आशिक़ो में अपनी आप मिसाल बनाये रखता है
वो बेवफा से फिर भी विसाल* बनाये रखता है
aashiqo men apni yun misaal banaaye rakhta hai
wo bewafa se phir bhi visaal banaye rakhta hai
------------------------
शिकार खुद उसके दिलफरेब* जाल में आ जाए
वो कुछ ऐसा , अपना हाल बनाए रखता है
Shikar khud uske dilfareb jaal mein aa jaaye
wo Kuch aisa, apna haal banae rakhta hai
----------------------
दौलत ओ हुकूमत और वही दास्ताने ज़ुल्म
फिर भी वो अपना मासूम अहवाल* बनाए रखता है
Dolat o hukumat aur wahi daastane zulm
phir bhi wo apna maasoom ehwaal banaae rakhta hai
------------------------
इन अनजान गुज़रते बादलों पर इलज़ाम किया
दर्द भरी आँहो पे , बेनियाज़* चाल बनाए रखता है
In anjaan guzarte baadlon per ilzaam kiya
dard bhari pukar pe, beniyaaz chaal banae rakhta hai
---------------------------
वोट लेने को , बेदाग़ लिबास नेता जो ज़ेबेतन* करता है
भेड़िया भी एक अदद बकरी की खाल बनाए रखता है
Vote lene ko, bedagh libas Neta zebetan karta hai
Bhedia bhi aksar bakri ki khaal banaae rakhta hai
----------------------
मुजरिम खुद इस अदालत का मुंसिफ* निकल आये तो
नादान है जो अब इन्साफ की उम्मीद बनाए रखता है
Mujrim khud is adalat ka munsif nikal aaye to
Naadan hai jo ab insaaf ki ummeed banae rakhta hai
--------------------------
बेटो का जब शान से रिश्ता वो लेके आते हैं
बेटीवाला अपनी हस्ती को सरापा सवाल बनाए रखता है
Beto ka jab wo shaan se Rishta leke aate hain
Betiwala apni hasti ko sarapa sawaal banae rakhta hai
----------------------------
मालूम है 'राशिद' ज़िन्दगी चार दिन है , मगर
पांचवे की उम्मीद , ये दिल हर साल बनाए रखता है
Maaloom hai 'Raashid' zindagi chaar din hai, magar
paanchwe ki ummeed, ye dil har saal banaae rakhta hai
--------------------------------
विसाल* - meeting, connection, union
दिलफरेब* - enticing, charming
अहवाल* - Condition, State, affairs, circumstances
बेनियाज़* - carefree
ज़ेबेतन* - wearing
मुंसिफ* - Judge