kuuchH shaYeree se hatt kAr,...........

by laaiba on May 08, 2013, 11:54:19 PM
Pages: 1 [2] 3 4 5
ReplyPrint
Author  (Read 4385 times)
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #15 on: May 09, 2013, 07:36:09 PM »
Reply with quote
"Zindagi Ko Kareeb Se Dekho Iss Ka Chehra Tumhe Rula Dega..
Aadmi Aadmi Ko Kya Dega Jo Bhi Dega Waheen Khuda Dega...."


Daur-e-Bachpan (Schooling Days)Mein Ek Baar Aapne Papa Se Main Yeh Baat Puch Baitha,
Ke Aap Ko Kayi baar Yeh ghazal Suunte Hue dekhta Hoon Aur Aap Iss Line
Par "Zindagi Ko kareeb Se Dekho, Iss Ka Chehra Tumhe Rula Dega"
Inn Lafzon Par Kayi Baar Aapki Aankhein Nam Ho Jaati Hain..
Mujhe Yeh Baat Samaj Nahi Aati Ke Apni Life (Zindagi) Ko
Koi Kaise Kareeb Se Dekh Sakta Hai..Zindagi
Koi Living Thing Thodi Naa Hai..Yeh Baat Mein Koi Sense Hi Nahi Hai...

To Mere Papa Meri Inn Baaton Par  Muskuraaye
Aur Mujshe Kehne Lage Kabhi yeh Baatein Bhi Sense Banayegi
Ek Din jab Inn Lafzon Ke Maayno Ko Jaan Loge..
To Zindagi Ko Bhi Kareeb Se Samjhoge......

Kayi Saal Guzre Iss Baat Ko..Zindagi Mein bahut Badlaau Aaye..
Kuch Bahut Acche Pal, Kuch Bahut Buure Pal,
Kuch Aise Bhi Pal Aaye Jab Dil Ne Kahaa Ke
Mujhe Aur Kuch Nahi Chahiye Bas Yeh Khushiyon Wale Pal Yuhi Tham Jaaye
AUr Kuch Aise Bhi Pal Dekhe Ke Dil Ro Pada Aur Keh Gaya Mujhe Aur Kuch Nahi chahiye Bas Yeh Pal Jald Se Jald  Guzar Jaaye....

Dhoop-Chaau,Sukh-Dukh,Milna-Bichadna...
Yehi Sab Ehsaas Logon Ko Ek Duje Se Jodte Bhi Hai Aur
Yehi Ehsaas Kayi Baar Insaan Ke Banaye Hue RishtoN Ko Todte Bhi Hai...

Yehi Zindagi Hai Har Pal Apne Saath
Apne Hisse Ki Mushkilen,Nayi Aazmayishen Le Aata Hai
Aur Aaj Main Bhi Vakaai Yeh Kehta Hoon...

Zindagi Ko Kabhi Kareeb Se Dekho Iss Ka Chehra Tumhe Bhi Rula Dega...............
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
SOCH HATT K.....cara. by cara in Miscellaneous Shayri « 1 2  All »
soch zara hatt k.ky by kameeney in Miscellaneous Shayri
laaiba
Guest
«Reply #16 on: May 09, 2013, 09:41:44 PM »
Reply with quote
waah zindagee ke kayi rangon mein se aik ko iss tehreer mein samoya hai aap ne khwaish ji,....
ou.r yeh line to be missal rahee
Zindagi Ko Kabhi Kareeb Se Dekho Iss Ka Chehra Tumhe Bhi Rula Dega...............

laajawab,..
 umeed hai aapki diary ke kayi panne iss thread mein padhne ko milen gein,.......
Logged
aqsh
Guest
«Reply #17 on: May 09, 2013, 09:53:02 PM »
Reply with quote
"Zindagi Ko Kareeb Se Dekho Iss Ka Chehra Tumhe Rula Dega..
Aadmi Aadmi Ko Kya Dega Jo Bhi Dega Waheen Khuda Dega...."


Daur-e-Bachpan (Schooling Days)Mein Ek Baar Aapne Papa Se Main Yeh Baat Puch Baitha,
Ke Aap Ko Kayi baar Yeh ghazal Suunte Hue dekhta Hoon Aur Aap Iss Line
Par "Zindagi Ko kareeb Se Dekho, Iss Ka Chehra Tumhe Rula Dega"
Inn Lafzon Par Kayi Baar Aapki Aankhein Nam Ho Jaati Hain..
Mujhe Yeh Baat Samaj Nahi Aati Ke Apni Life (Zindagi) Ko
Koi Kaise Kareeb Se Dekh Sakta Hai..Zindagi
Koi Living Thing Thodi Naa Hai..Yeh Baat Mein Koi Sense Hi Nahi Hai...

To Mere Papa Meri Inn Baaton Par  Muskuraaye
Aur Mujshe Kehne Lage Kabhi yeh Baatein Bhi Sense Banayegi
Ek Din jab Inn Lafzon Ke Maayno Ko Jaan Loge..
To Zindagi Ko Bhi Kareeb Se Samjhoge......

Kayi Saal Guzre Iss Baat Ko..Zindagi Mein bahut Badlaau Aaye..
Kuch Bahut Acche Pal, Kuch Bahut Buure Pal,
Kuch Aise Bhi Pal Aaye Jab Dil Ne Kahaa Ke
Mujhe Aur Kuch Nahi Chahiye Bas Yeh Khushiyon Wale Pal Yuhi Tham Jaaye
AUr Kuch Aise Bhi Pal Dekhe Ke Dil Ro Pada Aur Keh Gaya Mujhe Aur Kuch Nahi chahiye Bas Yeh Pal Jald Se Jald  Guzar Jaaye....

Dhoop-Chaau,Sukh-Dukh,Milna-Bichadna...
Yehi Sab Ehsaas Logon Ko Ek Duje Se Jodte Bhi Hai Aur
Yehi Ehsaas Kayi Baar Insaan Ke Banaye Hue RishtoN Ko Todte Bhi Hai...

Yehi Zindagi Hai Har Pal Apne Saath
Apne Hisse Ki Mushkilen,Nayi Aazmayishen Le Aata Hai
Aur Aaj Main Bhi Vakaai Yeh Kehta Hoon...

Zindagi Ko Kabhi Kareeb Se Dekho Iss Ka Chehra Tumhe Bhi Rula Dega...............


Khwahish Ji...Bahut Hi Gehri Baatein keh gaye aap..Zindagi Se Juudi Talk Haqeeqat Ko Lafzon mein Bayaan Kar Gaye Aap..Veryyyy heart-touching..aapke diary ke  panho ka mujhe bhi intezaar rahega...
Logged
sksaini4
Ustaad ae Shayari
*****

Rau: 853
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
112 days, 8 hours and 51 minutes.
Posts: 36414
Member Since: Apr 2011


View Profile
«Reply #18 on: May 10, 2013, 11:49:54 AM »
Reply with quote
good
Logged
laaiba
Guest
«Reply #19 on: May 10, 2013, 07:26:27 PM »
Reply with quote
good
shukria sir,...........
Logged
laaiba
Guest
«Reply #20 on: May 14, 2013, 11:14:37 PM »
Reply with quote

         chan.d lines joh kisee naamaaloo.m writer ki hain lekin mujhe pasand hain iss liye yahan share kartee hoo.n

         Faslay…….Raston Main Hi Achey Lagtey Hain ……. Jaisey Gher Sey College Ya University Ka Fasla ……. Office Ka Fasla ……. Dost K Gher Ka Fasla Waghera Waghera ……. Yeh Faslay Jitney B Zyada Hon ……. Unhain Tey Kerna Mushkil Ho Sakta Hey ……. Namumkin Nahi ……. Lekin Yeh Faslay Dilon K Darmiyan Aa Jayen Tu ……. Zindagiyan Tabah-o-Barbaad Ho Jati Hain ……. Sab Kuch Jamid Ho Jata Hey ……. Kuch B Acha Nahi Lagta ……. Insaan Aik Doraahey Per Aa Ker Khara Ho Jata Hey …….
Yeh Faslay Dilon Main Garhey Khod Detey Hain ……. Insaan Ka Dil KHali Ho Jata Hey Or KHali Dil Insaan Jee Tu Nahi Sakta Kyn keh Mar Mar K Jeena Zindagi Nahi Hey ……. Zindagi Tu Zindah Dili Sey Khushiyon Or Ghamon K Sath Chalney Ka Naam Hey ……. Dilon K Faslay Nazar Tu Nahi Atey ……. Lekin In Ko Tey Kerna Namumkin Hota Hey ……. Or Agar Faslay Insaan Or Us Paida Kerney Waley Allah Ki Zaat K Darmyan Hon Tu Insaan ……. Insaan Nahi Rehta Balkeh Us Waqt Woh Ghaflat ……. Jahalat ……. Khudh Gharzi Or Mufaad-Parasti Ka Majmooa Ban Jata Hey …….   
Logged
ParwaaZ
Guest
«Reply #21 on: May 15, 2013, 04:36:49 PM »
Reply with quote
Khawahish Jee Aadaab...!


bade hi umdaa sher par aapne apne khayaalaat bayaaN kiye hai.. kafi dil kareeb rahta hai yeH sher humare aur har waqt zubaaN par ... Usual Smile


Laaibaa Sahibaa behad umdaa sharing rahi... just salute to this writer very nice and effective topic .. Usual Smile



Logged
laaiba
Guest
«Reply #22 on: May 15, 2013, 06:08:58 PM »
Reply with quote
bohat shukria parwaz ji aapkaa,...........lekin aik page share karne ke baad na to khwaish ji ne kuch share kiaa naa hee aap ne,....ou.r yahan kisee ko likhne mein intrest nahin hai,............
Logged
laaiba
Guest
«Reply #23 on: May 22, 2013, 01:27:36 AM »
Reply with quote
Dil e man musafir man

Dear Diary!

Aaj bht din ke baad tumhain haath lagaya hai...yeh such hai sahaili ke insan gharz ka banda hai....ab yehi daikh lo ke main jitnay din kisi ham-nawa ke baghari raha tum se ba-qayeda ham kalam hota rha......jaisay hee mujeh mehsoos hua ke mujh se meri hee zuban main ham kalam honay wala koi ham mizaaj mere ird gird moujood hai, main ne tumhain bhula dia.
Main sharminda hoon dear diary! main bhool gaya tha ke tum tou mustaqil sahaili ho...aisi sahaili jis ko mujh se koi gharz nahi, jis ne mujhe kabhi bura bhala na kaha, jis ne mujhe kabhi sarzanish kerni hai na naseehat.........kitna ehmaq hoon main ke tumhain bhula ker, tumhain bhula ker main ne aik aisay ko dam-saaz bana lia...jis ka itnay dino se kahin ata pata hi nahi........I am extermely sorry pyari diary! ...mujeh ilm hai ek tum ne mujhe maaf ker dia hai kyunke tumhara dil bara hai, tum sab naraziyan apnay andar samo ker mujhe phir se galay laga laiti ho...........Ham insanon main yeh greatness adam-dastiyab hai aaj kal...........ham insan naraz na honay wali baat per naraz ho jatay hain aur phir umr bhar is ki waja bayan ker ke inzhaar-e narazgi kertay rehtay hain."

Writer: Aneeza Syed.
 Dil e man musafir man
 
Logged
laaiba
Guest
«Reply #24 on: May 27, 2013, 10:58:34 PM »
Reply with quote

peer e kaamil novel se beautiful lines,....

Agr dunya apko apni tarf nai kheenchti, agr Allah k khof se apki ankhon mai ansoo a jatay hain, agr dozakh ka tasawwur apko darata ha, agr ap Allah ke ebadat us tarhan krte hain,jis tarhan krni chahye,agr naiki apko apni tarf raghib krti ha aur ap burai se ruk jatay hain to phr ap saleh hain.kuch saleh hotay hain,kuch saleh bntay hain,saleh hona khush kismati ke bat ha,saleh ban'na do dhari talwar pr chalne k brabar ha.is mai zaida waqt lagta ha.is mai zaida takleef sehni parti ha.
" Zindagi mein kabhi na kabhi hum us muqam per aa jate hain, jahan sare rishte khatam ho jate hain... wahan sirf hum hote hain aur Allah hota hai,,, Koi maan baap, koi bahan bhai, koi dost nahin hota. Phir humein pata chalta hai k humare pairon k neeche koi zaeen hai na humare sir k ooper koi aasman, bus sirf aik Allah hai jo humein is khala mein bhi thame hueye hai,,, Phir pata chalta hai hum zameen per parhi matti k dhair mein aik zaray ya darakht per lage aik patay se zyada ki wuqat nahin rakhte- Phir pata chalta hai k humare hone ya na hone se sirf humein farq parhta hai,,, Sirf humara kirdaar khatam ho jata hai... Kainat mein koi tabdeeli nahin aati,,, kisi cheez per koi asar nahin parta...
Is k baad humari aqal thikane aa jati hai. "

Peer-e-Kamil (S.A.W.W)
 
Logged
ParwaaZ
Guest
«Reply #25 on: May 28, 2013, 04:23:40 PM »
Reply with quote

Subhan Allaah....

Laaibaa Sahibaa badi achchi aur neki ki raaH dikhane wali post ki hai aapne... Usual Smile

Allaah hume amal karne ki tufiqe ataa farmaye.. aameen
Logged
laaiba
Guest
«Reply #26 on: May 29, 2013, 09:13:34 PM »
Reply with quote
yeh to achi baat hai na parwaz ji neki ki raah dikhana Usual Smile
Logged
laaiba
Guest
«Reply #27 on: May 29, 2013, 09:17:45 PM »
Reply with quote

 written by umera ahmed
her beautiful novel 'thoda saa aasmaaN

Mard muhabbat ker hi nahi sakta sahab .. ye cheez uske khameer mein hi nahi hai, Muhabbat sirf aurton ki sift hai .. wohi ker sakti hai ..wohi kerti hai !! phir qehqaha lagaane ko dil kion na chahe?

Itni khud-pasandi achi nahi !! .. baqol tumhare mard muhabbat ker hi nahi sakta tou ye taj-mehel kion bana deta hai? kuch chubhtey huye lehjay mein sawaal kia gaya ....,

mehel banwa dia? taaj to nahi chora, herm bhi aabaad rakha .. Kia baadshah? kia uski muhabbat !!

chalo baadshah ki baat nahi kertay ..Tum romanwi daasttano per aa jao ! ye farhad, majnu,ranjha kaun thay ye sab?? kia ye mard nahi thay??

"Mard ko muhabbat ka suboot deney ke liay hawaaley dene ki zaroorat kion paish aati hai??
Aurat tou kahaniyon ke hawaale nahi deti ! Wo hamesha apni baat kerti hai .. kisi heer ya sohni ko beech main nahi laaati !!"

Thora Sa Aasman
Logged
laaiba
Guest
«Reply #28 on: May 31, 2013, 11:50:09 PM »
Reply with quote

Azmaish bilkul daldal ki terha hoti hai is may say insaan sirf apnay bal botay per nahi nikal sakta..koi rasi chahye hoti hai kisika hath darkar hota hai..aur us waqat wo rasi woh hath mazhab ka hota hai..rasi aur haath nahi ho ga to aap daldal kay ander jitnay zaida hath pao maray gay utna hi jald dobay gay..pani may doobnay wala shakas zinda nahi to mernay kay baad uper aa jata hai meger daldal jis shakas ko nigal lenay may kamyaab ho jati hai usay dubara zaihir nahi kerti...
lakin jo shakas aik baar hath aur rasi kay zriye daldal say nikalnay may kamyaab ho jaye woh agli kisi daldal may nahi desta....
Imaan, Ameed aur Muhbbat
By
Umera Ahmad *
Logged
laaiba
Guest
«Reply #29 on: June 12, 2013, 05:29:07 PM »
Reply with quote


iqtibas by novel aks

zindgi may insano k sher say berh ker khofnaak cheez koi nahi, koi bhoot bla hona burai may insano ka muqabla nahi ker sakta aur insaano ki himat aur dleri kay samnay koi asaib nhi thher sakta..woh loog bewqoof aur buzdal hotay hain jo ghero aur jgho may jin, bhoot dhoondhty rehty hainaur phir un k honay ya na honay per apni zindgi ki khush qasmti ya badqismati ko tay kerty hian
Logged
Pages: 1 [2] 3 4 5
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 12, 2024, 07:49:35 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 08, 2024, 09:59:08 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:55:06 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 06:58:58 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.143 seconds with 26 queries.
[x] Join now community of 8507 Real Poets and poetry admirer