MERI SAHELI

by tabassum shakeel on May 15, 2006, 04:37:24 AM
Pages: [1]
ReplyPrint
Author  (Read 6286 times)
tabassum shakeel
Guest
Reply with quote
***** MERI SAHELI*******


KAALI KAALI AANKHON WALI
LAMBE LAMBE BALON WALI
MATHE PAR IK GOL SI BINDU
NAAM HAI IS LADKI KA INDU

CHHOTA GADDHA GALON MEN HAI
CHAMAK DHERSI BAALON MEN HAI
ISAKI EK SAHELI PREETI '
EK SAHELI HAM
YANI TABASSUM

HAM BHI HANSATE YE BHI HANSATI
PREETI HANSATE HANSATE ROTI(HANSANE MEN USE AANSU AATE THE)
HANSATE HANSATE HAM TEENON HI
KABHI KABHI DAR JATE HAIN
KYUNKI SUNA HAI HANSNE WALE
AANSU BHI KHOOB BAHATE HAIN

IS BAAT SE SABSE ZYADA
PREETI DARTI RAHTI HAI
AUR INDU KO KYA KAHEN
HARDAM JALDI MEN RAHTI HAI

SATH MEN ISKE HANSTE HANSTE
KAISE BEETE DIN AUR HAFTE
DHEERE DHEERE SAL BHI GUZRA
SATH MEN IK AUR SAL BHI GUZRA

HANSTE HANSTE KAISE BEETE
 YE DO SAAL MALOOM NAHI
AUR BICHHAD KE HANS PAAENGE
YE BHI TO MALOOM NAHI
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
teri saheli by sufyan in Mazahiya Shayri(Funny Shayari) « 1 2 ... 5 6 »
Ishq Karey Be-haal ...Saheli... by Anushka in Shayri for Khumar -e- Ishq
hai ye mere sakha saheli...jyuthika... by jyuthika in Miscellaneous Shayri
tabassum shakeel
Guest
«Reply #1 on: May 15, 2006, 01:44:33 PM »
Reply with quote
INDU MERI SABSE ACHCHI SAHELI JISAKE SATH RAH KAR MAINE LIKHNA SHURU KIYA VO NAHI LIKHATI THI PAR CHAHTI THI MAIN LIKHUN
Logged
tabassum shakeel
Guest
«Reply #2 on: May 15, 2006, 01:45:54 PM »
Reply with quote
PHIR AAYA USKA B'DAY  USKE LIYE PHIR LIKHA MAINE
Logged
tabassum shakeel
Guest
«Reply #3 on: May 15, 2006, 01:56:55 PM »
Reply with quote
HAPPY BIRTHDAY INDU

AAKHIR QISMAT KI SAKHT LAKEERON SE
APNE DIL GHANE ANDHERON SE
SABSE CHHUP KAR MAINE CHURA HI LI
EK APNE PASAND KI LADKI

JISKO HAR SANS MAINE CHAHA  HAI
APNI DHADKAN MEN BHI BASAYA HAI
AAJ PHIR PURE EK SAAL KE BAAD
USKA PYARA JANAMDIN AAYA HAI

DIL MEN KYA KYA HAI JANE USAKE LIYE
PEN KI NAAK MEN DAM AAYA HAI

DIL JO CHAHTA HAI USKO DENE KO
KAHIN BAZAR MEN NAHI MILTA
DHOOND KAR SAB JAGAH MAIN HAR GAI
DIL MEN BAITHA THA CHHUP KE VO TOHFA
MERE KHWABON KA VO HASIN TOHFA
EK PYARA SA DILNASHIN TOHFA
SANS KI DOR SE USE BANDHA

ISKO TUM KHOLNA AKELE MEN
DHER SA PYAR HAI TUMHARE LIYE
EK KHUSHBOO SI HAI JO ISME BASI
KAI SHUBHKAMNAEN TUMHARE LIYE
Logged
nikki
Guest
«Reply #4 on: May 15, 2006, 02:14:52 PM »
Reply with quote
wonderfull Tabassum...its amazing..bichde friends ki yaad dila di tumne,
abb to main bhi yahi kahungi...likha karo, bec. u write very nice
Logged
tabassum shakeel
Guest
«Reply #5 on: May 17, 2006, 07:16:17 AM »
Reply with quote
thanxx a lot nikky
Logged
tabassum shakeel
Guest
«Reply #6 on: May 17, 2006, 02:07:49 PM »
Reply with quote
indu preeti aur main pura saal ham sath rahe humanity block men sab hamari dosti ko janane lage phir summer vacation men mujhe appni sis ke ghar jana tha main vahan ek mahina ruki
par pehli baar sab apnon ke
beech mujhe saheliyan yaad aainja b main vapas aai to dodkar milne pahunchi apni frnds se
vo bhi mujhe yaad kar ke pareshan thin
indu ne meri pasand ke gulab  apne bagh men lagae the mujhe dikhane ko bechain thi
preeti indu mujhe yaad kar ke aksar us gulmohar ke neeche ja baithtin thin jo mera favourite tha


phir se likha apni saheliyon ke liye

yaad kar kar ke jise yaad bhi thi thak chuki
samne dekha jo usko sans hai rukati chali
kaise jili bin tumhare poochna na tum kabhi
sirf tumhari yaad thi jo aaj tak main jii saki
dhoondatin thin tum mujhe apne gulabon men hasin
gulmohar ke ped ki nazuk si pankhudi men kahin
aur tum to door jaakar bhi mere dil men rahin
kab na thin tum pas mere kab main tumse door thi
dooriyan majboor thin jo fasla na ban sakin
mil gaye to yaad nahi bichhadi thi tumse kabhi
door thin tum mujhse jitani dil ke utani pas thin
Logged
tabassum shakeel
Guest
«Reply #7 on: May 17, 2006, 02:12:08 PM »
Reply with quote
new year aaya maine card par phir likha apni saheli ke liye

sabko hai mujhse shikayat ek tumhare hi siva
dil ne kisko apna mana ek tumhare hi siva
dilko kisane itana jaana ek tumhare hi siva
dil ko kuch na chahiye ek tumhare hi siva
aur kya hai pas mere ek tumhare hi siva
Logged
tabassum shakeel
Guest
«Reply #8 on: May 18, 2006, 08:41:35 AM »
Reply with quote
I LOST MY FATHER IN AGE OF 15 USAKE BAAD EK AKELA PAN HAMRI ZINDAGI MEN AAGAYA
EK TARAH KA DEPRESSION HI THA MAIN EK ACHCHI STUDENT THI MEDICAL MEN JAANA CHAHTI THI NA JA SAKI SARI ZINDAGI DISTURB HO GAI CHUP CCHAP NAZAR JHUKAE COLLEGE JANA AJANA KAB MAIN GRADUATE HUI MUJHE PATA BHI NA CHALA PG MEN AGAR INDU NA MILTI TO PATA NAHI KAB TAK MEN VAISI HI RAHTI
INDU MEN KUCH AISA THA JO USE UMR SE BAHUT BADA BANA DETA THA VO PATA NAHI KAISE MUJHE JANANE LAGI MAIN ZYADA BAT NA KARTI TO BHI VO MERE BARE MEN ITANE CONFIDENCE SE BAAT KARTI JAISE MUJHE SHURU SE JANTI HO

TANG AAKER PHIR LIKHA...................

PAHUNCHI YAHAN  HAI DOSTI
 TERI MERI E DOST
SARI HADON KO PAR KAR
DIL KI TAHON KO KHOL KAR
HAR DARD MERA ROSHAN
MUJH PAR NA HO TO NA HO
TUJH PAR TO HAR GHADI HAI
MAIN KHUD HUN EK PAHELI
APNE QAREEB LEKIN
TUJH PAR TO HAAN NUMAYA
 DIL KI HAR EK KADI HAI
KHHUD HI SAMAJH NA PAI
JAB DIL KI KOI  CHAHAT
TUJHSE HI POOCHA MAINE
 AUR DIL NE PAAI RAHAT
Logged
tabassum shakeel
Guest
«Reply #9 on: May 18, 2006, 12:58:38 PM »
Reply with quote
thanxx majid
Logged
tabassum shakeel
Guest
«Reply #10 on: May 18, 2006, 01:48:27 PM »
Reply with quote
INDU N PREETI


INDUJI AUR PREETIJI YE HAIN MERI SAHELI JI
AATE JI AUR JAATEJI DOOR NAHI RAH PATE JI

GARMI HO YA SARDI HO YA BARISH ALBELI JI
DO DIN MUSHKIL SE RAH PATE TEESRE DIN MIL LETE JI

PRITIJI KI MUMMY JI KARTIN HAIN YE SERVICE JI
ISILIYE TO KABHI KABHI BUSY HO JATIN PREETIJI

TAB INDU AUR TABASSUMJI PAHUNCH JATIN UNKE GHAR JI
GHAR MEN BUSY TAB PREETI JI EKDAM SE KHIL JAATIN JI

INDUJI KE BABBAJI DOPHAR MEN GHAR RAHTE JI
ISLIYE TO KABHI KABHI NA AA PAATIN INDU JI

TAB PREETI AUR TABASSUMJI LUNA APNI LETIN HAIN
BHARI DHOOP MEN JAB PAHUNCHATI INDU INTEZAR KARTI JI

AUR TABSSUMJI BHI GHAR MEN KABHI VYAST HO JAATIN HAIN
BAHUT KOSHISH KARKE BHI MIL NA PAATIN TABASSUMJI

TAB INDUJI AUR PREETIJI UNKE GHAR AAJATI JI
AUR VYSTAON KE BEECH FRESH HO JATI TABSSUMJI

EK KO JO ACHCHA LAGATA HAI DOOJA USE SARAHTA HAI
INDUJI KA PRIY GULABJAMUN AB TABASSUMJI KO BHATA HAI

TABSSUMJI KI JAGAH DOPHAR MEN PREETIJI AB SOTIN HAIN
BADLE MEN TABASSUMJI SAAT BAJE KHANA BANATI HAIN

TABASSUMJI KA PRIY GULAB AB LAGATI HAIN INDUJI
AUR TABASSUNJI SABZI MEN KAM DALTI HAIN MIRCHI JI
Logged
tabassum shakeel
Guest
«Reply #11 on: May 20, 2006, 01:41:47 PM »
Reply with quote
m.a. ka result aaya indu ne university top ki mera result achcha na tha sab se zyada vo dukhi thi usne mujhe kaha tum revaluate karao aur na jaane kya kya tohmaten lagain un examners par jinki vajah sse mere marks kam the main use dekhke hansti rahi ankhon men aansu the itna pyar use khudki first position ki khushi nahi thi mere liye gam tha.
m. phil . men hamne admission liya sath hansate padh te waqt kab guzar gaya pata bhi na chala. last 20 days men hamare deptt ke annual  function ki taiyari chali un 20 dino hamne sabse zyada enjoy kiya din bhar sath rehna fuction ki tayyari karna .......tab phir maine likha........
aakhir ke vo bees din the vo sabse pyare din
ek ek din ki sau sau baaten un baton se jagi raten
subah ko uthate jaldi jaldi milne ki rehati thi jaldi
har din bache hue din ginate ik pal chup ho phir hans dete
ik ik pal pyara tha itna muskanon ke phool mehakte
din bhar sath rah rah kar bhi baten jaise chukati nahi thi
jaise din bhar le le kar bhi saans hamari rukati nahi hai
pal bhar ik dooje ko na bhulen dil chahe dhadkan ko bhoole
har dhadkan ke sath hamare dil se ye avaz ha aati
shayed inse pyare din bhi jeevan men aajaenge
lekin vo bhi inki chavi ko dhundala na kar paaenge
Logged
tabassum shakeel
Guest
«Reply #12 on: May 23, 2006, 12:54:29 PM »
Reply with quote
m.phil ka exams hamne saath likha last paper de ke bahar aae to barish ho ke ruki thi(hamare exams aug men the)  indu ne apne q.paper ki nav bana kar pani men baha di ham der tak use dekhate rahe vo hamara last day tha college men......ghar aaker maine phir likha

  ek kishti kaagaz ki

tumse milke yaad hain aate
beete vo din guzra mosam
patjhad men bhi saya thi jab
garmi men kitani thandak thi
barish bhi thi mahki mahki
thand gulabi odh chunariya
aati thi tab pas hamare

lambe chaude maidanon men
sirf hansi thi gunja karti
patli patli lambi rahen
 panv hamare chooma kartin
har pal jaise ik moti tha khwabon ka
aur zindagi mala inaki guntha karti

tumko bhi to yaad hai vo kaagaz ki kishti
jisko hamne saath bana ke baha diya  tha
yaad hai kitna hanse hte ham use baha ke
shayed saath hi us hansi ko bhi baha diya tha

jane kya kya tha us kagaz ki kishati men
meri hansi tumhari muskane aur fursat ke lamhe
lambi lambi khatm na hone wali baten
ik duje ki yaadon men vo jaagi raaten

daud daud ke milna milke khush ho jana
aur ek zindagi bhi thi jo ham sab ki thi
jisko hamne apne apne khwabon ke taane baane se
ghanton ki lambi fursat men jaane kab anjaane men
muskanon ke rang bhare the hamne bade armaano se
tabhi to zyada pyaari bhi thi vo khwabon se
chhoti si us kishati men kab na jaane
kisane ye sab rakh diya ham the anjaane
yaad hai thodi door hi jaake doob gai thi
itna sab kuch leke door na bah pai thi
socho duniya men hai koun hamare jaisa
jisane itna sab kuch ekdam paaya ho
aur apne hi haathon use mitaya ho
Logged
tabassum shakeel
Guest
«Reply #13 on: May 23, 2006, 01:01:16 PM »
Reply with quote
m. phil . ka result aaya mujhe pata bhi na tha sham ko indu doudte hue aai boli result aagya pata bhi hai mera dil dhadk ke kaleje gale men aagya pata nahi is baar kya hua mera..poochhane ki bhi himmat nahi thi vo thodi der meri aankhon men dekhati rahi phir hans ke boli is baar tumne university top ki hai mainmsin khushi aur taajjub men doobi bas ek hi lafz nikla munh se aur tum? vo hans ke boli second position hai usaki mujhse zyada vo khush thi mere liye vo is duniya ki nahi thi vo khuda ka ek anmol tohfa thi mere liye...........
Logged
tabassum shakeel
Guest
«Reply #14 on: July 02, 2006, 07:48:03 AM »
Reply with quote
tumne jeena  sikhaya tha ki main to haar baithi thi
tumhi ho aaj bhi dil me mere himmat si ban ke
ki tum se door rahti hun na saalon se milen hain ham
magar jab baat hoti hai to lagta roz milte hain
ho jaane kon si duniya ki tum main jaan na paai
tumhare baad to duniya kabhi ye raas na aai
koi muskan bhi phir chal ke mere pas na aai
kabhi jab dil mera ghir jaata hai kaale andheron me
to tum ik roshani ban ke kahan se jhaank jaati ho
tumhe aawaz deti hun to tum bas hans hi deti ho
tumhari vo hansi aker mere honton pe thehari hai
meri ye zindagi bas aaj bhi tum se hi roshan hai
kya tum meri  saheli ho ya koi ho khushi meri
bata ke ab ke ye jaana zara main punchhati hun phir
zara mujhko hansa jaana ki aansu aankh me hain phir
Logged
Pages: [1]
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
January 24, 2025, 06:34:27 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[January 19, 2025, 05:59:15 PM]

[January 19, 2025, 05:47:49 PM]

[January 10, 2025, 09:46:05 AM]

[January 10, 2025, 09:45:14 AM]

[January 08, 2025, 08:30:59 AM]

[January 08, 2025, 08:29:31 AM]

[January 05, 2025, 08:51:01 AM]

[January 05, 2025, 08:45:11 AM]

[January 05, 2025, 08:44:20 AM]

[January 05, 2025, 08:43:28 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.113 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer