Doston,sirf yoindia par hi nahi amuman har jagah shayar shayaraa lafz kaash bahut pasand karte hain.
Infact ye kaash likhne ko,sochne ko bahut sahara deta hai isliye naye/purane sabhi ke kalaam me ya soch me
kaash aa hi jata hai.Mera maanna hai ye baahut achha hai aur maine to ise itna pasand kia ki takhallus hi bana lia.
Main bhi yahan saalon se hun around 4-5 years aur yahan to gaming section me bhi kaash hai yaani is kadar ye lafz logon ke
zehen-o-dil me basa hua hai ki shayari ke ilaawa bhi kaash ka zikr ho hi jata hai.Halanki kaash sabka alag alag hi hota hai lekin is takhallus ki to free me publicity ho hi gai haha but jokes apart i am thankful for all my friends to choose kaash as such a lovely word
aur ispe sabhi ka akhtiyaar hai!
Well,Kai fans infact kai bade shayar bhi mujhse poochhte hain yahan tak ki jinhe main jaanta bhi nahi wo bhi fb par mesgs
ke through kai baar yehi poochhte hain ki ye takhallus kaise banaya to main itna hi kahta hun kaash hi jaane.Aaj google par kaash search kia to usme kaash shayari ka bhi option hai jisme mere likhe kalaam hain,ye dekhke achha laga!
aaj is takhallus par hi likh raha hun,ek koshish
KAASH
lafz-e-kaash shayari ki duniya ka aadaab sa hai
sachhai se socho to kai sawaalon ka jawaab sa hai
isne mehkaaye hain shayar shayaraon ke tasavvur aise
har kalam ki siyaahi me basa hua ek khwaab sa hai
koi bhi mehfil zikr-e-kaash ke begair poori nahi hai
tasavvur hai jannat aur kaash shayari ke sawaab sa hai
koi kaisa bhi ho zindagi kaash se rubaru karwa hi deti
kahin ruka kahin chala kahin dauda ye ek sailaab sa hai
kaash ek aaina hai,ehsaason ki aaraayish hai ho paati
begair kaash kalaam soone aasmaan me soona mehtaab sa hai