Meri Bazam mai Teri Nazam

by Pooja on August 19, 2009, 09:10:56 PM
Pages: 1 [2] 3  All
ReplyPrint
Author  (Read 2370 times)
bekarar
Poetic Patrol
Yoindian Shayar
******

Rau: 4
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
53 days, 9 hours and 51 minutes.

Posts: 3738
Member Since: Oct 2005


View Profile
«Reply #15 on: August 20, 2009, 08:34:39 PM »
Reply with quote
Missing one of my Old Yo-Friend!! I use to call him Nanmunh!! Bhoot kuch humne sath sath likha...ab wo Yoindia per nahi hai.. magar uske sath na hone ki aor sath na likhne ki kami bahoot khalati hai...

Meri bazam main, teri nazam ajj bhi chali atti hai
lakh samjhaya dil, Nanmunh teri yaad chali he atti hai

chehakti hai chirriya ajj bhi, baago main gul bhi khilte hai
dil toot kar rota hai mera, jab bahaar main Patjhar chali atti hai

Bajati hai payal, gungunata hai jhumka gaalo per
lehra uthte hai ansoo ankhon main, jab koke ki baat chali atti

Golguppo ke baatein, mehandi ke wadein
Mandir-Gurudaware ki wo yaad chali atti hai
nanmunh teri yaad chali aati hai....

beete panno per, likhi na jaane kitni yaadein maine
her baar ek nai teri  yaad chali atti hai..

Meri bazam main, teri nazam ajj bhi chali atti hai
lakh samjhaya dil, Nanmunh teri yaad chali he atti hai!!




dost ko yaad karne ka aapka tareeka dil ko bha gaya pooja ji... Applause Applause
aap jaise dost khushkismat ko hi naseeb hote hain
Logged
thegrimreaper
Guest
«Reply #16 on: August 20, 2009, 08:36:20 PM »
Reply with quote
raha nahi gaya pooja ji isliye likh raha hun

dost kuch humne bhi khoye hain aapne bhi
chale unke saath hum bhi aur aap bhi
dooriyan kab faasle ban gaye
ya na samajh paaye hum bhi aur aap bhi
Logged
Pooja
Guest
«Reply #17 on: August 20, 2009, 08:40:09 PM »
Reply with quote
dost ko yaad karne ka aapka tareeka dil ko bha gaya pooja ji... Applause Applause
aap jaise dost khushkismat ko hi naseeb hote hain

bahoot bahoot shukaria Sanjeev ji!!!
Logged
Pooja
Guest
«Reply #18 on: August 20, 2009, 08:42:31 PM »
Reply with quote
raha nahi gaya pooja ji isliye likh raha hun

dost kuch humne bhi khoye hainaapne bhi
chale unke saath hum bhi aur aap bhi
dooriyan kab faasle ban gaye
ya na samajh paaye hum bhi aur aap bhi

Nice lines thegrimreaper!!

koi doori nahi, koi fasla bhi nahi
shabd khatam hai aor dil main armaan bahoot

kuch zindagi ka fareb raha, kuch samjhne mai hum chuke
aor kuch khushio ke piche, chipe rahte hai dard bahoot....
Logged
thegrimreaper
Guest
«Reply #19 on: August 20, 2009, 08:50:09 PM »
Reply with quote
Nice lines thegrimreaper!!

koi doori nahi, koi fasla bhi nahi
shabd khatam hai aor dil main armaan bahoot

kuch zindagi ka fareb raha, kuch samjhne mai hum chuke
aor kuch khushio ke piche, chipe rahte hai dard bahoot....

Applause Applause Applause Applause Applause
Logged
Pooja
Guest
«Reply #20 on: August 20, 2009, 11:30:35 PM »
Reply with quote
Shukaria TGR JI!!
Logged
poppoetry
Guest
«Reply #21 on: August 22, 2009, 09:13:52 AM »
Reply with quote
Bahut hi pyara likha hai aapne Pooja ji....Dil se ek hi dua nikal rahi hai k aapka dost phr se aapki dosti k jhaan mein apni dosti ka rang bikhere.....
bahut khub likha aapne...... Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley
Logged
poppoetry
Guest
«Reply #22 on: August 22, 2009, 09:17:10 AM »
Reply with quote
raha nahi gaya pooja ji isliye likh raha hun

dost kuch humne bhi khoye hain aapne bhi
chale unke saath hum bhi aur aap bhi
dooriyan kab faasle ban gaye
ya na samajh paaye hum bhi aur aap bhi
khub kha aapne reaper ji
Logged
poppoetry
Guest
«Reply #23 on: August 22, 2009, 09:19:16 AM »
Reply with quote
Nice lines thegrimreaper!!

koi doori nahi, koi fasla bhi nahi
shabd khatam hai aor dil main armaan bahoot

kuch zindagi ka fareb raha, kuch samjhne mai hum chuke
aor kuch khushio ke piche, chipe rahte hai dard bahoot....
sach kha aapne Pooja ji.....
Logged
cara
Guest
«Reply #24 on: August 22, 2009, 01:34:48 PM »
Reply with quote
kya baat hai  pooja ji.....

JAB BHI MAIN LIKHNE BAITHTI HUN,
KHAYALON MEIN GUM HO JAATI HUN.
KALAM SHURU KARNE SE PAHELE HI,
TERI YAAD CHALI AATI HAI.

LIKH TOH LETI HUN AAJ BHI,
PAR TERE SAATH LIKHNE KA MAZAA KUCH AUR THA.
KYA PATA TU FIR SEY AAYEGA KI NAHIN AAYEGA,
KI TERE SAATH HAR LAMHA JO GUJRAA,IK HASEEN DAUR THA.

BHAAG TOH AAJ BHI HAI,
GUL BHI KHILTE HAI,YAAR BHI MILTE HAI.
JAB BHI WAHAN JAATI HUN,
TERI KAMI KHAL JAATI HAI.

YEH PAYAL KI JANKAR,CHURION KI KANAK,
JAB BHI DIL KUCH GUNGUNANA CHAHAEY,
MERI DIL KI BAZAM MAIN,
TERI HI NAZAM CHALI AATI HAI.
Logged
thegrimreaper
Guest
«Reply #25 on: August 22, 2009, 03:43:29 PM »
Reply with quote
khub kha aapne reaper ji

shukriya Giggle
Logged
Pooja
Guest
«Reply #26 on: August 28, 2009, 11:03:18 PM »
Reply with quote
kya baat hai  pooja ji.....

JAB BHI MAIN LIKHNE BAITHTI HUN,
KHAYALON MEIN GUM HO JAATI HUN.
KALAM SHURU KARNE SE PAHELE HI,
TERI YAAD CHALI AATI HAI.

LIKH TOH LETI HUN AAJ BHI,
PAR TERE SAATH LIKHNE KA MAZAA KUCH AUR THA.
KYA PATA TU FIR SEY AAYEGA KI NAHIN AAYEGA,
KI TERE SAATH HAR LAMHA JO GUJRAA,IK HASEEN DAUR THA.

BHAAG TOH AAJ BHI HAI,
GUL BHI KHILTE HAI,YAAR BHI MILTE HAI.
JAB BHI WAHAN JAATI HUN,
TERI KAMI KHAL JAATI HAI.

YEH PAYAL KI JANKAR,CHURION KI KANAK,
JAB BHI DIL KUCH GUNGUNANA CHAHAEY,
MERI DIL KI BAZAM MAIN,
TERI HI NAZAM CHALI AATI HAI.

bahoot khoob cara ji...

Jaane wale shayad lout nahi paate hai
kar lo kitna bhi yaad, wo apne jeevan mai kho jaate hai

yaadein rahti hai bas dil main, beete panno ki tarah
padte hai jjinhe dil se, ankho se ansoo beh jaate hai

shayad dukha hoga uska dil bhi achanak bin baat ke waha
dost ki ahhein kuch is kadar dil per dastak de jaate hai

ho jahan bhi wo dil se dua hai ki khush rahe hamesha
hum to waqat- be waqat bas unhi yaad kiye jaate hai!!!
Logged
thegrimreaper
Guest
«Reply #27 on: August 29, 2009, 07:07:28 AM »
Reply with quote
bahoot khoob cara ji...

Jaane wale shayad lout nahi paate hai
kar lo kitna bhi yaad, wo apne jeevan mai kho jaate hai

yaadein rahti hai bas dil main, beete panno ki tarah
padte hai jjinhe dil se, ankho se ansoo beh jaate hai

shayad dukha hoga uska dil bhi achanak bin baat ke waha
dost ki ahhein kuch is kadar dil per dastak de jaate hai

ho jahan bhi wo dil se dua hai ki khush rahe hamesha
hum to waqat- be waqat bas unhi yaad kiye jaate hai!!!


apke shabdon ne aankhein nam kar di pooja ji
aise hi likhte rahiye
Logged
Pooja
Guest
«Reply #28 on: August 31, 2009, 12:40:48 AM »
Reply with quote
apke shabdon ne aankhein nam kar di pooja ji
aise hi likhte rahiye

maafi chahti hu ki apki ankhein num kar di... dost ki judai ka dard he kuch aisa hota hai....
Logged
JEET*
Guest
«Reply #29 on: September 29, 2009, 06:24:05 PM »
Reply with quote
Mujhe nahi pata tha Pooja ji,, app mujhe itna yaad karte ho, aapke liye ek poem likhne ki koshish ki, umeed hai aapko pasand aayegi,


@Talat : mujhe nahi maloom tha aap bhi mujhe miss karte ho, maine bhi mere  yoindian friends ko miss kiya, bas keh nahi paya. kafi kuch badal gaya hai yahan par.



Missing one of my Old Yo-Friend!! I use to call him Nanmunh!! Bhoot kuch humne sath sath likha...ab wo Yoindia per nahi hai.. magar uske sath na hone ki aor sath na likhne ki kami bahoot khalati hai...

Meri bazam main, teri nazam ajj bhi chali atti hai
lakh samjhaya dil, Nanmunh teri yaad chali he atti hai

chehakti hai chirriya ajj bhi, baago main gul bhi khilte hai
dil toot kar rota hai mera, jab bahaar main Patjhar chali atti hai

Bajati hai payal, gungunata hai jhumka gaalo per
lehra uthte hai ansoo ankhon main, jab koke ki baat chali atti

Golguppo ke baatein, mehandi ke wadein
Mandir-Gurudaware ki wo yaad chali atti hai
nanmunh teri yaad chali aati hai....

beete panno per, likhi na jaane kitni yaadein maine
her baar ek nai teri  yaad chali atti hai..

Meri bazam main, teri nazam ajj bhi chali atti hai
lakh samjhaya dil, Nanmunh teri yaad chali he atti hai!!






Jo bi aapki bazm se nikali
woh dil tak pahunch hi jati hai
kaise na phir main ikrar karu
aapki bi mujhe yaad satati hai

woh kisse kabhi tasveerion ke
aaj bhi bina kahe sun jate hain
kuch shikayatein payal, jhumko ki
yoindia ke peechle paane,dohrate hain

kuch baatein ban gayi shikawa aapse
lekin yeh bhi toh dosti hi kehlati hai
chahe dair se hi,lekin pahuncha hai jaroor
Nanmum ko jab bhi aap Pooja ji, dil se bhulati hain


Lo aayein hain hum phir aapki mehfil mein
Sham jala kar parwane ko, Insaf kare !!!



JEET





Logged
Pages: 1 [2] 3  All
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 21, 2024, 10:09:46 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 21, 2024, 09:01:29 AM]

[November 16, 2024, 11:44:41 AM]

by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.117 seconds with 22 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer