Na Ho Gar Hum To Kya Hoga?

by sashe75 on July 21, 2005, 06:48:31 PM
Pages: [1] 2 3 4 5 ... 8
ReplyPrint
Author  (Read 17222 times)
sashe75
Guest
Reply with quote
Na Ho Gar Hum To Kya Ho Jaiga?
Humara Justaju Kya Ankho Se Asu Sa Beh Jaiga?
Na Khuli Akh Ek Sehar Par To Kya Ho Jaiga?
Tamannai Kya Sirf Ek Maqbara Sa Ban Kar Reh Jaiga?

Na Ho Gar Hum To Kya Hoga?
Humara Naam Kya Sahil Ki Reith Sa Beh Jayega?
Ya Justaju Humara Kisis Ki Yaado Ka Hisssa Bann Jaiga?
Kya Humare Naam Ka Bhi Koi Kahi Diya Jalaiga?

Na Ho Gar Hum To Kya Hoga?
Koi Kya Phir Bhi Humare Lautne Ka Rasta Dekhega?
Hum Aiienge Phir Khwabo Mei Esi Se Dil Behlaiga?
Ya Sawal-e-Vasl Pe Hume Afsano Ki Tarah Bhool Jaiga?

Ye Kya Jageh Hai? Kaha Aa Gaye Hum?
Ye Charo Tarf Paree-Chera Hai Kaise?
Ye Kaunsi Dua Hamari Manzoor Ho Gayi Hai?
Ye Kaunse Khwab Humare Hakikat Ho Chale Hai?

Phir Na Ho Agar Hum To Kya Hojaiga?
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Des ka kya hoga by Amit Janglan in Shairy-E-Watan « 1 2 3 4  All »
- Tera Zikr Hoga - by HumTum is back in Shayri-E-Dard
ishq kiya hoga jab....... by purani_jeans_aur_guitar in Shayeri for Dard -e- Bewafai
Janta Ko Jagna Hoga Khud Apna Neta Bannna Hoga by @kaash in Tanziya aur Tehreekbaksh Shayariyan
hoga bhi to aakhir kya hoga? darta he tu kyu bhala? by jyuthika in Share Poetry You Like
Ghazal
Guest
«Reply #1 on: July 22, 2005, 08:57:59 AM »
Reply with quote
whaa bohot khoob likha hai

ger na ho hum to kya ho jayga
hamara gum kisi ki aakho kaa aasoo ban jayga
koi hamari yaad ko aapney dil mein besayga
hum naa bhi ho to kya
her rooz hamara ziker dohoraya jayga

naa jaly koi hamare naam kaa cheerag
hamare naam sey too kisi kaa dil sulgaya jayga
Logged
sashe75
Guest
«Reply #2 on: July 22, 2005, 02:19:03 PM »
Reply with quote
(Shukriya Ghazal.Humne Aapki Bhi Shairi Pari Hai... Bahut Khub Hai.
 Ek Aur Suniye... Aaj He Likhi Hai Humne)


Jo Phir Na Lautenge, Unhe Ka Rasta Akein Kyu Dekhe..?
Jo Hai He Nahi, Phir Kyu Unki Kami MehSus Ho Hume..?

Hum Khud He Apni Arsu-o Par Kafn Chara Aai
Hum Apni He Duniya Mei Lagi Lau Ko Hawa De Aai
Ab Namuraad-e-Alam Mei Koi Shikvwa Nahi Raha
Hum Apni He Asu-O Ka Sila Jo Afsano Mei Likh Aai

Jab Dil Hi Na Raha To Dharakta Hai Kisliye
Ab Na Koi Aasrey Hai Na Zindagi Se Rangishey
Phir Jane Kyu Namm Hoti Hai Akhein Jab Din Dhale
Kyu Katm Na Ho Jaye Bezaar Zindagi K Ye Silsiley..

Ab Ban Gaye Hai Rakeeb Sham-O-Seher Muhjse
Firrono Ne Sazaa Jo De Wo Aai Sirf Kyu Mere Hisse
"Sashe" Tumhari Haasti Hai Chandni Ke Waaste
Phir Koi De Gaya Hai Daag Tumhare Kaayanaat Pe...

(Sashe = Moon/Chand)
Logged
sashe75
Guest
«Reply #3 on: July 22, 2005, 07:08:45 PM »
Reply with quote
deleted post
Logged
sashe75
Guest
«Reply #4 on: July 22, 2005, 07:10:10 PM »
Reply with quote
Purane Zakhm Phir Cher Gaya Hai Koi
Shamme Buhj He Rahe The Unhe Bujha Gaya Hai Koi
Chale Hai Raazdaan mere Aaj Bankar Rakeeb
Haafte The Jo Hum... Aaj Saase Bhi Na Rahe...

Socha Tha Zakhm Aasu-o mein Beh Jaiga
Rahi Zindagi Wo Saalo Mei Kat Jaiga
Par Waqt Deta Gaya Ghau Es Kadar
Hum Zinda Rahe Aur Hume Hue Bhi Na Khabar..

Aaj Hum Phir Ek Aur Zulmat-Kade Mei Kare
Kafila Tha Par Aaj Tanha Hi Reh Gaye
Apna Saya Na Raha Wo Bhi Ho Gaya Gairo Se Hum-Shukan
Jis Din Humari Wafa-o Ka Sila De Gaya Tha Koi Dushman...
Logged
akela
Guest
«Reply #5 on: July 23, 2005, 06:42:21 AM »
Reply with quote
bahoot khoob sashe.................good work..............................
Logged
sashe75
Guest
«Reply #6 on: July 25, 2005, 02:25:59 PM »
Reply with quote
Aap K Daad K Hai Hum Shukr Guzaar
Aap K Daad K Hai Hum Shukr Guzaar

Bhale He Afsana Ban Gayi Ho Aaj Humari Zindagi Bezaar..
Logged
HumTum
Guest
«Reply #7 on: July 27, 2005, 09:53:23 AM »
Reply with quote
Quote from: "sashe75"
Na Honge Gar Hum To Kya Ho Jaiga?
Humara Justaju Kya Ankho Se Asu Sa Beh Jaiga?
Na Khuli Akh Ek Sehar Par To Kya Ho Jaiga?
Tamannai Kya Sirf Ek Maqbara Sa Ban Kar Reh Jaiga?

Na Ho Gar Hum To Kya Hoga?
Humara Naam Kya Sahil Ki Reith Sa Beh Jayega?
Ya Justaju Humara Kisis Ki Yaado Ka Hisssa Bann Jaiga?
Kya Humare Naam Ka Bhi Koi Kahi Chiraag Jalaiga?

Na Ho Gar Hum To Kya Hoga?
Koi Kya Phir Bhi Humare Lautne Ka Rasta Dekhega?
Hum Aiienge Phir Khwabo Mei Esi Se Dil Behlaiga?
Ya Sawal-e-vasl pe Hume afsano Ki Tarah Bhool Jaiga?

Ye Kya Jageh Hai? Kaha Aa Gaye Hum?
Ye Charo Tarf Paree-Chera Hai Kaise?
Ye Kaunsi Dua Hamari Manzoor Ho Gayi Hai?
Ye Kaunse Khwab Humare Hakikat Ho Chale Hai?

Phir Na Ho Agar Hum To Kya Hojaiga?


waah sashe ....... amazing piece of work !!!! The nazm is very tauching but most of all i liked it's title " Na ho gar tum to kya hoga?". gonna add some more lines .. hope u will like dis !!!

Na ho gar tum to kya hoga ?

suni si zindgi veraan sa ashiyaan hoga
ruka ruka sa hamara carvaan hoga

jee to jayegey hum tere bhgair lekin
jo tere sath na jiye woh jeena kya hoga?

gar tum hi meri zindgi se chale gaye humdum
to kaun hoga humraaz,  kaun rehnuma hoga?

kaseey byaan kru ke tujh se kitni muhhobat hai
kaun sa lamha hai jismein tera naam na liya hoga?

Na ho gar tum to kya hoga ?

HumTum
Logged
HumTum
Guest
«Reply #8 on: July 27, 2005, 10:59:06 AM »
Reply with quote
Quote from: "sashe75"
Purane Zakhm Phir Cher Gaya Hai Koi
Shamme Buhj He Rahe The Unhe Bujha Gaya Hai Koi
Chale Hai Raazdaan mere Aaj Bankar Rakeeb
Haafte The Jo Hum... Aaj Saase Bhi Na Rahe...

Socha Tha Zakhm Aasu-o mein Beh Jaiga
Rahi Zindagi Wo Saalo Mei Kat Jaiga
Par Waqt Deta Gaya Ghau Es Kadar
Hum Zinda rahe Aur Hume Hue Bhi Na Khabar..

Aaj Hum Phir ek aur Zulmat-kade mei Kare
Kafila Tha Par Aaj Tanha Hi reh Gaye
Apna Saya Na Raha Wo Bhi Ho Gaya Gairo Se Hum-Shukan
Jis Din Humari Wafa-o Ka Sila De Gaya Tha Koi Dushman...


waah sashe .... again a great piece of work !!!  specially these lines are very tauching !!

Par Waqt Deta Gaya Ghau Es Kadar
Hum Zinda rahe Aur Hume Hue Bhi Na Khabar


i am going to write something hope you will like it !!!

Tere bin bhi behal jaye,to kya gum hai
Ke girke khud samhal jaye, to kya gum hai

Baha de ashq ka dariyaa, magar lekin
Armaan yun nikal jaye, to kya gum hai

Bahut si surateien hai, magar aissi nahi
Ke shola hi pighal jaye, to kya gum hai

Kabhi apno se, kabhi gairon se darr lagta hai
Aks khud se dehal jaye, to kya gum hai !!

HumTum
Logged
HumTum
Guest
«Reply #9 on: July 27, 2005, 11:20:21 AM »
Reply with quote
Quote from: "sashe75"
(Shukriya Ghazal.Humne Aapki Bhi Shairi Pari Hai... Bahut Khub Hai.
 Ek Aur Suniye... Aaj He Likhi Hai Humne)


Jo Phir Na Lautenge
Unka Rasta Akein Kyu Dekhe..
Jo Hai He Nahi
Phir Kyu Unki Kami MehSus Ho Hume..

Hum Khud He Apne Arsu-o Par Kafn Chara Aai
Hum Apni He Duniya mei Lagi Lau Ko Hawa De Aai
Ab Namuraad-e-Alam Mei Koi Shikvwa Nahi Raha
Hum Apni He Asu-O Ka Sila jo Afsano Mei Likh Aai

Jab Dil Hi Na Raha To Dharakta Hai Kisliye
Ab Na Koi Aasrey Hai Na Zindagi Se Rangishey
Phir Jane Kyu Namm Hoti Hai Akhein Jab Din Dhale
Kyu Katm Na Ho Jaye Bezaar Zindagi K Ye Silsiley..

Ab Ban Gaye Hai Rakeeb Sham-O-Seher Muhjse
Firrono Ne Sazaa Jo De Wo Aai sirf Kyu Mere Hisse
"Sashe" Tumhari Haasti Hai Chandni Ke Waaste
Phir Koi De Gaya Hai Daag Tumhare Kaayanaat Pe...

(Sashe = Moon/Chand)


amazing sashe ( chand ) .....  wonderfull ..... specially these lines !!

Phir Jane Kyu Namm Hoti Hai Akhein Jab Din Dhale
Kyu Katm Na Ho Jaye Bezaar Zindagi K Ye Silsiley

"Sashe" Tumhari Haasti Hai Chandni Ke Waaste
Phir Koi De Gaya Hai Daag Tumhare Kaayanaat Pe


kuch arz hai sashe ji ..

na ham keh payengey jo baat wo tum baat mat puchho
teh e jaat mein hai poshida jo mere wo tum raaj mat puchho

khi shikwa khi koi sitam koi zakhm hai duniya
mere hai jo bas mere wo kuch jazbaat mat puchho

hamare labo ki muskurahat parda hai pada rahney do
kha hasil hamey koi khushiyoN ki saugat mat puchho

kabhi kamsin they ehley yaar bhi gulshan mein kalio se
khaaN kaisey ujda kyu wo daricha e yaar mat puchho


HumTum
Logged
sashe75
Guest
«Reply #10 on: July 27, 2005, 07:45:07 PM »
Reply with quote
Quote from: "HumTum"
Quote from: "sashe75"


waah sashe ....... amazing piece of work !!!! The nazm is very tauching but most of all i liked it's title " Na ho gar tum to kya hoga?". gonna add some more lines .. hope you will like dis !!!

