Nafrat hai mujhe us insan se...

by brokenbyluv on December 11, 2010, 02:44:58 PM
Pages: [1] 2  All
ReplyPrint
Author  (Read 20087 times)
brokenbyluv
Guest
Reply with quote
Merre dil mein agar kisi k liye bepanah mhbt hai tou kisi k liye kabhi na khtm hone wali nafrat bhi hai..aur mujhe us baat ka bilkul afsos nhi hai merre hisab se tou vo shakhs merri nafrat k kaabil bhi nhi hai,afsos sirrf iss baat ka hai ki vo merra koi apna hi hai..sach mein dosto use apna kehte hue bhi rishto ko gaali dene jaisa lagta hai,main rishte ka lihaaz karte hue use kuch nhi keh sakti per apne lafzo k dwara us shakhs k prati apne jazbaat tou zaahir kar sakti hu..maaf kijiyega agar kuch galat likha ho tou...



Nafrat hai mujhe us insan se,
jo sirrf naam k liye rishte nibhata hai,

nafrat hai mujhe us insan se,
jo dekh kar bhi dusro ka dard andekha kar jata hai,

nafrat hai mujhe us insan se,
jo apni zimedariyo se nazre churata hai,

nafrat hai mujhe us insan se,
jo apna saga ho kar bhi gair ho kar dikhata hai,

nafrat hai mujhe us insan se,
jo merri zindgi mein har bar ik nayi musibat lata hai,

nafrat hai mujhe us insan se,
jo gunehgar ho kar b bekhauf aaine se nazre milata hai,

nafrat hai mujhe us insan se,
jo merra apna ho kar hi merre apno ko satata hai.........
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Insan by Madhuraj in Miscellaneous Shayri
Hum insan hai pathar nhi... by brokenbyluv in SMS , mobile & JOKES
Insan ki fikrat by nish17 in Shairi - E - Zindagi
insan by ANAMAKA777 in Miscellaneous Shayri
Mohabbat Batne Se Mohabbat,Nafrat Se Nafrat Badhti Hai by @kaash in Ghazals
dead heart
Guest
«Reply #1 on: December 11, 2010, 03:13:38 PM »
Reply with quote
Bahaut bahaut khoob Geet di..
Apne bahaut sadhe lavzon main nafrat jatayi hai..
Waise toh main koi nahin apse kuch kehne kay liye mager ek film ka dialogue yaad aa raha hai mujhe..

"Yeh zindagi nafrat kay liye bahaut choti hai.."

Khush rahiye sada..!
Logged
poppoetry
Guest
«Reply #2 on: December 11, 2010, 03:14:08 PM »
Reply with quote
kaisa ho gar ek theraav mil jaaye iss nafrat ko aur ussi thehraav par iska ant ho jaaye.......aapki ye rachna padkar dil se ye hi aawaz aayi......bt i know its nt possible...qunki koi hamein takleef de toh hum ek pal ko usse maaf bhi kar de....lkn wo apna hokar hamare apno ko sataaye toh wo maafi k kaabil nahi hota...aisi situation face kar chuki hu isliye ye sab keh gayi.....bt samajhdaari issi mein hoti h k puraane par mitti daale....ho sake toh.
Logged
brokenbyluv
Guest
«Reply #3 on: December 11, 2010, 03:20:58 PM »
Reply with quote
Thnx rahiim n thnx nikhar ji aap dono sahi hai ki mujhe sab bhula kar aage bhadhna chahiye sach kahu tou koi chahe merre sath kitna hi bura kare main use maaf kar dene ka hausla rakhti hu per agar koi merre se jude logo ko taklif de tou main akhri waqt tak use insan ko maaf nhi kar sakti,main us insan ko kuch nhi kehna chahti jo jaisa hai waisa hi rahe tou behtar hai aur main iss baat ko bakhubi smjhti hu isiliye maine apne lafzo ka sahara liya aur apne dil ka dard thoda kam kiya hai...phir maafi chahungi kuch galat likha ho tou...take care...Usual Smile
Logged
dead heart
Guest
«Reply #4 on: December 11, 2010, 03:24:10 PM »
Reply with quote
Thnx rahiim n thnx nikhar ji aap dono sahi hai ki mujhe sab bhula kar aage bhadhna chahiye sach kahu tou koi chahe merre sath kitna hi bura kare main use maaf kar dene ka hausla rakhti hu per agar koi merre se jude logo ko taklif de tou main akhri waqt tak use insan ko maaf nhi kar sakti,main us insan ko kuch nhi kehna chahti jo jaisa hai waisa hi rahe tou behtar hai aur main iss baat ko bakhubi smjhti hu isiliye maine apne lafzo ka sahara liya aur apne dil ka dard thoda kam kiya hai...phir maafi chahungi kuch galat likha ho tou...take care...Usual Smile
Apne kuch bhi galat nahin likha..
Mujhe toh unhe bhi maaf karne ka hausla nahin jo mujhe dard dete hai, apnon ki toh dhoor ki baat hai..
Khair, yeh kavita mujse judi kuch baatein keh gayi..
bahaut khoob..
Logged
brokenbyluv
Guest
«Reply #5 on: December 11, 2010, 03:26:38 PM »
Reply with quote
Apne kuch bhi galat nahin likha..
Mujhe toh unhe bhi maaf karne ka hausla nahin jo mujhe dard dete hai, apnon ki toh dhoor ki baat hai..
Khair, yeh kavita mujse judi kuch baatein keh gayi..
bahaut khoob..

Thnx alot rahiim..take care...Usual Smile
Logged
Intezar
Guest
«Reply #6 on: December 11, 2010, 06:27:02 PM »
Reply with quote
badhiya andaaz hai Geet ji... nafrat zaahir karne ka bhi...

le aaj tujhe bhi kar diya bayaan maine...
jo mere zehen mein nafrat ban kar samaya hai... !

Intezar !
Logged
*KasaK*....Dil Ki
Poetic Patrol
Umda Shayar
*

Rau: 19
Offline Offline

Gender: Female
Waqt Bitaya:
67 days, 9 hours and 25 minutes.
"I hv a prsnality wch evrybdy cn't handle

Posts: 5603
Member Since: Jun 2010


View Profile
«Reply #7 on: December 11, 2010, 07:42:51 PM »
Reply with quote
kuch keh nahin paungi........
 just  Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause
Logged
Rajesh Harish
Guest
«Reply #8 on: December 12, 2010, 11:10:22 AM »
Reply with quote
Bahut behtareen peshkash hai aap ki Geet Ji
Logged
brokenbyluv
Guest
«Reply #9 on: December 12, 2010, 01:06:42 PM »
Reply with quote
Bahut bahut shukriya intezar ji.kasak ji aur rajesh ji...Nice lines intezar ji...
Logged
SHIRAJ KHAN
Guest
«Reply #10 on: December 12, 2010, 02:08:09 PM »
Reply with quote
Bahut bahut shukriya intezar ji.kasak ji aur rajesh ji...Nice lines intezar ji...
NAFARAT INSAAN KO KHOKHALA BANA DETI HAI,
Logged
brokenbyluv
Guest
«Reply #11 on: December 12, 2010, 02:15:39 PM »
Reply with quote
NAFARAT INSAAN KO KHOKHALA BANA DETI HAI,


Sahi kaha siraj ji..per nafrat se kahiin zyada merre dil mein pyar ka ehsas hai..ye nafrat dil k ek kone mein qaid hai aur wahiin qaid rahegi...
Logged
killbill
Yoindian Shayar
******

Rau: 0
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
24 days, 7 hours and 41 minutes.
Posts: 2130
Member Since: Oct 2010


View Profile
«Reply #12 on: December 12, 2010, 06:41:32 PM »
Reply with quote
Brokenbyluv ji--
mene aaj dekha aapki ye peskash.
maaf kariyega par mai ise koi peshkash nai kahunga--
ye to aapke dil ki ghutti nafrat hai jo kisi ke aage aap kah hi nhi sakti.
aur aapki ye nafrat kabhi khatm nai hogi--ye aapki nafrat b hai aor gussa bhi.
Lafzo me bhot khubsurat tarike se bayan kiya aapne--relax feel jarur hua hoga aapko ise likhne ke baad:)Usual Smile
khus rahiye--
***
jeene ke liye mohabbat ke saath saath apni nafrat ka bhi izhaar kiye ja aye dost
          ke tu aadmi hai khuda nahi...!!!!
Logged
AbhiTamrakar
Guest
«Reply #13 on: December 14, 2010, 08:57:08 AM »
Reply with quote
bahut hi abdhiya geet di..

koshish kijiye nafrat apko sirf insaan ke kharab khayalon se ho..buri to bas aadate hoti hain insaan to sab ek jaise hi hte he~

nafrat ne aaj tak kisi ka bhala ne nahi kiya..

likhte rahiye di..

dher saari daad~
Logged
nirala
Guest
«Reply #14 on: December 14, 2010, 09:12:44 AM »
Reply with quote
hmm
Logged
Pages: [1] 2  All
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 14, 2024, 03:25:19 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:55:06 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 06:58:58 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.102 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8508 Real Poets and poetry admirer