Main To Aik Samunder Hun

by javedarshad on November 11, 2007, 03:09:19 AM
Pages: [1]
ReplyPrint
Author  (Read 814 times)
javedarshad
Guest
Reply with quote
Main to aik samunder hun
Jis ki tahoon ko smetna na mumkin hai
Hazaroon loog aate hain
Apne dard , apne raaz samete
Mere ander gharq ho jate hain

Kabhi hansta ,gungunaata deriya aata hai
Apni hastee se be khaber aur
Bekhabri mein mujh mein zam ho jata hai

Kaheen se ghusse mein bal khaati
Bermami se machalti nadee aati hai
Chupke se meri aaghoosh mein so jati hai

Maheenoon ki musafiraat taye kerta karwaan
Hazaarha sapnain sajaye aata hai
Iska mahal numaan Langer andaaz jahaaz
Sahil ko kuch door choodne ke baad
Khamooshi se mujh mein panaah dhoond leta hai
Sab ke armaan , walwale aur sapne
Isi khaamooshee se soo jate hain

Main to aik samunder hun
Main to her aik ka ghaam sahne ki taqat rakhta hai
Aur her aik ko gale lagane ki salahiyat rakhta hun

Lekin kia kabhi kisi ne mere dard ke bare mein soocha hai
Kia kabhi kisi ne meri tadap ke bare mein soocha hai

jab mera dil phat ta hai to kia hoota hai
Meri aik chinghaad si sunayee deti hai
Jis se saree duniyaan kaanpti dikhayee deti hai
Aur mere jazbaat ke raile mein
Her cheez fana hooti dikhayee deti hai
Kia Jazeere, Kia aatish fishaan
Kia mahal, Kia khaalyaan
Sab khamooshi se mujh mein samane lagte hain

Phir meri khamooshi
Badi khamooshi se laut aati hai
Aur her koii mere qadmoon mein
Apni roodad le ker aane lagta hai
Kuinke main to aik samunder hun

Her aik phir se mujh mein samane lagta hai
Apni apni rudaad sunane lagta hai aur
Main phir se sab ko gale lagane lagta hun
kainke
Main to aik samunder hun

Javed
Logged
Ricky
Yoindian Shayar
******

Rau: 8
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
4 days, 3 hours and 56 minutes.

Posts: 2455
Member Since: Dec 2003


View Profile
«Reply #1 on: November 11, 2007, 06:49:55 PM »
Reply with quote
Zindagi ke ayine ko maine harr rukh se dekha,
Kabhi Ankhe moond toh kabhi fursat se dekha,
Haasil jo mujhe hai woh hai toh sirf meri zindagi
Aur saath me hai ya fir us uper wale k liye bandagi

Aur chah nahi mujhe ya mere dil ko
Bass khamoshiyan hi kaafi hai jeene ko
Ek koshish rahegi ta-umra ki lelen thori ghami
Aur bant dun saari khushi, dun wajah jeene ki kisiko !!!
Logged
Pooja
Guest
«Reply #2 on: November 12, 2007, 03:49:11 PM »
Reply with quote
bahoot khoob Javed and Good one Ricky!!!
Logged
Roja
Guest
«Reply #3 on: November 14, 2007, 05:13:47 AM »
Reply with quote
Nice 1 Jawed ji... and  Ricky ji
Logged
Pages: [1]
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
January 24, 2025, 07:42:45 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[January 19, 2025, 05:59:15 PM]

[January 19, 2025, 05:47:49 PM]

[January 10, 2025, 09:46:05 AM]

[January 10, 2025, 09:45:14 AM]

[January 08, 2025, 08:30:59 AM]

[January 08, 2025, 08:29:31 AM]

[January 05, 2025, 08:51:01 AM]

[January 05, 2025, 08:45:11 AM]

[January 05, 2025, 08:44:20 AM]

[January 05, 2025, 08:43:28 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.096 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer