Muhabbat meiN har ik chehra kashish-angez rahta hai.

by Dr. Naim Sahil on February 15, 2010, 10:33:45 AM
Pages: [1]
ReplyPrint
Author  (Read 1187 times)
Dr. Naim Sahil
Guest
Reply with quote
Koi mausam ho lekin zarf-e-dil labrez rahta hai,
Muhabbat meiN har ik chehra kashish-angez rahta hai.

Ye lagta hai ki usko bhi muhabbat ho gayee mujhse,
Har ik jumla ab uska farsi-aamez rahta hai.

Tiri qurbat se uthte hain hazaaroN walwale dil meiN,
Jawani meiN har ik lamha nishat-angez rahta hai.

Main kar ke laakh koshish bhi bhula paata nahiN tujh ko,
Tira andaaz jane-jaN qyamat-khez rahta hai.

Koi zaalim wahaN amn-o-amaN rahne nahiN deta,
Jo khitta uski nazroN meiN bahut zarkhez rahta hai.

Bhatak sakta nahiN insaN koi raah-e-sadaqat se,
Khuda ka khauf rahta hai to har parhez rahta hai.

Palat kar dekhiye 'Sahil' kabhi tareekhe-insaani,
sajaata hai wahi awraaq jo sartez rahta hai.

Logged
madhuwesh
Guest
«Reply #1 on: February 15, 2010, 10:50:31 AM »
Reply with quote
Wow bahut khoob Dr Naim ji.very beautiful gazal.lovely creation.excellent
Logged
Rishi Agarwal
Guest
«Reply #2 on: February 15, 2010, 11:55:12 AM »
Reply with quote
Nice
Logged
riyaz106
Guest
«Reply #3 on: February 16, 2010, 12:02:49 PM »
Reply with quote
Marhaba Sahil sahab, aapki khoobsurat shayari ki ye peshkash bahut lajawaab hai. HaseeN pairaai ke sher hai Sahil sahab.khoob bahut khoob, sudafreen.
Logged
waquif ansari
Guest
«Reply #4 on: February 17, 2010, 10:14:43 AM »
Reply with quote
Koi mausam ho lekin zarf-e-dil labrez rahta hai,
Muhabbat meiN har ik chehra kashish-angez rahta hai.

Ye lagta hai ki usko bhi muhabbat ho gayee mujhse,
Har ik jumla ab uska farsi-aamez rahta hai.

Tiri qurbat se uthte hain hazaaroN walwale dil meiN,
Jawani meiN har ik lamha nishat-angez rahta hai.

Main kar ke laakh koshish bhi bhula paata nahiN tujh ko,
Tira andaaz jane-jaN qyamat-khez rahta hai.

Koi zaalim wahaN amn-o-amaN rahne nahiN deta,
Jo khitta uski nazroN meiN bahut zarkhez rahta hai.

Bhatak sakta nahiN insaN koi raah-e-sadaqat se,
Khuda ka khauf rahta hai to har parhez rahta hai.

Palat kar dekhiye 'Sahil' kabhi tareekhe-insaani,
sajaata hai wahi awraaq jo sartez rahta hai.


Wah wah wah! Kya qayamat-khez ghazal pesh ki hai Sahil Saheb aapne. Ghazal ke sabhi ashaar laajawaab haiN. Bhai kamal karte haiN aap. Bahut achhoote diction baDe hi purmaGhz pairaaye meiN aap ne baaNdh diya hai. Maza aa gaya aapki ghazal ko paDhkar. Isi tarah likhte rahiya aur yahaN share karte rahiya. Is khoobsurat ghazal k liye aap mubarakbaad k mustahaq haiN. HazaroN daad qubul farmaayeN.
Logged
Dr. Naim Sahil
Guest
«Reply #5 on: February 20, 2010, 10:28:38 AM »
Reply with quote
hosla afzaee ke liye main tah-e-dil se aap sabhi ka shukr guzaar hoon.
Logged
Pages: [1]
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
December 23, 2024, 02:20:21 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by mkv
[December 22, 2024, 05:36:15 PM]

[December 19, 2024, 08:27:42 AM]

[December 17, 2024, 08:39:55 AM]

[December 15, 2024, 06:04:49 AM]

[December 13, 2024, 06:54:09 AM]

[December 10, 2024, 08:23:12 AM]

[December 10, 2024, 08:22:15 AM]

by Arif Uddin
[December 03, 2024, 07:06:48 PM]

[November 26, 2024, 08:47:05 AM]

[November 21, 2024, 09:01:29 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.101 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8508 Real Poets and poetry admirer