hi To, Hum Ab Sambhal gaye..

Jin Apno Ke saaye Mein Khud Ko mehfooz Samajhte Rahe,
Bure waqt Par Woh Saaye, Naa Jaane Kidhar Gaye...

Khud Ko Har Mehfil ki Jaan Aur Shaan Samajhne Wale
Tanhai Mein Apni Hi Parchaai Se Darr gaye...

 Apni Zindagi Ka Yehi Falsafa Hai
Kuch umeed Ke chirag Bhujte Rahe To kuch Jal gaye...

Yeh Zindagi Ki Haqeeqat Hai Ke
 Umar-e-Rafta Kabhi Lauthti Hi Nahi!!!
Kuch Khwaab Ko Saansein Naseeb Hui
To Kuch Khwaab Tootkar Bikhar Gaye

Kuch Daur Mushkil Se Hi Sahi Par Guzar Gaye...............


              ~~~~~Khwaish~~~~~~
Logged
AbhiTamrakar
Guest
«Reply #1 on: September 15, 2010, 08:09:51 AM »
Reply with quote
khwahish jiii bolne ke liye shabda nahi he isiliye kuchh dil ki keheta hun~

yun to thokron ne chalna skha diya mujhe
warna begairat ghutno pe chalna hi bhaya karta tha~
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #2 on: September 15, 2010, 08:18:17 AM »
Reply with quote
khwahish jiii bolne ke liye shabda nahi he isiliye kuchh dil ki keheta hun~

yun to thokron ne chalna skha diya mujhe
warna begairat ghutno pe chalna hi bhaya karta tha~


Dil Se Daad!!! Bahut Hi Gehri Aur Sachi baat kahi hai Aapne Iss Sher Mein.. Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley

Bahut Waqt Pehle Ek kavita Likhi Thi, Jo Dil Ke sabse kareeb Hai..Aapka Yeh sher Padehkar Uss Kavita Ko Phir Yaad Kar raha Hoon..

Shukriya... icon_flower
Logged
AbhiTamrakar
Guest
«Reply #3 on: September 15, 2010, 08:21:21 AM »
Reply with quote
Dil Se Daad!!! Bahut Hi Gehri Aur Sachi baat kahi hai Aapne Iss Sher Mein.. Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley

Bahut Waqt Pehle Ek kavita Likhi Thi, Jo Dil Ke sabse kareeb Hai..Aapka Yeh sher Padehkar Uss Kavita Ko Phir Yaad Kar raha Hoon..

Shukriya... icon_flower


shukriya sirjiii...

umeed karta hun apki wo kavita jald hi padhne milegi~
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #4 on: September 15, 2010, 10:04:14 AM »
Reply with quote
shukriya sirjiii...

umeed karta hun apki wo kavita jald hi padhne milegi~

Abhi Ji..Teh Dil Se Shukriya Jo Aapne Apna Waqt Diya..

Uss Kavita Ka Naam hai "Waqt Ne Jeena Sikha Diya"

Bahut Jald Uss Kavita Ko Aap sab ke Beech Launga.. icon_flower
Logged
AbhiTamrakar
Guest
«Reply #5 on: September 15, 2010, 10:14:44 AM »
Reply with quote
intezar rahega hame apki kavita ka ....or waqt ka kya he jiii dene ki jarurat nahi aap jaise logo ko padhne ke liye kahin se bhi nikal liya karte he~
Logged
dead heart
Guest
«Reply #6 on: September 15, 2010, 10:48:24 AM »
Reply with quote
Khwaish Dost..

Apki har kavita ki tarha yeh bhi mere dil kay behad kareeb rahi..Dil choone wale ehsaas likhe hai apne..Har line jaise kahin na kahin meri zindagi se judi hui hai..Do lines toh main baar baar parrta raha:

"Jin apno ke saaye main khud ko mehfooz samajhte rahe,
Bure waqt main saaye, najane kidhar gaye.."

Dil se daad iss kavita par..!
Duaon kay saath..!

 Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley

Logged
dead heart
Guest
«Reply #7 on: September 15, 2010, 10:49:56 AM »
Reply with quote

yun to thokron ne chalna skha diya mujhe
warna begairat ghutno pe chalna hi bhaya karta tha~


Kya baat hai yaar..Maza agyaa..Gehri baat aur do lines main sab kuch kehjana..Bahaut khoob..!
Applause Applause
Logged
dead heart
Guest
«Reply #8 on: September 15, 2010, 10:50:56 AM »
Reply with quote
Dil Se Daad!!! Bahut Hi Gehri Aur Sachi baat kahi hai Aapne Iss Sher Mein.. Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley

Bahut Waqt Pehle Ek kavita Likhi Thi, Jo Dil Ke sabse kareeb Hai..Aapka Yeh sher Padehkar Uss Kavita Ko Phir Yaad Kar raha Hoon..

