Na Ankhon Mein Nami Ho

by riyaz106 on June 16, 2010, 12:22:09 PM
Pages: 1 [2] 3  All
ReplyPrint
Author  (Read 3298 times)
drpandey
Guest
«Reply #15 on: June 17, 2010, 09:16:33 AM »
Reply with quote
GHAZAL
Bahot khoobsurat meri zindagi ho             
Na mujhko koi gham na koi khushi ho 

Wahi surkhru hoga dono jahan mein
Adaa jis bashar se haq-e-bandagi ho

Jahan ke masaa-il sulajh jayenge, gar
Muhabbat ka haamil har ik aadmi ho

Yun maa-baap ko khush rakhen zindagi bhar
Kabhi bhi na ankhon mein unki nami ho

Pareshaniyan khud hi ho jayengi kam
teri zindagi mein agar saadgi ho


Riyaz Ashna

Waah! Waah!! Riyaz sahab, saadgi ke libaas mein saji ye ghazal bahut hi khoobsurat aur prernadayak hai.. icon_salut icon_salut Applause Applause
Logged
waquif
Guest
«Reply #16 on: June 17, 2010, 09:49:35 AM »
Reply with quote
Wah wah wah Janab Riyaz Aashna Saheb! Kamaal kar diya janaab aapne. Is qadar khoobsurat, murassa, me-aari aur har aitebaar se mukammal ghazal pesh ki hai janaab aapne. Aisi jila bakhshne waali ghazal kahne par aap mubaarakbaad ke mustahaq haiN. HazaaroN daad qubul kijiye.

GHAZAL
Bahot khoobsurat meri zindagi ho            
Na mujhko koi gham na koi khushi ho  

Wahi surkhru hoga dono jahan mein
Adaa jis bashar se haq-e-bandagi ho

Jahan ke masaa-il sulajh jayenge, gar
Muhabbat ka haamil har ik aadmi ho

Yun maa-baap ko khush rakhen zindagi bhar
Kabhi bhi na ankhon mein unki nami ho

Pareshaniyan khud hi ho jayengi kam
teri zindagi mein agar saadgi ho


Riyaz Ashna

Logged
riyaz106
Guest
«Reply #17 on: June 17, 2010, 10:53:52 AM »
Reply with quote
Abdul Rahim Bhai aapka tahe dil shukriya ke aapne is ghazal ko ghaur se padha aur daado-tehseen se nawaza. Aapka mashkoor hum.
Riyaz bhaijan, apki iss peshkash main kuch seekhne mila hai..kuch kya kafi kuch seekhne mila hai..bahaut sachayi likhi hai apne...Bahaut khoob Applause Applause Applause
Logged
riyaz106
Guest
«Reply #18 on: June 17, 2010, 12:06:22 PM »
Reply with quote
Shihab Bhai aapka kin lafzon mein shukriya adaa karun. Bas aapka bashkoor hun ke aapne apna qeemti waqt diya, ghazal ko pasand farmya aur hauslafzaai ki. Allah aapko bhi hamesha khush rahe.
Wah Wah Wah Wah Kya Andaz e Bayaan Hai Riyaz Bhai
Har Baar Ki Tarah Ek Jaiyid Aur Kuch Sikh Dene Wali Peshkash
Bahut Hi Badiya....Dad Hazir Hai Kabul Karen...!

ALLAH Pak Aapko Khush Rakhe.. Ameen

~Shihab~
Logged
riyaz106
Guest
«Reply #19 on: June 17, 2010, 05:36:51 PM »
Reply with quote
Devangi ji aapka tahe dil se shukriya ke aapko meri kawish achhi lagi. Aainda bhi aapse se hausla afazaai ki tawaqqo rahegi.
bahot hi dil ko chhu jane wali gazal likhi he riyaz ji.. Clapping Smiley  Applause
Logged
riyaz106
Guest
«Reply #20 on: June 18, 2010, 02:06:21 AM »
Reply with quote
Shaba ji aapne waqt diya aur ghazal ko pasand farmaya, main aapka behad mashkoor hun. Hamesha khush rahiye.
Bahot khoob Riyaz ji ... bahot hi behtreen alfazon mein apne wo baaten bata di hain jin pe chal ke aadmi waqai zindagi ko sahi mayno main jee sakta hai, apki kahi har ek line bahot gahrai hai.....
Logged
riyaz106
Guest
«Reply #21 on: June 18, 2010, 07:06:47 AM »
Reply with quote
KA Ji aapka tahe dil se shukriya ke aapko ghazal pasand aai.

naaaaaaaaaice riyaz sb
Logged
riyaz106
Guest
«Reply #22 on: June 18, 2010, 09:51:33 AM »
Reply with quote
Abdul Qadeer Bhai aapka tah-e-dil se shukriya. Aapne waqt diya aur ghaur se padha aur apne tassurat pesh kiye, ye muhabbat ki baat hai. Allah aapko bhi hamesha khush rakhe.
Wah Riyaz saheb ,, apka to jawab hi nahi , hamesha lajwab kahete ho yaara ,Apki is umda ghazal pe hazaro dad hazir hain , qubool karen ,, Kaunsa ashar ziyada acha hai kahene mushkil hai bhai , Ghazar sar se pa tak ghazab hai ,,

Allah apko hamesha khush rakhe


Duwa go


Qadeertoopchi
Logged
riyaz106
Guest
«Reply #23 on: June 19, 2010, 05:30:54 AM »
Reply with quote
Khwaish sahab aapka tahe dil se shukria ke aapne ghazal ko pasand farmaya.
Waah Waah Waah!!!!

Bahut Bahut Khoob Riyaz Bhai...Bahut Hi khoobsurat Aur Seekh dene Wale Jabzbaat Pesh Kiye Hai Aapne...Lajawaab!! Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley

Logged
riyaz106
Guest
«Reply #24 on: June 19, 2010, 06:50:32 AM »
Reply with quote
Doctor sahab aap meri jo hausla afazaai karte hain usi se kuchh likhne ki prerna milti hai. Ghazal pasand farmane ka behad shukriya.
Waah! Waah!! Riyaz sahab, saadgi ke libaas mein saji ye ghazal bahut hi khoobsurat aur prernadayak hai.. icon_salut icon_salut Applause Applause
Logged
riyaz106
Guest
«Reply #25 on: June 19, 2010, 05:07:08 PM »
Reply with quote
Janab Mohtram Mukarram Waqif sahab aapka shukriya adaa karene ke alfaaz nahi mil rahe hain. Aapne jis khoobsurari se tareef ki hai  uske liye dil ki gahraai se aapka shukriya adda karta hun. Allah aapko hamesha khush rakhe.
Wah wah wah Janab Riyaz Aashna Saheb! Kamaal kar diya janaab aapne. Is qadar khoobsurat, murassa, me-aari aur har aitebaar se mukammal ghazal pesh ki hai janaab aapne. Aisi jila bakhshne waali ghazal kahne par aap mubaarakbaad ke mustahaq haiN. HazaaroN daad qubul kijiye.

Logged
tamanna.pt
Guest
«Reply #26 on: June 21, 2010, 12:52:41 AM »
Reply with quote


   Waah-Waah Riyaz ji bahut pyara likha hai aapne. Clapping Smiley Clapping Smiley
Logged
riyaz106
Guest
«Reply #27 on: June 21, 2010, 09:56:15 AM »
Reply with quote
Aapka tahe dil se shukriya Tamanna ji.

   Waah-Waah Riyaz ji bahut pyara likha hai aapne. Clapping Smiley Clapping Smiley
Logged
KOYAL46
Guest
«Reply #28 on: June 29, 2010, 12:32:17 PM »
Reply with quote
Jeevan mai tere kabhi khushiyo ki na kami ho
Khuda ki meharbani,duaao ki tujhe na kami ho

Likhe jab kabhi bhee tu koi kalaam naya
Tujhe Na Bhaav ki ya shabdon ki kami ho
Logged
riyaz106
Guest
«Reply #29 on: July 03, 2010, 05:53:13 AM »
Reply with quote
Koyal-di aapne jin nek khwahishaat se nawazaa hai uske liye main aapka tah-e-dil se shukriya adaa karta hun. Aar aapko bhi main yahi shubkamnayen double strength ke saath pesh karta hun.
Jeevan mai tere kabhi khushiyo ki na kami ho
Khuda ki meharbani,duaao ki tujhe na kami ho

Likhe jab kabhi bhee tu koi kalaam naya
Tujhe Na Bhaav ki ya shabdon ki kami ho

Logged
Pages: 1 [2] 3  All
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
December 23, 2024, 01:47:06 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by mkv
[December 22, 2024, 05:36:15 PM]

[December 19, 2024, 08:27:42 AM]

[December 17, 2024, 08:39:55 AM]

[December 15, 2024, 06:04:49 AM]

[December 13, 2024, 06:54:09 AM]

[December 10, 2024, 08:23:12 AM]

[December 10, 2024, 08:22:15 AM]

by Arif Uddin
[December 03, 2024, 07:06:48 PM]

[November 26, 2024, 08:47:05 AM]

[November 21, 2024, 09:01:29 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.161 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8508 Real Poets and poetry admirer