Neem ke phool...

by asif faiz on May 14, 2013, 02:41:52 PM
Pages: [1]
ReplyPrint
Author  (Read 1186 times)
asif faiz
Guest
Reply with quote


Ye to dastoor-e- mohabbat hai,
Log milkar bichad jaate hain...

Jazbaat dil ke bayaan hote ho jinme,
Alfaaz wo ankahe rah jaate hain...

Daulat ki chaah me judte hain jo,
Rishte wo aksar toot jaate hain...

Unki badkismati ki bhi kya misaal ho,
Bachpan me hi jo yatim ho jaate hain...

Mohabbat aur apnepan ka daava karnewale,
Museebat me tanha chor jaate hain...

Aisi bulandi bhi kis kaam ki "asif"
Apne agar aankho se door ho jaate hain...

 - Asif faiz


Logged
F.H.SIDDIQUI
Guest
«Reply #1 on: May 14, 2013, 02:49:02 PM »
Reply with quote
Ghazal achhi hai , asif sahib . Lekin pahle 2 sher , agar main ghalat nahi hoon to, Tahir Faraz sahib ke hain . Barai mehrbani wazaahat kareiN . Agar main ghalat hoon to muafi ka talabgar hoon . Agar nahin to aap apni ghalti tasleem karein aur aayenda aisa karne se gurez karein .HASAN
Logged
asif faiz
Guest
«Reply #2 on: May 14, 2013, 02:54:00 PM »
Reply with quote
Siddiqui saahab...yakeen maniye na maine kabhi ye 2 sher  kahin padhe hain na sune hain....main hairaan hun aapki baat sunkar...
Logged
F.H.SIDDIQUI
Guest
«Reply #3 on: May 14, 2013, 03:06:15 PM »
Reply with quote
Siddiqui saahab...yakeen maniye na maine kabhi ye 2 sher  kahin padhe hain na sune hain....main hairaan hun aapki baat sunkar...
Mohtaram, Abhi Sat/Sun (May 11/12 2013)ko Etv Urdu se Dubai ka eik mushaira telecast hua thha , us mein yeh ashaar parhe gaye thhe . Is se pahle bhi mushayere mein parhe jaa chuke hain . Ho sakta hai ki aap ke sub - conscious mein hon aur aap ne jaan boojh kar na naqal kiya ho. Lekin , waise bhi aapki ghazal qafiyon aur Matle se aari hai . Ye sher baaqi ashaar se meil nahi khaate. Meri baat pe hairaan hone ke bajaai check kar lein . Agar ghalti ho gai hai to uske aitraaf mein koi buri baat nahin hai. Hum sub insaan hain aur ghalti ain mumkin hai.
Logged
asif faiz
Guest
«Reply #4 on: May 14, 2013, 03:09:50 PM »
Reply with quote
ho sakta hai sub-conscious me hua ho..maine jaan bujh kar nahi kiya hai...aur phir kehta hun..maine p[ahle kabhi kahin b ye nahi sune hain na padhe hain.
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #5 on: May 14, 2013, 03:14:59 PM »
Reply with quote
Waqt se pooch raha hai koi,
Zakhm kya wakayi bhar jaate hain...

Zindagi tere ta-aakub me hum,
Itna chalte hain k mar jaate hain...

Ye to dastoor-e- mohabbat hai,
Log milkar bichad jaate hain...

Jazbaat dil ke bayaan hote ho jinme,
Alfaaz wo ankahe rah jaate hain...

Daulat ki chaah me judte hain jo,
Rishte wo aksar toot jaate hain...

Unki badkismati ki bhi kya misaal ho,
Bachpan me hi jo yatim ho jaate hain...

Mohabbat aur apnepan ka daava karnewale,
Museebat me tanha chor jaate hain...

Aisi bulandi bhi kis kaam ki "asif"
Apne agar aankho se door ho jaate hain...

 - Asif faiz



[/quote

Ji Bilkul Hasan saheb...Yeh pehle 2 Ashaar Tahir Faraz Ji  Ke Hai..

Aur Baaki Ke Ashaar Ke Kaafiye Bhi Aapas Mein Mail Nahi Khaate Par Haan Asif Bhai Aapke Jazbaat Ghehre Hain.. Inhe Zaroor Sahee LafzoN Mein Utaarte Rahe..
Logged
F.H.SIDDIQUI
Guest
«Reply #6 on: May 14, 2013, 03:15:31 PM »
Reply with quote
ho sakta hai sub-conscious me hua ho..maine jaan bujh kar nahi kiya hai...aur phir kehta hun..maine p[ahle kabhi kahin b ye nahi sune hain na padhe hain.
Thanks , asif sahib ki aapne wo ashaar apni ghazal se remove kar diye .  
Logged
asif faiz
Guest
«Reply #7 on: May 14, 2013, 03:18:26 PM »
Reply with quote
ji ...lekin main ab bhi ...apni baat par kaayam hun..maine wo nakal nahi kiye the...
Logged
laaiba
Guest
«Reply #8 on: May 14, 2013, 03:47:57 PM »
Reply with quote
bohat khoob asif ji,..............daad,........
Logged
asif faiz
Guest
«Reply #9 on: May 14, 2013, 03:54:58 PM »
Reply with quote
shukriya laaiba ji..
Logged
Bhupinder Kaur
Guest
«Reply #10 on: May 14, 2013, 07:57:19 PM »
Reply with quote
Bahut Khoob  Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley
Logged
asif faiz
Guest
«Reply #11 on: May 14, 2013, 09:10:43 PM »
Reply with quote
shukriya bhupinder ji..
Logged
Pages: [1]
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 08, 2024, 08:57:37 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 08, 2024, 09:59:08 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:55:06 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 06:58:58 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.101 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8505 Real Poets and poetry admirer