Shukriya... icon_flower


Apki kavita ka mujhe bhi bahaut be-sabri se intezar rahega Dost..!
Logged
SURESH SANGWAN
Guest
«Reply #9 on: September 15, 2010, 10:53:27 AM »
Reply with quote
khwaish ji bahut khoob kahin dil ki gehraiyon se uth kar aai hai ye ghazal.
excellent. Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley

the best lines r --kuch khwabon ko saanse naseeb hui kuch tootkar bikhar gaye.
really very touching.
Ashq Palkon Se Jo utar Gaye
Kuch Daur Mushkil Se Hi sahi Par Guzar gaye

Giraft-e-Gham Mein Qaid Rahe Kuch Pal
Guzarte Waqt ke Saath Woh pal Bhi sawar gaye..

"Khwaish" Chot Khaane Par Aakhir Shikayat Kyon..
Chot khaakar Hi To, Hum Ab Sambhal gaye..

Jin Apno Ke saaye Mein Khud Ko mehfooz Samajhte Rahe,
Bure waqt Par Woh Saaye, Naa Jaane Kidhar Gaye...

Khud Ko Har Mehfil ki Jaan Aur Shaan Samajhne Wale
Tanhai Mein Apni Hi parchaai Se Darr gaye...

"Khwaish" Apni Zindagi Ka Yehi Falsafa Hai
Kuch umeed Ke chirag Bhujte Rahe To kuch Jal gaye...

Yeh Zindagi Ki Haqeeqat Hai Ke Umar-e-Rafta Kabhi Lauthti Hi Nahi!!!
Kuch Khwaab Ko Saansein Naseeb Hui To Kuch Khwaab Tootkar Bikhar Gaye

Kuch Daur Mushkil Se Hi Sahi Par Guzar Gaye...............


              ~~~~~Khwaish~~~~~~

Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #10 on: September 15, 2010, 10:55:23 AM »
Reply with quote
Khwaish Dost..

Apki har kavita ki tarha yeh bhi mere dil kay behad kareeb rahi..Dil choone wale ehsaas likhe hai apne..Har line jaise kahin na kahin meri zindagi se judi hui hai..Do lines toh main baar baar parrta raha:

"Jin apno ke saaye main khud ko mehfooz samajhte rahe,
Bure waqt main saaye, najane kidhar gaye.."

Dil se daad iss kavita par..!
Duaon kay saath..!

 Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley



Bahut Bahut Shukriya Bhai Rahim!!!!

Aap Ne Iss Kavita Ke Bhaau Ko samjha, Isse baarikhi Se Padha,Yeh Jaankar bahut khushi hui hai..ba sYuhi Saath Humesha Dete Rahiyega..

Thankyou Sooooooooooooooooo Much For Your Appreciation!!! icon_flower
Logged
AbhiTamrakar
Guest
«Reply #11 on: September 15, 2010, 11:01:35 AM »
Reply with quote
Kya baat hai yaar..Maza agyaa..Gehri baat aur do lines main sab kuch kehjana..Bahaut khoob..!
Applause Applause


apko pasand aaya apka dhanyawad...

chup hote he lab mere fir bhi
kuchh labz kyun sunai dete he
me har dam muskurata hun fir bhi
ye aaine rote kyun dikhai dete he
Logged
dead heart
Guest
«Reply #12 on: September 15, 2010, 11:10:40 AM »
Reply with quote

apko pasand aaya apka dhanyawad...

chup hote he lab mere fir bhi
kuchh labz kyun sunai dete he
me har dam muskurata hun fir bhi
ye aaine rote kyun dikhai dete he


Oye hoye kya baat hai dost..! Applause Applause

Tajjub hai mujhe teri iss baat par 'Abhi',
Humne toh yehi suna tha kay aine jhoot bola karte hai.!
Logged
AbhiTamrakar
Guest
«Reply #13 on: September 15, 2010, 11:15:48 AM »
Reply with quote
shukriyaa dost..

yun to hamne bhi suna tha dost aaaine jhute hua karte he
magar fir kyu ye kambakhta mujhe mera hi dil dikhaya karte he
yakin na mujhe hota he na tumhe hoga mere dost
jhute log bhi kabhi khuda se milaya karte he~
Logged
dead heart
Guest
«Reply #14 on: September 15, 2010, 11:29:30 AM »
Reply with quote
Oye hoye kya baat hai dost..! Applause Applause

Ager Khuda se milna hi hai toh sachayi kay raaste se kyun na mila jaye,
Sawabon ka vazan, gunaahon kay boj se acha hota hai..!
Logged
Pages: [1] 2 3  All
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
December 22, 2024, 10:36:14 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by mkv
[December 22, 2024, 05:36:15 PM]

[December 19, 2024, 08:27:42 AM]

[December 17, 2024, 08:39:55 AM]

[December 15, 2024, 06:04:49 AM]

[December 13, 2024, 06:54:09 AM]

[December 10, 2024, 08:23:12 AM]

[December 10, 2024, 08:22:15 AM]

by Arif Uddin
[December 03, 2024, 07:06:48 PM]

[November 26, 2024, 08:47:05 AM]

[November 21, 2024, 09:01:29 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.116 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8508 Real Poets and poetry admirer