Mushkilo Mein muskuraane Ka Hunar "Khwaish"

by khwaish on July 13, 2010, 11:16:04 AM
Pages: [1] 2 3 4
ReplyPrint
Author  (Read 4718 times)
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
Reply with quote
Ehsaas Ke Moti Jab Ashkon Mein Nahaate Hai
Kuch Beete Hue Zamaane Tab Yaad Aate Hai

Yahan Samundar Hai Dariya Hai Baadal Hai Behne Ko
par Afsos Hum Insaan Aansuu Bahate Hai...

Gham Aur Khushi Ka Mel Hai Yeh Zindagi!!!
Har Kadam Par Naye Aashayen,Naye Sapne Hum Sajaate Hai

Mushkilon Mein Muskuraane Ka Hunar Rakh Sako To Jeena Asaan hai
Varna Yahan Apne Hi Apno Ko Aazmaate Hai...

"Khwaish" Kashtiyan Kinaaro par Pahunch Hi Jaati Hai
Hausla Ho Dil mein To Kashtiyan Tufaano Se Takraate Hai...

Shikayaton Ka Daur Kabhi khatam Hi Nahi Hota!!!
Aaj Ke Daur Mein yehi Aadmi Ki Pehchaan Batate Hai...

Maahol khushnuma Hoga,Zindagi Ki Raahein Asaan Bhi Hogi!!!
Par "Khwaish" Kal Ki Fikr mein Kyon Hum Apne Aaj Ko Gawaate Hai..

                      ~~~~~Khwaish~~~~~

Logged
poppoetry
Guest
«Reply #1 on: July 13, 2010, 04:07:46 PM »
Reply with quote
bahut hi khoob khwaish ji.....bahut accha likha......

Kal ki fikr mein hum apna aaj gawaate hai
Qunki apne aaj ko hum apna kal banana chahte hai
Logged
dead heart
Guest
«Reply #2 on: July 13, 2010, 08:47:21 PM »
Reply with quote
Bahaut khubsoorat likha hai apne...Seekh deti hui shandar peshkash...
 Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause
Logged
Ghulam Haider
Guest
«Reply #3 on: July 13, 2010, 11:45:10 PM »
Reply with quote
Boht khoob Khwaish ji, In haseen khayaalaat par meri taraf se daad qubool kareN. Achha likha hai aapne. Hamesha khush raheN.
Logged
drpandey
Guest
«Reply #4 on: July 14, 2010, 04:00:37 AM »
Reply with quote
Ehsaas Ke Moti Jab Ashkon Mein Nahaate Hai
Kuch Beete Hue Zamaane Tab Yaad Aate Hai

Yahan Samundar Hai Dariya Hai Baadal Hai Behne Ko
par Afsos Hum Insaan Aansuu Bahate Hai...

Gham Aur Khushi Ka Mel Hai Yeh Zindagi!!!
Har Kadam Par Naye Aashayen,Naye Sapne Hum Sajaate Hai

Mushkilon Mein Muskuraane Ka Hunar Rakh Sako To Jeena Asaan hai
Varna Yahan Apne Hi Apno Ko Aazmaate Hai...

"Khwaish" Kashtiyan Kinaaro par Pahunch Hi Jaati Hai
Hausla Ho Dil mein To Kashtiyan Tufaano Se Takraate Hai...

Shikayaton Ka Daur Kabhi khatam Hi Nahi Hota!!!
Aaj Ke Daur Mein yehi Aadmi Ki Pehchaan Batate Hai...

Maahol khushnuma Hoga,Zindagi Ki Raahein Asaan Bhi Hogi!!!
Par "Khwaish" Kal Ki Fikr mein Kyon Hum Apne Aaj Ko Gawaate Hai..

                      ~~~~~Khwaish~~~~~


Kya kahne Khwaish ji! Bahut khoob!!! Behtareen peshkash daad hazir hai kabul farmayen....
Logged
~Hriday~
Poetic Patrol
Mashhur Shayar
***

Rau: 115
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
101 days, 3 hours and 51 minutes.

kalam k chalne ko zamaana paagalpan samajhta hai.

Posts: 16243
Member Since: Feb 2010


View Profile WWW
«Reply #5 on: July 14, 2010, 06:36:56 AM »
Reply with quote
 Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley

Wah !!! Kya kehne Khwaish ji aapke. Bahut hi khoob likha hai aapne. Zindagi ko bahut sundar roop me shabdon me utaara hai...!!!
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #6 on: July 14, 2010, 06:56:19 AM »
Reply with quote
bahut hi khoob khwaish ji.....bahut accha likha......

Kal ki fikr mein hum apna aaj gawaate hai
Qunki apne aaj ko hum apna kal banana chahte hai

Bahut Bahut Shukriya Poojaji...Sabse yeh Bataye Kaha Ho Aap??? BangHead

Aur bahut Acha Likha Hai Aapne...Par...

Aane Wale Pal Ko sawaaarne Ke Liye Apne Aaj Ko Khona,
Bhi To Ek Kamzoi Ki Nishaani Hai..
Har Pal Ko Jo Zinda-Dilli Se Jee sake
Shayad Wahi To Zindegaani Hai...
Logged
*KasaK*....Dil Ki
Poetic Patrol
Umda Shayar
*

Rau: 19
Offline Offline

Gender: Female
Waqt Bitaya:
67 days, 9 hours and 25 minutes.
"I hv a prsnality wch evrybdy cn't handle

Posts: 5603
Member Since: Jun 2010


View Profile
«Reply #7 on: July 14, 2010, 07:00:35 AM »
Reply with quote
har lamha zinda rehne ki khwaish me hum
har pal maut ko hi gale lagate hain

ye khwaishein hi hain jo hume jine nahin deti
kyun nahin inko hum aaj se jod k jite jate hain

kal hoga ye ya wo pal hoga kaisa
isi soch me hum aaj ka khubsurat pal luta dete hain

ji lo is pal ko jo beet raha hai yunhi anchhua
is ek pal me hum to zindagi ka har pal jii jate hain.....
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #8 on: July 14, 2010, 07:19:14 AM »
Reply with quote
har lamha zinda rehne ki khwaish me hum
har pal maut ko hi gale lagate hain

ye khwaishein hi hain jo hume jine nahin deti
kyun nahin inko hum aaj se jod k jite jate hain

kal hoga ye ya wo pal hoga kaisa
isi soch me hum aaj ka khubsurat pal luta dete hain

ji lo is pal ko jo beet raha hai yunhi anchhua
is ek pal me hum to zindagi ka har pal jii jate hain.....


Bahut Bahut Khoob Kasak Dil ki Ji.. Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley

Bahut Khoobsurat Ehsaaso ko Aapne Kalam-Band Kiya hai..

Jab Tak Dil mein Hausla Nahi Hota
Koi Bhi Faisla Nahi Hota..

Zindagi Mein kabhi Khwaishe To khatam Hi nahi Hoti!!!
Yeh Woh Aag Hai jo Dil mein Jalti hai Par Kahi Dhuaan Nahi hota..

Kal Ko paane Ki Koshsih Mein Log Apne Aaj Ko Gawaate Hai
Zindagi Ka Yeh safar Kisi Ke Liye Kabhi Asaan Nahi Hota...

"Khwaish" Laakh Baatein karlo Par
Aadmi kabhi Apne Tamannao ka Qatl nahi karta!!!
Agar Koi Haseen Khwaab Naa Ho inn Aankhon mein,
To Zindagi mein haqeeqat ka Bhi koi Nishaan Nahi Hota...

Logged
*KasaK*....Dil Ki
Poetic Patrol
Umda Shayar
*

Rau: 19
Offline Offline

Gender: Female
Waqt Bitaya:
67 days, 9 hours and 25 minutes.
"I hv a prsnality wch evrybdy cn't handle

Posts: 5603
Member Since: Jun 2010


View Profile
«Reply #9 on: July 14, 2010, 07:29:08 AM »
Reply with quote
aahaaaa kya baat hai ji.....dil chhu gai aapki last 4 lines.....

khwaishon ki aag me jalkar hi
har insaan ..insaan banta hai

inhi ko paane ki tadap me hi
wo har pal jeete jii marta hai

khwabon ko sajakar palkon pe
wo har raat karwat badalta hai

paa lun use aur apna banalun
yehi soch me zinda rehta hai

aakhri waqt jab zindagi ka aata hai
wo sapne hi tutte dekhta hai

jopaaya usne iss haseen zindagi me
wo nahin unko sahej pata hai

aur aur pane ki hasrat me wo
jo paya use bhi khota jata hai....
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #10 on: July 14, 2010, 07:42:41 AM »
Reply with quote
aahaaaa kya baat hai ji.....dil chhu gai aapki last 4 lines.....

khwaishon ki aag me jalkar hi
har insaan ..insaan banta hai

inhi ko paane ki tadap me hi
wo har pal jeete jii marta hai

khwabon ko sajakar palkon pe
wo har raat karwat badalta hai

paa lun use aur apna banalun
yehi soch me zinda rehta hai

aakhri waqt jab zindagi ka aata hai
wo sapne hi tutte dekhta hai

jopaaya usne iss haseen zindagi me
wo nahin unko sahej pata hai

aur aur pane ki hasrat me wo
jo paya use bhi khota jata hai....

bahut Bahut Khoob Kasakji..Bahut Acha Likhte Hai Aap!!!

Subeh se lekar Shaam tak
naa Jaane Kitne Ashq Aankhon Mein Utaar jaate Hai..

Insaan To Jeete Hi Rehte Hai
Par Khwaishe Mar Jaate hai...

Khwaabo Ki Duniya haseen Zaroor Hoti hai!!!
Par Jab Aankh Khulti Hai Naa Jaane Woh Khwaab Kidhar jaate hai...

Shukar Hai khuda Ka Ke Sirf Tammanae Marti Hai Par Insaan Nahi!!!!
Iss Duniya Mein Insaan To har Jagah Chalte-Phirte Nazar Aate Hai...

"Khwaish" Bhi To Chalta-Phirta Khilona Ki Tarah Hai!!!!
Bas!!!! Pal-Pal mein Yahan Waqt Guzar Jaate Hai...
Logged
Abhi Tamrakar
Guest
«Reply #11 on: July 14, 2010, 07:43:30 AM »
Reply with quote
KHwahish ji bahut hi badhiya kalam or kalaam ka rishta he apka~

kuchh hamari or se~~

" maut mohabbat ko kabhi aati nhai,
ishq hawa me ghul jata he ishq ko fiza klhati nhai,
ruswa kare koi dildaar eisa bhi to ho 'Abhi' ,
ruswaaiyan ishq ko badhati he tadpati nahi~~"
Logged
*KasaK*....Dil Ki
Poetic Patrol
Umda Shayar
*

Rau: 19
Offline Offline

Gender: Female
Waqt Bitaya:
67 days, 9 hours and 25 minutes.
"I hv a prsnality wch evrybdy cn't handle

Posts: 5603
Member Since: Jun 2010


View Profile
«Reply #12 on: July 14, 2010, 07:49:19 AM »
Reply with quote
ye ehsaas teri mahobbat ka "Abhi" bada nirala hai
tu hai ek deewana jiska har andaaz jag se begaana hai
khud ko khokar paai hai tune mahobbat ki sadaa
tujhe apne har lafz se dilon ko jeet jana hai
Logged
*KasaK*....Dil Ki
Poetic Patrol
Umda Shayar
*

Rau: 19
Offline Offline

Gender: Female
Waqt Bitaya:
67 days, 9 hours and 25 minutes.
"I hv a prsnality wch evrybdy cn't handle

Posts: 5603
Member Since: Jun 2010


View Profile
«Reply #13 on: July 14, 2010, 07:55:13 AM »
Reply with quote
khwaish sirf ek khwaish nahin
wajah hai ye kisike jeene ki

ye koi dhundhla  sa ehsaas nahin
aas hai kisiko apna banane ki

kaise keh diya tumne k iski koi pehchan nahin
ye to ek wajah hai kisike hothon k muskaane ki
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #14 on: July 14, 2010, 07:56:34 AM »
Reply with quote
KHwahish ji bahut hi badhiya kalam or kalaam ka rishta he apka~

kuchh hamari or se~~

" maut mohabbat ko kabhi aati nhai,
ishq hawa me ghul jata he ishq ko fiza klhati nhai,
ruswa kare koi dildaar eisa bhi to ho 'Abhi' ,
ruswaaiyan ishq ko badhati he tadpati nahi~~"


Bahut Bahut Khoob Abhi Ji.. Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley

Ishq Ki Aag Agar Lag Jaaye To Bujhaana Mushkil Hota Hai
Bhari Mehfil mein Bhi Yeh Dil Akela Sa Tanha Rota Hai..
Ruswaiayn Beshak Ishq Ko Badhaati hai "Abhi"
Par Dil ko yeh Samjhaana Mushkil Hota Hai...

Logged
Pages: [1] 2 3 4
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
December 23, 2024, 07:39:22 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by mkv
[December 22, 2024, 05:36:15 PM]

[December 19, 2024, 08:27:42 AM]

[December 17, 2024, 08:39:55 AM]

[December 15, 2024, 06:04:49 AM]

[December 13, 2024, 06:54:09 AM]

[December 10, 2024, 08:23:12 AM]

[December 10, 2024, 08:22:15 AM]

by Arif Uddin
[December 03, 2024, 07:06:48 PM]

[November 26, 2024, 08:47:05 AM]

[November 21, 2024, 09:01:29 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.116 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8508 Real Poets and poetry admirer