Kuch tukde dil ke dil ko hi zakhami " ParwaaZ"

by ParwaaZ on October 08, 2010, 06:44:31 PM
Pages: 1 [2]  All
ReplyPrint
Author  (Read 3047 times)
ParwaaZ
Guest
«Reply #15 on: October 10, 2012, 11:55:54 AM »
Reply with quote
mast reply diya parwaz ji aapne  ...maza aagaya ji..
 Applause Applause Applause Applause
aur ye dekh kar aur achcha laga ki hamare reply se aapki smile khil jati hai...
icon_flower icon_flower
thnx alot for smiling ji........yunhi muskurate rahiye...
 happy3 happy3 happy3
muskurate hue aap bht ahchce lagte hain ji.......
icon_geek icon_geek icon_geek


ye lijiye ab hamara new reply...bataiye kaisa laga.....

Hum apne hoNtoN pe muskaaN laye bhi kaise
Aap jo khafa ho hum muskaaye bhi kaise


Teri muskaan hum ekhud se zyada aziz hai ee dost
Tu hi bata tujhse hum ruthe  rahen bhi to kaise

Jante hai itni chahat bhi thik nahi hoti
Par is dil e naadaaN ko samjhaye bhi kaise

Ki hai mahobbat humne bepanaah unse ee sanam
Milegi wafa badle me iski umeed rakhen bhi to kaise

Aap bhi is marz ke bimaar naa ho jayeN
Zakham dil ke gehre hai dikhaaye bhi kaise


Na dikha paye hum ashk lahu k behte hain jo dil se
Hain itne bebas wo unhe aur hum sataye bhi to kaise


Aap huye anjaaN to kabhi hum mashgul rahe
Faasle jo bade haiN ke paas aaye bhi kaise


Ye duriyan to bani thi sirf kami ka ehsaas dilane k liye
Tum kuch na samjh paye to ab hum samjhaye bhi to kaise

Hum dekhkar khush huye aap dikhate rah gaye
Aap par haq hi nahi humara jataaye bhi kaise


Kehte rahe tum k main bas tumhari hi hun ee sanam
Hum khud ko aapki amanat kehte rahe ye batate bhi to kaise…

Kasak Jee Aadaab!


Aaj youN hi is kalaam par nazar gayi toH aapki moujudgi se jo khushnuma
aalam tha yaad aa gaya ... Usual Smile Kidhar kho gayi aap... Huh?
Ummid hai aap lautkar aayeNgi jald hi aur is bazm ko phir se gulzar kar
deNgi... Usual Smile

Aapke reply's ke kia kahne jee aapka reply aaye aur muskaan nahi aaye yeH
to nahi ho sakta jee... Usual Smile  icon_flower icon_flower icon_flower

Abhi aapke is reply ke reply meiN kuch kahne ko toH nahi ban raha hai
par koshish karte haiN kuch rumaani likhane ki.. Usual Smile



Badi bholi hai tu pyaari hai teri adaa
Le ke jaaN chali humaari hai teri adaa

Khushbu titli phool baharoN si hai sanam
Bageeche jaise koi kyaari hai teri adaa

Kabhi roothe kabhi hase hasaaye mujh ko
Dhanak ke raNgoN se nyaari hai teri adaa

Zamaane meiN tu sabse haseeN hai pyaari hai
JahaaN meiN sab se pyaari hai teri adaa

Banii hai tuu faqat pyaar ke paikar lekar
Khudaa ne khoobi se utaari hai teri adaa

 
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Tumhe mere naam se "ParwaaZ" nafrat thi by ParwaaZ in Shayri-E-Dard
Karta huN tijarat " ParwaaZ" by ParwaaZ in Shayri-E-Dard « 1 2  All »
Bewaafa toH "ParwaaZ" tere hi sanam nilkle by ParwaaZ in Shayeri for Dard -e- Bewafai « 1 2  All »
Kuch to maraasim hoNge tujhse purane mere" ParwaaZ" by ParwaaZ in Shayri for Khumar -e- Ishq « 1 2 3  All »
Zindagi hai kuch muqtasar Jaanaa..." ParwaaZ" by ParwaaZ in Shayri for Dard -e- Judai « 1 2  All »
laaiba
Guest
«Reply #16 on: October 10, 2012, 01:29:05 PM »
Reply with quote
bohat oomda khyalat ko ghazal ki soorat kia gayaa hai...
bohat c daad......
Logged
vimmi singh
Guest
«Reply #17 on: October 10, 2012, 02:51:41 PM »
Reply with quote
waaaaaaaaaaaah kya baat hai........
 Applause Applause Applause Applause Applause
Logged
ParwaaZ
Guest
«Reply #18 on: October 10, 2012, 05:51:58 PM »
Reply with quote
wah ji bahut khoob chhaa gaye aap log...

dher saari daad ke sath lkhte rahiye`

Abhi Jee Aadaab!


bahut bahut shukriyaa janab... YeH toH aaplogoN ki inayat haiN..
Aur hum kahaaN chaaye haiN jee yeH to Kasak jee thi jo gazab kar
jaati haiN... Usual Smile

Aur KahaaN gum hai yaar aajkal aap? aaya kijiye janab...
Saath banaaye rakhiye...
Shaad O aabaad rahiye..

Khuda Hafez.. Usual Smile
Logged
ParwaaZ
Guest
«Reply #19 on: October 11, 2012, 09:00:15 AM »
Reply with quote
Parwaz jee! sabse pahle ek khoobsoorat kalaam ke liye aap ko mubaarak baad denaa chaahatee hooN.Aap ki gazal nazar nawaaz hui .deri ke liye mazarat khwah hooN.aap waqai behad umda likhte haiN.bas ek guzarish hai ki ek shair or likh kar kalaam ko gazal ka haq ada karte to behtar hota...

Mamta Bajpai

Mamtaa Jee Aadaab!

Taqeer se jawaab dene ke liye mazarrat chahte haiN Mamta jee... Usual Smile
Aapka reply paa kar badi masarrat huyi... Jee bahut bahut shukriyaa jee
is umda tareef ke liye... Usual Smile

Koshish thi ke matla bhi likhte par us waqt zyada zahen kaam nahi kar
paya tha kuch ban hi nahi paaya so aise hi post kar diye.. Usual Smile
Lijiye abhi haazir karte haiN...  icon_flower icon_flower




Ruksaar apne toH aaj tak bhi tar rahe haiN
Jaane kis aag meiN jal ne se dar rahe haiN



Ummid hai aapko yeH adna sii koshish pasaND aayeNgi.. Usual Smile
Aur aapse bhi guzarish hai ke is bazm meiN apni kami ka ahsaas
na hone dijiye... Usual Smile

Aate rahiye... Shaad O aabaad rahiye...
Khuda Hafez... Usual Smile
Logged
Pages: 1 [2]  All
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
December 23, 2024, 05:45:46 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by mkv
[December 22, 2024, 05:36:15 PM]

[December 19, 2024, 08:27:42 AM]

[December 17, 2024, 08:39:55 AM]

[December 15, 2024, 06:04:49 AM]

[December 13, 2024, 06:54:09 AM]

[December 10, 2024, 08:23:12 AM]

[December 10, 2024, 08:22:15 AM]

by Arif Uddin
[December 03, 2024, 07:06:48 PM]

[November 26, 2024, 08:47:05 AM]

[November 21, 2024, 09:01:29 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.133 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8508 Real Poets and poetry admirer