Na ho gar tum to kya hoga ?

suni si zindgi veraan sa ashiyaan hoga
ruka ruka sa hamara carvaan hoga

jee to jayegey hum tere bhgair lekin
jo tere sath na jiye woh jeena kya hoga?

gar tum hi meri zindgi se chale gaye humdum
to kaun hoga humraaz,  kaun rehnuma hoga?

kaseey byaan kru ke tujh se kitni muhhobat hai
kaun sa lamha hai jismein tera naam na liya hoga?

Na ho gar tum to kya hoga ?

HumTum



HUMTUM JI

My Personal Fav is:

kaseey byaan kru ke tujh se kitni muhhobat hai
kaun sa lamha hai jismein tera naam na liya hoga?
Logged
immi
Guest
«Reply #11 on: July 27, 2005, 07:57:37 PM »
Reply with quote
Very nice both of U !!

somthing to add !!

Yaad mei teri jahan ko bhulta jata hoon mein
Bhulane wale kiya kabhi tujko yaad aata hoon mein
Logged
sashe75
Guest
«Reply #12 on: July 27, 2005, 07:59:51 PM »
Reply with quote
Quote from: "HumTum"
Quote from: "sashe75"


amazing sashe ( chand ) .....  wonderfull ..... specially these lines !!

Phir Jane Kyu Namm Hoti Hai Akhein Jab Din Dhale
Kyu Katm Na Ho Jaye Bezaar Zindagi K Ye Silsiley

"Sashe" Tumhari Haasti Hai Chandni Ke Waaste
Phir Koi De Gaya Hai Daag Tumhare Kaayanaat Pe


kuch arz hai sashe ji ..

na ham keh payengey jo baat wo tum baat mat puchho
teh e jaat mein hai poshida jo mere wo tum raaj mat puchho

khi shikwa khi koi sitam koi zakhm hai duniya
mere hai jo bas mere wo kuch jazbaat mat puchho

hamare labo ki muskurahat parda hai pada rahney do
kha hasil hamey koi khushiyoN ki saugat mat puchho

kabhi kamsin they ehley yaar bhi gulshan mein kalio se
khaaN kaisey ujda kyu wo daricha e yaar mat puchho


HumTum


Good one...
Logged
sashe75
Guest
«Reply #13 on: July 28, 2005, 12:24:44 AM »
Reply with quote
Ruthi Hai Aisi Zindagi Hum Kya Bayaan De
Le Gaya Ho Pata Jaise Koi Koo-e-yaar Ke
Ruswa-e-Dahar K Mare Hai Hum Ab Aur Kya Kahe
Zakhm Aise Khaye Hai Jo Jigar K Par Na Ho Sake
Logged
HumTum
Guest
«Reply #14 on: July 28, 2005, 09:04:53 AM »
Reply with quote
waah ...

be-Aetebaar waqt pe Jhunjla ke ro parey
kho ke kabhi ussey tou kabhi Paa ke ro parey
Kab tak kissi ke soug mein royeinge umr bhar
hum khud ko kitni baar yeh samjha ke ro parey !!
Logged
Pages: [1] 2 3 4 5 ... 8
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
January 24, 2025, 02:48:06 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[January 19, 2025, 05:59:15 PM]

[January 19, 2025, 05:47:49 PM]

[January 10, 2025, 09:46:05 AM]

[January 10, 2025, 09:45:14 AM]

[January 08, 2025, 08:30:59 AM]

[January 08, 2025, 08:29:31 AM]

[January 05, 2025, 08:51:01 AM]

[January 05, 2025, 08:45:11 AM]

[January 05, 2025, 08:44:20 AM]

[January 05, 2025, 08:43:28 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.131 seconds with 24 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer