kuuchH shaYeree se hatt kAr,...........

by laaiba on May 08, 2013, 11:54:19 PM
Pages: 1 2 3 [4] 5
ReplyPrint
Author  (Read 4473 times)
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #45 on: October 11, 2013, 03:59:13 PM »
Reply with quote
Khawahish Jee Aadaab...!


bade hi umdaa sher par aapne apne khayaalaat bayaaN kiye hai.. kafi dil kareeb rahta hai yeH sher humare aur har waqt zubaaN par ... Usual Smile


Laaibaa Sahibaa behad umdaa sharing rahi... just salute to this writer very nice and effective topic .. Usual Smile






Thanksssss a Lottttt Parwaaz Ji icon_flower icon_flower icon_flower icon_flower
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
SOCH HATT K.....cara. by cara in Miscellaneous Shayri « 1 2  All »
soch zara hatt k.ky by kameeney in Miscellaneous Shayri
sahal
Umda Shayar
*

Rau: 109
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
47 days, 4 hours and 0 minutes.

love is in the Air,but CuPiD is alone here.

Posts: 4410
Member Since: Sep 2012


View Profile WWW
«Reply #46 on: October 13, 2013, 02:48:39 AM »
Reply with quote

Ek chehra mere dil mein ghar kar gaya,
Ghayal wo zalim jaan o jigar kar gaya.

Ek sham hui tanhai ka mashghala tha zehan mein kuch alfaaz gasht kar rahe the ke aankhon mein saahilon ki khamoshi thi dhadkano mein lehron ka
Shor tha bas itne mein ek roshni si dil ke dareeche se dakhil hone lagi,
Hosh mein rehne ka hosh kiise tha bas samjho ke hosh gaya,ek chehra dil mein ghar kar gaya.

Unka dekhna jaise saansein rok leta tha, hawaas mere gumm the bas
Us chehre ka noor chhaa gaya, ek chehra dil mein ghar kar gaya.
Wo zulfon ka rukhsaar ko baar baar chedna mujhe nagawar guzra,
Meri justuju ko wo lalkaar raha tha jaise, youn laga ke kash mein hawa hota
Behta tezz rawani se unke ruskhsaar ko chhoote hue zulfon ko dhakelta ,
Isi bahane unhe chhooke guzarta,lekin ek gustakhi ka mauka reh gaya,ek chehra dil mein ghar kar gaya.
                                                          To be contd...   


by Shaik Sahal mehboob.
Logged
laaiba
Guest
«Reply #47 on: October 13, 2013, 03:17:40 PM »
Reply with quote
waah sahal jee , bade ache lafzon se manzar kashee kee hai aap ne,....sada alfaz magar khubsoorat jazbaa.t,.....
lekin isse poora kijjiye adhoora mat chodiye,.......
bohat bohat c daad,...............
Logged
Saman Firdaus
Guest
«Reply #48 on: October 13, 2013, 03:30:25 PM »
Reply with quote
Beautifull Lines.. Loved it from the bottom of my Heart
Logged
sahal
Umda Shayar
*

Rau: 109
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
47 days, 4 hours and 0 minutes.

love is in the Air,but CuPiD is alone here.

Posts: 4410
Member Since: Sep 2012


View Profile WWW
«Reply #49 on: October 13, 2013, 05:57:51 PM »
Reply with quote
waah sahal jee , bade ache lafzon se manzar kashee kee hai aap ne,....sada alfaz magar khubsoorat jazbaa.t,.....
lekin isse poora kijjiye adhoora mat chodiye,.......
bohat bohat c daad,...............
bohut bohut shukriya LAAIBA ji
bs koishish ki hai kuch khyalaat ko zahir karne ki

Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #50 on: October 13, 2013, 06:50:41 PM »
Reply with quote

Ek chehra mere dil mein ghar kar gaya,
Ghayal wo zalim jaan o jigar kar gaya.

Ek sham hui tanhai ka mashghala tha zehan mein kuch alfaaz gasht kar rahe the ke aankhon mein saahilon ki khamoshi thi dhadkano mein lehron ka
Shor tha bas itne mein ek roshni si dil ke dareeche se dakhil hone lagi,
Hosh mein rehne ka hosh kiise tha bas samjho ke hosh gaya,ek chehra dil mein ghar kar gaya.

Unka dekhna jaise saansein rok leta tha, hawaas mere gumm the bas
Us chehre ka noor chhaa gaya, ek chehra dil mein ghar kar gaya.
Wo zulfon ka rukhsaar ko baar baar chedna mujhe nagawar guzra,
Meri justuju ko wo lalkaar raha tha jaise, youn laga ke kash mein hawa hota
Behta tezz rawani se unke ruskhsaar ko chhoote hue zulfon ko dhakelta ,
Isi bahane unhe chhooke guzarta,lekin ek gustakhi ka mauka reh gaya,ek chehra dil mein ghar kar gaya.
                                                          To be contd...   


by Shaik Sahal mehboob.



Beautiful....Sahal Ji Iss Karvaan Ko Aage Zaroor Badhaiyega.. Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley
Logged
sahal
Umda Shayar
*

Rau: 109
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
47 days, 4 hours and 0 minutes.

love is in the Air,but CuPiD is alone here.

Posts: 4410
Member Since: Sep 2012


View Profile WWW
«Reply #51 on: October 13, 2013, 06:58:33 PM »
Reply with quote

Beautiful....Sahal Ji Iss Karvaan Ko Aage Zaroor Badhaiyega.. Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley

BOHUT SHUKRIYA KHWAHISH JI ,,
JEE HAAN KOSHISH JAARI HAI ..
Logged
aqsh
Guest
«Reply #52 on: October 13, 2013, 06:59:44 PM »
Reply with quote

Ek chehra mere dil mein ghar kar gaya,
Ghayal wo zalim jaan o jigar kar gaya.

Ek sham hui tanhai ka mashghala tha zehan mein kuch alfaaz gasht kar rahe the ke aankhon mein saahilon ki khamoshi thi dhadkano mein lehron ka
Shor tha bas itne mein ek roshni si dil ke dareeche se dakhil hone lagi,
Hosh mein rehne ka hosh kiise tha bas samjho ke hosh gaya,ek chehra dil mein ghar kar gaya.

Unka dekhna jaise saansein rok leta tha, hawaas mere gumm the bas
Us chehre ka noor chhaa gaya, ek chehra dil mein ghar kar gaya.
Wo zulfon ka rukhsaar ko baar baar chedna mujhe nagawar guzra,
Meri justuju ko wo lalkaar raha tha jaise, youn laga ke kash mein hawa hota
Behta tezz rawani se unke ruskhsaar ko chhoote hue zulfon ko dhakelta ,
Isi bahane unhe chhooke guzarta,lekin ek gustakhi ka mauka reh gaya,ek chehra dil mein ghar kar gaya.
                                                          To be contd...   


by Shaik Sahal mehboob.

Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause

Awesomeeeeeeeeeeeee Sahal....mastttttttttttttt hai..... jaldi complete karo intezar hai..... happy3 happy3
Logged
laaiba
Guest
«Reply #53 on: October 14, 2013, 05:27:09 PM »
Reply with quote
mohabbat
 
"hum Mohabbat karney waley bhi kitney masoom hotey hian..4 din apney mehbob ko apni nazron se ojhal rakh ker aur us sey koi baat ya rabta na karkey yeh samjhney lagtey hian k hum usey bhulaney main kamyab hojaye gai...jabkey haqiqat tu yeh hai ke sadioun ojhal rehney k bad bhi mehbob ki pehli jhalak hamain thek usi muqam per dhakeel deti hia jahan se hum ne tark-e-mulaqat ki ibteada ki hoti hia...sach hia ke Mohabbat se koi farar mumkin he nahi...shayad Mohabbat bhi mout ka dosra naam hai...Mohabbat Jan Lewa Hai."

Hashim Nadeem : Aik Mohabbat Aur Sahi
Logged
parinde
Guest
«Reply #54 on: October 17, 2013, 05:59:14 PM »
Reply with quote
 Applause Applause Applause Applause
Logged
ParwaaZ
Guest
«Reply #55 on: October 21, 2013, 09:42:45 PM »
Reply with quote
mohabbat
 
"hum Mohabbat karney waley bhi kitney masoom hotey hian..4 din apney mehbob ko apni nazron se ojhal rakh ker aur us sey koi baat ya rabta na karkey yeh samjhney lagtey hian k hum usey bhulaney main kamyab hojaye gai...jabkey haqiqat tu yeh hai ke sadioun ojhal rehney k bad bhi mehbob ki pehli jhalak hamain thek usi muqam per dhakeel deti hia jahan se hum ne tark-e-mulaqat ki ibteada ki hoti hia...sach hia ke Mohabbat se koi farar mumkin he nahi...shayad Mohabbat bhi mout ka dosra naam hai...Mohabbat Jan Lewa Hai."

Hashim Nadeem : Aik Mohabbat Aur Sahi


 Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause

WaaH Laaibaa Sahibaa kia kahne behad khoobsurat khayaal ko share kiya hai aapne...



Logged
laaiba
Guest
«Reply #56 on: November 30, 2013, 08:08:03 PM »
Reply with quote

 Mard muhabbat ker hi nahi sakta sahab .. ye cheez uske khameer mein hi nahi hai, Muhabbat sirf aurton ki sift hai .. wohi ker sakti hai ..wohi kerti hai !! phir qehqaha lagaane ko dil kion na chahe?

Itni khud-pasandi achi nahi !! .. baqol tumhare mard muhabbat ker hi nahi sakta tou ye taj-mehel kion bana deta hai? kuch chubhtey huye lehjay mein sawaal kia gaya ....,

mehel banwa dia? taaj to nahi chora, herm bhi aabaad rakha .. Kia baadshah? kia uski muhabbat !!

chalo baadshah ki baat nahi kertay ..Tum romanwi daasttano per aa jao ! ye farhad, majnu,ranjha kaun thay ye sab?? kia ye mard nahi thay??

"Mard ko muhabbat ka suboot deney ke liay hawaaley dene ki zaroorat kion paish aati hai??
Aurat tou kahaniyon ke hawaale nahi deti ! Wo hamesha apni baat kerti hai .. kisi heer ya sohni ko beech main nahi laaati !!"

Thora Sa Aasman
Logged
laaiba
Guest
«Reply #57 on: December 01, 2013, 11:09:19 PM »
Reply with quote

 aik khoobsoorat iqtibas
  Dear Diary!

Aaj bht din ke baad tumhain haath lagaya hai...yeh such hai sahaili ke insan gharz ka banda hai....ab yehi daikh lo ke main jitnay din kisi ham-nawa ke baghari raha tum se ba-qayeda ham kalam hota rha......jaisay hee mujeh mehsoos hua ke mujh se meri hee zuban main ham kalam honay wala koi ham mizaaj mere ird gird moujood hai, main ne tumhain bhula dia.
Main sharminda hoon dear diary! main bhool gaya tha ke tum tou mustaqil sahaili ho...aisi sahaili jis ko mujh se koi gharz nahi, jis ne mujhe kabhi bura bhala na kaha, jis ne mujhe kabhi sarzanish kerni hai na naseehat.........kitna ehmaq hoon main ke tumhain bhula ker, tumhain bhula ker main ne aik aisay ko dam-saaz bana lia...jis ka itnay dino se kahin ata pata hi nahi........I am extermely sorry pyari diary! ...mujeh ilm hai ek tum ne mujhe maaf ker dia hai kyunke tumhara dil bara hai, tum sab naraziyan apnay andar samo ker mujhe phir se galay laga laiti ho...........Ham insanon main yeh greatness adam-dastiyab hai aaj kal...........ham insan naraz na honay wali baat per naraz ho jatay hain aur phir umr bhar is ki waja bayan ker ke inzhaar-e narazgi kertay rehtay hain."

Writer: Aneeza Syed.
Logged
laaiba
Guest
«Reply #58 on: December 01, 2013, 11:12:26 PM »
Reply with quote

 Soch do trha ki hoti hai. aik soch ilm say nikalti hai aur raigistaan may ja ker sookhti hai. dusri soch waajdaan say janam leti hai aur baagh k dhanay per lay jaati hai. inhi do qisam k khyalaat say do terha ka rehna sehna janam leta hai. aik rehna sehna ilm aur tajweez say janam leta hai,, is may chaqu chiru, muqadma, bhex mubahasay, kas pal, haq haqooq, chipta chipti, krudh, kaam hinkaar sab hota hai.
Dusra rehna sehna aik aur qisam ki soch say nikilta hai, is may wajdaan, shaanti, aman, perschat, prem ki wjha say humesha hijrat ka smaa rehta hai isi wajdaan ki soch ki wjha say aisi soch walay loog greebi may ameer aur ameeri may gareeb dikhai detay hain...!

written by bano qudsia
Logged
laaiba
Guest
«Reply #59 on: December 14, 2013, 07:31:52 PM »
Reply with quote

Jo log dosroon k Diloon ko kanto se Zakhmii karte hain
On k apne andar kikar lage hoty hain
wo chahean ya na chahean on k wajood ko
Kanta hi bnna hota hai.
Wo phool nai ban sakte

written by
Umera Ahmed
 
Logged
Pages: 1 2 3 [4] 5
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
January 24, 2025, 05:51:32 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[January 19, 2025, 05:59:15 PM]

[January 19, 2025, 05:47:49 PM]

[January 10, 2025, 09:46:05 AM]

[January 10, 2025, 09:45:14 AM]

[January 08, 2025, 08:30:59 AM]

[January 08, 2025, 08:29:31 AM]

[January 05, 2025, 08:51:01 AM]

[January 05, 2025, 08:45:11 AM]

[January 05, 2025, 08:44:20 AM]

[January 05, 2025, 08:43:28 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.121 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer