Mushkilo Mein muskuraane Ka Hunar "Khwaish"

by khwaish on July 13, 2010, 11:16:04 AM
Pages: 1 2 3 [4]
ReplyPrint
Author  (Read 4719 times)
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006

View Profile
«Reply #45 on: July 16, 2010, 03:11:48 PM »
Reply with quote
shukriya Klaskar ji k aapko ye itna pasand aaya....hum koshish karenge k ye silsila yunhi chalta rahe ..aur khwaish sath hain to ye chalta hi rahega ....hai na khwaish ji...?

Ji zaroor!!! Koshish To yeh zaroor Rahegi ke Yeh sisila Humesha Chalta Rahein, bas Aapka Bhi yuhi saath bana Rahe.. icon_flower
Logged
*KasaK*....Dil Ki
Poetic Patrol
Umda Shayar
*

Rau: 19
Offline Offline

Gender: Female
Waqt Bitaya:
67 days, 9 hours and 25 minutes.
"I hv a prsnality wch evrybdy cn't handle

Posts: 5603
Member Since: Jun 2010

View Profile
«Reply #46 on: July 16, 2010, 03:28:18 PM »
Reply with quote
aapke sath ne shayri ka mazaa hi badha diya hai khwaish ji..
yun lagta hai bas likhte hi jayen.....

khokar tujhe hi to maine paya hai tujhe
durr jake hi to apne paas paya hai tujhe

kareeb thi to tere sath hone ka ehsaas na tha
jab gaya tu har pal pukara hai tujhe

meri sadaa nahin aati kaanon me teri
kyunki teri ruuh ne har pal pukara hai mujhe

teri muskurahut k liye hi bewafa kehlai thi main
lekin fir bhi tadapta hua hi paya hai tujhe

maaf karde meri galtiyon ki saza na de khudko
maine har ilzaam se ab bari kiya hai tujhe

dekh na rok payega meri palkon me rehne se khudko
maine ashkon sa palkon pe sajaya hai tujhe...!!
[/color]
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006

View Profile
«Reply #47 on: July 17, 2010, 07:37:25 AM »

Bahut Bahut Khoob Anamikaji..Bahut Hi Khoobsurat Peshkash!!

Hum kuch iss Tarah kabhi khud ko saza dete hai
Ashko ko Palkon Par apne Saja Dete Hai...

Koi Puche Humse Huamra Thikana,
Hum Tere Dil ka Pata Dete Hai...

Kareeb Rehkar Bhi Saath Na Reh sake!!!
Ab To Hum Sirf Tujhe Dil Se Dua Dete Hai...

Gile-Shike,Shikayaton Se Kuch Bhi nahi Haasil!!!!
Koi puche humse Dono mein Aakhir khata Kisne Ki,
Bas Hum Apna Sar jhuka Dete hai...

"Khwaish" Koi Puch naa Le humse Humara Haal-E-Dil!!!
Hum Bas har Baat par muskura Dete Hai...
Logged
poppoetry
Guest
«Reply #48 on: July 17, 2010, 11:28:01 AM »
Reply with quote
 Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Applause Applause Applause Applause

bahut khoob khwaish ji & kasak.........superb.........bahut khoob mehfil jamaayi hui hai aap dono ne.....ummid hai ye karwa yu hi chalta rahega........
 Thumbs UP Thumbs UP
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006

View Profile
«Reply #49 on: July 17, 2010, 12:14:12 PM »
Reply with quote
Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Applause Applause Applause Applause

bahut khoob khwaish ji & kasak.........superb.........bahut khoob mehfil jamaayi hui hai aap dono ne.....ummid hai ye karwa yu hi chalta rahega........
 Thumbs UP Thumbs UP

Pooja Ji..Yeh karwaan Mein Aap Bhi Shaamil Ho jaaye To karwaan Aur bhi Khoobsurat Ho jaayega..

Pasand Farmane Ke liye Aapka Teh Dil se Shukriya.. icon_flower
Logged
SHABBIR AHMED HASHMI
Guest
«Reply #50 on: July 17, 2010, 04:17:23 PM »
Reply with quote
BOHOTH KHOB KHWAISH SAB BADYA SHAYERI BOHOTH HI ACHI FIQAR UMDA GHAYALAT WAH WAH WAH WAH WAH........ALLAH KHWAISH KI HER KHWAISH KO PORI KARE. AMEEN.               
                Applause Applause Applause Applause Applause Applause
Logged
madhuwesh
Guest
«Reply #51 on: July 18, 2010, 09:06:45 AM »
Reply with quote
Wow bahut pasand aayi aapke poem Khwaish ji,Kasak ji aur abhi ji ne bhi bahut khoob likha.midblowig creation icon_salut icon_thumleft Applause Applause Applause Applause Applause Applause
Logged
poppoetry
Guest
«Reply #52 on: July 18, 2010, 11:41:07 AM »
Reply with quote
Bahut Bahut Shukriya Poojaji...Sabse yeh Bataye Kaha Ho Aap??? BangHead

Aur bahut Acha Likha Hai Aapne...Par...

Aane Wale Pal Ko sawaaarne Ke Liye Apne Aaj Ko Khona,
Bhi To Ek Kamzoi Ki Nishaani Hai..
Har Pal Ko Jo Zinda-Dilli Se Jee sake
Shayad Wahi To Zindegaani Hai...

Khoob kha khwaish ji......bas.....

Har pal mein zindagi bharne ki khwaish kis ki nahi hoti
Par ye bhi sach hai,har pal zindagi ek si nahi hoti

Kamjori ka libas odhe kaun jeen chahta hai yha
Apno  se ladne ki bas taakat nahi hoti

Aaj k faisle gar kal natiza ban kar samne na aate
Toh Kal k liye khud ko teyar karne walon mein hamari jagah na hoti
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006

View Profile
«Reply #53 on: July 18, 2010, 12:13:55 PM »
Reply with quote
Khoob kha khwaish ji......bas.....

Har pal mein zindagi bharne ki khwaish kis ki nahi hoti
Par ye bhi sach hai,har pal zindagi ek si nahi hoti

Kamjori ka libas odhe kaun jeen chahta hai yha
Apno  se ladne ki bas taakat nahi hoti

Aaj k faisle gar kal natiza ban kar samne na aate
Toh Kal k liye khud ko teyar karne walon mein hamari jagah na hoti

Bahut bahut Khoob Pooja... Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley

Atlast!!!!!!Aapne Kuch likha hello2
Ab zara Meharbaani karke Kalam Ko yuhi Thaame Rakhiye..

Jahan Kadam Le jaaye Hum waha Chale hai
Chaahe Jo bhi Halaat ho, Hum Humesha Tayaar Chale Hai...

Apni Hi Tanhaiyon Se bachkar Aakhir Hum kaha jaate,
Jahan Jaau,Saath mein Mere Veeran Deewar Chale hai...

Apno Se Ladne ka Hausla Laate Bhi kaha Se,
Gairon Ki Bheed Mein Kaanto Ke Jo kharidaar Chale hai...

Pyaar,Ishq,Mohabbat!!! Yeh Naam Maine Pehle Bhi suune Hai!!!
"Khwaish" Ab To Inn Naamo Par Bas Rishto Ke Vyopaar Chale Hai.....
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006

View Profile
«Reply #54 on: July 19, 2010, 07:10:10 AM »
Reply with quote
Boht khoob Khwaish ji, In haseen khayaalaat par meri taraf se daad qubool kareN. Achha likha hai aapne. Hamesha khush raheN.

Teh Dil Se Shukriya Gulam Haider Ji..

Aapne Apna keemti waqt diya,Bahut Bahut Shukriya Aapka.. icon_flower
Logged
poppoetry
Guest
«Reply #55 on: July 21, 2010, 06:09:54 PM »
Reply with quote
Bahut bahut Khoob Pooja... Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley

Atlast!!!!!!Aapne Kuch likha hello2
Ab zara Meharbaani karke Kalam Ko yuhi Thaame Rakhiye..

Jahan Kadam Le jaaye Hum waha Chale hai
Chaahe Jo bhi Halaat ho, Hum Humesha Tayaar Chale Hai...

Apni Hi Tanhaiyon Se bachkar Aakhir Hum kaha jaate,
Jahan Jaau,Saath mein Mere Veeran Deewar Chale hai...

Apno Se Ladne ka Hausla Laate Bhi kaha Se,
Gairon Ki Bheed Mein Kaanto Ke Jo kharidaar Chale hai...

Pyaar,Ishq,Mohabbat!!! Yeh Naam Maine Pehle Bhi suune Hai!!!
"Khwaish" Ab To Inn Naamo Par Bas Rishto Ke Vyopaar Chale Hai.....

Shukriya........ notworthy

Sache pyar ki talash mein bhatak rha hai har insaan yha
Vyapaar hai rishton ka toh dilon ka pyar hai yha

Baaton se chalkta pyar aur dil mein boye nafrat k beej
Koi kisi se khafa,koi kisi se zuda,har shakhs alag alag yha

kal uss se mile, aaj saath jeene lage, par kal mein uske shaamil nahi
Ek sman dikhte inn shabdon k matlab hai alag alag yha

Jha se shuru hua safar , wahi ghum kar aa pahucha
Ajeeb safar , ajeeb zindagi , ajeeb hai rishte yha
Logged
ANAAM
Guest
«Reply #56 on: July 21, 2010, 06:28:49 PM »
Reply with quote
Nice going every body is very good...... Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley

Mushkilo mein muskuraana seekh lo ab
Rishto kee ahmeeyat ko pehchaan lo ab

Pyaar ka tou bas naam hai ab
Gumnaam ya Anaam hi raho ab

Shukriya........ notworthy

Sache pyar ki talash mein bhatak rha hai har insaan yha
Vyapaar hai rishton ka toh dilon ka pyar hai yha

Baaton se chalkta pyar aur dil mein boye nafrat k beej
Koi kisi se khafa,koi kisi se zuda,har shakhs alag alag yha

kal uss se mile, aaj saath jeene lage, par kal mein uske shaamil nahi
Ek sman dikhte inn shabdon k matlab hai alag alag yha

Jha se shuru hua safar , wahi ghum kar aa pahucha
Ajeeb safar , ajeeb zindagi , ajeeb hai rishte yha

Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006

View Profile
«Reply #57 on: July 29, 2010, 07:42:51 AM »
Reply with quote
Kya kahne Khwaish ji! Bahut khoob!!! Behtareen peshkash daad hazir hai kabul farmayen....

Aapka Tehhhhhhhhhhhhh Dil Se Shukriya DrPandey Ji..

Aapne Apna Waqt diya,bahut bahut shukriya aapka.. icon_flower
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006

View Profile
«Reply #58 on: August 30, 2010, 07:52:58 AM »
Reply with quote
Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley

Wah !!! Kya kehne Khwaish ji aapke. Bahut hi khoob likha hai aapne. Zindagi ko bahut sundar roop me shabdon me utaara hai...!!!

Bahut Bahut Shukriya kapil Ji.. icon_flower
Logged
Rajesh Harish
Guest
«Reply #59 on: August 31, 2010, 01:23:58 AM »
Reply with quote

[/quote]
Ehsaas Ke Moti Jab Ashkon Mein Nahaate Hai
Kuch Beete Hue Zamaane Tab Yaad Aate Hai

Yahan Samundar Hai Dariya Hai Baadal Hai Behne Ko
par Afsos Hum Insaan Aansuu Bahate Hai...

Gham Aur Khushi Ka Mel Hai Yeh Zindagi!!!
Har Kadam Par Naye Aashayen,Naye Sapne Hum Sajaate Hai

Mushkilon Mein Muskuraane Ka Hunar Rakh Sako To Jeena Asaan hai
Varna Yahan Apne Hi Apno Ko Aazmaate Hai...

"Khwaish" Kashtiyan Kinaaro par Pahunch Hi Jaati Hai
Hausla Ho Dil mein To Kashtiyan Tufaano Se Takraate Hai...

Shikayaton Ka Daur Kabhi khatam Hi Nahi Hota!!!
Aaj Ke Daur Mein yehi Aadmi Ki Pehchaan Batate Hai...

Maahol khushnuma Hoga,Zindagi Ki Raahein Asaan Bhi Hogi!!!
Par "Khwaish" Kal Ki Fikr mein Kyon Hum Apne Aaj Ko Gawaate Hai..

                      ~~~~~Khwaish~~~~~

Bahut achchhi peshkash hai Khwaish Ji
Logged
Pages: 1 2 3 [4]
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.

Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
December 23, 2024, 07:54:19 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by mkv
[December 22, 2024, 05:36:15 PM]

[December 19, 2024, 08:27:42 AM]

[December 17, 2024, 08:39:55 AM]

[December 15, 2024, 06:04:49 AM]

[December 13, 2024, 06:54:09 AM]

[December 10, 2024, 08:23:12 AM]

[December 10, 2024, 08:22:15 AM]

by Arif Uddin
[December 03, 2024, 07:06:48 PM]

[November 26, 2024, 08:47:05 AM]

[November 21, 2024, 09:01:29 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.127 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8508 Real Poets and poetry admirer