Meri ummid ka suraj duba nahi.... ParwaaZ"

by ParwaaZ on April 21, 2012, 10:19:05 AM
Pages: 1 2 [3]  All
ReplyPrint
Author  (Read 4487 times)
Intezar
Guest
«Reply #30 on: May 07, 2012, 07:26:07 PM »
Reply with quote
bahut khoob peshkash parwaaz sahab... kya baat hai kya alfaaz hain...
yunhi likhte rahiye... milte rahiye... khuda aapko kaamyaab kare.... Allah Hafiz !

Intezar !
Logged
Shireen Hakani
Guest
«Reply #31 on: May 13, 2012, 02:34:10 PM »
Reply with quote
Applause Applause Applause Applause Applause
Logged
ParwaaZ
Guest
«Reply #32 on: June 25, 2012, 07:39:09 AM »
Reply with quote
Applause Applause Applause Applause Applause bahut bahut khoob Parwaaz ji...!!!

Kapil Jee Aadaab!


Bahut bahut shukriyaa janab... is khoob houNsla afzai aur
tareef ke liye hum aapke tah e dil se shukraguzar hai... Usual Smile

Aage bhi apna saath banaye rakhiye..
Shaad O aabaad rahiye..

Khuda Hafez... Usual Smile
Logged
ParwaaZ
Guest
«Reply #33 on: October 26, 2012, 08:59:58 AM »
Reply with quote
Kya kahiye Parwaaz Sahab...kya kahiye aapki kalaam ki taarif mein...
adhoori mohabbat, benaam dard , adhhore khwaab.....ye zindagi bhi kya khoob hai jnaab.....behtarin , umda....har lafj lajwaab...
karna mujhe badnaam...pehle naam to juda ho jaane do....khoob kha..
dard hai,judayi hai , dhokha hai.. phir bhi parvaah hai...ajab junoon hai
Dheron daad kabul karein...... Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause....

Nikhaar Sahibaa Aadaab!


KahaaN gum ho gayi jee... Sab khairiyat toH hai... ?
Aur ufff kia kaheN aapke is andaaz e tarif ke, waaH jee dilshaad ho gaya
itni khoobsurat tarif  paa kar....  icon_flower icon_flower

Aapke is khoobsurat tarif o houNsla afzai ne behad houNsla baqsha hai..
aage bhi apna saath banaye rakhiye... Usual Smile

Aate rahiye... Shaad O aabaad rahiye...
Khuda Hafez... Usual Smile
Logged
ParwaaZ
Guest
«Reply #34 on: October 26, 2012, 09:02:27 AM »
Reply with quote



Injured Sahab Aadaab!


Janab, bahut bahut shukriyaa aapka...
Aapne apna kimti waqt is naakaam si koshish par diyaa.. Usual Smile

Likhate rahiye... aate rahiye...
Shaad O aabaad rahiye...
Khuda Hafez... Usual Smile
Logged
ParwaaZ
Guest
«Reply #35 on: October 26, 2012, 09:05:57 AM »
Reply with quote
"Na Lagaunga dil kabhi phir itni deewangi ki hadh tak"

Wah Wah Wah Wah..
Yeh line dil dil tak ponch gayi sahab..
 Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley
Puri kalam badi khubsoorat hai..
 Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley
Khush rahiye..!

Rahim Sahaab Aadaab!


Muafi chahte haiN... jawaab dene meiN taqeer ke liye... Usual Smile
Aapki is khoob husn e saluk ka bahut bahut shukriyaa janab...

Hum aapke tah e dil se shukra guzaar haiN....Usual Smile

Aage bhi apna saath banaye rakhiye...
Aate rahiye.. Shaad O aabaad rahiye..

Khuda Hafez... Usual Smile
Logged
ParwaaZ
Guest
«Reply #36 on: October 26, 2012, 09:08:32 AM »
Reply with quote
ParwaaZ Ji,

Khoobsoorat khayal...waah waah
kya kahne..

Dili mubaarakbaad aur shubhkaamnaayen.

Satish Shukla 'Raqeeb'


Raqeeb Sahaab Aadaab!


Janab Taqeer se jawab dene ke liya mazarrat khuwaaN hai.. Usual Smile
Aapki daad mili janab dil se khushi mehsus kar rahe haiN hum...

Aapke is daad O houNslaa afzai ke liye tah e dil se shukriyaa
janab... Usual Smile

Aage bhi apna saath banaye rakhiye.... aate rahiye..
Shaad O aabaad rahiye...

Khuda Hafez... Usual Smile
Logged
ParwaaZ
Guest
«Reply #37 on: October 26, 2012, 09:10:22 AM »
Reply with quote
bahut khoob kaha Parwaaz Bhai,  Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause

Amit Jee Aadaab!

Bahut bahut shukriyaa janab aapne apna kimti waqt is kalaam
par diyaa... Usual Smile

Aage bhi apna saath banaye rakhiye... aate rahiye...
Shaad O aabaad rahiye...

Khuda Hafez... Usual Smile
Logged
ParwaaZ
Guest
«Reply #38 on: October 26, 2012, 09:58:56 AM »
Reply with quote
Quote from: Masoom Shahzada [quote






Meri ummid ka suraj duba nahi abhi shaam to hone do
Main Khud Hii Laut JauNGa Mujhe NaaKaam to hone do
waah waah kya kahne janab
Karna mujhe badnaam phir tumhe mujh per haq hoNga
Pahele mere naam se judaa Tumhara Naam to hone do
goood ji
Na Lagaunga dil kabhi Phir itni deewangii ki hadh tak
Mairi Iftadayi Mohobbat Kaa koyiN Anjaam to hone do
waah
dekhlo ek nazar chahe khak bhi na dalo tum mujh per
Dard Basar is Dil Ko Sanam Zarra Aaraam to hone do
Applause:clap:clap:
Sirf justajuu hai ParwaaZ" Manzil -E- Mohobbat ki
Khanabadosh huN is rah mujhe ba maaqaam to hone do

lajawab h ye gajal

















[/quote]


Masoom Sahaab Aadaab!


Bahut bahut shukriyaa janab apna kimti waqt dene ke liye...
Aapki is tarif ke tah e dil se shukraguzar haiN... Usual Smile

Aage bhi apna saath banaye rakhiye... aate rahiye..
Shaad O aabaad rahiye...

Khuda Hafez... Usual Smile
Logged
laaiba
Guest
«Reply #39 on: October 27, 2012, 02:58:10 PM »
Reply with quote
bohat achi ghazal kahee aap ne parwaz ji ....bohat c daad.....
Logged
poppoetry
Guest
«Reply #40 on: August 10, 2014, 06:48:17 PM »
Reply with quote
mehsoos hota h jaise ye alfaaz ek kahani byaan kar rahe hai.....khuch likhne ki gustaakhi kar rahi hu....shayad mere alfaazon mein bhawnao ka roop badal jaaye par aapki ye nazm padhkar khuch lines dil mein aa gayi......

Dekar dagaa mujhe ab tum aansu bahate kyu ho
Karke naummid mujhe, khud k liye ummidon ki shama jalate kyu ho

Tumhari hi zubaan ne tha kiya ,hamein ruswa bhari mehfil mein
Karke dilon ko alag, saath likhe naam ab dikhate kyu ho

Thokaron mein rakh baithe tum meri paak mohabbat ko
Ab humse nazre milaane jaisi baaton ko chalate kyu ho

Khamoshi meri tumse , manzil hai meri mohabbat ki
khud ki hi lgaayi aag ko aaj tum  bujhate kyu ho

Logged
Pages: 1 2 [3]  All
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 21, 2024, 08:23:11 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 21, 2024, 09:01:29 AM]

[November 16, 2024, 11:44:41 AM]

by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.1 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer