sanaimtiyaz
Newbie
Rau: 0
Offline
Waqt Bitaya:2 hours and 8 minutes.
Posts: 7 Member Since: May 2015
|
|
|
Parchaayi main teri, aayina tu mera bhi, Rahmat ka samandar hai, Mohabbat ka dariya bhi, Gumjaaun kahin toh khud ko talaashne ka zariya bhi,
Ladhkadhaate qadmon ko jisne sambhaala, Duniya ki gaflat se jisne bachaaya, Gumraahi ki dastak par, maafi ka chaadar jisne audaaya, Imaan ke beejon ko jisne saaz se peeroya,
Naa shikwaa kiya, na koi khwaahish, Pata bhi nahi chalne diya, kaise bani main teri aazmaayish,
Khud se pehle, khuda ko rakha, Tasawwur se khoobsurat ek saathi sachcha,
Jaise thay Yaaqub (as), apne A'zeez yusuf ke khaufnaak raston main, Jaise thay hamaare Huzoor (saws) apni aulaadon ke mushkil palon main,
Waise hi ek naayab shakhsiyat, jise kehti main maa hun, Meri zameen, mera aasmaan, jis ke dam par noorain hai mera jahaan,
Jo awaaz se pehchaane mere dil ke haal, Shabdon se jaan le, chupe hue hazaaron sawaal, Meri hayaat ki bharosemand humraaz, jise kehti main maa hun,
Aansuon ke girne se pehle jo sameth leti hai, Dard ko bayaan karne se pehle jo sun leti hai, Mujhe aksar mujhse zyaada padh leti hai,
Meri tooti hui himmat ki mazboot chattaan, jise kehti main maa hun,
Haare hue waqton ki adheem mauhlat, jise kehti main maa hun, Karb ki galiyon main aankhon ki thandak, jise kehti main maa hun, Tooti hui aas ki nayi umeed, jise kehti main maa hun...
Bin maange hi dediya sab kuch, Lautaa na sakungi main kabhi kuch, Chali main ab naye raaston pe, magar tanha nahi, Teri Duaayon ne kabhi akela mujhe choda nahi,
Kare dil, khushi se hazaaron sajde, Sab kuch begaana kardun bas tere sadke, Khuda tujhe apni jannat main : Khuda tujhe apni jannat main muskuraata hua rakhe,
Firdaus waasiyon main naam shaamil ho tera, aur farishte bhi jaanlein ke 'kise kehti main hun'....
|