DhavalRami
Guest
|
|
|
Mere pyaare dostoN:
namaskaar aur aadaab!!
ik roz apne bachpan ko apni aaNkhoN ke saamne paayaa thaa.. to maa.N ke ehsaas ke baare meiN sochaa.. mujhe lagtaa haii ki bhagvaan ne sab kuch apne paas raKh liyaa hai aur hum iNsaanoN ko aur dunya ke sabhee jeev ko sab se anmol , jiska ko'ii bhee mol nahiiN wo maa.N dee haii.. Shaayad ees liye hi Bhagvaan ne bhee baar-baar dharti par janam liyaa haii!! taa.K wo bhee maa.N ke pyaar bhare ehsaas ko mehsoos kar paaye.N .bacpan ki yaadeN aur maa.N ke ehsaas ko maiNe kaaGaz par utaarne ki chhoTi si koShiSH kii haii.. aap sab ke saath baaNT rahaa huuN!! ummid kartaa huun aap kaa saath zaruur mileNgaa..! apnii raa'ey aur sujhaav zaruur deejiYeNgaa!!
*******************************
maa.N ke haathoN ke nivaale meiN pyaar hi pyaar barastaa haii maa.N ke haathoN se nivaalaa khaane ko Bhagvaan bhee tarastaa haii!! aaNkh jab Kholi thee maiNe dunyaa meN maa.N kaa chehraa saamne paayaa thaa muskuraate huye uss ke chehre ko maiNe apni iN aaNkhoN meiN samaayaa thaa bachpan ki wo bhaag-dauD meiN. jo kabhee ChoT lag jaayaa karti thee aaNKheN aaNsuoN se ho jaatee thee nam dhaRkaneN uss ki tham jaayaa kartee thee maiN jo boluuN " maa.N" pyaar se to wo pyaar se " haaN beTaa" bulaayaa kartee thee naZar nah lag jaaye kahiiN mere laaDle ko yeh keh ke wo har-roz kaajal kaa Tiikaa lagaayaa kartee thee merii ShaitaaniyoN se.wo jab kabhee bhee pareShaan ho jaayaa kartee thee.. Chhup jaataa tha fir maiN kahiiN jaake mujhe jab wo DaaNT lagaayaa kartee thee yaad aaj bhee hai wo suni hu'ii loriyaaN aur kahaaniyaaN Zid kar ke maa.N se roz raat ko sunaa kartaa thaa kahaanii ke Khatam hone se pehle hi maiN maa.N ki god mein chain ki neeNd so jaaya karta thaa kahaani ke dauraan poochh ke ulTe-pulTe sawaal maiN maa.N ko bahot haNsaayaa kartaa thaa haaN !!maiN maaN ko bahot haNsaayaa kartaa thaa ik tasalli sii rehti hai ees dil ko jab maaN ki aaNKheN mujhe deKhtii haii.. ik tasalli sii rehti haii ees dil ko jab wo pyaar se apnaa haath mere sar pe raKhtii hai ShuKr huuN maiN uss Khudaa kaa. jo uss ne mujhe maa.N dee haii beTe kaa farz nibhaauN maiN bhee.. jo uss ne mujhe itnii pyaarii ziNdagee dee hai
*******************************
|
|
|
Logged
|
|
|
|
|
sanprem
Guest
|
|
«Reply #1 on: August 13, 2009, 01:32:45 PM » |
|
Usko nahin dekha humne kabhi Aye Maa ,Aye Maa teri surat se alag Bhagwaan ki surat Kya hogi, Kya hogi
|
|
|
Logged
|
|
|
|
poppoetry
Guest
|
|
«Reply #2 on: August 13, 2009, 03:41:39 PM » |
|
|
|
|
Logged
|
|
|
|
|
|
madhuwesh
Guest
|
|
«Reply #5 on: August 13, 2009, 09:51:56 PM » |
|
|
|
|
Logged
|
|
|
|
DhavalRami
Guest
|
|
«Reply #6 on: August 14, 2009, 05:51:20 AM » |
|
Usko nahin dekha humne kabhi Aye Maa ,Aye Maa teri surat se alag Bhagwaan ki surat Kya hogi, Kya hogi Sanprem jee:
namaskaar!
aapne merii ees rachanaa ko samjhaa baRii KhuShii hu'ii..!
yuuNhi paRhte raheN aage bhee!
KhuSh raheN... apnaa khayaal raKheN
duaaoN ke saath ijaazat
aapka
~ Dhaval
|
|
|
Logged
|
|
|
|
|
DhavalRami
Guest
|
|
«Reply #8 on: August 14, 2009, 12:16:31 PM » |
|
Poppoetry saaHeb/saaHiba:
merii rachanaa ko pasaNd karne ke liye bahot bahot ShuKriyaa'h .. darKhaaSt yahee hai aapse ki yuuNhi saath dete raheN!
KhuSh raheN... apnaa Khayaal raKheN
duaaoN ke saath ijaazat
aapka
~ Dhaval
|
|
|
Logged
|
|
|
|
|
|
DhavalRami
Guest
|
|
«Reply #11 on: August 15, 2009, 11:12:17 AM » |
|
MadhuweSh jee:
namaste!
aapkaa saath milaa bahot hi KhuShii hu'ii mujhe .. maiN aapka tah-e-dil se ShuKraGuzaar huuN!
KhuSh raheN... apnaa Khayaal raKheN
duaaoN ke saath ijaazat
aapka
~ Dhaval
|
|
|
Logged
|
|
|
|
|
|