Log jab Chalte Hai Girte Hai "Khwaish"

by khwaish on July 30, 2011, 12:55:16 PM
Pages: [1] 2  All
ReplyPrint
Author  (Read 2363 times)
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006

View Profile
Reply with quote
Waqt Ki Aandhiyon Mein Kuch Khwaishe Pigal Jaate Hai
Tamanayen Ashq Bankar Aankhon Se Nikal Jaate Hai

Maayusi Ka Sehra Pehne Kyon Phirte Rehte Hai Hum Dar-badar!!
Suna Hai Pal-Pal mein Yahan Taqdeerein Badal Jaate Hai

Hausle Dam Tod Bhi De To Manzil Ko Paana Na-Mumkin Nahi!!
Kehte Hai Ke Bhigde Hue Halaat Bhi Aksar Sawar Jaate Hai

 Jinse Bhi Milo,Bas Muksurakar Milo Umar Bhar!!!!
Pareshaniyon Mein Aksar Apno ke Chehre Badal Jaate Hai

Kabhi Jahan Bhar Ki Cheezein Paas Ho To Bhi Koi Sukoon Nahi!!
To Kabhi Bacho Ko Muskurate Dekhkar Hi Dil Behal Jaate Hai
 
 Palkon Par Ashq Ka Qatra Aakhir Kab Tak Tehrega!!!!
Waqt Ke mutaabik Hum Khud Hi Apni Palkon Ko Masal Jaate Hai

"Khwaish" Itna Asaan Nahi Hai Yuhi Manzil Ko Paa lena!!
Log Jab Chalte Hai, Girte Hai Par Phir Sambhal Jaate Hai
Logged
khujli
Guest
«Reply #1 on: July 30, 2011, 12:58:07 PM »
Reply with quote
 Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause icon_flower icon_flower icon_flower icon_flower icon_flower icon_flower icon_flower
Logged
rsd4u
Guest
«Reply #2 on: July 30, 2011, 01:06:42 PM »
Reply with quote
 Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley
 wave wave wave wave
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006

View Profile
«Reply #3 on: July 30, 2011, 01:13:54 PM »
Reply with quote
Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause icon_flower icon_flower icon_flower icon_flower icon_flower icon_flower icon_flower

Inn Beshumaar Taaliyon Ke Liye Aapka Bahut Bahut Shukriya Qalbji..Par Kaash Aap Kuch Keh Bhi Dete Usual Smile
Logged
ParwaaZ
Guest
«Reply #4 on: July 30, 2011, 01:15:25 PM »
Reply with quote
Khawahish jee Aadaab!

Behad khoob khayaal hai aur kafe gehre ashaar kahe hai
aapne ... humari daad O mubarakbad kabul kijiye... Usual Smile

Sabhi ashaaroN ke khayaal behad khoob hai... Usual Smile
Kuch khamiyaaN nazar aayi hai jiss ko ruberu karna zaruri
samjh rahe hai hum isliye bataa raheN hai.. Usual Smile Ummid hai
aap is gustaqui ko dil se nahi lagayeNge aur humari baat ko
samjheNge.. Usual Smile

Waqt Ki Aandhiyon Mein Kuch Khwaishe Pigal Jaate Hai
Tamanayen Ashq Bankar Aankhon Se Nikal Jaate Hai

Pahele misre meiN khawahishe " Female gender word hai... jo jaate kahne se munaseeb nahi ban rahi hai.. " KhawahisheN pighal jati hai"

Wohi dusre misre meiN TamannayeN bhi femal gender word hai..
Jiske liye aapko "jaati hai" ka istemaal karna padeNga..          

Maayusi Ka Sehra Pehne Kyon Phirte Rehte Hai Hum Dar-badar!!
Suna Hai Pal-Pal mein Yahan Taqdeerein Badal Jaate Hai

Achcha khayaal hai daad par yahaaN bhi taqdeer female gender word hai so TaqdeereN badal jaati hai"          

Hausle Dam Tod Bhi De To Manzil Ko Paana Na-Mumkin Nahi!!
Kehte Hai Ke Bhigde Hue Halaat Bhi Aksar Sawar Jaate Hai

Achcha khayaal hai janab .. daad ..
Par aapne kafiyaa hi badal diyaa is sher meiN ?          

 Jinse Bhi Milo,Bas Muksurakar Milo Umar Bhar!!!!
Pareshaniyon Mein Aksar Apno ke Chehre Badal Jaate Hai

Waah janab bahut khoob achcha sher hai aur puri tarhaa sahiN Usual Smile          

Kabhi Jahan Bhar Ki Cheezein Paas Ho To Bhi Koi Sukoon Nahi!!
To Kabhi Bacho Ko Muskurate Dekhkar Hi Dil Behal Jaate Hai
 
Bahut khoob daad Usual Smile          

 Palkon Par Ashq Ka Qatra Aakhir Kab Tak Tehrega!!!!
Waqt Ke mutaabik Hum Khud Hi Apni Palkon Ko Masal Jaate Hai

Achcha hai daad Usual Smile          

"Khwaish" Itna Asaan Nahi Hai Yuhi Manzil Ko Paa lena!!
Log Jab Chalte Hai, Girte Hai Par Phir Sambhal Jaate Hai

Bahut khoob daad Usual Smile          
    
Khawahish jee aap bahut unique likhate hai..
behad achche khayaal bayaaN karte hai par kuch aik khamiyaaN
shayari ki rangat ko kam kar deti hai... Usual Smile

Jisse shayari padhne meiN aur use kahne meiN mazaa kam ho
jataa hai... isliye hume jo choti si khamiyaaN nazar aayi
humne apna farz samajh kar aapko dikha dii... Usual Smile aap isse
agar kuch lete haiN to hume bahut khushi hoNgi.. Usual Smile

Likhate rahiye.. Khush O aabaad rahiye... Usual Smile
Khuda Hafez Usual Smile          

Logged
sbechain
Guest
«Reply #5 on: July 30, 2011, 01:18:02 PM »

pareshanoyon mein aksar apno ke chehre badaljaate hain  waah bahut khoob.

                karzdaar jo hain unka kya kahna,
                chupke se meri gali se nikal jaate hain
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006

View Profile
«Reply #6 on: July 30, 2011, 01:26:27 PM »

parwaaz Ji, Aapne Apna Keemti waqt Diya, Aapka bahut bahut Shukriya..Jaise Ki Aapne Kaha, maine Bhi uss Baat Par Gaur Kiya Ke Kayi Shabd Aise Hote Hai Jo "Female Gender" Sound Karte Hai, Uss Shabd Ke Aage "Jaati Hai,Nikal jaati hai" Hi Likhna Sahi hoga..koshish zaroor hogi Ke Iss Baat Par Khayal Rakha Jaaye..Apna Waqt dene Ke liye Phir Se Bahut Bahut Shukriya..
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006

View Profile
«Reply #7 on: July 30, 2011, 01:35:21 PM »
Reply with quote
Kuch Khwaishe jaane Mujhse Kya Kehti Hai
Aakhein Meri Yuhi Kyon Behti hai

Naa Paas Koi manzil,naa Koi Manzil Ka Suraag!!
 Zindagi Apni Ajeeb Sa Dard Sehti Hai

 Tammanayen To bahut Si Thi Dil Mein!!
Par Tammanayen Aksar Meri Tanha Hi Rehti Hai

"Khwaish" Dil Ki Baaton Ko Sahi Dhang Se Likhna Seekho
  Shayari Bhi Aksar Shayar Se Yehi Kehti Hai!!!!
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006

View Profile
«Reply #8 on: July 30, 2011, 01:37:52 PM »
Reply with quote
Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley
 wave wave wave wave

Aapka Bahut bahut Shukriya Rsduji icon_flower
Logged
Sanjeev kash
Guest
«Reply #9 on: July 30, 2011, 02:15:12 PM »
Reply with quote
Bahut Kamal Khwaish ji Baki Sab to mujh se pehle sab ne keh diya hai Mujhy Bahut Pasand aaya app ka likha hua Applause Applause Applause Applause Applause
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006

View Profile
«Reply #10 on: July 30, 2011, 03:08:20 PM »
Reply with quote

pareshanoyon mein aksar apno ke chehre badaljaate hain  waah bahut khoob.

                karzdaar jo hain unka kya kahna,
                chupke se meri gali se nikal jaate hain

Thankyou Sooooooooooo Much Shebaji..Yuhi Humesha Saath Dete rahiyega.. icon_flower icon_flower
Logged
Mohammad Touhid
Umda Shayar
*

Rau: 35
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
38 days, 12 hours and 35 minutes.

'I' 'Luv' d Way 'U' 'Forget' Me..!.!

Posts: 7160
Member Since: Aug 2009

View Profile
«Reply #11 on: July 30, 2011, 03:18:56 PM »
Reply with quote
 Applause Applause Applause Applause

 icon_flower icon_flower icon_flower icon_flower

 Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley

 icon_salut icon_salut icon_salut icon_salut

Khwais ji.. isse jyada kaya kahu..  speechless..

dil ko chhu gayi sahab..

shukriya aapka ki hume aap jaisa umda shayar mila..
 jo zazbaat ke lafzo ko itni behtar tarike se sazakar pesh karna janta hai..
 notworthy notworthy notworthy notworthy
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006

View Profile
«Reply #12 on: July 30, 2011, 03:42:32 PM »
Reply with quote
Bahut Kamal Khwaish ji Baki Sab to mujh se pehle sab ne keh diya hai Mujhy Bahut Pasand aaya app ka likha hua Applause Applause Applause Applause Applause

Sanjeev ji, aapne apna waqt diya..aapka Tehhhhhh dil se shukriya mere bhai..Yuhi Humesha saath Dete Rahieyga icon_flower
Logged
chitralsony
Guest
«Reply #13 on: July 31, 2011, 08:42:32 AM »
Reply with quote
umdaaaaaaaaaaaaaaa
Logged
SURESH SANGWAN
Guest
«Reply #14 on: July 31, 2011, 02:20:47 PM »
Reply with quote
khwaishji bahut khoob likha hai..
 Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley

khwaishji-----------------par ek baat muhje thoda akharti hai
khwaishe aandhiyon mein pighalti nahin udd jaya karti hain.
tamannayen ashq bankar aanhko se pighal jaya karti hain.
Logged
Pages: [1] 2  All
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.

Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
January 28, 2025, 02:07:53 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[January 19, 2025, 05:59:15 PM]

[January 19, 2025, 05:47:49 PM]

[January 10, 2025, 09:46:05 AM]

[January 10, 2025, 09:45:14 AM]

[January 08, 2025, 08:30:59 AM]

[January 08, 2025, 08:29:31 AM]

[January 05, 2025, 08:51:01 AM]

[January 05, 2025, 08:45:11 AM]

[January 05, 2025, 08:44:20 AM]

[January 05, 2025, 08:43:28 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.162 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer