Matlab Ka Pyaar, matlab Ki Duniya hai yeh "Khwaish"

by khwaish on November 04, 2009, 12:41:04 PM
Pages: [1] 2 3  All
ReplyPrint
Author  (Read 50595 times)
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
Reply with quote
Zindagi ki Kuch Kadwi Aur sachi Baaton Ko Zehan Mein Rakh kar Yahan Kuch likh Raha Hoon,Umeed Karta Hoon,Jo Baat Main Kehna Chaahta Hoon,Iss Kalaam mein Keh Sakoon...Yeh Kalaam Agar kisi Insaan Ke Hauslo Ko Buland Kar sake To Yehi Iss Kalaam Ka Sabse Bada Inaam Hoga..Shukriya

Khud Ko Koi Fanaah Nahi Karta
Zindagi Apni Tabaah nahi Karta...

Mushkile Mile Hai  To Raaste Bhi Khud Hi Dhoond!!!
Koi Kisi ka Haath Thaam Kar Yahan Chala Nahi Karta...

Kuch Aise Halaat Se Guzar Raha Hai Har Shaks Iss jahan Ka,
Ke Ab koi Aur,  Kisi Ke Liye Dua Nahi karta...!!!!

Kuch To majbooriyan Hoti Hai Har Insaan Ki,
Koi Shauk Se To Gunaah Nahi karta...!!!!

Matlab ka Pyaar, Matlab ki Duniya Hai Yeh!!!
Bin matlab ke yahan Koi Kisi Se Mila Nahi Karta...

Yahan jab Khud Ke Liye Hi Koi Fursat Nahi!!!
 Zakhm Auro Ke koi Sila Nahi Karta...

   Aaj Tu Bebas,Lachaar Aur Maayus Hi sahi!!
Par Hausla Rakh Insaan Apni Hi Nazron Se To Kabhi Gira Nahi karta...

Waqt Ache-Acho Ko Apne Kabze Mein Kar Leta Hai!!
Par Yeh na Soch Ke Insaan Phir Giir ke Kabhi Utha Nahi Karta...

Khud Ko Koi Fanaah Nahi Karta
Zindagi Apni Tabaah Nahi Karta...

                 ~~~~~Khwaish~~~~~
Logged
poppoetry
Guest
«Reply #1 on: November 04, 2009, 01:33:52 PM »
Reply with quote
 Applause Applause Applause Applause Applause Applause

Waah bahut hi khoob khwaish ji....inn lines ko padhkar khuch baatein aa rahi hai dil mein..jinhe khuch panktiyon mein sametne ki koshish kar rahi hu...khuch galat likh gayi ho to maafi ki ummidvaar hu

Rang birangi duniya hai ye,rang birange log rehte hai yha par
Bahut matlabi hai yha k shakhs,unme se khuch acche bhi baste hai yha par

Apne dukh se kam,dusron k sukh se zyada pareshaan hote hai log
Dusron k ghamon se takleef rakhte hai, aaj bhi khuch nek insaan hai yha par

Aur kya kahe,bas itna hi kahege tumse "khwaish"
Har baat tumhari sachi hai par Sou mein se ek behtar insaan bhi hai yha par

Iss baat ko maanna "Pooja" k liye bhi thoda mushkil hai
Par aitbaar toh karna hi hai qunki har shakhs ek jaisa nahi ho sakta
Jo hota har koi ek jaisa to paancho ungliyan bhi hoti barabar yha par

Logged
Talat
Guest
«Reply #2 on: November 04, 2009, 01:36:33 PM »
Reply with quote
Zindagi ki Kuch Kadwi Aur sachi Baaton Ko Zehan Mein Rakh kar Yahan Kuch likh Raha Hoon,Umeed Karta Hoon,Jo Baat Main Kehna Chaahta Hoon,Iss Ghazal mein Keh Sakoon...Yeh Ghazal Agar kisi Insaan Ke Hauslo Ko Buland Kar sake To Yehi Iss ghazal Ka Sabse Bada Inaam Hoga..Shukriya

Khud Ko Koi Fanaah Nahi Karta
Zindagi Apni Tabaah nahi Karta...

Mushkile Mile Hai "Khwaish" To Raaste Bhi Khud Hi Dhoond!!!
Koi Kisi ka Haath Thaam Kar Yahan Chala Nahi Karta...

Kuch Aise Halaat Se Guzar Raha Hai Har Shaks Iss jahan Ka,
Ke Ab koi Aur, Kisi Ke Liye Dua Nahi karta...

Kuch To majbooriyan Hoti Hai Har Insaan Ki,
Koi Shauk Se To Gunaah Nahi karta...

Matlab ka Pyaar, Matlab ki Duniya Hai Yeh "Khwaish"
Bin matlab ke yahan Koi Kisi Se Mila Nahi Karta...

Yahan jab Khud Ke Liye Hi Koi Fursat Nahi!!!
Zakhm Auro Ke koi Sila Nahi Karta...

"Khwaish" Aaj Tu Bebas,Lachaar Aur Maayus Hi sahi!!
Par Hausla Rakh!!! Insaan Apni Hi Nazron Se To Kabhi Gira Nahi karta...

Waqt Ache-Acho Ko Apne Kabze Mein Kar Leta Hai!!
Par Yeh na Soch Ke Insaan Phir Giir ke Kabhi Utha Nahi Karta...

Khud Ko Koi Fanaah Nahi Karta
Zindagi Apni Tabaah Nahi Karta...

                 ~~~~~Khwaish~~~~~



Bohot Khoob Khwaish Dost  Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley

Khaas ye line bohot gehri...aur agar ise hum samajh saken to shayad bohot si takleefon se bach jaayen:

Kuch To majbooriyan Hoti Hai Har Insaan Ki,
Koi Shauk Se To Gunaah Nahi karta...

Logged
Talat
Guest
«Reply #3 on: November 04, 2009, 01:37:42 PM »
Reply with quote
Applause Applause Applause Applause Applause Applause

Waah bahut hi khoob khwaish ji....inn lines ko padhkar khuch baatein aa rahi hai dil mein..jinhe khuch panktiyon mein sametne ki koshish kar rahi hu...khuch galat likh gayi ho to maafi ki ummidvaar hu

Rang birangi duniya hai ye,rang birange log rehte hai yha par
Bahut matlabi hai yha k shakhs,unme se khuch acche bhi baste hai yha par

Apne dukh se kam,dusron k sukh se zyada pareshaan hote hai log
Dusron k ghamon se takleef rakhte hai, aaj bhi khuch nek insaan hai yha par

Aur kya kahe,bas itna hi kahege tumse "khwaish"
Har baat tumhari sachi hai par Sou mein se ek behtar insaan bhi hai yha par

Iss baat ko maanna "Pooja" k liye bhi thoda mushkil hai
Par aitbaar toh karna hi hai qunki har shakhs ek jaisa nahi ho sakta
Jo hota har koi ek jaisa to paancho ungliyan bhi hoti barabar yha par



Bohot achcha likha hai Pooja Applause Applause Applause
Logged
deepika_divya
Guest
«Reply #4 on: November 04, 2009, 02:40:16 PM »
Reply with quote
@ Khwaish Waah waah Kya baat kahi hai. bahoot Bahoot Khoob! Bahoot gehre aur sache jazbaaton ko samete hue hai aapki ghazal..


@ Pooja , tumne bhi sachi kaha.. aur bahoot Bahoot Khoob likha !
Logged
Roja
Guest
«Reply #5 on: November 04, 2009, 03:52:41 PM »
Reply with quote
Zindagi ki Kuch Kadwi Aur sachi Baaton Ko Zehan Mein Rakh kar Yahan Kuch likh Raha Hoon,Umeed Karta Hoon,Jo Baat Main Kehna Chaahta Hoon,Iss Ghazal mein Keh Sakoon...Yeh Ghazal Agar kisi Insaan Ke Hauslo Ko Buland Kar sake To Yehi Iss ghazal Ka Sabse Bada Inaam Hoga..Shukriya

Khud Ko Koi Fanaah Nahi Karta
Zindagi Apni Tabaah nahi Karta...

Mushkile Mile Hai "Khwaish" To Raaste Bhi Khud Hi Dhoond!!!
Koi Kisi ka Haath Thaam Kar Yahan Chala Nahi Karta...

Kuch Aise Halaat Se Guzar Raha Hai Har Shaks Iss jahan Ka,
Ke Ab koi Aur, Kisi Ke Liye Dua Nahi karta...

Kuch To majbooriyan Hoti Hai Har Insaan Ki,
Koi Shauk Se To Gunaah Nahi karta...

Matlab ka Pyaar, Matlab ki Duniya Hai Yeh "Khwaish"
Bin matlab ke yahan Koi Kisi Se Mila Nahi Karta...

Yahan jab Khud Ke Liye Hi Koi Fursat Nahi!!!
Zakhm Auro Ke koi Sila Nahi Karta...

"Khwaish" Aaj Tu Bebas,Lachaar Aur Maayus Hi sahi!!
Par Hausla Rakh!!! Insaan Apni Hi Nazron Se To Kabhi Gira Nahi karta...

Waqt Ache-Acho Ko Apne Kabze Mein Kar Leta Hai!!
Par Yeh na Soch Ke Insaan Phir Giir ke Kabhi Utha Nahi Karta...

Khud Ko Koi Fanaah Nahi Karta
Zindagi Apni Tabaah Nahi Karta...

                 ~~~~~Khwaish~~~~~


bahut accha likha hai aapne Bhaiya.... Yeh padkar sahi mein hausla badega... Thanks for the nice gift
Logged
Roja
Guest
«Reply #6 on: November 04, 2009, 03:55:03 PM »
Reply with quote
Applause Applause Applause Applause Applause Applause

Waah bahut hi khoob khwaish ji....inn lines ko padhkar khuch baatein aa rahi hai dil mein..jinhe khuch panktiyon mein sametne ki koshish kar rahi hu...khuch galat likh gayi ho to maafi ki ummidvaar hu

Rang birangi duniya hai ye,rang birange log rehte hai yha par
Bahut matlabi hai yha k shakhs,unme se khuch acche bhi baste hai yha par

Apne dukh se kam,dusron k sukh se zyada pareshaan hote hai log
Dusron k ghamon se takleef rakhte hai, aaj bhi khuch nek insaan hai yha par

Aur kya kahe,bas itna hi kahege tumse "khwaish"
Har baat tumhari sachi hai par Sou mein se ek behtar insaan bhi hai yha par

Iss baat ko maanna "Pooja" k liye bhi thoda mushkil hai
Par aitbaar toh karna hi hai qunki har shakhs ek jaisa nahi ho sakta
Jo hota har koi ek jaisa to paancho ungliyan bhi hoti barabar yha par



Aahaa.. kya baat hai kya baat hai... dil ke gehri baat aasani se keh diya.. Bahut khoob dear pooja
Logged
Roja
Guest
«Reply #7 on: November 04, 2009, 04:21:40 PM »
Reply with quote
Aaj hone do, kal nahi honge
Sadishon ke kamal nahi honge

Mera paigar(aakruti) tarashne vale
Laakh chahe safal nahi honge

Tees toh aankh se risegi hi
Yeh samasyaye jo hal nahi honge

Laakh ujale libas pehene Vo
Mann ke parde safed nahi honge

Gar na chumoge pataron ko "Roja"
Khoobsurat mehel nahi honge..

Mil jaayenge tujhe tere humsafar kayi
Per tera saath nibhaanewale hum nahi honge

Logged
poppoetry
Guest
«Reply #8 on: November 04, 2009, 05:24:53 PM »
Reply with quote
Aaj hone do, kal nahi honge
Sadishon ke kamal nahi honge

Mera paigar(aakruti) tarashne vale
Laakh chahe safal nahi honge

Tees toh aankh se risegi hi
Yeh samasyaye jo hal nahi honge

Laakh ujale libas pehene Vo
Mann ke parde safed nahi honge

Gar na chumoge pataron ko "Roja"
Khoobsurat mehel nahi honge..

Mil jaayenge tujhe tere humsafar kayi
Per tera saath nibhaanewale hum nahi honge


behtrin peshkash Roja ji......bahut khoob
Logged
poppoetry
Guest
«Reply #9 on: November 04, 2009, 05:31:27 PM »
Reply with quote
Hausla afzaayi k liye bahut bahut bahut bahut shukriya Celmira ji,
Roja ji , Sophi ji....teh dil se shukriya  icon_flower
Logged
madhuwesh
Guest
«Reply #10 on: November 05, 2009, 12:32:22 AM »
Reply with quote
Wah bahut bahut khoob Khwaish ji,Nikhaar ji,Roja ji,bahut gaheri baat kahe diya aur sachai bhi hai.very touching gazal.lovely creation.excellent icon_thumleft Applause Applause Applause Applause Applause icon_salut
Logged
Roja
Guest
«Reply #11 on: November 05, 2009, 02:28:24 AM »
Reply with quote
behtrin peshkash Roja ji......bahut khoob

Thanks dear pooja

Wah bahut bahut khoob Khwaish ji,Nikhaar ji,Roja ji,bahut gaheri baat kahe diya aur sachai bhi hai.very touching gazal.lovely creation.excellent icon_thumleft Applause Applause Applause Applause Applause icon_salut

Thanks dear Madhu  Usual Smile


Wah Wah Khaish Bhai Kya Khoob Shabdon Ko Piroya Hai
Aapki Yeh Himmatvar Koshish Bahut Hi Umda Hai Ji

Aap Dono Ne Bhi Khwaish Bhai Ka
Achha Saath Diya Hai Nikhar Ji Aur Roja Sis


Thanks Majid brother. Kuch aap b likhte to accha hota..
Logged
Roja
Guest
«Reply #12 on: November 05, 2009, 02:41:27 AM »
Reply with quote
Kya Behna Aap Ustadon K Bich Mein
Kuch Likhne Ki Gustakhi Main Kaise karun
Aap Log Badi Gehri Soch Rakhte Hai
Aksar Zindagi Ke Har Haal Ko Lafzon Mein
Bakhubi Aur Badi Aasani Se Piro Lete Hain
Mera Yahan Tak Puhnchna Namumkin Si Baat Hai Behna
So Bas Aap Logon Ko Parh Kar Sikh Leta Hun Aur
Khush Ho Jaata Hoonn....!



 icon_silent icon_silent icon_silent icon_silent
Kya bolte ho? chida rahe kya? jyada natak nahi chalo likho likho yahan  icon_thumleft
Logged
Roja
Guest
«Reply #13 on: November 05, 2009, 03:08:45 AM »
Reply with quote
Roja Si GaltiMaaf Ho
Bas Nakaam Si KoshishKi Hai.

Is Qadar Nafraton Ke Diye Dllon Mai Jhal Gaye Hai
Ki Aaj Insan Hi Insaniyat Ko Kahin Bhool Gaye Hai.

Pyaar Muhabbat Wafaa Kho Se Gaye Hai Is Duar Mein

Kuch Kagazi Patton Ke Aage Iman Pighal Se Gaye Hai.

Kyu sharminda kar rahe ho bhaijaan... bahut khoob likha. sham  ko reply deti dear  Applause Applause
Logged
madhuwesh
Guest
«Reply #14 on: November 05, 2009, 03:44:49 AM »
Reply with quote
Bahut bahut khoob Shihab ji,very touching lines,mindblowing creation.excellent. icon_thumleft Applause Applause Applause Applause
Logged
Pages: [1] 2 3  All
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
January 24, 2025, 09:57:25 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[January 19, 2025, 05:59:15 PM]

[January 19, 2025, 05:47:49 PM]

[January 10, 2025, 09:46:05 AM]

[January 10, 2025, 09:45:14 AM]

[January 08, 2025, 08:30:59 AM]

[January 08, 2025, 08:29:31 AM]

[January 05, 2025, 08:51:01 AM]

[January 05, 2025, 08:45:11 AM]

[January 05, 2025, 08:44:20 AM]

[January 05, 2025, 08:43:28 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.148 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer