Main bhool jaon tumhain abb yahi munasib hay

by muneeb on September 20, 2004, 08:01:35 PM
Pages: [1]
ReplyPrint
Author  (Read 2131 times)
muneeb
Guest
Reply with quote
Main bhool jaon tumhain abb yahi munasib hay
muger bholana bhi chahon to kistaraha bhoolon
k tum to phir bhi haqeekat ho koi khuaab nahi
yahan to dilka yay alam hay kia kahon...
bhoola saka na yay wo sisila jo tha hi nahi
wo aik khayaal jo awaaz tak gaya hi nahi
wo aik baat jo main keh nahi saka tum say
wo aik rabt jo hum main kabhi raha hi nahi
mujhay hay yaad wo sab kuch jo kabhi hoaa ho nahi
ager yay haal hay dilka to koi samjhayy
tumhain bhoolana bhi chahoon to kistarha bhoolon
kay tum to phir bhi haqeekat ho koi khuaab nahi.Usual Smile
Logged
Tosha
Guest
«Reply #1 on: September 28, 2004, 06:12:01 AM »
Reply with quote
bahut khoob..!
Logged
mudassirali
Guest
«Reply #2 on: September 28, 2004, 06:38:26 AM »
Reply with quote
duniya se ja raha hoon kafan mein chupaey moonh
afsos baad marney key aayi hamein haya
Logged
Pooja
Guest
«Reply #3 on: September 28, 2004, 04:15:33 PM »
Reply with quote
nice Muneeb....one of Jagjit's best singing Gazal...

nice wordings:
wo aik khayaal jo awaaz tak gaya hi nahi
wo aik baat jo main keh nahi saka tum say
wo aik rabt jo hum main kabhi raha hi nahi
mujhay hay yaad wo sab kuch jo kabhi hoaa ho nahi
Logged
muneeb
Guest
«Reply #4 on: September 29, 2004, 07:06:44 PM »
Reply with quote
THank you  "pOOJA"



kabhi aisa lagta hay
dil main aik raaz hay
jisay kehna chaon main
per main keh paon naa
ankho hi ankho main
kehjati hay jo
kamoshion ki yeh kasi zaban
mainay suna jo na us nay kaha
kia aisa bhi hota hay piyar
mery khuda mujhay itna bata
kia aisa hi hota hay piyar
aisa lagta hay
anjani piyas hay
per simti honton main woh reh paye na
kaisa ahsas hay koi to pass hay
yeh dorian hain kasi yehan
mehki lagay mujhy sari fiza
kiya aisa hi hota hay Piyar
mery khuda mujhay itna bata
kia aisa hi hota hay piyar
yeh such hay chahat pay kabhi
kisi ka bhi zoor nahi
dilbar ki yadon ko paalain
asi koi dorr nahi
sub kuch wohi
per lagta nahi
kia aisa bhi hota hay piyar
mery khuda mujhay itna bata
kia aisa hi hota hay piyar
aik pull jaye dil ko
chala jye door kahin
duniya main is dil kay jaisa
koi majbur nahi
mery khuda mujhay itna bata
kia aisa hi hota hay piyar
Logged
Qutubuddin
Guest
«Reply #5 on: October 21, 2004, 01:17:02 PM »
Reply with quote
Well said all..

Ques...
Logged
Pages: [1]
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
January 24, 2025, 08:45:47 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[January 19, 2025, 05:59:15 PM]

[January 19, 2025, 05:47:49 PM]

[January 10, 2025, 09:46:05 AM]

[January 10, 2025, 09:45:14 AM]

[January 08, 2025, 08:30:59 AM]

[January 08, 2025, 08:29:31 AM]

[January 05, 2025, 08:51:01 AM]

[January 05, 2025, 08:45:11 AM]

[January 05, 2025, 08:44:20 AM]

[January 05, 2025, 08:43:28 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.102 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8510 Real Poets and poetry admirer