kuuchH shaYeree se hatt kAr,...........

by laaiba on May 08, 2013, 11:54:19 PM
Pages: 1 2 [3] 4 5
ReplyPrint
Author  (Read 4471 times)
ParwaaZ
Guest
«Reply #30 on: June 15, 2013, 07:54:10 PM »
Reply with quote


Bahut umdaa Laaibaa Sahibaa, amazing sharings ... Usual Smile

Keep writing keep posting...
Khuda Hafez... Usual Smile

Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
SOCH HATT K.....cara. by cara in Miscellaneous Shayri « 1 2  All »
soch zara hatt k.ky by kameeney in Miscellaneous Shayri
laaiba
Guest
«Reply #31 on: June 19, 2013, 02:05:20 AM »
Reply with quote
shukria parwaaz ji,............
Logged
laaiba
Guest
«Reply #32 on: June 20, 2013, 09:56:27 PM »
Reply with quote

 zara nazr utha ker aasma ke taraf daikho kitna ouncha hai yehi waja hai k agar koi is par say giray to bohat chout aati hai..Baaz log Aasman say girte hain to khajoor main Atak jate hain waheen baithay khajoorain khate rehte hain…lekin khajorain bhi to kahin kahin hoti hain..har jga nahi hoti…
kehte hain pehlay zamanay main Aasman itna ooncha nahi hota tha..Ghalib` naam ka shayar jo 200 sal pehlay hua hai…aik jaga kisi say kehta hai….’kia aasman k baraber nahi hon main?’…joun joun chezon ke qeematain ounchi hoti gain..Aasman is say batain kerne k liye ooper uthta gya ab na chezon ke qeematain neechay ayin na aasman neechay utera..aik zamanay main aasman per sirf ferishte raha kerte thay phir hma shma janay lagay jo khud nahi ja sakte thay…in ka damagh chala jata tha…ye neechay damagh k baghair he kam chala lete thay…..bari had tak ab bhi yehi soorat hai
pyaray baro!..Rah chalte main aasman ke taraf nahi dekhna chahiay ta k thoker na lagay jo zameen ke taraf dekh ker chalta hai usay thoker nhi lagti…..

Logged
laaiba
Guest
«Reply #33 on: July 29, 2013, 01:08:20 AM »
Reply with quote
[size=12
 Mummy,aapko pata hai Mujhe ALLAH kiun nahi mil sakta.mere aur ALLAH ke darmiyan Khawahishoon ki diwar hai. Aasaiyshoon ki diwar hai. main ne apne irdgird duniya ki itni cheezein ikathi ker lii hai ke ALLAH tu mere pass aaa hi nahi sakta. jisse Woh apni Mohabbat de deta hai isse phir aur kisi cheez ki khawahish hi nahi hoti aur jisse duniya deta hai usski khawahish bhook ban jati hai kabhi khatam hi nahi hoti..."

Umera Ahmed k Novel "Shehar-e-Zaat" se Iqtibas
pt][/size]
Logged
laaiba
Guest
«Reply #34 on: July 29, 2013, 01:19:03 AM »
Reply with quote

 

shayed aaj kay baad yeh ankhain tumhain na dekh paa'ain! kuch aisa karo kay meri tanhayion main tumhara tassawur haqeeqat main dhul kar munjamid ho jaye
apni chahton ki chaya saraab bana kar meray saath kar do...
tum apni maleeh aur dilkush hunsi aur batain baazgusht main daal kar mujhay musta'ar day do....
apnay nainon ki jot meri teira shubi ko chumkanay kay liye inayat kar do....
apni ungliyon ki poron ki maseehaye meray khuabon ka muqaddar kar do. meri julti aankhon main apnay lub-o-rukhsaar ki shubho'n ki thunduk bhar do...
apni mohabbat ki chandni ki sirf aik kiran meray humrah kar do nahin to mera safar bohat roohkush ho jaye ga.. kuch aisa karo kay yeh aasan ho jaye

aaj sub kuch kah do.....
koi unkahi mat rahnay do....
woh sub jo tum nay kabhi nahi kaha
aaj kay baad hont kuch nahi kahain gay
or kaan kuch nahi sunain gay....


tum say kia kahain
tum ko maloom kia
hum nay kaati hai kaisey shub-e-zindagi
hum nay kaiseyay uthaya hai bar-e-wafa


Novel "bar-e-wafa" writer "Nighat Seema"
Logged
friendyz
Guest
«Reply #35 on: July 29, 2013, 01:20:22 AM »
Reply with quote
 Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause
Logged
laaiba
Guest
«Reply #36 on: September 13, 2013, 08:14:36 PM »
Reply with quote

Azmaish bilkul daldal ki terha hoti hai is may say insaan sirf apnay bal botay per nahi nikal sakta..koi rasi chahye hoti hai kisika hath darkar hota hai..aur us waqat wo rasi woh hath mazhab ka hota hai..rasi aur haath nahi ho ga to aap daldal kay ander jitnay zaida hath pao maray gay utna hi jald dobay gay..pani may doobnay wala shakas zinda nahi to mernay kay baad uper aa jata hai meger daldal jis shakas ko nigal lenay may kamyaab ho jati hai usay dubara zaihir nahi kerti...
lakin jo shakas aik baar hath aur rasi kay zriye daldal say nikalnay may kamyaab ho jaye woh agli kisi daldal may nahi desta....
Imaan, Ameed aur Muhbbat
By
Umera Ahmad *
 
Logged
sidra04
Guest
«Reply #37 on: September 13, 2013, 09:04:49 PM »
Reply with quote
EhsaasoN ka melaa nahi ik mukhtasar si baat hai,
bas itnaa hi kehnaa hai jaaN, tum bichaD gaye hum bikhar gaye...
Logged
laaiba
Guest
«Reply #38 on: October 09, 2013, 12:57:38 AM »
Reply with quote

Jub ksi say mouhabbat ki jati hay to dil may aik qabristan bhi banaya jata hay is may apnay mehboob ki tamam khamiyan dafan kar di jati han or phir un kay kutbay nahi lagaye jatay.کسی کو جیتا کیسے جاتا ہے ؟"
"اپنا دل ہار کر"
"اور دل کیسے ، ہارا جاتا ہے "
"اپنی ذات کومٹی میں ملا کر "
"اور اگر تب بھی وہ نہ ملے جس کی تمنا ہو تو ؟"
"تو صبر کر لیا جاتا ہے میری دیہی ! الله کسی کو ریاضت کو رایگان نہیں کرتا "
-
Logged
ParwaaZ
Guest
«Reply #39 on: October 10, 2013, 05:56:05 PM »
Reply with quote

Kia paate kii baat kahi hai jee... Lagta hai badi der baad samjhdaari ki baat ki hai... tongue3




Logged
laaiba
Guest
«Reply #40 on: October 10, 2013, 06:09:46 PM »
Reply with quote
shukria parwaaz ji aapkaa,....................
lekin lagtaa hai ke aap ne phir apni dairy kabhee nahin kholi ke kuch share kar sakeiN Usual Smile
Logged
laaiba
Guest
«Reply #41 on: October 11, 2013, 02:25:34 AM »
Reply with quote

 "irada ya bila irada galati se yaa galat fehmi se kabhi sukh,kabhi dukh ho hi jata he ,lekin apne dil men agar apne dil khuloos kaim rahe to takleef men bhi aman o cheen kaim rehta he ,warna her waqt jhagra larai naitfaaki men din guzerte hen."

RABINDER NATH TEGORE ke afsane "SADHNA"se iqtibas
 
Logged
SURESH SANGWAN
Guest
«Reply #42 on: October 11, 2013, 03:50:28 PM »
Reply with quote
niccee laaiba icon_flower icon_flower icon_flower ji
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #43 on: October 11, 2013, 03:56:37 PM »
Reply with quote
waah zindagee ke kayi rangon mein se aik ko iss tehreer mein samoya hai aap ne khwaish ji,....
ou.r yeh line to be missal rahee
Zindagi Ko Kabhi Kareeb Se Dekho Iss Ka Chehra Tumhe Bhi Rula Dega...............

laajawab,..
 umeed hai aapki diary ke kayi panne iss thread mein padhne ko milen gein,.......


Aapka Bahut Bahut Shukarguzaar Hoon Main laaiba Ji Jo Aapne Itni Khoobsurat Thread Open Ki Aur Mujhe Bhi Maazi Ki Yaadon Mein Khone Ka Mauka Diya..Aaapke waqt ke liye bahut bahut shukriya icon_flower icon_flower icon_flower icon_flower icon_flower icon_flower
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #44 on: October 11, 2013, 03:58:01 PM »
Reply with quote
Khwahish Ji...Bahut Hi Gehri Baatein keh gaye aap..Zindagi Se Juudi Talk Haqeeqat Ko Lafzon mein Bayaan Kar Gaye Aap..Veryyyy heart-touching..aapke diary ke  panho ka mujhe bhi intezaar rahega...


Thanks a Lottttttt Aqsh Ji icon_flower icon_flower icon_flower icon_flower icon_flower
Logged
Pages: 1 2 [3] 4 5
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
January 24, 2025, 05:35:30 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[January 19, 2025, 05:59:15 PM]

[January 19, 2025, 05:47:49 PM]

[January 10, 2025, 09:46:05 AM]

[January 10, 2025, 09:45:14 AM]

[January 08, 2025, 08:30:59 AM]

[January 08, 2025, 08:29:31 AM]

[January 05, 2025, 08:51:01 AM]

[January 05, 2025, 08:45:11 AM]

[January 05, 2025, 08:44:20 AM]

[January 05, 2025, 08:43:28 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.1 seconds with 24 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer