MAA KI VIVASTA :BETI

by hemlata singh on December 03, 2011, 04:16:47 PM
Pages: [1]
ReplyPrint
Author  (Read 4486 times)
hemlata singh
Guest
Reply with quote
jab maine suna us ghar beti aayi hai
   mujhe laga mano charon orr chandni muskurai hai
socha badhai dun us maa ko jaa kar jo
   dharti par ek or janni ko lai hai

maine jaakar dekha wahan to mere achraj ki seema na rahi
    wahan to lag raha tha jaise soak ki sabha chai hai
dada ji darwaje pe utra sa muh liye khade hain;
    dadi ki aankhon main pote ki chahet aanshu ban kar jhalak rahi hai
aas pados ke log ajeeb chenta kashi kar rahe hai
    tabhi ander se aati hui bua boli , tu kya karegi hamare liye
tu to janam se hi parai hai..................

jab maine suna............................................. .....

ye sab dekh kar maa boli, meri beti tu kyon iss duniya main aai hai
    yahan teri kio chahat nahi tu kyon yahan ek bojh sa jevan geene aai hai
n to tujhe bacha sanku is nirmam soch se orna hi tujhe tyagne ka saahash mujhme hai
     kya karun itni himmat bhi to us vidhata ne mujhe nahi bandhai hai
jab maine............................................ ....................
ye sab dekh mera man bola kaisa ye samaj hai jahan istri hi istri ke viruddh aai hai
     iss par bhi dhong kerte hain aadhunikta ka, abhi to hamare hi ander....vicharon ki itni badi khai hai....
    beta hai beti se badh kar yahi soch har dil main samai hai... par
manavta ke mandandon pe maapein to kya fark ke is aadhar main tanik bhi sacchai hai?Huh?

jab maine suna............................................. ......................

Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Beti by Roja in Tanziya aur Tehreekbaksh Shayariyan « 1 2 3  All »
~BETI~ by Sonia01 in Tanziya aur Tehreekbaksh Shayariyan
Beti by jaindost in Miscellaneous Shayri
beti (NM) by vb in Miscellaneous Shayri
beti na thukrao by ravisagar1 in Other Languages
ParwaaZ
Guest
«Reply #1 on: December 03, 2011, 04:49:52 PM »
Reply with quote
Aadaab Hemlataa jee !


Wel Come to YO India Usual Smile


 Welcome Banner Welcome Banner Welcome Banner

Behad dardnaak aur sahiN ahsaasoN ko lafzoN meiN dhala hai
aapne... Humari dheroN daad O mubarakbad hazir hai.. Usual Smile

Aik bahut achchi kavitaa ke saath aapne agman kiya hai ummid
hai aapka yeH safar youN hi chalta raheNga.. Usual Smile


Likhate rahiye.. Aate rahiye..
Khush O aabaad rahiye.. Usual Smile         

Logged
F.H.SIDDIQUI
Guest
«Reply #2 on: December 03, 2011, 05:19:03 PM »
Reply with quote
Hemlataji,eik atyant mahatvapurna vishay per apni lekhni ke chamatkaar bikherte hue aap iss manch per padhaari hain jiske liye aap ko badhai aur Yo ki ore se hardik swagat .yadyapi yeh vichardhara abb tezi se badal rahi hai aur beti ko bhi Lakshmi ka swarup maana jaane laga hai.Barhti hui shiksha aur uss se judi hui aatm nirbharta jo mahila sashaktikaran ka mukhya mantra hai ussko mukhya dhaara mein laa rahe hain.Kaash jahez ki laanat samaapt ho jaaye jiski laalach karne waale purush swayam ko 'purush' kahte nahin jhijhakte aur jiske karan hi eik maa apni laadli ko samaj per bojh samajhne per majboor hoti hai.Aap ko sundar rachna par phir se dil se badhai. khush rahiye.
Logged
justtauseef
Guest
«Reply #3 on: December 04, 2011, 08:58:39 AM »
Reply with quote
Jab bhi is jahan mein koi aaya
apni qismat wo saath laya
farq vidhata ne naa kiya zan-o-mard mein
jhhoote antar to insan ka hai banaya!
Logged
SURESH SANGWAN
Guest
«Reply #4 on: December 04, 2011, 10:17:36 AM »
Reply with quote
 Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley
welcome to yo
hemlata ji.
keep it up bahut achha likha hai.
Logged
khamosh_aawaaz
Guest
«Reply #5 on: December 06, 2011, 09:58:33 AM »
Reply with quote
jab maine suna us ghar beti aayi hai
   mujhe laga mano charon orr chandni muskurai hai
socha badhai dun us maa ko jaa kar jo
   dharti par ek or janni ko lai hai

maine jaakar dekha wahan to mere achraj ki seema na rahi
    wahan to lag raha tha jaise soak ki sabha chai hai
dada ji darwaje pe utra sa muh liye khade hain;
    dadi ki aankhon main pote ki chahet aanshu ban kar jhalak rahi hai
aas pados ke log ajeeb chenta kashi kar rahe hai
    tabhi ander se aati hui bua boli , tu kya karegi hamare liye
tu to janam se hi parai hai..................

jab maine suna............................................. .....

ye sab dekh kar maa boli, meri beti tu kyon iss duniya main aai hai
    yahan teri kio chahat nahi tu kyon yahan ek bojh sa jevan geene aai hai
n to tujhe bacha sanku is nirmam soch se orna hi tujhe tyagne ka saahash mujhme hai
     kya karun itni himmat bhi to us vidhata ne mujhe nahi bandhai hai
jab maine............................................ ....................
ye sab dekh mera man bola kaisa ye samaj hai jahan istri hi istri ke viruddh aai hai
     iss par bhi dhong kerte hain aadhunikta ka, abhi to hamare hi ander....vicharon ki itni badi khai hai....
    beta hai beti se badh kar yahi soch har dil main samai hai... par
manavta ke mandandon pe maapein to kya fark ke is aadhar main tanik bhi sacchai hai?Huh?

jab maine suna............................................. ......................



WAQAI YE EK GAMBHIR MASLA HAI HAMAARE SAMAJ MEIN
Logged
Pages: [1]
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
December 25, 2024, 07:47:46 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by mkv
[December 22, 2024, 05:36:15 PM]

[December 19, 2024, 08:27:42 AM]

[December 17, 2024, 08:39:55 AM]

[December 15, 2024, 06:04:49 AM]

[December 13, 2024, 06:54:09 AM]

[December 10, 2024, 08:23:12 AM]

[December 10, 2024, 08:22:15 AM]

by Arif Uddin
[December 03, 2024, 07:06:48 PM]

[November 26, 2024, 08:47:05 AM]

[November 21, 2024, 09:01:29 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.262 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer