Maujon ka rukna baki hai.....Quateel

by Quateel Ahmad on April 10, 2012, 06:00:11 AM
Pages: [1]
ReplyPrint
Author  (Read 968 times)
Quateel Ahmad
Guest
Reply with quote
Maujon ka rukna baki hai,
suraj ka theherna baki hai.

Mai ka dhalna baki hai,
Vaiz ka behekna baki hai.

Dars-e-dauraan baki hai
daur-e-hijraan baki hai.

Ilm ka mitna baki hai,
Sajdon ka rukna baki hai.

Baaton ka chhubhna baki hai,
aankhon ka chhalakna baki hai.

Khizaan ka barasna baki hai,
kaanton ka khilna baki hai.

Mera chalna baki hai,
uska aana baki hai.

Jaan se milna baki hai,
jaan ka jaana baki hai.
Logged
sksaini4
Ustaad ae Shayari
*****

Rau: 853
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
112 days, 8 hours and 51 minutes.
Posts: 36414
Member Since: Apr 2011


View Profile
«Reply #1 on: April 10, 2012, 06:08:39 AM »
Reply with quote
bahut umdaa peshkash qaateel bhaai dheroN daad
Logged
soudagar
Guest
«Reply #2 on: April 10, 2012, 06:14:50 AM »
Reply with quote
bahut badhiya .....daad  Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley
Logged
Quateel Ahmad
Guest
«Reply #3 on: April 10, 2012, 07:54:04 AM »
Reply with quote
Bahut Shukriya Saini Bhai aur Soudagarji!!
Logged
ParwaaZ
Guest
«Reply #4 on: April 10, 2012, 08:56:35 AM »
Reply with quote
Ahmad Sahaab Aadaab!


Bahut khoob janab achche ahsaas O khayal kahe haiN
aapne... Khoob khayaaloN par dili daad O mubbarakbad
kabul kijiye... Usual Smile


Likhate rahiye... aate rahiye...
Shaad O aabaad rahiye...
Khuda Hafez... Usual Smile
Logged
khujli
Guest
«Reply #5 on: April 10, 2012, 11:19:07 AM »
Reply with quote
Maujon ka rukna baki hai,
suraj ka theherna baki hai.

Mai ka dhalna baki hai,
Vaiz ka behekna baki hai.

Dars-e-dauraan baki hai
daur-e-hijraan baki hai.

Ilm ka mitna baki hai,
Sajdon ka rukna baki hai.

Baaton ka chhubhna baki hai,
aankhon ka chhalakna baki hai.

Khizaan ka barasna baki hai,
kaanton ka khilna baki hai.

Mera chalna baki hai,
uska aana baki hai.

Jaan se milna baki hai,
jaan ka jaana baki hai.

 Applause Applause Applause Applause icon_flower icon_flower icon_flower

    qayaamat ka aanaa baakee hai.
    hashr ka aanaa baakee hai.

   
    zindagee ka rona baakee hai
    maut ka muskuranaa baakee hai
Logged
mkv
Guest
«Reply #6 on: April 10, 2012, 05:44:28 PM »
Reply with quote
Bahut khoob Applause Applause
Logged
Quateel Ahmad
Guest
«Reply #7 on: April 10, 2012, 06:13:18 PM »
Reply with quote
Pasand karne ka aur hausla afzayee ka bahut shukriya... Parwaaz sahab, Qalb sahab aur Mkvsahab.
Logged
Pages: [1]
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
January 24, 2025, 08:22:15 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[January 19, 2025, 05:59:15 PM]

[January 19, 2025, 05:47:49 PM]

[January 10, 2025, 09:46:05 AM]

[January 10, 2025, 09:45:14 AM]

[January 08, 2025, 08:30:59 AM]

[January 08, 2025, 08:29:31 AM]

[January 05, 2025, 08:51:01 AM]

[January 05, 2025, 08:45:11 AM]

[January 05, 2025, 08:44:20 AM]

[January 05, 2025, 08:43:28 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.153 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8510 Real Poets and poetry admirer