Mera khuda tera khuda ek kahan

by Khurmi on December 09, 2011, 10:44:02 AM
Pages: [1]
ReplyPrint
Author  (Read 1679 times)
Khurmi
Guest
Reply with quote
Saron ka khuda ek hai ye baat bhala
Jo log kahain shayad vo ye bhol gaye
Hurr ek apne such ko hi maane yahan
Aur vakt laaye saath apne such bhi naye

*Moosa aur Essa ka fark bhi tum bhule
Veda ke such hon ya phir kuran ke such
ghaur se agar inko dekha jaye tau
Phir nahi lagte ye ik bhagvan ke such

Sub se bada such hai ke kuch such nahi
Ye theek hi kaha tha kissi ne yahan
Itna zyada fasla hai hum main tau phir
Mera khuda tera khuda ek kahan


*(old testemant: eye for an eye)
(new testemant : turn the other cheek)
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
mere khuda kahan hai tu by sankalp in Shayari-e-Parastish
Khuda Tera Shukaria by Pooja in Shayari-e-Parastish
shiddat-e-gham badhta hai to khuda khuda karte hain by nazar ghouri in Ghazals
Tera Khuda Main Toh Nahi Tha by Kashifib in Miscellaneous Shayri
Tera Khuda by anuragdeb3 in Share:Miscellaneous Shayari
ParwaaZ
Guest
«Reply #1 on: December 09, 2011, 11:20:19 AM »
Reply with quote
Khurmi Jee Aadaab!

YeH aapki dusri kalaam hai jise humne padha..
Aur shayad yeH bhi kalaam aapki usi kalaam ke
khayaaloN par base haiN..

Janab aapse guzarish kareNge ke yeH aik social
site hai... yahaaN kisi bhi mazhab aur dharmik
baatoN ke subject ko negetive thought's ke saath
post na kiya kijiye.. Usual Smile

Ummid hai aap humari baat samjh gaye hoNge..
Aate rahiye.. Likhate rahiye.. Khush O aabaad ..

Khuda Hafez.. Usual Smile
Logged
Khurmi
Guest
«Reply #2 on: December 09, 2011, 12:44:53 PM »
Reply with quote
Janaab parwaaz saab adaab
Hairan hon ke ap ne nazm ko negative sense main liya. Agar aap kissi baat se itifaak nahi karte ya koi cheez apko 'hazam' na ho tau vo negativity nahi kehlati. Aur social sites per kafi cheezain discuss hoti hain, after all we are social animals. Brahe karam baat sunne ka hausla rakhiye. Shukriya
Khurm
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #3 on: December 10, 2011, 11:23:14 AM »
Reply with quote
Saron ka khuda ek hai ye baat bhala
Jo log kahain shayad vo ye bhol gaye
Hurr ek apne such ko hi maane yahan
Aur vakt laaye saath apne such bhi naye

*Moosa aur Essa ka fark bhi tum bhule
Veda ke such hon ya phir kuran ke such
ghaur se agar inko dekha jaye tau
Phir nahi lagte ye ik bhagvan ke such

Sub se bada such hai ke kuch such nahi
Ye theek hi kaha tha kissi ne yahan
Itna zyada fasla hai hum main tau phir
Mera khuda tera khuda ek kahan


*(old testemant: eye for an eye)
(new testemant : turn the other cheek)


Khurmi Ji..

Aap Beshak Kuch Bhi Likh Sakte hai, yeh Apni-Apni Sensiblities Ki Baat hai Par yahan iss Site Par Aap Religious issues par naa Likhiye To Behtar hai,Yeh Fellow Member Ke Naate Nahi Balki Ek Iss Site Ke Monitor Hone Ke naate keh raha Hoon..Kahin Aur Shayad Yeh Sab Social issue ke naam Se Log likhte Honge Par Duniya mein Aise Bahut Se Social Issues Hai Jispar Likha Jaa Sakta Hai Iss Vishey Ko Chodkar..Umeed Karta Hoon Aap Meri Aur parwaaz Ji ki Darkhwaast Ko Samjhe Aur Amal Kare...Aapka Shukriya
Logged
F.H.SIDDIQUI
Guest
«Reply #4 on: December 10, 2011, 12:59:28 PM »
Reply with quote
Khurmi saheb , Nazm mein aap ke pahlu ka isteqbaal karte huay eik doosra pahlu pesh kar raha hoon  shaayad zyada rational ho :

   Saare  ausaaf se , seerat  se ,Khuda  eik  hi hai
   Samjho  ahkaam o naseehat se,Khuda  eik  hi hai
   Dekhne  ke   usay   andaaz   juda   hoN  chaahay
   Dekho  gar  chashm e baseerat se, khuda eik hi hai

                                                -Hasan

Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #5 on: December 10, 2011, 01:04:39 PM »
Reply with quote
Khurmi saheb , Nazm mein aap ke pahlu ka isteqbaal karte huay eik doosra pahlu pesh kar raha hoon  shaayad zyada rational ho :

   Saare  ausaaf se , seerat  se ,Khuda  eik  hi hai
   Samjho  ahkaam se, naseehat se,Khuda  eik  hi hai
   Dekhne  ke   usay   andaaz   juda   hoN  chaahay
   Dekho  gar  chashm e baseerat se, khuda eik hi hai

                                                -Hasan



 Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley

Bahut bahut Khoob Hasan Saheb!!!
Logged
Khurmi
Guest
«Reply #6 on: December 10, 2011, 01:25:56 PM »
Reply with quote
Hasan Saab adab,
Pehle tau apka mere kyalat ke istaqbal karne ka shukria. Apke point of view ki main kaddar karta hoon, kiss zamana main ittifak bhi karta tha per ab nahi. Adab. Khurmi
Logged
Pages: [1]
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 21, 2024, 04:27:21 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 21, 2024, 09:01:29 AM]

[November 16, 2024, 11:44:41 AM]

by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 1.365 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer