~~"MERI PYAARI DADI KE LIYE"~~

by k.shael on March 30, 2009, 09:18:06 AM
Pages: [1] 2  All
ReplyPrint
Author  (Read 34184 times)
k.shael
Guest
Reply with quote
Aaj se 4 din pehle maine apni pyaari dadi ko kho diya, wo mujhse bahut pyaar karti thi aur ham bhi unse utna hi pyaar karte the, wo hamare saath nahi bhua ke saath reh rahi thi par ghar ke saath me hi rehti thi, jab bhi unse milne gahr jaate to ek hi abat kehti mil gaya time iss bhudiya ko milne ka, bade ho gaye ho iss liye yaad nahi karte mujhe, bachpan me to kayi abar unke saath rahi chuttiyon me wahi rehte mouj-masti karte, mumy mujhe chodke naani ke ghar jaati thi to mein dadi aur bhua ke sath hi rehti thi, par aab ham log kaam me itna busy the ki jaane ka waqt hi nahi lagta par mein har week sunday ko unke pass jaati thi aur wo har baar raat rukne ki zidd karti aur mein har baar taal deti, last time bhi jab mein unse mili jab wo bilkul theek thi to mujhe kehne lagi shally aaj tum yahi ruk jao, maine kaha dadi phir kisi din aaoungi mujhe kya pata tha ki wo last day tha jab mein unhe aache se mil rahi thi,

I miss my dadi (Grand Mother ) a lottttttt from the bottom of my heart,

aur unki yaad me hi kuch likha hai umeed hai aap sab bhi meri feelings ko samjhenge

Mujhe wo shally nahi shael kehke bulaati thi,
Bhadi ho gayi hai iss liye dadi yaad nahi rehti tujhe
Kehke daant pilaati thi,

Bithakar pass apne sab gehri baatein batati thi,
Jamana hai bura aache se rehna mujh nadaan ko
Wo samjhati thi,

Apne tarah-tarah ke jadui nuskhe wo mujhpe ajmati thi,
Yaad se mujhse shaniwaar ko kale chane gurdware me
Chadwati thi,

Wo bhudi aankhein pal bhar me sab ko pehchaan jaati thi,
Doori ka ho na ehsaas kisi ko bhi iss liye pakad ke haath
paas apne bithati thi,

Pass sulane ke liye mujhe wo takiya khud lagati thi,
Raat me uth ke kayi baar dekhti mujhe nihaar ke aur
Sir ko sehlaati thi,

Jo hone par mera thoda sa bhi khafa khud manati thi,
Wo aur koi nahi meri pyaari si dadi thi…

Shally.

Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
"Laut Aaounga Toumhare Liye..." by Amanush... in Shayri-E-Dard
"TUM" ladki ke liye itna... by chahat in SMS , mobile & JOKES
Mein Aur Meri Qaid-e-Tanhai Ki "Pukaar" by Zamir Ka Qaidi in Shayri-E-Dard « 1 2  All »
~~"MERE UNN DOSTO KE NAAM JINHE MERI PARWAH NAHI"~~ by k.shael in Chit - Chat & General Discussion « 1 2  All »
"LOG MATLAB K LIYE DHUNDTE HAI" by amarhellboy in Shairy-e-Dost (Friendship Poetry)
sajid_ghayel
Guest
«Reply #1 on: March 30, 2009, 09:22:05 AM »
Reply with quote
Bhagwan Dadi ma ki aatma ko shanti de Shally, dont be sad we are with You......
Logged
deepika_divya
Guest
«Reply #2 on: March 30, 2009, 10:45:55 AM »
Reply with quote
God bless her soul. Amen! 
Logged
salma786
Guest
«Reply #3 on: March 30, 2009, 11:22:01 AM »
Reply with quote
bahoot khoob shally sis!
Uparwala apki dadi ji ki aatma ko shanti de!!
Logged
Talat
Guest
«Reply #4 on: March 31, 2009, 06:29:49 AM »
Reply with quote
Shael...abhi abhi mujhe pata chala ki aapke saath ye haddsa guzra hai......Khuda aapki Dadi ki aatma ko shaanti de aur aap sab ko sabr de....Zindagi ka koi bharosa nahin...Kab chahne waale humse bichad jaayen..aur bas unki yaadain reh jaati hain humare paas......Bohot dukh hua...aapke is dukh main apne ko akela na samajhna.
Logged
punam
Guest
«Reply #5 on: March 31, 2009, 07:00:31 AM »
Reply with quote
shally mujhe abhi pata chala...bahut dukh hua yeh sun ke..dadi ji kahi nahi gaye tumhare sath hi hain..dukhi mat ho...tumhe dukhi dekh unko bhi dukh hoga...ho sake roj tumse baat na ho ...par tumhe dukhi dekh nahi sakti...apna khayal rakho...
Logged
honeyrose
Guest
«Reply #6 on: March 31, 2009, 07:21:23 AM »
Reply with quote
Mujhe bohat dukh hua sunkar shally dear aap aapna
khayal rakho dear...
Logged
Rajbir
Guest
«Reply #7 on: March 31, 2009, 07:37:25 AM »
Reply with quote
Shally,

Meri tumhare se roz baat hoti rehti hai aur mujhe is dukhad khabar ka pata hai !

May the departed soul rest in peace !
Logged
bekarar
Poetic Patrol
Yoindian Shayar
******

Rau: 4
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
53 days, 9 hours and 51 minutes.

Posts: 3738
Member Since: Oct 2005


View Profile
«Reply #8 on: March 31, 2009, 08:22:22 AM »
Reply with quote
Shally,

aaj hi mujhe pata chala,, buzurgon ka saya unke anubhav humesha jindagi ki kadvi sachchaiyon se hume avagat karate hain aur sahi marg ki taraf ishara karte rahte hain......unke na hone ka ehsaas bilkul yun hi hai jaise sar par se chat ka hat jana.......

lekin ab unke liye sachchi shrdhdhanjali yahi hogi ki tum unki dee hui nasihaton par amal karo aur unki atma ki shanti ke liye prarthna.....
ishwar unki atma ko shanti pradan kare







































Logged
sanya310
Guest
«Reply #9 on: March 31, 2009, 09:40:56 AM »
Reply with quote
Shally, pehle toh aapne itne khubsoorat lafzon mein apni dadi ko shraddhanjali di hai ke aapki dadi jahan kahin bhi hogi upar se apka pyar dekh kar unki aankhein zarur bhar ayengi..
Aana jaana jeevan mein laga rehta hai, aur apki dadi iss dunya se laakhon darje behtar jageh par gayi hain.
Dua hai, may her soul rest in peace.
Take care!
<3
Logged
harishsharmapilot
Guest
«Reply #10 on: March 31, 2009, 10:53:33 AM »
Reply with quote
Shally,
Iswar aapki Dadi ki Atma ko Shanti dey.
Logged
anjaan dharkan
Yoindian Shayar
******

Rau: 0
Offline Offline

Gender: Female
Waqt Bitaya:
10 days, 13 hours and 44 minutes.
-May Allah Bless You-

Posts: 1900
Member Since: Jul 2008


View Profile
«Reply #11 on: March 31, 2009, 11:50:32 AM »
Reply with quote
Shally, meri bahen, keep faith. khuda k har faisle mein insaan ka bhala hota hai, she is in a better place. aap hausla rahkko aur dusro ko bhi dete raho dear! khuda unnko shaanti de, Ameen!

~ Aapki Anjaani friend, Sidraah
Logged
k.shael
Guest
«Reply #12 on: March 31, 2009, 12:09:24 PM »
Reply with quote
Thanx to all of u...

Shally.
Logged
aaina
Guest
«Reply #13 on: March 31, 2009, 12:32:37 PM »
Reply with quote
shally ji, bhagwaan apki daadi ki aatma ko shanti de, aur unhay suwarg mai ek bhut hi aala maqaab ata farmaye, ye zindgi ka safr bhi ajeeb hi nikla....safr mai sab hain magr humsafar koi nhi,,aur ye baat haqeet par mamnee hai, har kisi ko is safr pe akele hi jana padta, bas kisi ki train wqt par hai aur shayd kisi ka abhi wqt nhi aaya lakin jana sabko hai ek na ek din, bhrosa rakhain aap bhi aur apni ghr walon ka bhi khyaal rakhain.....

wo to bata rha tha kaii roz ka safar
zanzeer khaich kar jo musfir uthr gaya
Logged
divyam
Guest
«Reply #14 on: April 01, 2009, 01:58:48 AM »
Reply with quote
Dear shael jee:

namaste:

main kuchh din pahle hi dekh raha tha ki aap bazm par nahii.n aa rahe hai.n, soch raha thaa ki aap ko PM likh kar aaap ki khairiyat ke baare me.n puuchhu.n, par PM karta is se pahle YOINDIA kuchh waqt ke liye down ho gaya.. aur aaj jab forum par aana huaa to  is dukhad Ghatna ke baare me.n, sun kar bohat dukh huaa... mai.n samjh sakta huu.n ki jab koii apna jaata hai kitna dukh hotaa hai, par shael jee, mushkil to bas yeh hai ki ham sirf afsoos aur chand lafzo.n ke alaawa kuchh kah nahii.n sakte.....

phir bhii, yeh vidhi ka vidhaan hai ki jo aayaa hai,usay jaana hii hai, aap ki daadi jee ke liye bhii,  jitne din ooparwaale ne ta'ey kiye the, utne din ke baad unhe yeh shareer chhoDhna hii thaa.. na isay me.n aap kuchh kar sakti hai.n, na mai.n kuchh...... sab bibas hai.n.. par kisii ke jaane se zindagii rukti nahii.n, aansuu bahaane se bhii daadi jii ki aatma ko dukh hoga.. behtar hai ki khush rahne ki hi koshish kii jaaye!

aur, oparwaale se meri prathana hai ki woh aap ki daadi ki aatma ko apne sharan me.n le le, aur unhe chain naseeb ho.. aur aap ke aur aap ke pariiwar waalo.n ko yeh dukh sahne ki taaqat de.........!

apna khayaal rakhiye!

ek dost,

-Mayank
Logged
Pages: [1] 2  All
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 21, 2024, 05:59:40 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 21, 2024, 09:01:29 AM]

[November 16, 2024, 11:44:41 AM]

by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.097 seconds with 22 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer