kya khoob haqq-e-bandegi.....(nazar ghouri)

by nazar ghouri on May 06, 2010, 03:35:38 PM
Pages: [1] 2  All
ReplyPrint
Author  (Read 3497 times)
nazar ghouri
Guest
Reply with quote
Adaab
aaj ek tanzziya ghazal leke haazir hua hoon..


Kya khoob haqq-e-bandegi adaa kar raha hoon..!
dil kaheen aur maanoos hai,sajda kar raha hoon..!

qaul aur amal main taghafull hai to kya........!
yeh kaafi nahien ke Allah Allah kar raha hoon...!

yeh tariq-e-zindegi yeh andaz-e-musalmani hai...?
sazaa se waqif hoon ,gunaah kar raha hoon......,!

gheebatein karta hoon,tohmatein lagata phirta hoon..!
tum hi bataao mein, kis se wafaa kar raha hoon.......!

koi sachh keh de to,bura maan jaata hoon mein.....!
woh bura keh raha hai ya ,mein bura kar raha hoon...?

kar ke maslaki baatein, aksar sochtaa hoon yehi...!
haqq se jaise baatil ko judaa kar rahaa hoon.......!

chandd waqiyaat chandd ahadees kar ke yaad.........!
ahl-e-ilm se aaj kal, munazara kar rahaa hoon.......!

                                                     
                                                       nazar ghouri
                                                      Hyderabad(India)
                                                     cell:09885375957
Logged
Tanha(Saurabh)
Guest
«Reply #1 on: May 06, 2010, 04:46:37 PM »
Reply with quote
Wah ! Wah! Wah! bohat bohat bohat khoob kah diya aapne nazar ji....ek behtareen peshkash hai aapki taraf se.
 Applause Applause Applause Applause Applause Applause
Logged
Sajid_Ghayel
Guest
«Reply #2 on: May 06, 2010, 07:40:16 PM »
Reply with quote
Wahhhhhhhhhhhh wahhhhhhhhhhhhhhhhhhh Ghouri saheb kash mere pass alfaaz hote is Azeem kalam ki shaan me kehne ke liye. Matla aur Makhte me aapne bohat badi baat keh di..........Allah aapko hamesha apni hifazat me rakhe...AAMEEN
Logged
neelgold
Guest
«Reply #3 on: May 06, 2010, 09:01:51 PM »
Reply with quote
Wah WAh Wahhhhhhhhhhhhhhhhhhhhhhhhhhh
WahhHHHhhhhhhhh.................

BHut hi ache!!!!!!!!!!!!!!!!!
kuch words samz nahi aaye bt no prob kmal likha aapne
Logged
madhuwesh
Guest
«Reply #4 on: May 06, 2010, 09:16:09 PM »
Reply with quote
Wah wah Nazar ji bahut khoobsurat gazal pesh kiya aapne.kamaal ke likha.keep it up.bahut pasand aayi aapke gazal.excellent Hats off to you! Applause Applause Applause Applause icon_thumleft
Logged
nazar ghouri
Guest
«Reply #5 on: May 06, 2010, 10:26:05 PM »
Reply with quote
bahot bahot shukriya hausla afzai ka..na cheez ne ek koshish ki aur aap ne usko itna saraha ke dil khosh hogaya.
Wah ! Wah! Wah! bohat bohat bohat khoob kah diya aapne nazar ji....ek behtareen peshkash hai aapki taraf se.
 Applause Applause Applause Applause Applause Applause
Logged
nazar ghouri
Guest
«Reply #6 on: May 06, 2010, 10:32:03 PM »
Reply with quote
sajid saheb aapne mujhe main itna hausla bakhsha hai ke usko bayan karne ke liye mere pass lafz nahi hain.mere mobile pe aapka msg jab recieve howa meri khushi ki inteha nahi rahi.aur isi bahane aapka contact number bhi mujhe milgaya.insha Allah kisi roz aap se baat hogi.aap ka teh dil se shukr guzaar hoon aapki dua ka mutmani bhi hoon Allah aap ko har musibat se bachae
ameen
Logged
nazar ghouri
Guest
«Reply #7 on: May 06, 2010, 10:37:58 PM »
Reply with quote
thanks 4 compliment.i am really grateful to u coz u r unfamiliar by some difficult words of my ghazal but u read n understood.jst i 4got to mention the meaning of difficult words.insha Allah next time shikayat door hojaegi
Wah WAh Wahhhhhhhhhhhhhhhhhhhhhhhhhhh
WahhHHHhhhhhhhh.................

BHut hi ache!!!!!!!!!!!!!!!!!
kuch words samz nahi aaye bt no prob kmal likha aapne
Logged
nazar ghouri
Guest
«Reply #8 on: May 06, 2010, 10:41:14 PM »
Reply with quote
shukriya aapka .aap ne hamesha meri hausla afzai ki.kabhi fone kar ke to kabhi yo main msgs kar ke .aapka behad mashkoor hoon
Wah wah Nazar ji bahut khoobsurat gazal pesh kiya aapne.kamaal ke likha.keep it up.bahut pasand aayi aapke gazal.excellent Hats off to you! Applause Applause Applause Applause icon_thumleft
Logged
qadeer_junaid
Maqbool Shayar
****

Rau: 17
Offline Offline

Waqt Bitaya:
15 days, 15 hours and 40 minutes.
Posts: 608
Member Since: Apr 2010


View Profile
«Reply #9 on: May 06, 2010, 11:01:19 PM »
Reply with quote
nazar saheb , kya kahene bhaijaan apki is taqleeq ko shayad tareef ke alfaz pahenana mushkil ho chala hai ,apki tareef karna to suraj diya dikhane wali baath hogi, har ashar apni wazha me , kya qoob kaha hai,bahoth khuch sikhne ko mila apki is nayab taqleeq se ,, yunhi bazm ko raushan afroz karte rahen , dad hazir hai ba awaz a buland qobool karen..allah apko khuch rakhe..waise mai bhi deccan se taluq rakhta hon,,gulbarga shareef ka naam shayad apne sun rakha ho ,,


duwa go

qadeertoopchi
Logged
nazar ghouri
Guest
«Reply #10 on: May 06, 2010, 11:13:18 PM »
Reply with quote
abdul qadeer saheb mein aapka bahot mashkoor hoon aur alfaaz saath de nahi paarahe hain ke aapka shukriya kaise ada karoon.be had khushi horahi hai ke aap jaise iss bazm ke qabil-e-taqleed shora se daad milrahi hai.aapka teh dil se shukr guzaar hoon.gulbarga shareef jaanta hoon mein.masha Allah aap bhi hamare deccan se taluq rakhte hain jaan kar be hadd khushi hoi.aapka dua go
Logged
Mohammad Touhid
Umda Shayar
*

Rau: 35
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
38 days, 12 hours and 35 minutes.

'I' 'Luv' d Way 'U' 'Forget' Me..!.!

Posts: 7160
Member Since: Aug 2009


View Profile
«Reply #11 on: May 07, 2010, 06:11:27 AM »
Reply with quote
bahut khub nazar sahab.....
subhanallah... icon_salut icon_salut
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #12 on: May 07, 2010, 06:45:12 AM »
Reply with quote
Adaab
aaj ek tanzziya ghazal leke haazir hua hoon..


Kya khoob haqq-e-bandegi adaa kar raha hoon..!
dil kaheen aur maanoos hai,sajda kar raha hoon..!

qaul aur amal main taghafull hai to kya........!
yeh kaafi nahien ke Allah Allah kar raha hoon...!

yeh tariq-e-zindegi yeh andaz-e-musalmani hai...?
sazaa se waqif hoon ,gunaah kar raha hoon......,!

gheebatein karta hoon,tohmatein lagata phirta hoon..!
tum hi bataao mein, kis se wafaa kar raha hoon.......!

koi sachh keh de to,bura maan jaata hoon mein.....!
woh bura keh raha hai ya ,mein bura kar raha hoon...?

kar ke maslaki baatein, aksar sochtaa hoon yehi...!
haqq se jaise baatil ko judaa kar rahaa hoon.......!

chandd waqiyaat chandd ahadees kar ke yaad.........!
ahl-e-ilm se aaj kal, munazara kar rahaa hoon.......!

                                                     
                                                       nazar ghouri
                                                      Hyderabad(India)
                                                     cell:09885375957

Bahut Bahut Aur Bahut Khoob Nazar saheb!!!!

Har ek Ashaar Lajawaab!!!Bahut Hi khoobsurat Aur Seekh dene wale Jazbaat!!!

Bahut Ache Nazar Saheb!! Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley

Kuch Waqt Pehle ek ghazal likhi Thi, uske Kuch Sher Yaad Aa Rahe Hai..Uss Ghazal Ka Dusra Sher Iss Topic se Taaluuk Rakhta Hai..

Gham Mile Hai Jitne Bhi Khushi ka Naam Do
Kyon Naa Ab Dard Ko Hi Zindagi Ka Naam Do...

Sirf Apne Matlab ke Liye Khuda Ke Aage Sar Jhukata Hai Woh Shaks
Matlab-Parasti Ko Kabhi Naa Bandagi Ka Naam Do...


"Khwaish" Kehta Hai Auron Ke Gham Par Ro pade Jiski Aankh!!!
Aaj Ke Daur Mein Usse Hi Aadmi Ka Naam Do....
Logged
riyaz106
Guest
«Reply #13 on: May 07, 2010, 11:31:31 AM »
Reply with quote
Nazar sahab, bahot imandaari aur tafseel se aapne dil, zehn, mizaaj aur kirdaar ki kaifiyaat ko zahir kiya hai. Ghaflat ki wajah se ye batein bahot se logon mein paai jaati hain. Inhi ka nateeja hai ke insaan ibaadaat ke favaid aur muaashre mein meyari waqaar se mahroom hain. Aapne in uyoob ka badi bebaki se aitraaf to kiya hai lekin baat adhuri rah gai. In baaton par agar nadaamat, sharmindgi aur inke hal ki kisi tajveez par bhi 2-4 lines likh dete to aapki takhleeq mukammal ho jaati. Bina iske aisa lagta hai ke apni kamiyon ka aitraaf to hai lekin malaal nahin. Rabb-ul-aalameen hum sab ko us raah pe chalaaye jis par chalne walon ko usne duniya aur aakhirat ki kaamyaabi di hai. Allah Hafiz.
Logged
by bushra
Guest
«Reply #14 on: May 07, 2010, 12:41:19 PM »
Reply with quote
saza se waqif hu phir bhi saza kar raha hu............
bahot achchi lagi aap ki gazal manna pade ga? icon_salut icon_salut icon_salut
Logged
Pages: [1] 2  All
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 21, 2024, 04:10:51 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 21, 2024, 09:01:29 AM]

[November 16, 2024, 11:44:41 AM]

by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.124 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer