Mushkilo Mein muskuraane Ka Hunar "Khwaish"

by khwaish on July 13, 2010, 11:16:04 AM
Pages: 1 2 [3] 4
ReplyPrint
Author  (Read 4678 times)
*KasaK*....Dil Ki
Poetic Patrol
Umda Shayar
*

Rau: 19
Offline Offline

Gender: Female
Waqt Bitaya:
67 days, 9 hours and 25 minutes.
"I hv a prsnality wch evrybdy cn't handle

Posts: 5603
Member Since: Jun 2010


View Profile
«Reply #30 on: July 16, 2010, 10:41:39 AM »
Reply with quote
har pal ye raaste hume lubhaate hain
yahan ajnabee bhi apne ho jate hain

mahek uthte hain phool kaanton k bich bhi
jab apne log dil se muskurate hain

dekh ye muskurahut hum apne gum bhul jate hain
iss kathin safar me bhi unhe dekh hum gungunate hain...!!!!
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #31 on: July 16, 2010, 11:21:42 AM »
Reply with quote
har pal ye raaste hume lubhaate hain
yahan ajnabee bhi apne ho jate hain

mahek uthte hain phool kaanton k bich bhi
jab apne log dil se muskurate hain

dekh ye muskurahut hum apne gum bhul jate hain
iss kathin safar me bhi unhe dekh hum gungunate hain...!!!!

Humesha Ki Tarah bahut Bahut Khoob Anamika ji..

Bahut Hi khoobsurat Ehsaas!!! Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley

Dil Ki Awaaz Ko pehchaana Seekh lo,
Bikharti hawao Se Baat karna Seekhlo..

Duniya Ke Iss Bheed mein sab Kho Jaate Hai!!!
Apno  Ki Koi pehchaan banana Seekhlo...

Asaan hai Ashko Se Palko Ko bhiga Dena
Inn Ashqo Ko Kabhi Aankhon Mein hi Chupana Seekhlo..

Muskuraana Se Zindagi khoobsurat lagti Hai!!!
Kabhi Bin Baat Ke Bhi Muskuraana Seekhlo...

"Khwaish" Phoolon Se Mohabbat Karna To Asaan Hai!!!
Kabhi Kaanto Ko Bhi gale Se Lagaana Seekhlo...
Logged
*KasaK*....Dil Ki
Poetic Patrol
Umda Shayar
*

Rau: 19
Offline Offline

Gender: Female
Waqt Bitaya:
67 days, 9 hours and 25 minutes.
"I hv a prsnality wch evrybdy cn't handle

Posts: 5603
Member Since: Jun 2010


View Profile
«Reply #32 on: July 16, 2010, 11:31:37 AM »
Reply with quote
wahhhhhhhhh last stanza bht hi pyara hai khwaish ji......

inhi kaanton k sath kheli hun main
inhi ko apna saathi paya hai

jab bhi chot khai hai maine koi
dosh phoolon ka hi unme paya hai

ye kaantein mere humraaz mere humdard hain
palkon se aansu jinho ne churaya hai

iss tarah sath rahen hain ye mere har pal
k inhone hi mujhe jeena sikhaya hai......
[/color]
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #33 on: July 16, 2010, 11:49:56 AM »
Reply with quote
Bahut bahut Khoob Anamika ji..Aapke Kya Kehne!!!! Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley

Kaanto Se Shikayat kaisi Jab Saath kaanto ka hi paaya hai
Iss Veeran Safar mein Aakhir Koi To humara Bhi Humsaaya Hai...

jab Chot lagi Ho Dil mein To Aankhon Se Ashq Beh Hi jaate hai
Iss Zindagi Mein Kuch To humein Bhi Samaj Aaya hai...

Waqt Ki Tez Aandhiyon Par bhi Jisne Phoolon ki Hifaazat ki
Mushkilo Mein Kaise Jeeya Jaata hai,Jisne Seekhaya Hai...

"Khwaish" Aadmi Wahi hai Jo har Gham Sehkar bhi kisi Se Koi Shikayat Na Kare!!
Sahi maayne Mein woh Shaks Zinda Hai!!! Jisne Chot khaakar Bhi Muskuraya hai..
Logged
*KasaK*....Dil Ki
Poetic Patrol
Umda Shayar
*

Rau: 19
Offline Offline

Gender: Female
Waqt Bitaya:
67 days, 9 hours and 25 minutes.
"I hv a prsnality wch evrybdy cn't handle

Posts: 5603
Member Since: Jun 2010


View Profile
«Reply #34 on: July 16, 2010, 12:06:18 PM »
Reply with quote
Khwaish" Aadmi Wahi hai Jo har Gham Sehkar bhi kisi Se Koi Shikayat Na Kare!!
Sahi maayne Mein woh Shaks Zinda Hai!!! Jisne Chot khaakar Bhi Muskuraya hai..

Maashaa Allaahhhhh........kya kehne aapke .......wakai dil lubhaagai aapki ye peshkash....

har pal labon ko sajati hai mere
ye tere hi pyaar ki nishani hai

tune hi sikahya hai mujhe muskurana
tu hi ab mere liye kissa ruuhani hai

tujhe padhkar sunkar gunnakar hi
maine safar zindagi ka gujara hai

tu koi aur nahin mere humsafar
tu merihi tasveer dikhata mera aaina hai...!!!
[/color]
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #35 on: July 16, 2010, 12:37:07 PM »
Reply with quote
Ab Aur Kya Kahoon!!! Aapke Hi Saath Ka Asar hai Jo Kuch Likh Rahe Hai...Aap Itnnnnnnnnnnnnnnnna Acha Likhte Ho Ke Jawaab Bhi khud Bhar Khud Acha Lagne Lagta Hai.

Bahut Bahut Khoob!!! Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley

Aarzoo Ka Dil mein Ab Koi Nishaan Tak bhi Nahi..
Zindagi kabhi itni Asaan Tak bhi nahi..

Teri Zindagi ka Ek Haseen Kissa Banna Chaahta Hoon main!!!
Par Meri Kismat Mujh par itni Meharbaan Tak Bhi Nahi...

Mere Lafzon Ko padhkar Meri Rooh ko Samajne Wale!!!
Yeh jhoot Kaise Keh Doon Ke mere Dil mein Koi Armaan tak bhi nahi..

Kisi Ki Zindagi ko Samajhna Bahut Mushkil Hai!!!!
"Khwaish" Jahan Gham bechkar Koi Khushi Khareed Le,
Duniya Mein Aisi Koi Dukaan Tak bhi Nahi....
Logged
*KasaK*....Dil Ki
Poetic Patrol
Umda Shayar
*

Rau: 19
Offline Offline

Gender: Female
Waqt Bitaya:
67 days, 9 hours and 25 minutes.
"I hv a prsnality wch evrybdy cn't handle

Posts: 5603
Member Since: Jun 2010


View Profile
«Reply #36 on: July 16, 2010, 12:56:01 PM »
Reply with quote
tareef ko alfaaz kum pad rahe hain khwaish ji....ab aur tareef nahin hogi humse hamare likhe ko hi tareef samjh lijiyega....

armanon se bhare dil ko yunhi kyun uljhaya hai
isko khule pankh do aur udne do

lakeeron me sath likha hai agar kisika to milega
aage badho aur dil ko ladkhadane do

mehki hawayen aur fizayein keh rahin hain tumse
na haaro yun haula apne kadam badhne do

mil jayegi wo jagah kisike dil me tumhe bhi
use bas iss dil saje rehne do

ruuh ko ho rahi hai jis sukun ki khwaish
auron ki muskurahut me mujhe wo sukun pane do...!!
[/color]
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #37 on: July 16, 2010, 01:09:37 PM »
Reply with quote
Bahut bahut Khoob Anamika Ji..Hum To Aapki Tareef Karte Nahi Thakenge.. Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley

Qaid mein Hai jo Ek parinda Usse kaun Rihaai Dega..
Uss Shaks Se koi Umeed Naa Rakh Jo Aakhir mein Sirf Judai Dega...

Mohabbat Ek Aisa Jazba Hai jisse Samajna bahut Mushkil Hai!!!
Laakh Chehro mein Bhi Sirf Ek ussi Ka Chehra Aanhkon Ko Dikhaai Dega..

Kadam Aage Badh Bhi jaaye To Phir peeche Mud Jaate Hai!!!!
Ishq Badnaam Hai Sirf Jag-Hasaai Dega....

Yahan Apni Hi Awaaz Deewaro Se Takra Jaati hai!!!!
"Khwaish" Aise mein  Kisi ko Kabhi Kya Kuch Sunai Dega??
Logged
*KasaK*....Dil Ki
Poetic Patrol
Umda Shayar
*

Rau: 19
Offline Offline

Gender: Female
Waqt Bitaya:
67 days, 9 hours and 25 minutes.
"I hv a prsnality wch evrybdy cn't handle

Posts: 5603
Member Since: Jun 2010


View Profile
«Reply #38 on: July 16, 2010, 01:24:27 PM »
Reply with quote
dekho na ab main kya kahun.....sach me samjh nahin aa raha.....

behtareen peshkash khwaish ji.... aap k sath likhne me aisa lagta hai jaise mere hi bol aap likh rahe hain...

gunjti hai jiske jehan me sirf tere bolo ki sada
kya uss shakhs ko kuch aur sunai dega

judai k dar se agar na milenge do dil
to fir kaun milan ki duhaii dega

nafraton k iss jahan me ek yehi to paakizgi hai
ye hi na rahi to bata kaun mahobbat ko panaah dega

mana k ishg me sirf jag hasai hai dost
lekin ye ishk na ho to kaun khuda ka naam lega...!!
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #39 on: July 16, 2010, 02:13:36 PM »
Reply with quote
Aap Khud Itna Acha Likhte Ho ke Aap Ko padhkar hum Bhi Kuch Koshish Kiye Jaa Rahe Hai..Huemsha Ki tarah...Lajawaab!!!!

Yeh Koi Dil to nahi Jo tehar Jaayega
Waqt To Aakhir Waqt hai Guzar jaayega...

Mere daaman Mein Kuch Bhi To nahi!!!!
Mujhse Kuch umeed Na Rakh!!!
Mehroomiyon Se Tera daaman Bhi bhar Jaayega...

Khwaabo Ki duniya bahut Haseen hai!!!
par haqeeqat Ke Saamne tera har Khwaab Bikher jaayega...

Sirf Kuch yaadon ko Samet Lete Hai Bichadne Wale!!!
Kise Maloom hai,Guzarte waqt mein kaun kidher Jaayega...

Tanhaiyon mein Kabhi beete Waqt Ki jab yaad Aati hai
"Khwaish" Ashk Ka Moti Palkon Se Utar Jaayega....
Logged
~Hriday~
Poetic Patrol
Mashhur Shayar
***

Rau: 115
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
101 days, 3 hours and 51 minutes.

kalam k chalne ko zamaana paagalpan samajhta hai.

Posts: 16243
Member Since: Feb 2010


View Profile WWW
«Reply #40 on: July 16, 2010, 02:19:08 PM »
Reply with quote
 Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley

Bahut khoob likh rahe hain aap dono Kasak ji aur Khwaish ji... bahut pyaari thread chal rahi hai.. ise isi tarha badhaate rahiye... bahut aanand mil raha hai isko padhne mein... !!!
Logged
*KasaK*....Dil Ki
Poetic Patrol
Umda Shayar
*

Rau: 19
Offline Offline

Gender: Female
Waqt Bitaya:
67 days, 9 hours and 25 minutes.
"I hv a prsnality wch evrybdy cn't handle

Posts: 5603
Member Since: Jun 2010


View Profile
«Reply #41 on: July 16, 2010, 02:39:11 PM »
Reply with quote
shukriya Klaskar ji k aapko ye itna pasand aaya....hum koshish karenge k ye silsila yunhi chalta rahe ..aur khwaish sath hain to ye chalta hi rahega ....hai na khwaish ji...?
Logged
*KasaK*....Dil Ki
Poetic Patrol
Umda Shayar
*

Rau: 19
Offline Offline

Gender: Female
Waqt Bitaya:
67 days, 9 hours and 25 minutes.
"I hv a prsnality wch evrybdy cn't handle

Posts: 5603
Member Since: Jun 2010


View Profile
«Reply #42 on: July 16, 2010, 02:44:51 PM »
Reply with quote
khwaish ji aapke samne hamara likha kuch bhi nahin....har bar ek naya andaaz....bht badhiya..

jab ye palkein bheegengiteri yaad me
tere pyaar ka amrut aankhon se baras jayega

mehka dega ya dil ki sukhi zameen ko
aur chahat k naye phool khila jayega

tum jahan bhi hoge tadap k yaad karoge mujhe
mera dil iss tarah tumhe pukare jayega

bichad kar bhi nahin bichdenge hum tum sanam
ye zamana hath malega jalta hi reh jayega

jism ho jayen juda iss zamane me ruswa hoke
ruuuhh ko bhala kaun duur rakh payega...!!!
[/color]
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #43 on: July 16, 2010, 03:08:14 PM »
Reply with quote
Haaye!!! Itna Pyaara Likha hai Aapne Ke Kya Kahoon!!!!Chaliye, phir bhi kuch likhte hai..

Door nahi hai Woh Shaks Mujhse Door Jaakar Bhi
Bas Usse Kho nahi Paaya Main Sab Kuch gawaakar Bhi...

Hai Haqeqat Yeh ke Beete Hue daur ko Bhoolana Zaroori hai!!!
Par kaun Bhool Paata Hai kisi Ko Yahan Bhoolakar Bhi...

Teri pukaar Shayad Mujh tak Pahunchthi Hi Nahi!!!
Main Muskuraata Hoon Har Dam Chot Khaakar bhi...

Kuch Umeede,Kuch Khwaabo Ke Sahare Chalte Hai Hum!!!
Jee nahi Pata yahan Koi Apne Khwaisho Ko Dabaakar Bhi...

"Khwaish" Mohabbat Mein Sirf Paana Hi Sab Kuch Nahi!!!!
Mutmaein hai Woh shaks Mohabbat mein Apna Sab kuch Lutaakar bhi...

Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #44 on: July 16, 2010, 03:10:03 PM »
Reply with quote
Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley

Bahut khoob likh rahe hain aap dono Kasak ji aur Khwaish ji... bahut pyaari thread chal rahi hai.. ise isi tarha badhaate rahiye... bahut aanand mil raha hai isko padhne mein... !!!

Bahut Bahut Shukriya Kapil Ji..Aapne Apna Waqt diya,Humein Aur Kya Chaahiye.. icon_flower
Logged
Pages: 1 2 [3] 4
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 08, 2024, 06:52:33 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 08, 2024, 09:59:08 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:55:06 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 06:58:58 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.117 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8505 Real Poets and poetry admirer