mante ho yadi swayam ko mera shiv.........

by ranjana on April 24, 2006, 12:48:39 PM
Pages: [1] 2  All
ReplyPrint
Author  (Read 2071 times)
ranjana
Guest
Reply with quote
mante ho yadi swayam ko mera Shiv,
toh shakati maan mujhe jeena hoga......

mere adharo per rakh apne adhar.....
mere jivan ka poorn vish peena hoga..........

meri har jawala ko mere har taap ko.......
man mein base har santap ko ...........

apne sheesh dhaare ganaga jal se
tumko hi sheetal karna hoga........

rikt pade is hriday ke har kone ko...........
bas apne prem se bharna hoga.......

mante ho yadi swayam ko mera shiv.......
toh shakati maan mujhe jeena hoga.................


------------

ranju
Logged
Rajbir
Guest
«Reply #1 on: April 24, 2006, 01:17:22 PM »
Reply with quote
Ranju

Very nice !

Keep it up !

Welcome to Yoindia :D

Rajbir
Logged
badnaam_shayar
Guest
«Reply #2 on: April 25, 2006, 10:13:00 AM »
Reply with quote
Quote from: "ranjana"
mante ho yadi swayam ko mera Shiv,
toh shakati maan mujhe jeena hoga......

mere adharo per rakh apne adhar.....
mere jivan ka poorn vish peena hoga..........

meri har jawala ko mere har taap ko.......
man mein base har santap ko ...........

apne sheesh dhaare ganaga jal se
tumko hi sheetal karna hoga........

rikt pade is hriday ke har kone ko...........
bas apne prem se bharna hoga.......

mante ho yadi swayam ko mera shiv.......
toh shakati maan mujhe jeena hoga.................


------------

ranju


Superb Ranjana ji.....kaafi acchi Hindi likh leti hain aap.....Keep it up
Logged
Pooja
Guest
«Reply #3 on: April 25, 2006, 02:52:23 PM »
Reply with quote
bahoot khoob ranjana!! Shiv bhagat hu, so apki kavita pad kar jo man mai ayya likhne ja rahi hu:

Mana hai khud ko tera Shiv
Aa tuje duniya dikha du

Jeeti hai kaise yah duniya
Aaj tujko bhi dikha du

Kahty hai jise Vish
Wo to sirf maya hai

Dard deti hai jo pal pal
Wo to sirf ek kaya hai

Adhar tere jo tadpe
Wo tan ka santaap hai

Sheetal jo hona chahe
Wo man ka ek khawab hai

Jawala teri ichayo ki
Tadap teri is kaya ki
Santap tere is tan ka
Sawapan tere is man ka

Aa tere khali hirdaye ko
Gayan jayot se bhar du
Mai hu  tera Shiv O pagali
Aa tujme apna maan rakh du!!!
Logged
mrkotians
Guest
«Reply #4 on: April 25, 2006, 10:25:37 PM »
Reply with quote
Shiv kaho toh darr nahin...
shiv naam ko alawa kuch aur nahin...
shiv bhakton ko narak nahin...
janam janam ki sankat nahin...

bhog bhagy ka jaal mein na aao
thak kar is dharti mein...
apne kaam karte raho aatmanand lete raho...

daan ek tapasya hain...
daan dhanik ka jap hain...
upakar tum kiye toh tumhe kailas prapti ho...

ann daan mat bhulo
main mera mat bholo
unnati ke liye deenanath ko mat bhoolo...
Logged
ranjana
Guest
«Reply #5 on: April 26, 2006, 09:00:13 AM »
Reply with quote
Shiv kaho toh darr nahin...
shiv naam ko alawa kuch aur nahin...
shiv bhakton ko narak nahin...
janam janam ki sankat nahin...

bhog bhagy ka jaal mein na aao
thak kar is dharti mein...
apne kaam karte raho aatmanand lete raho...

daan ek tapasya hain...
daan dhanik ka jap hain...
upakar tum kiye toh tumhe kailas prapti ho...

ann daan mat bhulo
main mera mat bholo
unnati ke liye deenanath ko mat bhoolo


bahut sundar ..................
mrkotians ji.........

aapka bahut bahut shukriya

with best wishes

ranju
Logged
ranjana
Guest
«Reply #6 on: April 27, 2006, 04:24:59 AM »
Reply with quote
Mana hai khud ko tera Shiv
Aa tuje duniya dikha du

Jeeti hai kaise yah duniya
Aaj tujko bhi dikha du

Kahty hai jise Vish
Wo to sirf maya hai

Dard deti hai jo pal pal
Wo to sirf ek kaya hai

Adhar tere jo tadpe
Wo tan ka santaap hai

Sheetal jo hona chahe
Wo man ka ek khawab hai

Jawala teri ichayo ki
Tadap teri is kaya ki
Santap tere is tan ka
Sawapan tere is man ka

Aa tere khali hirdaye ko
Gayan jayot se bhar du
Mai hu tera Shiv O pagali
Aa tujme apna maan rakh du!!!

bahut hi sundar...........wonderful .........

with love

ranju
Logged
ranjana
Guest
«Reply #7 on: April 27, 2006, 04:27:06 AM »
Reply with quote
shukriya sahayar ji.......

aapne pada aur pasand kiya......hindi ki teacher hun toh hindi thodi bahut
toh aati hai....... :D

with love

ranju
Logged
ranjana
Guest
«Reply #8 on: May 07, 2006, 01:35:09 AM »
Reply with quote
Quote from: "ranjana"
Mana hai khud ko tera Shiv
Aa tuje duniya dikha du

Jeeti hai kaise yah duniya
Aaj tujko bhi dikha du

Kahty hai jise Vish
Wo to sirf maya hai

Dard deti hai jo pal pal
Wo to sirf ek kaya hai

Adhar tere jo tadpe
Wo tan ka santaap hai

Sheetal jo hona chahe
Wo man ka ek khawab hai

these lines are really very nice.........

ranju
Logged
mrkotians
Guest
«Reply #9 on: May 16, 2006, 05:36:08 AM »
Reply with quote
shiv hain sakal charachar mein
koyal ke kuhu gayan mein
mor ki narthan mein

shiv hain sakal charachar mein
nadiyon ke bahavat mein
panchiyon ke udaan mein

shiv hain sakal charachar mein
suraj ke taap mein
chand ke anutaap mein

shiv hain sakal charachar mein
is din mein.. raat mein
mujh mein... tujh mein...
hum mein... sab mein...
Logged
ranjana
Guest
«Reply #10 on: May 16, 2006, 07:08:42 AM »
Reply with quote
bhaut sundar likha hai aapne MK JI....................
Logged
mrkotians
Guest
«Reply #11 on: May 21, 2006, 12:31:32 AM »
Reply with quote
maan gaye aapke kavitha ko... ranjana...

chalo hum maan gaye swayam ko aapka shiv
tujh mein jeene ki umang ab jagana hain...

jeevan ka poorn vish peekar
adharon par muskurahat ab lana hain...

taap ke jwalamukhi ko shaman kar
mann mein ab basana hi hain...

sheetal karke teri bayak taap
ganga jal se paavan karna hi hain

sirf rikt hi kyon athirikt konon mein bhi
bas mere prem se bharna hi hain...

chalo hum maan gaye...




Quote from: "ranjana"
mante ho yadi swayam ko mera Shiv,
toh shakati maan mujhe jeena hoga......

mere adharo per rakh apne adhar.....
mere jivan ka poorn vish peena hoga..........

meri har jawala ko mere har taap ko.......
man mein base har santap ko ...........

apne sheesh dhaare ganaga jal se
tumko hi sheetal karna hoga........

rikt pade is hriday ke har kone ko...........
bas apne prem se bharna hoga.......

mante ho yadi swayam ko mera shiv.......
toh shakati maan mujhe jeena hoga.................


------------

ranju
Logged
mrkotians
Guest
«Reply #12 on: May 21, 2006, 11:28:33 AM »
Reply with quote
thanx ranjana...

maanti hoon main khud ko tera shiv
tu jee rahe ho dil mein ardhnaari ban ke

tere adharon pe adhar rakh kar kaarkotak
vish piya hoon isliye hoon vishkant ban ke

taap ki jwala bhuja doongi par reh jao
is dil mein parameshvari ban ke

sheetal kar doongi par meri
astitva hi hain gangadhar ban ke

prem se toh bhar doongi main
rahoongi main hridayeshwar ban ke

maan liya khud ko tera shiv
jee rahe ho is dil mein ardhnaari ban ke

Quote from: "ranjana"
bhaut sundar likha hai aapne MK JI....................
Logged
ranjana
Guest
«Reply #13 on: May 25, 2006, 09:19:21 AM »
Reply with quote
very nice MK JI...................
Logged
mrkotians
Guest
«Reply #14 on: May 25, 2006, 04:47:58 PM »
Reply with quote
dhanyawad ranjana...

has haste chalo jo chahe ho
has haste chalo sab bhagwan ka maya hain jaan lo...

sansar hain sundar,
soundarya ke samundar
har oar naya jeevan
pa sakte ho nav chetan...

maa ke godh se
janma hain yeh jeevan
maa ki seene ka anuraag
peete pale hum, hue paavan

doston ke saat khelte
palne ki sundar kaal
aage hain youvan,
vivaah ke bandhan...

har oar bhi naya jeevan
tumhe har pal bhi sukh jeevan
saathi jab mil jaye
tan man jab bhool jaye...

chalte chalte yeh jeevan
tum paoge budhapan
us mein bhi hain naya ras
uska ruchi lena hain tumhe bas...

has haste...
Logged
Pages: [1] 2  All
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
December 24, 2024, 02:27:04 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by mkv
[December 22, 2024, 05:36:15 PM]

[December 19, 2024, 08:27:42 AM]

[December 17, 2024, 08:39:55 AM]

[December 15, 2024, 06:04:49 AM]

[December 13, 2024, 06:54:09 AM]

[December 10, 2024, 08:23:12 AM]

[December 10, 2024, 08:22:15 AM]

by Arif Uddin
[December 03, 2024, 07:06:48 PM]

[November 26, 2024, 08:47:05 AM]

[November 21, 2024, 09:01:29 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.12 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer