nazm : mere mehboob n ab maaNg suboot-e-ulfat (zarraa)

by zarraa on August 08, 2012, 04:58:16 PM
Pages: [1] 2  All
ReplyPrint
Author  (Read 1725 times)
zarraa
Yoindian Shayar
******

Rau: 100
Offline Offline

Waqt Bitaya:
8 days, 7 hours and 33 minutes.
Posts: 2251
Member Since: May 2012


View Profile
Reply with quote

mere mehboob n ab maaNg suboot-e-ulfat
pesh karne ko mere paas raha bhi kya hai
bas hai raah-e-wafa ki khaak mere daaman meiN
aur kehne ko siwa lafz-e-wafa bhi kya hai


ek woh daur tha ki hum thei rang-o-boo-e-chaman
roz saugaat bahaaroN se koyee aatee thee
shabnamee raat sulaatee thee choom kar hum ko
aur sehla ke naseem-e-sahar jagaatee thee

(naseem-e-sahar - morning breeze)


haay hotee theeN mushkileiN bhi qayamat ki haseeN
aaj shab chaaNd kya pooraa n dikhaayee dega
aaj aayega neem-roz abr kya n koyee
aaj kya naghma-e-bulbul n sunaayee dega

(neem-roz = mid-day, abr = cloud)


waqt tha ek doosre meiN bhatak jaane ka
gham n maazee ka koyee fikr n mustaqbil ki
poochhta koyee ki socha hai tum ne kya kal ka
haNs ke keh dete ki socheNge kal ka hum kal hi

(maazee = past, mustaqbil = future)


waqt kitna ho haseeN uska badalna tayy hai
hum ne bhi apni mohabbat ko badalte dekha
aaNch meiN is ko zindagi ki pighalte paaya
aur saaNche meiN naye phir ise dhalte dekha


shauq ne haay shikayat ka pairahan daalaa
ab haiN bose ki jageh talkhiyaaN lab par apne
aafat-e-ishq ke badle haiN rozgaar ke gham
shokhi-e-husn ke aiwaz haiN jahaaN ke jhagde

(bose = kiss, pairahan = dress)


mere mehboob magar kaun si ulfat sachchee
woh jo bustaaN meiN khayaaloN ke gungunaatee rahe
ya jo sehraa-e-zindagi meiN jhulas ke bhi magar
zinda rehne ke jatan laakh kiye jaatee rahe

(bustaaN = garden)


kha ke duniya ke sitam maiN jo jiye jaataa hooN
tu kiye jaaye nibah talkhiyoN ke saath meri
mere mehboob bata kya yeh bhi kuchh kam haiN suboot
apni ulfat kisi ik kone meiN zinda hai abhi


mere mehboob tu maayoos mohabbat se n ho
apni ulfat ke fasaane abhi likhne baakee
khaar daaman ke n gin itna yakeeN tu rakh le
gul abhi aur gulistaaN meiN haiN khilne baakee

(khaar = thorns)


- zarraa

Logged
BANSI DHAMEJA
Guest
«Reply #1 on: August 08, 2012, 05:08:50 PM »
Reply with quote
zarraa ji bahut khoob Applause Applause Applause Applause
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #2 on: August 08, 2012, 05:09:28 PM »
Reply with quote
mere mehboob n ab maaNg suboot-e-ulfat
pesh karne ko mere paas raha bhi kya hai
bas hai raah-e-wafa ki khaak mere daaman meiN
aur kehne ko siwa lafz-e-wafa bhi kya hai


ek woh daur tha ki hum thei rang-o-boo-e-chaman
roz saugaat bahaaroN se koyee aatee thee
shabnamee raat sulaatee thee choom kar hum ko
aur sehla ke naseem-e-sahar jagaatee thee

(naseem-e-sahar - morning breeze)


haay hotee theeN mushkileiN bhi qayamat ki haseeN
aaj shab chaaNd kya pooraa n dikhaayee dega
aaj aayega neem-roz abr kya n koyee
aaj kya naghma-e-bulbul n sunaayee dega

(neem-roz = mid-day, abr = cloud)


waqt tha ek doosre meiN bhatak jaane ka
gham n maazee ka koyee fikr n mustaqbil ki
poochhta koyee ki socha hai tum ne kya kal ka
haNs ke keh dete ki socheNge kal ka hum kal hi

(maazee = past, mustaqbil = future)


waqt kitna ho haseeN uska badalna tayy hai
hum ne bhi apni mohabbat ko badalte dekha
aaNch meiN is ko zindagi ki pighalte paaya
aur saaNche meiN naye phir ise dhalte dekha


shauq ne haay shikayat ka pairahan daalaa
ab haiN bose ki jageh talkhiyaaN lab par apne
aafat-e-ishq ke badle haiN rozgaar ke gham
shokhi-e-husn ke aiwaz haiN jahaaN ke jhagde

(bose = kiss, pairahan = dress)


mere mehboob magar kaun si ulfat sachchee
woh jo bustaaN meiN khayaaloN ke gungunaatee rahe
ya jo sehraa-e-zindagi meiN jhulas ke bhi magar
zinda rehne ke jatan laakh kiye jaatee rahe

(bustaaN = garden)


kha ke duniya ke sitam maiN jo jiye jaataa hooN
tu kiye jaaye nibah talkhiyoN ke saath meri
mere mehboob bata kya yeh bhi kuchh kam haiN suboot
apni ulfat kisi ik kone meiN zinda hai abhi


mere mehboob tu maayoos mohabbat se n ho
apni ulfat ke fasaane abhi likhne baakee
khaar daaman ke n gin itna yakeeN tu rakh le
gul abhi aur gulistaaN meiN haiN khilne baakee

(khaar = thorns)


- zarraa




 Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley

 Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley

lajawaab....bahut bahut khooob Zarraa Ji
Logged
piyushappy
Guest
«Reply #3 on: August 08, 2012, 05:10:40 PM »
Reply with quote
 Clapping Smiley

bahut khoob
Logged
MANOJ6568
Khaas Shayar
**

Rau: 31
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
42 days, 19 hours and 59 minutes.

Astrologer & Shayer

Posts: 12017
Member Since: Feb 2010


View Profile
«Reply #4 on: August 08, 2012, 06:16:33 PM »
Reply with quote
GD
mere mehboob n ab maaNg suboot-e-ulfat
pesh karne ko mere paas raha bhi kya hai
bas hai raah-e-wafa ki khaak mere daaman meiN
aur kehne ko siwa lafz-e-wafa bhi kya hai


ek woh daur tha ki hum thei rang-o-boo-e-chaman
roz saugaat bahaaroN se koyee aatee thee
shabnamee raat sulaatee thee choom kar hum ko
aur sehla ke naseem-e-sahar jagaatee thee

(naseem-e-sahar - morning breeze)


haay hotee theeN mushkileiN bhi qayamat ki haseeN
aaj shab chaaNd kya pooraa n dikhaayee dega
aaj aayega neem-roz abr kya n koyee
aaj kya naghma-e-bulbul n sunaayee dega

(neem-roz = mid-day, abr = cloud)


waqt tha ek doosre meiN bhatak jaane ka
gham n maazee ka koyee fikr n mustaqbil ki
poochhta koyee ki socha hai tum ne kya kal ka
haNs ke keh dete ki socheNge kal ka hum kal hi

(maazee = past, mustaqbil = future)


waqt kitna ho haseeN uska badalna tayy hai
hum ne bhi apni mohabbat ko badalte dekha
aaNch meiN is ko zindagi ki pighalte paaya
aur saaNche meiN naye phir ise dhalte dekha


shauq ne haay shikayat ka pairahan daalaa
ab haiN bose ki jageh talkhiyaaN lab par apne
aafat-e-ishq ke badle haiN rozgaar ke gham
shokhi-e-husn ke aiwaz haiN jahaaN ke jhagde

(bose = kiss, pairahan = dress)


mere mehboob magar kaun si ulfat sachchee
woh jo bustaaN meiN khayaaloN ke gungunaatee rahe
ya jo sehraa-e-zindagi meiN jhulas ke bhi magar
zinda rehne ke jatan laakh kiye jaatee rahe

(bustaaN = garden)


kha ke duniya ke sitam maiN jo jiye jaataa hooN
tu kiye jaaye nibah talkhiyoN ke saath meri
mere mehboob bata kya yeh bhi kuchh kam haiN suboot
apni ulfat kisi ik kone meiN zinda hai abhi


mere mehboob tu maayoos mohabbat se n ho
apni ulfat ke fasaane abhi likhne baakee
khaar daaman ke n gin itna yakeeN tu rakh le
gul abhi aur gulistaaN meiN haiN khilne baakee

(khaar = thorns)


- zarraa


Logged
nandbahu
Mashhur Shayar
***

Rau: 122
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
20 days, 4 hours and 11 minutes.
Posts: 14553
Member Since: Sep 2011


View Profile
«Reply #5 on: August 09, 2012, 01:15:59 AM »
Reply with quote
bahut khoob
Logged
Aarish
Guest
«Reply #6 on: August 09, 2012, 01:37:27 AM »
Reply with quote
Kya baat hai, bohut lajwab nazm hai, bohut umda ,maza aagaya, dherooon daaad quboool kijiye
Logged
F.H.SIDDIQUI
Guest
«Reply #7 on: August 09, 2012, 04:50:15 AM »
Reply with quote
 Bahut khoob , zarra ji.
Logged
mkv
Guest
«Reply #8 on: August 09, 2012, 01:34:38 PM »
Reply with quote
Bahut pyaari najm kahi hai aapne.
Applause Applause
Logged
zarraa
Yoindian Shayar
******

Rau: 100
Offline Offline

Waqt Bitaya:
8 days, 7 hours and 33 minutes.
Posts: 2251
Member Since: May 2012


View Profile
«Reply #9 on: August 10, 2012, 05:02:28 PM »
Reply with quote
zarraa ji bahut khoob Applause Applause Applause Applause

Shukriya Bansi ji
Logged
zarraa
Yoindian Shayar
******

Rau: 100
Offline Offline

Waqt Bitaya:
8 days, 7 hours and 33 minutes.
Posts: 2251
Member Since: May 2012


View Profile
«Reply #10 on: August 10, 2012, 05:03:19 PM »
Reply with quote

 Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley

 Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley

lajawaab....bahut bahut khooob Zarraa Ji

Aapkee inaayat Khwaish ji
Logged
zarraa
Yoindian Shayar
******

Rau: 100
Offline Offline

Waqt Bitaya:
8 days, 7 hours and 33 minutes.
Posts: 2251
Member Since: May 2012


View Profile
«Reply #11 on: August 10, 2012, 05:04:03 PM »
Reply with quote
Clapping Smiley

bahut khoob

Shukriya Piyush ji
Logged
zarraa
Yoindian Shayar
******

Rau: 100
Offline Offline

Waqt Bitaya:
8 days, 7 hours and 33 minutes.
Posts: 2251
Member Since: May 2012


View Profile
«Reply #12 on: August 10, 2012, 05:05:10 PM »
Reply with quote
GD

Thx
Logged
zarraa
Yoindian Shayar
******

Rau: 100
Offline Offline

Waqt Bitaya:
8 days, 7 hours and 33 minutes.
Posts: 2251
Member Since: May 2012


View Profile
«Reply #13 on: August 10, 2012, 05:05:54 PM »
Reply with quote
bahut khoob

Shukriya Nandbahu ji
Logged
zarraa
Yoindian Shayar
******

Rau: 100
Offline Offline

Waqt Bitaya:
8 days, 7 hours and 33 minutes.
Posts: 2251
Member Since: May 2012


View Profile
«Reply #14 on: August 10, 2012, 05:07:34 PM »
Reply with quote
Kya baat hai, bohut lajwab nazm hai, bohut umda ,maza aagaya, dherooon daaad quboool kijiye

Pasand karne ka bahaut bahaut shukriya Aarish ji. Apki daad tah e dil se qabool karta hoon.
Logged
Pages: [1] 2  All
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 12, 2024, 07:30:25 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 08, 2024, 09:59:08 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:55:06 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 06:58:58 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.116 seconds with 22 queries.
[x] Join now community of 8507 Real Poets and poetry admirer