mere hamsafar mere saath chal.........ufaq.

by ufaq on May 06, 2012, 05:01:19 PM
Pages: [1]
ReplyPrint
Author  (Read 3351 times)
ufaq
Guest
Reply with quote
dosto main aap sab ka tahedil se shukrguzaar hu ki aapne meri pahli ghazal ko pasand kiya.aik baar phir se aap sab ke saamne haazir hu aik aur koshish ke saath. meri aap sab se guzaarish hai ki aapko meri ghazal main agar kahi bhi koi kami ya galti dikhaai de to behichaq bataaye.........behr hai - 11212/11212/11212/11212  (kamil musamman salim)

                                    GHAZAL

mere hamsafar mere saath chal,mujhe raasto ka pataa nahi.
kahi kho na jaaun main bheed men,mera haath yu to chudaa nahi.

ha tufaani raat bhi gam bhari wo chamak-garaj ke chali gayi,
nahi barq haay giri nahi, nahi abr haay fataa nahi.

meri beqasi ka saboot hai ye tarah-tarah ki udaasiya,
ye zamee bhi haay fatee nahi,ye falaq bhi haay giraa nahi.

mere haale dil pe tu has to le ki ye soch le ye samajh bhi le,
koi aisa bhi hai jahaan men jise dukh kabhi bhi huyaa nahi.

kadee dhoop men ki sane huye wo hawaa ke jhonke bhi garm the,
yu shajar ki chhaon ghani to thee mujhe chain phir bhi milaa nahi.

yahee raat-din ki shikaayte hame is safar men bani rahi,
mere saath kyun tu rukaa nahi,tere saath kyun main chalaa nahi.

kafe dast jaan liye ufaq yu hi besabab to fire kahaan,
jise zindagi se na pyaar ho wo qazaase phir ki daraa nahi.


Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
#### Mere Saath Na Chal #### by waheed_rose2004 in Shayri-E-Dard
-~Mere Hamsafar~- by Tosha in Shayri for Khumar -e- Ishq « 1 2 3  All »
-~Mere Hamsafar~- by Tosha in Critics and Review only Forum
Mere Khawabo Ka Mahboob Din Ke Ujalo Me Bhi Mere Saath Rehta Hain..!! by Kaushal Sharma in Shayri for Khumar -e- Ishq
Chal Mere Saath Hi Chal by Rustum Rangila in Urdu Poets
sbechain
Guest
«Reply #1 on: May 06, 2012, 05:48:05 PM »
Reply with quote
dosto main aap sab ka tahedil se shukrguzaar hu ki aapne meri pahli ghazal ko pasand kiya.aik baar phir se aap sab ke saamne haazir hu aik aur koshish ke saath. meri aap sab se guzaarish hai ki aapko meri ghazal main agar kahi bhi koi kami ya galti dikhaai de to behichaq bataaye.........behr hai - 11212/11212/11212/11212  (kamil musamman salim)

                                    GHAZAL

mere hamsafar mere saath chal,mujhe raasto ka pataa nahi.
kahi kho na jaaun main bheed men,mera haath yu to chudaa nahi.

ha tufaani raat bhi gam bhari wo chamak-garaj ke chali gayi,
nahi barq haay giri nahi, nahi abr haay fataa nahi.

meri beqasi ka saboot hai ye tarah-tarah ki udaasiya,
ye zamee bhi haay fatee nahi,ye falaq bhi haay giraa nahi.

mere haale dil pe tu has to le ki ye soch le ye samajh bhi le,
koi aisa bhi hai jahaan men jise dukh kabhi bhi huyaa nahi.

kadee dhoop men ki sane huye wo hawaa ke jhonke bhi garm the,
yu shajar ki chhaon ghani to thee mujhe chain phir bhi milaa nahi.

yahee raat-din ki shikaayte hame is safar men bani rahi,
mere saath kyun tu rukaa nahi,tere saath kyun main chalaa nahi.

kafe dast jaan liye ufaq yu hi besabab to fire kahaan,
jise zindagi se na pyaar ho wo qazaase phir ki daraa nahi.




ufaq sahab bahut pyaari ghazal hai. rahi bahr ki baat to kuch gadbad hui to, saiji sahab, hasan sahab, satish sahab waghaira hai bataa sakte hain.


 Applause Applause Applause Applause
Logged
Quateel Ahmad
Guest
«Reply #2 on: May 06, 2012, 07:37:36 PM »
Reply with quote
Thank you ufaqj!
Logged
sksaini4
Ustaad ae Shayari
*****

Rau: 853
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
112 days, 8 hours and 51 minutes.
Posts: 36414
Member Since: Apr 2011


View Profile
«Reply #3 on: May 07, 2012, 03:51:25 AM »
Reply with quote
 Applause Applause Applause
Logged
soudagar
Guest
«Reply #4 on: May 07, 2012, 03:55:37 AM »
Reply with quote
 Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley


bahut hi khubusurat gazal
Logged
amit_prakash_meet
Guest
«Reply #5 on: May 07, 2012, 04:02:31 AM »
Reply with quote
bahut badiya hai  Applause Applause Applause Applause
Logged
ParwaaZ
Guest
«Reply #6 on: May 07, 2012, 06:55:58 PM »
Reply with quote
Ufaq Sahaab Aadaab!


Behad khoob aur umdaa gazal kahi hai janab... Usual Smile
Masha Allaah behad umdaa ahsaas O khayaal aur
khoob ashaaroN meiN dhaala hai aapne... Usual Smile

Hume bher ka toH pata nahi par aapki kalaam
ki rawaani khud kah rahi hai ke aapki kalaam
bher meiN hai... Usual Smile

Is khoobsurat aur umdaa kalaam par humaari
dheroN dili daad O mubbarakbad kabul kijiye...

Likhate rahiye.... aur bazm meiN aate rahiye..
Shaad O aabaad rahiye..

Khuda hafez.. Usual Smile                   

Logged
Pages: [1]
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
December 22, 2024, 09:48:20 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by mkv
[December 22, 2024, 05:36:15 PM]

[December 19, 2024, 08:27:42 AM]

[December 17, 2024, 08:39:55 AM]

[December 15, 2024, 06:04:49 AM]

[December 13, 2024, 06:54:09 AM]

[December 10, 2024, 08:23:12 AM]

[December 10, 2024, 08:22:15 AM]

by Arif Uddin
[December 03, 2024, 07:06:48 PM]

[November 26, 2024, 08:47:05 AM]

[November 21, 2024, 09:01:29 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.133 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8508 Real Poets and poetry admirer