Muhabbat Nahi Karta

by Zaif on October 31, 2013, 11:11:29 PM
Pages: [1]
ReplyPrint
Author  (Read 773 times)
Zaif
Guest
Reply with quote
Dard me apne shaad* hun, khilafat nhi karta..
Main zara zara si baat pe baghaawat nhi karta..
(*khush)

Jo karega khuda, wahi mere haq me hai sahi,
Main "aaka" ke faislon ki shikayat nhi karta..

Zindagi ne taalim di hai ulfat ki mujhe,
Ab to main adoo* se bhi nafrat nhi karta..
(*dushman)

She'r khud banaate hain ghazal ki maalaaein,
Main lafzon ko pirone ki zehmat nhi karta..
(*kasht)

Jo Ishq ko bura kahte hain mere saamne,
Sach,  Main un jaison ki izzat nhi karta..

Ye kab ki wafaon ginaate ho tum mujhe?
Dost! Ab main tumse muhabbat nhi karta..

Jo nek hain, main karta hun neki unse,
Jo bure hain to unse sharafat nhi karta..

Kuch to uska bhi rha tha ishaara, Ae 'Zaif',
Bewajah to main bhi sharaarat nhi karta..


Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
DIL GUFTAGU NAHI KARTA.... by SADIQA JAWED in Shayri-E-Dard « 1 2 ... 7 8 »
Kabhiya nahi khana ka main tum sa pyar nahi karta (personal) by muneeb in Shayri for Khumar -e- Ishq
Nahi karta koi........ by Parvana shan in Shayri-E-Dard
Muhabbat ki nahi tum ne by Lovely-Prince in Shayri for Dard -e- Judai
Dil iense muhabbat karta hai.... by deepraghav in Shayri for Dard -e- Judai
Saman Firdaus
Guest
«Reply #1 on: October 31, 2013, 11:17:03 PM »
Reply with quote
Jo Ishq ko bura kahte hain mere saamne,
Sach,  Main un jaison ki izzat nhi karta..


Bahot hi pyaara sher hai... dheroN daad...
Logged
sksaini4
Ustaad ae Shayari
*****

Rau: 853
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
112 days, 8 hours and 51 minutes.
Posts: 36414
Member Since: Apr 2011


View Profile
«Reply #2 on: October 31, 2013, 11:27:38 PM »
Reply with quote
 Applause Applause
Logged
saahill
Mashhur Shayar
***

Rau: 86
Offline Offline

Waqt Bitaya:
147 days, 20 hours and 6 minutes.
Posts: 18629
Member Since: Jun 2009


View Profile
«Reply #3 on: October 31, 2013, 11:36:41 PM »
Reply with quote
wah wah wah
Logged
laaiba
Guest
«Reply #4 on: October 31, 2013, 11:53:41 PM »
Reply with quote
Dard me apne shaad* hun, khilafat nhi karta..
Main zara zara si baat pe baghaawat nhi karta..
(*khush)

Jo karega khuda, wahi mere haq me hai sahi,
Main "aaka" ke faislon ki shikayat nhi karta..

Zindagi ne taalim di hai ulfat ki mujhe,
Ab to main adoo* se bhi nafrat nhi karta..
(*dushman)

She'r khud banaate hain ghazal ki maalaaein,
Main lafzon ko pirone ki zehmat nhi karta..
(*kasht)

Jo Ishq ko bura kahte hain mere saamne,
Sach,  Main un jaison ki izzat nhi karta..

Ye kab ki wafaon ginaate ho tum mujhe?
Dost! Ab main tumse muhabbat nhi karta..

Jo nek hain, main karta hun neki unse,
Jo bure hain to unse sharafat nhi karta..

Kuch to uska bhi rha tha ishaara, Ae 'Zaif',
Bewajah to main bhi sharaarat nhi karta..



bohat bohat khoob,,,,,,,,,,,,,,,.bohat c daad,.........
Logged
Mast Khalander
Maqbool Shayar
****

Rau: 2
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
2 days, 11 hours and 42 minutes.

PhoolNahiMeraDilHai

Posts: 902
Member Since: Jul 2013


View Profile
«Reply #5 on: November 01, 2013, 12:15:34 AM »
Reply with quote
bhot khub jee  icon_salut
Logged
Advo.RavinderaRavi
Guest
«Reply #6 on: November 01, 2013, 01:16:56 AM »
Reply with quote
Bahut Umda.
Logged
Shihab
Yoindian Shayar
******

Rau: 27
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
29 days, 4 hours and 51 minutes.

Maut To Ek Shuruaat Hai...

Posts: 2082
Member Since: Dec 2006


View Profile
«Reply #7 on: November 01, 2013, 10:07:00 AM »
Reply with quote
Jo karega khuda, wahi mere haq me hai sahi,
Main "aaka" ke faislon ki shikayat nhi karta..

Zindagi ne taalim di hai ulfat ki mujhe,
Ab to main adoo* se bhi nafrat nhi karta..
(*dushman)

Wah In Ashaar Ki Jitni Taareef Karun Kam Hogi
Khub Kahaa Sahab Clapping Smiley

Shad o Aabaad Rahiye

Shihab
Logged
mkv
Guest
«Reply #8 on: November 01, 2013, 10:33:50 AM »
Reply with quote
Jo karega khuda, wahi mere haq me hai sahi,
Main "aaka" ke faislon ki shikayat nhi karta..

wah wah wah Zaif jee
kya khoob sher kaha hai..tah e dil se daad deta hun.
 Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP

Logged
aqsh
Guest
«Reply #9 on: November 01, 2013, 12:29:11 PM »
Reply with quote
Dard me apne shaad* hun, khilafat nhi karta..
Main zara zara si baat pe baghaawat nhi karta..
(*khush)

Jo karega khuda, wahi mere haq me hai sahi,
Main "aaka" ke faislon ki shikayat nhi karta..

Zindagi ne taalim di hai ulfat ki mujhe,
Ab to main adoo* se bhi nafrat nhi karta..
(*dushman)

She'r khud banaate hain ghazal ki maalaaein,
Main lafzon ko pirone ki zehmat nhi karta..
(*kasht)

Jo Ishq ko bura kahte hain mere saamne,
Sach,  Main un jaison ki izzat nhi karta..

Ye kab ki wafaon ginaate ho tum mujhe?
Dost! Ab main tumse muhabbat nhi karta..

Jo nek hain, main karta hun neki unse,
Jo bure hain to unse sharafat nhi karta..

Kuch to uska bhi rha tha ishaara, Ae 'Zaif',
Bewajah to main bhi sharaarat nhi karta..



Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause

Waaaaaaaaaah... bahut hi behtareen peshkash zaif ji.. koi ek ya do sher nahin quote kar paayi.. kyunki sabhi ashaar bahut hi gehre khayaal liye  bahut hi shaandaar hai.. isiliye poori ghazal hi quote kar dee... dheron dheron daaaaaaaaaaad...
Logged
SURESH SANGWAN
Guest
«Reply #10 on: November 01, 2013, 08:43:29 PM »
Reply with quote
Dard me apne shaad* hun, khilafat nhi karta..
Main zara zara si baat pe baghaawat nhi karta..
(*khush)

Jo karega khuda, wahi mere haq me hai sahi,
Main "aaka" ke faislon ki shikayat nhi karta..

Zindagi ne taalim di hai ulfat ki mujhe,
Ab to main adoo* se bhi nafrat nhi karta..
(*dushman)

She'r khud banaate hain ghazal ki maalaaein,
Main lafzon ko pirone ki zehmat nhi karta..
 Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley
Logged
Zaif
Guest
«Reply #11 on: November 02, 2013, 10:32:57 AM »
Reply with quote
Thnks to everyone !!!! happy9
Logged
Pages: [1]
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
January 28, 2025, 02:01:18 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[January 19, 2025, 05:59:15 PM]

[January 19, 2025, 05:47:49 PM]

[January 10, 2025, 09:46:05 AM]

[January 10, 2025, 09:45:14 AM]

[January 08, 2025, 08:30:59 AM]

[January 08, 2025, 08:29:31 AM]

[January 05, 2025, 08:51:01 AM]

[January 05, 2025, 08:45:11 AM]

[January 05, 2025, 08:44:20 AM]

[January 05, 2025, 08:43:28 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.313 seconds with 24 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer